Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

Pakistani Matrimonial Website
Advertise Here
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial | Videos
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Quran & Hadith dos n dont Download
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Qasam ka kuffara

Religion and Culture
 
Pakistani Singer In UK  How to find job in Dubai 
 
 
Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 16  Post: 212  Age:  20  
Posted on:4th Aug 2013, 1:54pm
 

Qasam ka kuffara

Qasam ka kaffara kia hota hy?? Meaning agr koi qasam khay or tor de to kia krna hoga gunah se bachny k ley?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 119  Post: 7151  Age:  54  
Posted on:4th Aug 2013, 11:08pm
 

Qasam ka kaffara

qasam toRnay ka kaffarah

1) ten miskinouN ko khana khelana yaa
2) aik ghulaam azaad karna yaa
3) three days k rozay rakhna

(Al-Maidah-89)
Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 16  Post: 212  Age:  20  
Posted on:6th Aug 2013, 11:12pm
 

jazakALLAH

myrizvi sahib:)
Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 16  Post: 212  Age:  20  
Posted on:8th Aug 2013, 7:01am
 

Myrizvi sahib

Agar koi qasam tor kar kufara ada na kre to phir kia hota hy?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 119  Post: 7151  Age:  54  
Posted on:9th Aug 2013, 4:52am
 

kuch nahi hota :)

wow! what a question you asked ...

agar koi namazain nah paRhay to kia hota hai ?

agar koi rozah nah rakhay to kia hota hai?

agar koi zakaat nah ada akaray to kia hota hai???

kuch nahi hotaa ... dunyaa maiN laakhouN log aisaa kartay haiN aur onkay saath kuch nahi hota.

bus woh Allah ki hukm adooli ka mortakib hota hai ... just oskay gonaahouN maiN izafah hota hai ... just Allah aisay logouN say naraaz hojata hai... aur kuch nahi hota ... don't worry lol


Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 16  Post: 212  Age:  20  
Posted on:9th Aug 2013, 6:48am
 

Hehe...

Aapne meri bisti krdi;p
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 119  Post: 7151  Age:  54  
Posted on:9th Aug 2013, 7:16am
 

hahaha

bisti nahi ... balkay "bisti kharaab"  lol

bisti => -ve
kharab => -ve
and -ve x -ve => +ve

baqaul poet

دو منفیوں کا حاصل ہے مثبت جواب میں
ظالم خدا کے واسطے کہہ دے نہیں نہیں



Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4446  Age:   
Posted on:11th Aug 2013, 9:00am
 

qasam ka kaffarah

Aslam O alaikum.

Rizvi bhai : maiN darse quran pe fatwa read kar rahi thi to uss main qasam toRnay ka kaffarah

1-10 miskeenoN ko subh o shaam paiT bhar kar khana khilana. ya

2- 10 miskeenoN ko kapRay lekar dena ( aaj kal k zamanay maiN ghulam nahi hotay shayad isliye) ya

3- musalsal 3 din k rozay rakhna haiN.

ref. surah Maida 89

kiya aap issay verify karaiNgay plz ? aur aik sawal k baaz log har baat pe qasam uThatay haiN. shayad un ka maqsad bhi na hota ho lekin aadatan. sharai lehaz se is ka kiya hukum hae aur doosri baat k kiya Allah pak k ilawah kisi aur ki qasam uThai ja sakti hae. agar uThai jaye to kiya woh bhi qabil e qubool hae ( shar.an) ?

Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 16  Post: 212  Age:  20  
Posted on:11th Aug 2013, 4:23pm
 

Haha myrizvi

Yani ye 'bisti khrab' mere ley +ve change lay gi... Hehe..
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 119  Post: 7151  Age:  54  
Posted on:11th Aug 2013, 11:06pm
 

insha Allah zaroor

wishing you good luck Bint hawa
bus aap fazool bataiN nah kia karaiN ... bay.fazool bay shak kar lia karaiN :)



myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 119  Post: 7151  Age:  54  
Posted on:11th Aug 2013, 11:11pm
 

Maryam Sister

Walekum Assalam Wa Rahmatullah Wa barkaatahu!

سُوۡرَةُ المَائدة
لَا يُؤَاخِذُكُمُ ٱللَّهُ بِٱللَّغۡوِ فِىٓ أَيۡمَـٰنِكُمۡ وَلَـٰكِن يُؤَاخِذُڪُم بِمَا عَقَّدتُّمُ ٱلۡأَيۡمَـٰنَ‌ۖ فَكَفَّـٰرَتُهُ ۥۤ إِطۡعَامُ عَشَرَةِ مَسَـٰكِينَ مِنۡ أَوۡسَطِ مَا تُطۡعِمُونَ أَهۡلِيكُمۡ أَوۡ كِسۡوَتُهُمۡ أَوۡ تَحۡرِيرُ رَقَبَةٍ۬‌ۖ فَمَن لَّمۡ يَجِدۡ فَصِيَامُ ثَلَـٰثَةِ أَيَّامٍ۬‌ۚ ذَٲلِكَ كَفَّـٰرَةُ أَيۡمَـٰنِكُمۡ إِذَا حَلَفۡتُمۡ‌ۚ وَٱحۡفَظُوٓاْ أَيۡمَـٰنَكُمۡ‌ۚ كَذَٲلِكَ يُبَيِّنُ ٱللَّهُ لَكُمۡ ءَايَـٰتِهِۦ لَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ (٨٩)

