eagle fly bhai - ye jo istikhara nikalne wale molvi ya peer waghera hote hain kia in
se istikhara nikalwane ka islam main koi concept hai? ya ye istikhara
nikalne wale sirf logoun ko bewakoof bana rahe hote hain? TV par bhi
kuch programs main dekha hai k log kisi molvi sahib se istikhara nikalwa
rahe hote hain.
Ans: kissi aur say istekhara karwanay ka islam maiN koi concept nahi hai... yeh sab log directly yaa indirectly istekhara ko paisay kamanay ka zaiyah banaatay aur islam k naam par zaeeful etqaad / kam ilm logouN ko bewaqoof banaatay haiN aur onki pareeshaniyoun ko exploit kartay haiN - namaz.e.istikhara kisi makhsoos waqt main parhni chahiay ya kisi bhi waqt parhi ja sakti hai?
Ans: amooman sonay say qabal paRhnay k liyeh kaha jata hai, jab insaan rozmarrah ki maamoolaat say farigh hokar yaksoo ho jata hai... aisay waqt maiN Allah say talluq zeyadah qareebi hota hai
- namaz.e.istikhara sirf aik dafa parhni chahiay ya kuch roz tak lagatar parhni chahiay?
Ans: aik baar hi paRhna kaafi hai... lagataar aur bar baar wohi log paRhtay haiN jo khaab maiN yes /no ka isharah dekhnay k motamanni hotay haiN... phir aisay logouN ko kuch nah kuch dikh bhi jata hai, jiska olTa seedha matlab bhi akhaz karletay haiN
- istikhara karne k baad kia Allah ta'ala ki taraf se dil ko itminan
hota hai k ye kaam kia jae ya na kia jae............ya ye sirf Allah se
dua hai k woh Aaenda Aane wali zindagi main agar is kaam main koi shar
hai tou us se mehfooz rakhe?
Aap duaa e istekharah ka matlab paRh lijyeh ... oss maiN yehi mafhoom hai k: ay Allah maiN falaaN kaam karnay jaa raha houN.. iss maiN agar koi shar hai to issay mujh say door karday aur jo khair hai, ossay meya liyeh kar day ... lufz bah lufz mafhoom k liyeh dua istekharah ka tarjuma dekh lijyeh jo net par astyaab hai... aur kabhi maiN NCF par bhi kaheeN post karchuka houN
|