Release of milk in unmarried females:
Aik hormone hota hai jisko prolactin kehta hain. Uska main function milk ki production karna hota hai. Generally iss hormone ka level breast feeding women mein high hota hai, magar kabhee kabhee unmarried females mein bhee iss hormone ka level high ho jaata hai jiski wajah say breast sa milk release hona lagta hai. Apni friend sa kahain keh kisi lab sa jaa kar early morning apna Serum Prolactin Test karwaian. Kuch medicines bhee aisee hoti hain jinka side effect yeh hota hai keh milk release hona lagta hai. Kia aap ki friend koi medicines lai rahee hain?
|