Forum.Noorclinic.com
NoorClinic: Pakistani Sex Clinic

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Health| Sex | General Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Articles
New Topics (Health & Sex)
Recent Reply (Health & Sex)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Health (constipation, piles)

Medical Discussion
Increase Testosterone
3 Powerful Herbs to Increase Testosterone Supercharge Your Libido Naturally!
Testis Removal Surgery
Cheap Cost Testis Removal Surgery in India
Testicular Cancer
Testicular Cancer - Causes, Symptoms, Treatment and Prognosis
Penis Cosmetic Surgery
Penis Enlargement Cosmetic Surgery
sana.azhar Group: Members  Joined: 09th Sep, 2012  Topic: 1  Post: 61  Age:  31  
Posted on:24th Sep 2012, 8:58am
 

Thanks to Drs

Assalam o Alaikum

main 4th day se regular 2 dawa le rahi hon jahsa apne bataya tha. aur thori bohat jitni walk ho sakey woh bhi karahi hon, dhahi ka istamal bhi kiya hay.

aij sar ka dard bhi kam hay, magar 3 din se mari ran main sard hay back side ki taraf, main samjhi ke menses ki waja se hay shayad jahsey qamar ka dard, per aij qamar ka dard bhi nahi hay, aur menses bhi last month ki tarhan 3rd day kam ho gaye aur aij tu bohat hi zara se qatrey hi aayeh, ran main dard ki waja se main baith bhi nahi paa rahi aur wash room janey main bhi problem ho rahi hay, pani peney se aur bhi zahda peshab aa raha hay, kal tu main ne bohat hi kam pani piya tha, plzz batein ke yeh dard kiyn ho gaya hay, aur main kiya karon?

munadi786 Group: Members  Joined: 21st Jul, 2012  Topic: 0  Post: 79  Age:  23  
Posted on:24th Sep 2012, 10:09am
 

DON,T WORRY

plz ek tu koi b baat ho jae tu ap pareshan ho jati hain.mein ne ap ko kaha b tha k menses ho sakta hai rukk jaien.but yeh achi cheez ho ghi aur iss k illawa ap ko jo cheezein chorne ko kaha tha uss k illawa apne diet mein sub kuch lein aur dawai leti rahein chup kr k aur dua kiya karein bus.aur bus khush raha karein.ahista ahista sub thek ho jae gha.
munadi786 Group: Members  Joined: 21st Jul, 2012  Topic: 0  Post: 79  Age:  23  
Posted on:28th Sep 2012, 11:16pm
 

salam

ap remedies le rahi hain?aur abb tabiyat kaisi hai apki?
sana.azhar Group: Members  Joined: 09th Sep, 2012  Topic: 1  Post: 61  Age:  31  
Posted on:29th Sep 2012, 11:58pm
 

Walaikum as salam

jee main dawa le rahi hon, aur tabiyat main zara sa farak hay, main walk aur zara si exercise bhi karti hon roz, sar ka dard kabhi chala jata hay kabhi aajta hay, kal thora dard tha magar dinner ke bad bohat ho gaya, pehley agar 20mints bad hath paon sun hotey they tu ab 30mints bad hotey hain.

aik baat aur batein ke kiya zara si tea bhi nahi pee sakti main? pehley main din mein 2 se 3cups peeti thi, jab se apne kaha hay tab se main ne tea nahi pee, aur yeh main is liyeh poch rahi hon ke aij thori khansi ho rahi thi.

aur apka bohat bohat shukriya

sana.azhar Group: Members  Joined: 09th Sep, 2012  Topic: 1  Post: 61  Age:  31  
Posted on:29th Sep 2012, 12:20pm
 

Walaikum as salam

jee main dawa le rahi hon, aur tabiyat main zara sa farak hay, main walk aur zara si exercise bhi karti hon roz, sar ka dard kabhi chala jata hay kabhi aajta hay, kal thora dard tha magar dinner ke bad bohat ho gaya, pehley agar 20mints bad hath paon sun hotey they tu ab 30mints bad hotey hain.

