pc321 |
Group: Members Joined: 08th Dec, 2010 Topic: 2 Post: 5 Age:
32
|
|
Posted on:8th Nov 2012, 2:49am |
|
|
PREIOD MAIN DROOD SHAREEF OR KALMA PARHNA?
Assalam O Alaikum
Dear all
kindly clear me, islami or her tarha se points se, ke kia Muslims girls or Ladies jub period main hoti hai to wo napak hojati hai her tarha se, to wo roza namaz or kafi kuch chor deti hai,or chorna bhi parta hai, mene suna hai ke period k days main wo just Kalma or Dorood parh sakti hai, meri Wife ye kahti hai jub ke mai ittefaaq nai karta, main kahta ho k nai just roza namaz pe break hai bad main jese hi wo period se baher ajay wo roza namaz qaza kar len,
mera Sawal>> KIA MUSLIMS GIRLS AND LADIES KE PREIOD K DAYS MAIN WO JUST DROOD SHAREEF OR KALMY K ELAWA KUCH NAI PARH SAKTI? kuch bary age or jo deen se maloomat rakhrty hai wo khas kar batae plzzzzzzzzzzz
Regard
Nasir
Karachi
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6293 Age:
53
|
|
Posted on:10th Nov 2012, 1:53am |
|
|
paaki naa paaki 1. menses days maiN khatoon namaaz nahi paRh sakti aur nah hi rozah rakh sakti hai... iss dauran chooT janay walay rozay ki to qaza hogi yaani ramadan k baad chootay howay rozay rakhnay hongay. lekin namaaz ki koi qaza nahi hai. namazaiN maaf haiN
2. quran paRhnay k baray maiN kuch hedayaat haiN. maslan aik aam khatoon to issay nah paRhay lekin agar khatoon hifz ki taalibah hai to baa wazoo hokar apna sabaq yaad kar sakti hai... issi tarah agar lady teacher hai jo quran paRhati hai to woh bhi quran paRha sakti hai... ehteyaat iss maiN yeh hai k quran k auraq ko direct haathouN say nah choo .ay balkay kissi kapray waghairah say pakRay... iss baray maiN olemaa ki roy maiN ikhtelaaf bhi hai
3. iss dauran khatoon qurani aur ghair qurani dua bhi paRh sakti hai, darood shareef bhi paRh sakti hai.... dauray resalaat saw maiN menses wali khawateen eid ki namaaz maiN shareek hokar khotabah bhi sonti theeN, dua maiN bhi shirkat karti theeN albattah namaaz nahi paRhti theeN
4. menses days maiN khawateen apnay husband k saath sirf intercourse nahi kar sakteeN albattah saath milna julna aur sona waghair sab allowed hai, fore play bhi allowed hai.. ghar k saray kaam bhi karsakti haiN.
wallaho aalam bissawab
|
pc321 |
Group: Members Joined: 08th Dec, 2010 Topic: 2 Post: 5 Age:
32
|
|
Posted on:12th Nov 2012, 2:55am |
|
|
PREIOD MAIN DROOD SHAREEF OR KALMA PARHNA? BHT BHT SUKHRIYA BARY BHAI.. AP NE KAFI MALUMAT DI HAI..,
KHER MERI BV SE YE BAHES HOTI HAI , K WO KAHTI HAI K DOROD OR KALMA PARH SAKTI HAI OR KUCH NAI,.,. KOI QURANI AYAT BHI NAI, OR MAI KAHTA HO K NAI WO ZABANI PARH SAKTI HAI HAN HATH NAI LAGA SAKTI NA NAMAZ, NA ROZA!
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6293 Age:
53
|
|
Posted on:12th Nov 2012, 3:28am |
|
|
aap israr nah karaiN yeh chand din ka maslah hai, woh kuch paRhna nahi chaahteeN to nah paRhaiN... in dinouN maiN kuch paRhna LAAZMI to nahi hai naa... lehaza ap onhaiN onki marzi par choR daiN
jawab pasand karne ka shokarya
|
|