gaali dena aik hadees:
Nabi kareem saw ki aik mahfil maiN aik shakhs aayaa aur oss nay kissi baat par aik mmtaaz sahabi ko bora bhala kahna shooro kardia... woh sahabi khamosh rahay aur sabr kartay rahay... jabkay Nabi kareem saw yeh sari sooratay haal o dekh kar moskoraatay rahay ... jab on sahabi ka paimanah e sabr labraiz hogaya to onhouN nay bhi bora bhalaa kahnay wala ko jawaab dena shooroo kardia ... yeh dekhtay hi aap saw nay naa.gawari say mouNh pher liaa... sahabai RA ko yeh baat 'ajeeb' lagi to onhouN nay poocha Ya rasool Allah jab yeh shaks mujhay bora bhala kah raha thaa to aap moskoraa rahay thay aur jab maiN nay jawaab dena stat kia to apnay naa.gawaaari say mouNh pher lia...
iss par Nabi saw nay batlaya k jab tak tum sabar kartay rahay... Allah nay aik farishtah bheja jo tomhari taraf say iss shakhs ko jawaab deta rahaa... aur mujhay yeh dekh kar k Allah ko apka ketna khayaal hai, moskorata rahaa... lekin jab tum nay jawab dena shooroo kia to Allah nay apnay farishtay ko wapis bolaa lia...yeh dekh kar mujhay naa.gawar lagaa
aap bhi yeh soch lia karaiN k jab koi apko gaaliyaaN de to Allah ki taarf say oss banday ko jawaab dia jataa hogaa ... yaa kam az am sabar karnay par apko iska ajar milegaa aur oss fard ki naikiyaaN, oski galiyouN k badlay maiN apko ataa hongi... jab apko yeh sarat fawaid nazar aayengay to phir aap kabhi bhi jawabi gaaliyaaN nahi dengi
jab ghussa aa.ay to agar khari houN to baith jayaiN... thanda paani pi laiN insha Allah ghussah khatam hojayega...iss adatay bad ko turk karnay ka nuskha yeh hai k aap aksar wird aur zikra karti raha karaiN... jaisay Allahummah ajarni menan.naar ... Allah mujhay jahannam ki aag say bachaa ... Allah ki tareef ... subhaan Allah be hamdehi... yaa issi taraah ka koi bhi wazeefah jo sahih hadees say saabit ho...
wazah rahay k zobaani iss tarah zobaani wird /wazeefah bila wazoo bhi paRhaa jasakta hai aur makhsoos ayaam k dauraan bhi... jaisay ham har haalat maiN salaam aur oska jawaab detay haiN
wallaho aalam bissawab |