aik baat aur batein ke kiya zara si tea bhi nahi pee sakti main? pehley main din mein 2 se 3cups peeti thi, jab se apne kaha hay tab se main ne tea nahi pee, aur yeh main is liyeh poch rahi hon ke aij thori khansi ho rahi thi.

aur apka bohat bohat shukriya

munadi786 Group: Members  Joined: 21st Jul, 2012  Topic: 0  Post: 79  Age:  23  
Posted on:9th Oct 2012, 1:08pm
 

salam

ap ki tabiyat abb kaisi hai ?ap ne dawai use krne k baad btaya he nain k abb kitna fark parra yeh woh..kindly agar ap bta dein abb apni halat thori detail se tu behtar ho gha aur ap k abbu abb kaise hain?

sana.azhar Group: Members  Joined: 09th Sep, 2012  Topic: 1  Post: 61  Age:  31  
Posted on:9th Oct 2012, 3:18pm
 

Walaikum as Salam

main ne tu reply kiya tha29th sep ko, aur apke reply ka bohat wait bhi kiya, bar bar open kar ke dekhti thi ke apka reply ho shayad, aur msgs is liyeh nahi kiyeh ke apne kaha tha chup kar ke dawa khao.

mari tabiyat main koi bohat zahda farak nahi hay, aur mujhy khansi ho rahi hay, ahbi tu sardi bhi zahda nahi hay phir bhi, main ne pocha bhi tha tea ke liyeh, tea ki jaga kuch aur pe sakti hon? khansi ki waja se

sana.azhar Group: Members  Joined: 09th Sep, 2012  Topic: 1  Post: 61  Age:  31  
Posted on:9th Oct 2012, 3:25pm
 

Thanks for reply

abu ki tabiyat theek nahi hay aur unke bhi hath aur tangein sun honey lagin hain, aug main unke pahri niqali thi, aur kidny main unko dard hota hay.

mujhy khansi bohat zahda nahi hay nahi hay par kabhi dopehar main tu kabhi raat main ho rahi hay thori, sath main sanas bhoolta hova bhi lagta hay, aij bhi main thori dor gi pedal (bemari se pehley bohat pedal chalti thi) tu mari tangon main dard honey laga, sar ka kam hi kaam hay kisi kisi din tu hota bhi nahi magar mu main pani bohat aata hay, aur pait main jalan hoti hay khas kar tab jab khaney main dair ho jaye, aur bhook bohat lagti hay, lunch ke 1hr ke bad hi phir se bhook lagney lag jati hay agar fruit thora aur zahda khaoon tu bhook kam lagti hay

sana.azhar Group: Members  Joined: 09th Sep, 2012  Topic: 1  Post: 61  Age:  31  
Posted on:10th Oct 2012, 2:41am
 

waiting for your suggestions

dawa main roz subha leti hon, leucorrhea ka problem hay, bohat palla hay white color hay badbo nahi, pehley kabhi hota tha offwhite color ka aur thora thick hota tha bohat zara si badbo hoti thi lakin yeh bohat pehley ki baat hay, ahbi ahsa kuch nahi hya, aur half hr ke baad tak agar baithi rahon tu pait main right side wala dard bhi bohat hay, khansi ke sanas bhool raha hay ke allergy ke attack ke doran hota hay, raat mujy letney main problem ho rahi, aur exercise ke doran sanas bohat zahda bhool gaya tha subha, shayad apple khaney se ho gaya ho ahsa kiyn ke apple khaney se bhi mujhy attack ho jata hay, ab sardi zahda hoti jayeh gi (marey liyeh) tu plz mujy batein ke kiya main yaqni pee sakti hon chickn ki yah matton ki, aur alah na karey ke sanas ka problem ho zahda lakin agar hova tu mujhy dosri dawein tu khani parein gi, phir mujhy kiya karna chahiyeh, main bohat parez karahi hon, lakin apple ka mujy khayal nahi raha, plzzzzzzzz batein main karon

