awais_1982 dear zindagi esi ka naam hai...inshaan jab paida hota hai os ke pass kisi cheez ka koi experince nehin hota.ose nehin pata hota kya sehi hai kya ghalat hai,ose yeh bhi nehin pata hota ke woh khud bhi kya hai..aishta aishta jab woh bhara hone lagta hai to ose khud k sath sath dosre aas paas logo ka bhi pata lagne lagta hai.
phir aak waqt yeh ata hai ke jab woh dosro ki asliyat ke bare mein bhi jaane lag jata hai phir woh aak complete insaan banta hai..jo aaj aap ban gaye ho.
acha hua aaj aap par bura din aya..ager achey din hote to aap dosro ko kese pehchante?humhesha dosro ko tab he pehchana jata hai jab aap dosre se chote ho ge.ager os ke level ya os se bhare ho ge to aap os ko nehin pehchan sakte.
ager aap ke achey din he hote aaj bhi to aap aaj bhi dosro par meharbaan hote.aap ko waqt ne dekhaya hai ke aap ke aas paas ke loog aap se nehin aap ke dolat se pyar karte hain.aaj aap se dolat chali gayi to sab aap se door ho gaye yeh waqt bhoolne wala nehin na ke kisi se badla lene wala hai
yeh waqt to aap ko life guzaarne ka method bata raha hai..to aap udaas kyun ho rahe ho?sirf es liye ke aap ko sab ne choor diya?aap ke sath pehle bhi kon tha?koi bhi nehin...........dear khud ko storng karo dosro ke sahare jeena choor do.zindagi akeele jeena seekho..koi kisi ke kaam nehin ata...even sakha bhai bhi kaam nehin ata..
sakha bhai bhi aak din pechaane se inkaar kar deta hai phir sab se zaida dukh hota hai..lekin ose bhi face karna parta hai yeh bhi life ka aak hisa hai..yeh mera parsonally experince hai.
insaan ko seeda aur shareef rehna chahein..lekin karobaar mein aak asool banao koi dost nehin koi bhai nehin karobaar sirf karobaar.rishtedaari baad mein.apne kuch asool banao jesa ke sunheri ne kaha.kuch karne se pehle 100 baar socho aur yeh bhi socho ke os ka end mein anjaam kya ho ga.har cheez ko mandey nazar rakh kar qadam utaya karo.
aap ko problem yeh hai ke aap yeh sab recover kese karo ge..aap befiker ho kar shaadi karo aap ki qismat khul jaye gi..kyun ke phir aap ko jo mele ga woh aap ki wife ki qismat ka mele ga..aap khud bhi pareshan ho jaye ge ke itna to Allah ne pehle bhi nehin diya jitna ab diya hai.
aap ne sab ki help ki aur saaf dil se ki..os ka ajar abhi aap ko melna hai..hum mein se bather insaan wohi hai jo dosro ko faida pohanchaye...to aap ne ager kisi ki help ki kisi ko roozi lagwa di to koi aap ki rozi kese cheen sakta hai..aap ko jo melna hai woh aap ko mel kar he rehna hai jo aap ki qismat mein likha hai woh aap ka he hai..
pareshan ho kar socha nehin karte balke pareshani ke aalam mein Allah ko yaad karte hain.aur Allah se he help maangte hain..hum insaan aap ko kuch nehin de sakte..na he koi doctor aap ko kuch de sakta hai..ager aap ko help chahein to Allah se maango..inshallah woh aap ki suney ga aur aap ki help kare ga...
es liye aap dil chota na karo aur waqt ki munaasbat ko dekh kar os se experince hasil karo..aur aak new life start karo..kisi bhai kisi dost par depend karna choor do..jo karna hai ab aap ko khud karna hai..aap be fiker ho kar shaadi karo inshallah sab theek ho jaye ga.
aur han shaadi mein mujhe zaroor bulana ;-) |