Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

Ahadees: Narmi aur Darguzar

Religion and Culture   >>  Religious Information
 
 
 
safeena Group: Members  Joined: 02nd Jul, 2007  Topic: 15  Post: 241  Age:  32  
Posted on:17th Aug 2007, 11:45pm
 

Ahadees: Narmi aur Darguzar

 

                Narmi k baray main

" jo shakhs narmi se mehroom hai wo bhalai se mehroom hai."

Ummol Momineen Hazrat e Aysha Razi Allah Tala Anha se riwayat hay Nabi Paak Sallallahu Alaihee wa sallam ne farmaya

"jis kisi main narmi ho tu us kee zeenat ho jati hay aur jab narmi nikal jaye tu EAIB  ban jati hay "(muslim )

Parda poshi k baray main

Sayydna Abu Hurera Razi Allahu Tala Anhu se riwayat hay Piyare Nabi Sallalahu Alaihee Wa sallam ne farmaya

" jo koi shakhs dunya main kisi ka EAIB (kisi kee burai) ko chupaye ga Allah Tala (qayamat k din) us ka Eaib chupain gay "(muslim)

Darguzar k baray main

" Izzat Allah kee chadar hai aur barai (bara pan) bhi us kee chader hai (yani ye 2no siffatain hain Allah kee) phir Allah Azzojal farmate hain k jo koi ye 2no siffatain ikhtiyaar kerta hay main us ko azab doon ga "

Darguzar karne k liye biyaan

Sadqa dene se koi maal nahi ghat ta aur jo banda maaf ker deta hay Allah tala us kee ezzat barhaata hay aur jo banda Allah k liye Aajzi kerta hay , Allah us ka DARJA buland kerta hay"

safeena Group: Members  Joined: 02nd Jul, 2007  Topic: 15  Post: 241  Age:  32  
Posted on:17th Aug 2007, 11:52pm
 

Re

Bewaqoof bhai musical show main  mai phir se TABLEEGH kernay aa gai  hoon   :)

aaj kal forum per per ko apnay head ka khayaal kerte hoye aana per raha hay

aur kafi garmagarmi chal rahi hay

main ne soocha yahan  apne words se samjhane k bajye Piyare NAbi Sallallahu Alaihee wa sallam k words bata k samjhaya jaye

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4191  Age:  37  
Posted on:17th Aug 2007, 12:02pm
 

re: safeena

waqai is waqt faisee, khoobsoorat, ugly_sana ke darmian faisee ki mayoon ke geet ki batai ho rahi hai aur ap ............................ isi lia ham kate hai keh kabab mai haddi tu ap naraz ho jati hai. waise mera khial hai keh ugly_san ki pasand ki hui larki ko khoobsoorat ne reject kar dia hai shayed.
farhanshah Group: Members  Joined: 04th Jul, 2007  Topic: 2  Post: 46  Age:  42  
Posted on:17th Aug 2007, 4:39pm
 

Re : Safeena

nice effort !! aap daily 2 hadith yahan post kia kijiye sab ne parhi or suni hoon gee lekin bar bar yaad dilana buhat accha kaam hai

 baaz dafa hum kuch ghalti per hote hain or us waqt koi Ehkaam e Elahee ya Farman e Nabawi (PBUH) samne ajye tu kafi islah ho jati hai waqti tur pe sahi lekin asar zaror hota hai

is liye jo loog time nahi nikal sakte parhne kai liye yahan aa ker tu nazar  par hee jati hogi  wesay depend kerta hai baaz loog aese bhi hote hoon gay jo Hadith ki heading dekh post open he na kerte hon

kion kai is post per koi bhi reply nahi nazar aa raha

 

faisee Group: Active Members  Joined: 13th Feb, 2007  Topic: 79  Post: 777  Age:  29  
Posted on:17th Aug 2007, 4:58pm
 

Re: safeena

Nice effort safeena jee.

