Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Boorhey logon ko bhi jawanon ki tarhan sex ki zaroorat hai. Agar mian biwi sehat mand hun to woh martey dam tak jinsi amal kay qabil hotey hain.
   
Home | Sex Education in Urdu for Men | Sex And Old Age - Burhapa Aur Jinsi Zindagi 2  
List in Urdu >> Page 1
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
Read Health Articles

Total views since 15 October 2009:
53853
 
Sex And Old Age - Burhapa Aur Jinsi Zindagi

 Badqismati sey humarey yahan burhapey ki jinsi sargarmiyon kay hawaley sey logon ki raey bilkul manfi hai. 70 year old mian biwi ki jinsi sargarmiyun ko bohut ghaer shaista samjha jata hai aur iss umar mein mushtzani ko to bohut hi bura samjha jata hai. Bohut sey 70 year kay afraad biwi kay adam taa'wwun ki wajah sey mushtzani per majboor hain. Aam logon ka khayal hai kay burhapey mein fard jinsi amal kay qabil hi nahi rehta. Aksar boorhey iss ghalat khayal ki wajah sey apni jinsi sargarmiyun ko rok deytey hain, jis ki wajah sey woh kuch arsa baad jinsi amal kay qabil hi nahi rehtey kyun kay jis cheez ko use naa kiya jaey (jismani aaza etc) to kuch arsa baad woh use kay qabil nahi rehti. Use it or lose it. Jab kay haqeeqat yeh hai ka boorhey logon ko bhi jawanon ki tarhan sex ki zaroorat hai. Aurat ki sehat kay liye orgasm ek mufeed cheez hai. Agar mian biwi sehat mand hun to woh martey dam tak jinsi amal kay qabil hotey hain.

 

    Burhapey mein majmoee tor per fard ki jismani karkardigi mein kami waqai ho jati hai. Burhapey mein woh tez nahi bhag sakta bul kay ahista chalta hai. Zyada wazan nahi utha sakta. Isi tarhan iss ki jinsi sargarmiyun mein bhi kami waqai ho jati hai. 80 year kay baad buniyadi jinsi hormone testosterone (jis ka ta'alluq tanau (erection) aur jinsi khwahish kay sath hota hai) ki paedawar mein 20 saal ki umar ki nisbat 66% tak kami waqai ho jati hai. Jis ki wajah sey fard ki jinsi khwahish mein kuch kami ho jati hai. Iss kay elawa tanau (erection) bhi jawani ki tarhan sakht nahi hoti magar dakhool kay qabil hoti hai. Fard ko tanau (erection) hasil karney mein bhi zyada waqt lagta hai. Jawani mein mard foran tanau (erection) hasil kar leta hai.

 

 
Sex And Old Age - Burhapa Aur Jinsi Zindagi
 
<< Next       Prev >>
195196197198199200201202203204205
 
Tell a Friend
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012