sana.azhar Group: Members  Joined: 09th Sep, 2012  Topic: 1  Post: 61  Age:  31  
Posted on:11th Oct 2012, 2:38am
 

i am waiting

plzzzzzzzzz reply and tell me what can i do

thanks

munadi786 Group: Members  Joined: 21st Jul, 2012  Topic: 0  Post: 79  Age:  23  
Posted on:11th Oct 2012, 10:45am
 

salam

ap pareshan na hoon ALLAH fazal kre tu ap thek ho jaien ghi ..basicall jo dawayan thin woh constipation ya diarrhea jo ho jata tha aur sath mein sarr dard , piles,aur menses problem se releated thin..ap waise sakhar se hain?agar mein ap ko ek prof. doctor hain homoeopathy k unn k pass bejoon dawai free mille ghi but ALLAH K fazal se even cancer k mareez b udhar se thek hote howe dekkhe hain.ap k abbu b challe jaien tu behtar hai.chiniot wali side per hai woh jagha but agar ap ja sakti hain tu mein phir he ap ko bta sakta hoon unn ka adress.
sana.azhar Group: Members  Joined: 09th Sep, 2012  Topic: 1  Post: 61  Age:  31  
Posted on:11th Oct 2012, 3:10pm
 

Walaikum as Salam

diaarya tu is week main bhi aik bar hova tha wahsey hi, jee main sukkur se hon, magar mujhy khi jana hay, main ALLAH ki bohat shukar guzar hon ke mujy phir se job mil gi, main tu mayus ho gai thi, pehley kabhi itna arsar main ghar nahi baithi thi, savings bhi khatam honey lagin thin, job sirf 3months ki hay par aik tu package accha hay aur dosra main yahan se door hon gi tu shayad abu ka gusa na suna pahrey, aur main falto paith kar sothi na rahon, bas dar hay tu is baat ka ke main itni mehnat kar paon gi ke nahi, kiyn ke 1hr baithney ke bad marey pait ke right side dard ho jata hay, main yahan sat tak hon, agar karib hay tu chali jaon gi, aur abu kisi dr ke pass nahi jain gey, unko humara jana accha nahi lagta, bardash kar jatey hain ke bachey bemar hain, aur theek ho rahey hain kisi aur ki dawa se tu, ap bata dain karib ki jaga hay tu chali jaon gi.

thanks for consernce

sana.azhar Group: Members  Joined: 09th Sep, 2012  Topic: 1  Post: 61  Age:  31  
Posted on:13th Oct 2012, 2:23pm
 

Assalam o Alaikum

main ne apse kuch batein pochi thin apney last 3 msgs main apne bataya nahi.

plz reply

thanks

munadi786 Group: Members  Joined: 21st Jul, 2012  Topic: 0  Post: 79  Age:  23  
Posted on:14th Oct 2012, 9:40am
 

W.A

mein ne ap ko btaya tha woh jagha chiniot k pass hai agar tu ap k liye udhar jana possible hai then mein ap ko udhar ka exact adress btaoon gha

munadi786 Group: Members  Joined: 21st Jul, 2012  Topic: 0  Post: 79  Age:  23  
Posted on:17th Oct 2012, 3:08pm
 

salam

ABB APKI TABIYAT KAISI HAI?apni conditions piles sarr dard etc k bhare mein bta sakti hain?aur ap ka unn prof. doctor k pass jane ka programme hai?
sana.azhar Group: Members  Joined: 09th Sep, 2012  Topic: 1  Post: 61  Age:  31  
Posted on:22nd Oct 2012, 1:09am
 

Walaikum as Salam

Sorry main apko reply nahi kar saki, mara first week tha office ka aur bohat busy tha.