aur yeh baat nahin kai aisee post open nahin hota ya koi reply nahin ata. because sometime we just open and read the post aur usay dil main saraah laitay hain.because yeh koi debatable issue nahin hai. but u r doing well keep it up. and better if you mention topics of hadis in the title like"hadith:pardha poshi,..etc" . thanks
safeena Group: Members  Joined: 02nd Jul, 2007  Topic: 15  Post: 241  Age:  32  
Posted on:17th Aug 2007, 8:18pm
 

RE

Re bewaqoof bhai :faisee  kee mayoon hone tu dein hum bhi geet gaain gay zaror auraap pareshan na hoon us din  baghir haddi k gola kabab bhi aap kha lijiye ga  chalian abhi tu ek reject hoi hai aagay dekhte hai

RE : Farhanshah:tareef ka shukria lekin ye kia ye kia likh dia aap  ne main ne ager daily 2 hadees yahan likhni start kain tu  phir Bewaqoof bhai   kahin gay mujhay kabab main haddi nahi balkay kabab main poori NALLI

aur janab jahan tak loogon k reply na aany kee baat hay tu faisee right hay zahir hay is per mujhay reply ka intazaar nahi hota bas ye dua hoti hai k loog is ko parh lein aur  is per amal bhi karay aur yaad rakhay

Re : Faisee : thanx faisee

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4191  Age:  37  
Posted on:17th Aug 2007, 10:33pm
 

do kia bees bees ahadees rozana post kare

safeena: ugly_sana ne faisee ke lia aisi larki ki shart rakh di hai jo keh shaid chiragh le kar dhoondne se bhi na mile. doosri taraf khoobsoorat sahiba rooth kar chali gai hai. ab faisee ka allah hi hafiz hai.

ap do kia bees bees ahadees rozana post kare ham kabhi bhi kabab mai haddi nahi kahe ge. lekin shart hai keh aap mojooda Ahadees ki tarah sepate new topic ke tor par shuru kare. ya phir zaroorat ke mutabiq doosre post mai bhi bator islamic point of view ke tor par pesh kare. ap ne pahle kabhi bhi ghalat moqa par ahadees nahi pesh ki hai. mai ne just mazaq mai kabab mai haddi kaha tha.

kabab mai haddi ham aisi post ko kahte hai jo keh kisi aur ne kisi aur topic par kia hai aur darmian mai koi aur topic shuru ho gia. jaise Kim84 aur don ne kai post par chatting kar ke post ko asal topic se kahi aur divert kar dia. is qisim ki shikayat ham sab ko noor123 se bhi rahti thi. woh bhi har post par irrelevant reply kar ke bat ko asal topic se divert kar deti thi.

waise Kim84 ghaib hai lagta hai keh un ke boss aagaye hai.

lehaza mai tu kahta hoo keh ap rozaha ahadees post kare. jaisa keh mai ne pahle hi kaha hai keh newspaper mai likhne wale chand log hote hai aur read karne wale lakho log. isi tarah yaha par bhi likhne wale chand log hai jab ke is forum ko read karne wale lakho silent visitors hai. aur ap silent visitor se reply ki tawaqo na kare.

beshtar log sawab ki niat se ahadees read karte hai. aur apne ap ko asal deen ke mutabiq update karte hai. woh kabhi bhi wah wah nahi kare ge. kio keh yeh shairi tu nahi keh wah wah ki jai. tamam log ahadees ko bare adab aur ehteram se read karte hai aur dil mai apni zindagi ko ahadees ke mutabiq guzarne ka ahad karte hai. lehaza ap reply ka intezar kia beghair rozana ahadees post kare.

Sanwal Group: Members  Joined: 07th Jun, 2007  Topic: 18  Post: 83  Age:  32  
Posted on:18th Aug 2007, 7:44am
 

Haj ka sawab !

salam to all,

ahadis-e-mubaraka hai k,

                "Maan ko 1 nazr pyar se dekhne se Allah Tala ki zaat Haj ka Sawab  ata krti hai"

if i am wrong, plzzZ correct me.

takecare

1
 
 
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us