سورة المَائدة
الله تعالیٰ تم سے مواخذہ نہیں فرماتے تمھاری قسموں میں لغو قسم پر لیکن مواخذہ اس پر فرماتے ہیں کہ تم قسموں کو مستحکم کردو۔سو اس کا کفارہ دس محتاجوں کو کھانا دینا اوسط درجہ کا جو اپنے گھر والوں کو کھانے کو دیا کرتے ہو یا ان کو کپڑا دینا یا ایک غلام یا لونڈی آزاد کرنا اور جس کو مقدور نہ ہوتو تین دن کے روزے ہیں یہ کفارہ ہے تمھاری قسموں کاجب کہ تم قسم کھالواور اپنی قسموں کا خیال رکھا کرو اسی طرح الله تعالیٰ تمھارے واسطے اپنے احکام بیان فرماتے ہیں تاکہ تم شکر کرو۔ (۸۹)



myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 119  Post: 7151  Age:  54  
Posted on:11th Aug 2013, 11:40pm
 

Quran aur fatwa

1. Quran maiN to mahaz 10 miskinouN ko apnay ghar jaisa khana khilaanay ka zikr hai. iss maiN aik waqt, 2 waqt yaa teen waqt k khanay ka zikr nahi hai. nah hi mujhay ahaadees maiN kai waqt ka khana dena ka zikr mila hai...lehaza meri naaqis roy maiN kam az kam aik waqt bhi paiT bhar kar 10 miskinouN ko apnay ghar jaisa khana khila dia jaa.ay ya iskay mosawi raqam dedi jaa.ay to kaffarah adaa hojayega (wallaho aalam bissawab) ... baqi agar koi 2 waqt ya teen waqt khilaa day to yeh afzal aur afzal tareen to hosakta hai, laazmi nahi

2. ghulaam aur launDi ko azaad karnay ka yaqeenan aaj moqah nahi hai... lekin meri naaqis aqal maiN yeh baat nahi aati k aik ghulaam azaad karnay ko 10 miskeenouN ko kapRay leker denay k mosawee kiss bunyaad par qarar dia jaraha hai... agar iski nazeer dauray resaalat saw /dauray sahabah RA say milti hai to Theek, warnah yeh baat aqal ko hazam nahi karti.... balkay ghulaam ki azaadi ko aaj k ahad maiN iss tarah "compensate" kia jasakta hai k agar koi shakhs soodi / ghair soodi qarz maiN iss tarah jakRa howa ho k oski zindagi ajeeran ban jaa.ay aur woh az khood yeh qarz otaarnay ki salahiyyat nah rakhta ho to aisay majboor o maqhoor soodi o ghair soodi maqrooz ki gardan iss qarz say choraa di jaa.ay... waisay bhi maqrooz ko qarz say nijaat dilana baray ajar o sawaab ka kaam hai.

3. baat baat pay yaani laghw qasam oThanaa... yaani jinki aadat hoti hai k har batt ka aghaaz "qasam say" kah kar kartay haiN... Allah nay issi ayata k aaghaaz maiN aisi qasmouN ko "laghw" qarar dia hai...in so called qasmouN par koi mawakhzah nahi aur jab mawakhezah nahi to iskay "TooTnay" ka koi kaffarah bhi nahi... aisi qasmaiN bila iradah as takya kalaam mouNh sya nikal jaati hai.... qasam wohi shomaar hogi jo soch samajh kar (adatan wali say haT kar) kissi makhsoos baat par khayee jaa.ay ... wallaho aalam bissawab

4. ghair Allah ki qasam khanaa shirk hai... agar kissi ko qasam khani ho to woh Allah ki qasam khaa.ay warnah khamosh rahay (kitabul shahadat, Bukhari)apnay baap dada ki qasam nah khaa'o, kiyounkay Allah k sewaa aur kisi qism ki qasam khana mana hai (kitabul ansaar, Bukhari) ... sahih ahaadees maiN wazah taur par ghair Allah ki qasam khanay ko mana kia gaya hai...lekin baaz log yeh kahtay hain k khud Allah nay wal-asar, wal-teen, wal-zaitoon, wal tooray seeneen etc ki qasam khayee hai lehaza ghair Allah ki qasam khayee jasakti hai... yeh daleel bilkul ghalat hai...awwal isliyeh k sahih ahaadees maiN aisa karnay ko mana kia gaya hai...doosray Allah ki baat alag hai. woh aham tareen cheezoun ki qasam khaa kar in cheezoun ki ahmiat wazah karta hai... aisaa karkay woh apni khalq /makhlooq ko apnay baraabar nahi laataa ... lekin ham Allah ki qasam khaanay ki baja.ay Allah ki makhlooq ki qasam khaakar aisaa kartay hain aur SHIRK k mortakib Thahartay haiN...

wallaho aalam bissawab

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4446  Age:   
Posted on:12th Aug 2013, 9:54am
 

Rizvi bhai

jazak Allah for ur comprehensive answer :)

bars maiN maine apna qayaas likha tha issi liye shayad ka word use kiya. iss point ko explain karnay ka bohat shukriyah .

Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 16  Post: 212  Age:  20  
Posted on:12th Aug 2013, 1:48pm
 

Myrizvi good information

Mene apse simple language main pcuha jiski waja se apko fazul lgi:p mera real intention ye tha puchny ka k kia koi specific punishment hy Allah ki taraf se qasam ka kufara ada na krny par Quran ya hadees k mutabiq. Ab to apko fazul nhi na lag rhi baat?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 119  Post: 7151  Age:  54  
Posted on:12th Aug 2013, 10:47pm
 

Kaffarah

kaffarah bazatay khud aik tarah say "saza /jurmanah" hai, qasam ko poora nah karnay ka ... yeh alag baat hai k yeh saza /jurmana banday nay azkhud apnay ooper apply karna hai. aur agar koi yeh saza/jurmanah adaa nahi karta to iss dunyaa maiN iski mazeed koi saza quran /hadees maiN nahi milti ya kam az kam mujhay nahi maloom. yaqeenan iski saza phir aakherat maiN hi milegi.

wallaho aalam bissawab

Maryam:
you are welcome:)
Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 16  Post: 212  Age:  20  
Posted on:13th Aug 2013, 5:54am
 

Myrizvi

JazakAllah
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 51  Post: 3282  Age:  36  
Posted on:13th Aug 2013, 2:03pm
 

Qasam Ka Kuffara ...Aik Wazahat

ooper ki post main myrizvi bro ny kafi detail sy qasam k kaffara ka zikar kiya hay , taham iss main aik wazahat ki zarorat hay ..jo k darj zail hay

Sorah Al-Mayda ki aya majeeda number 89 (quoted by myrizvi) main jis bary kaffara ka zikar kiya geya hay wo yeh qasmain nahi jo k aksar log roz marra ki zindagi main khaty / uthaty hain , chahy yeh qsmain Allah k naam ki hi q na hon , bila waja qasam khana / uthana achi bat nahi , inn sy ijtenaab karna chahiye chahy mazaq main hon yaa sanjeedgi main , taham Sorah Al-Mayda ki aya majeeda number 89 main Allah ki tarf sy jis kaffara ka zikar howa hay wo yeh wali qsmain nahi hain bal k wo "Halaf Nama , Iqraar Nama type ki pabandi ya paas daari ko torrny ki saza k tour par kaffara ada karny ka hukam aya hay

q k iss aya majeeda main jis word ka tarjma qasam kiya geya hay wo أَيۡمَـٰنِكُمۡ hay jis ka matlab ammomi qasam nahi

jahan tak roz marra main khaai / uthai jany wali qasmon ki baat hay (chahy wo allah k name sy hi hon) to unn k liye quran main lafz "qasam" hi istemaal howa hay
reference :- aya majeeda # 53 sorah al-mayhda .... وَيَقُولُ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَهَـٰٓؤُلَآءِ ٱلَّذِينَ أَقۡسَمُواْ بِٱللَّهِ جَهۡدَ أَيۡمَـٰنِہِمۡ‌ۙ إِنَّہُمۡ لَمَعَكُمۡ‌ۚ حَبِطَتۡ أَعۡمَـٰلُهُمۡ فَأَصۡبَحُواْ خَـٰسِرِينَ

اور مسلمان کہتے ہیں کیا یہ وہی لوگ ہیں جو الله کے نام کی پکی قسمیں کھاتے تھے کہ ہم تمہارے ساتھ ہیں ان کے اعمال برباد ہو گئے پھر وہ نقصان اٹھانے والے ہو گئے

puss iss bat sy sabit hota hay k sorah al-mayhda ki aya # 89 main aany wala word أَيۡمَـٰنِكُمۡ iss ammomi qasam k bary main nahi hay ammomi qasam k liye qurani word أَقۡسَمُواْ istemaal howa hay , iss k ilawa isi aya majeeda # 89 k awaakhar main alfaaz hain k وَٱحۡفَظُوٓاْ أَيۡمَـٰنَكُمۡ‌ۚ jiska tarjma hay k اپنی قسموں کی حفاظت کرو lehaza iss bat sy zahir hota hay k allah ta'ala ny insan ka jis cheez par moahiza karna hay , ya phir insan ko kaffara ada karny ka hukam hay wo "Iqraar nama ya Halaf nama" hay , q k hafazat iqraar (tahreeri ya zubani) aur halaf (tahreeri ya zubani) ki hi hafazat ki ja sakti hay ammomi qasam ki hafazat ki shakal kia ho gi ??

wallah ho ilm bissawab



1
 
 
 
Pakistani Student In Michigan University Usa  How to get Canadian Work Permit  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013