Laws and Rules pertaining to Zakaat
Zakaat islam ke five pillars me se aik hai.zakaat ke 2 meanings han:purification aur growth.technically, es ka meaning wealth ki prescribed amount ko poor,slaves,prisoner,traveler aur needy me distribute ker ke purify kern hai. RECIPIENTS OF ZAKAAT: 1. FUQARA: wo log jo poor han but un ke pass basic needs se kuch ooper maal hai laikin un ke pass nisaab ke equal wealth na ho. 2. MASAKEEN: wo log jin ke pass apni basic neends bhi pora kernay ke liay paisa na hi aur wo doseroon se manghnay ke liay forced hoon. 3. AL-AMILEEN: wo logon jo ke government ki teruf se zakaat collect kernay ke liay appointed han. 4. MU-ALLAFATUL-QULUB: wo log jinhoon ne recently islam accept kiya ho aur un ko un ki basic needs es liay di jayain takay un ka faith strong ho aur un ko muslim rahnay ke liay encouragement milay. 5. AR-RIQAAB: slaves jin ka aapnay malik se agreement hai ke un ko tab hi freedom milay gi jab wo fixed amount pay kerain gay. 6. AL-GHAARIMEEN: jo log qarzdar hoon aur apna qarza na adda ker saktay hoon. 7. FI-SABILILLAH: wo log jin ki kuch obligations hon aur wealth na hoonay ki wajja se obligations na porri ker saktay hoon. 8. IBN-US-SABEEL: wo log jo Allah ki rah me jayhaad kertay aur tableegh kertay han aur saath hi wo log bhi jo safer ki halat me hoon laikin un ke pass safer me kuch maal saath na ho laikin un ke ghar me ho. PERSONS WHO CANNOT BE GIVEN ZAKAAT: 1. zakaat Rasulullah (sallallahu alaihi wassallam) ke descendeants(sayeed) ko nahi day saktay. 2. zakaat husband,wife,daughter,son,parents,grandparents aur grandchildren ko nahi day saktay. 3. zakaat un institutes me mat dain jo rightful recipients ko nahi daitay jo ke zakaat funds ko construction,investment aur salaries me use kertay han. ZAKAAT IS OBLIGATORY UPON A PERSON IF: 1. wo adult,sane,free aur muslim ho. 2. uss ke pass nisaab ke equal wealth ho uss ki personal needs clothing, household furniture,food utensils, cars etc ko exclude ker ke. 3. Zakaat kisi maal per uss waqt waajib hotti hai jab ussay jamma kiay huay porra aik saal guzer jaye aur es khaas miqdaar ko nisaab kahtay han. 4. zakaat productive nature ki ho jis se koi benefit aur profit hasil ker sakay jaisay ke gold,money,silver,livestock,business ka maal. DISTRIBUTION OF ZAKAAT: 1. zakaat dainay waloon ko chahiay ke zakaat lainay walay ke moostahik zakaat hoonay ka mumkin hud tak itmaynaan ker lain. 2. moostahik zakaat ko battana bhi zuroori nahi ke ye paisa ya maal zakaat ka hai. 3. aam halaat me aik busti ki zakaat khud uss hi busti me taqseem hooni chahiay.jab ke ager es busti me moostahik log na hoon ya kisi doseri busti me hungami suraat ho jaisay ke earth quake, saylaab etc ke moqay per zakaat doseri busti me bhi di ja sakti hai. 4. zakaat dainay wala bhi muslim ho aur zakaat lainay wala bhi. 5. zakaat aik person ko bhi day sakti hai aur zyada ko bhi. 6. nisaab ke jamma hootay hi jitni jaldi ho sakay zakaat adda ker dain. 7. un logon ke ilawa jo ke government ki teruf se zakaat collect kernay me lagay hon,baki poor men ko zakaat se uss ke work ke wages na ddain aur na hi zakaat services ki payment ke liay dain. 8. zakaat Masjid, Madrasah, Hospital, bridge ya phir public amenity ki constructions ke liay nahi use ho sakti. 9. zakaat tab hi valid ho gi jab recipient uss zakaat ki amount ka owner ho jaye like ager kuch needy logon ko zakaat money se food khila dain,tu zakaat nahi ho gi kuin ke wo uss food ke owner nahi hoon gay. TYPES OF WEALTH ON WHICH ZAKAAT IS IMPOSED: 1. Gold aur silver 2. Cash, bank notes, stocks, bonds etc. 3. business ka maal, Nisaab ki value ke equal 4. Livestock 5. business se hasil honay wali income TYPES OF WEALTH ON WHICH ZAKAAT IS NOT IMPOSED: 1. gold aur silver ke ilawa koi bhi metal 2. Fixtures and fittings of a shop, car, trucks or any delivery vehicle etc., which is used in running business. 3. shop, car, trucks ya kisi delivery vehicle etc ke Fixtures aur fittings,jo ke running business me use hotay hon. 4. Diamonds, pearls, ya doseray precious aur semi precious stones jo personal use me hoon. 5. personal residence, household furniture, pots aur pan, personal clothing per koi zakaat nahi hai chahay ye use me hoon ya na hoon. Nisaab: Nisaab jo Rasulullah (sallallahu alaihi wassallam) ne fix kiya wo ye hai: Gold: Grams = 87.48 Tolas = 7.5 Grains = 1350 Troy Oz. = 2.8125 SILVER: Grams = 87.48 Tolas = 52.5 Grains = 9450 Troy Oz. = 19.6875 paisa ya business ka maal,livestock,gold ya silver me se kisi aik ki qimaat ke beraber. VIRTUES OF ZAKAAT: Hadith me hai ke zakaat dainay se following benefits hasil hotay han: 1. Allah ko khush kerna 2. wealth ka increase hona aur losses se protection 3. Allah ki forgiveness aur blessing 4. Allah ke ghazub se aur bad death se protection 5. Judgement ke din shelter 6. seventy misfortunes se security
|