mari tabiyat wahsey tu theek hai, magar is month bhi mehses ka wohi haal hai, 3rd day bohat hi zara se taqreey aayeh they, aij 4th day hay aur ahsa lag raha hai ke menses band ho gayeh hain, main is baat ki waja se bohat pareshan hon, dawa kha rahi hon, aur office main meeting ke bad lunch tha fri ko tu us main mujhy thora sa pizza khana pahra, main ne bohat kaha par mari baat kisi ne nahi mani, aur main un sab mari bemari ka bata bhi nahi sakti thi, yeh baat mujhy bohat pareshan karahi hay, agar ahsa hova tu main kiya karon. sar main dard sirf fri ko tha woh bhi meetings ki waja se, aur piles ka mujhy lagta hay faraq hay per theek se ahbi keh nahi sakti, aur hath paon sun bhi ho raha rahey they kal bar bar, pora week main office main kaam kiya, sath safar bhi kiya, aur KHI main tu office se ghar jana hi itna maslah hay, aur main kaprey dhooyeh usi ki mujhy khushi hoi ke main thaki nahi bas raat main hath paon sun hovey. jahan tak mujhy yaad aa raha hay chinot ISB ki taraf hay, aur mari job ke start ke days hain aur bohat busy bhi tu main nahi ja sakti eid ke first week ke bad tak, 3month tak main extra chuti nahi kar sakti, weekned pe agar jaon tu bhi eid ke baad shayad.

munadi786 Group: Members  Joined: 21st Jul, 2012  Topic: 0  Post: 79  Age:  23  
Posted on:22nd Oct 2012, 3:23am
 

...

basically these remedies were for 1)piles 2)constipation or diarrhea ,,sarr dard..3)menses problem due to blood deficiency ...aur ap ko i think inn 3 cheezon mein fark hai ..aur jahan takk menses ka taluk hai i have u many times k ho sakta hai kuch months takk menses bilkul na ayeien jo k achi baat hai ..aur blood deficiency poori hone k baad khud he thek ho jaien ghe..baharhall abb behtar hai ap yeh remedies 30 mein le kr use karein 3 times a day..same 30 mints before or after..duaoon mein yad rakhiye gha.
sana.azhar Group: Members  Joined: 09th Sep, 2012  Topic: 1  Post: 61  Age:  31  
Posted on:22nd Oct 2012, 3:52am
 

Thanks

main ne choti wali dawa le thi SKZ main aur woh khatam ho gai thi jab main yahan aai tu, aur main ne 2 din pehley i mangai hain 2no dawaein, agar ap kehtey hain tu main manga leti hon magar us main aik 2 din lag jain gey. jab tak main yehi use karon?

aur khaney ke 30mints ke baad bhi use karni hain dawein?

zaroor yaad rakhon gi, apki waja se tu yeh sab theek hova warna main tu marney ka soch rahi thi, aur main us stress se bhi niqli apney head office walon ki waja se unho ne mujhy dobara job di.

Many Thank

sana.azhar Group: Members  Joined: 09th Sep, 2012  Topic: 1  Post: 61  Age:  31  
Posted on:22nd Oct 2012, 5:55am
 

Question

aur plz mujhy yeh bhi batein ke main salad kha sakti hon, khera, tematar, gajar etc. aur yeh bhi batein ke beef ka salan sorwey wala ho aur us main sabzi bhi ho tu kiya main sabzi kha sakti hon us main se.

waiting for your suggestion.

thanks

sana.azhar Group: Members  Joined: 09th Sep, 2012  Topic: 1  Post: 61  Age:  31  
Posted on:23rd Oct 2012, 7:04am
 

Assalam o Alaikum

main apke maswarey ka wait karahi hon, plzzzzzzzzzz reply me.

1 2 3 4 5  >>
Women's Health
Tampon Troubles
Feminine Hygiene Products
Which Feminine Hygiene Product is Right for Me?
Pads and Liners
Incontinence Pants for Women: Pads and Liners
Pre-Menstrual Syndrome
Women And Menstrual
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012