Labor Stages and Childbirth - l Labor Stages and Childbirth - l
Labor Stages: Labor Onset and Later Stages
Labor ki different stages ko 3 separate stages me break kiya gaya gai, aur her aik stage ka apna experience hai.
First time pregnancies me pregnancy ki average duration around 37 weeks hotti hai aur labor 17 hours rahta hai,although ye 20 hours ke closer ho sakta hai.ye un women ke liay different hai jin ke previous children hoon un ke liay average labor around 8 hours hotta hai.
First Stage: Early Labor
Aik bar aap me regular contractions begin ho jayain tu aap ki cervix dilate aur efface(thin) honna start ker daiti hai, phi aap kah sakti hen ke labor start ho gaya hai aur ab aap labor ki early stages ko experience ker rahi hen.zayada cases me Braxton hicks aur real labor contractions me difference kerna bara difficult hotta hai jab tak aap ki cpntractions regular na hoon aur aap ki cervix dilate na ho.
Contractions fairly weekly start hoon gi aur gradually stronger aur stronger aur aik doseray ke closer hoon gi jaisay hi labor progress keray ga.aap ko contractions ke baray me koi guidelines daina difficult hai kuin ke her pregnancy doseri se different hotti hai.however most women 10-15 minutes apart contractions experience kerti hen aur aik contraction 20-30 second tak rahti hai.jaisay hi aap end ke close per hoon gi tu ye contractions 2 minutes apart end up hoon gi.
Early contractions zayda dair tak nahi rahtien aur in me gap bhi zayada hotta hai but s ka ye meaning nahi ho ga that in me pain kam ho ga.painful early contractions common hen.although ye painful hoon gi aur in ko itni early attention ki zurooorat bhi nahi ho gi but aap es qabil hoon gi ke walk ker sakain,bath lay sakain ya koi bhi aur qaam normally ker sakain.koshish kerain zayad se zayada rest kerain because aap ko next few hours me zayda energy aur strength ki zuroorat ho gi.
Aap ye bhi notice kerain gi ke aap ka vaginal discharge increase ho gaya hai ya even blood tinge jo ke pelhay refer ho chukka hai jis ko bloody show kahtay hen.ye normal ho ga but aap jaisay hi bloody tinge discharge se zayada kuch notice kerain tu surely apni midwife ya healthcare provider ko call kerain.
Ye kahna difficult hai ke kitnay time early labor rahta hai-ye 2 hours bhi ho sakta hai ya es se zayada bhi,ye her labor ke liay different hai.ye es per depend kerta hai ke aap ki cervix labor ke onset per kitni ripe ho chuki thi aur aap ki early contractions ki strength aur frequency kaya thi.jab aap ki cervix 3-4cm dilate ho jaati hai tu early labor end ho jaata hai.
Active Labor
ye wo hai jab sub relly start ho jaata hai.jab aap ki cervix 4cm dilate kerti hai tu aap actively me hotti hen.aap ki contraction frequently,stronger aur stronger ho jayain gi aur aap ki cervix faster dilate keray gi.
Es stage me aap zayada alk bhi nahi ker sakain gi aur aap es qabil bhi nahi hoon gi ke in contractions me baat bhi ker sakain.no doubt ye un contractions se zayada painful hoon gi jo aap ne early stage me experience ki hen, aur ye zayada long bhi hoon gi.ye her 5 minutes me 560 seconds rah sakti hen.ager ye aik hour se zayada ho raha ho aur aap ne pelhay doctor ya midwife se contact na kiya ho tu ab zuroor ker lain.
Active labor ke end per aap ka baby decend kerna start ker day ga ager uss ne already aisa nahi kiya tu.
Labor ki early stage ke baray me ye kahna mushkil ho ga ke es ka exact time frame kaya ho ga laikin ager ye aap ki first pregnancy hai aur average normal labor hai tu active stage 6 hours tak rahay gi.ye sahi hai ke aap ko koi aisi medication nahi di jaye gi jo aap ke labor ko speed up keray.
What are the best ways to stay relaxed?
Jab aap hospital ya birthing center arrive kerain tu aap ko relaxed rahnay ke liay thora move kerna ho ga.aap ke pass kitnay hours hoon gay jin me aap ko bed per latenay ke ilawa kuch aur nahi kerna ho ga.tu aap ko ye advantage laina chahiay ke jitney time aap move ker sakti hen walk kerain.
Doseri good techniques me rocking chair per rocking hai ya phir bed per sitting ya chair per.ager aap ker sakti hen tu ye better ho ga ke aik warm shower ya even warm bath lay lain.
Breathing exercises, relaxation techniques, message aur kaheen gentle encouragements lifesavers hoon gi.
Transition Stage
Ye wo hai jab aap ki cervix 8-10cm dilate ho jaye gi.ye aap ke pooray labor experience ka sub se intense part ho ga jis me contractions strongest aur frequent hoon gi,2 minutes apart.es stage ke end per aap ka baby birth canal me descend ker lay ga aur delievery ke liay ready ho ga.
Ye wo time ho ga jis me ye lagay ga ke sub kuch aik dum ho raha hai.aap nauseated feel kerain gi aur aisay jaisay aap ko vomiting ki zuroorat ho aur aap ko aisa bhi feel ho ga jaisay aap ko bowel ko empty kernay ki zurorat ho-jis ke saath bahot sara bloody discharge ho ga.ye transition stage few minutes se few hours lay sakti hai, although ye fairly quick hotti hai.
Related Links:
|