Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

I Dont Want To Get Married Again

Non Medical Discussion
 
 
 
Hammadali Group: Members  Joined: 27th May, 2012  Topic: 2  Post: 2  Age:  28  
Posted on:30th Jun 2012, 10:24pm
 

I Dont Want To Get Married Again

 Asslam-o-alikum

Mera name Hammad hay meri age 27 years hay merey shaddi 2007 mey huey they aur mey huey thi aur merey wife 2010 mey wafat pa gaey.Merey do twins betay hain jo 2008 mey paida huey dono ab 4 saal key hain aur school jatay hain mey ney dubara shaddi na karnay ka irada kar liya tha kyun kerey merey wife key wafat panay key baad merey ander ki emotions khatam ho gayein.Merey parents ney mera nikkah kiya tha aik maheney pehlay ruksatey sey 10 din pehlay divorce dey di mey naey kyoun kay may kisi larki ki zindagi tabah nahein karna chahta.Merey ander love jasey koi fellings nahein rahein ab.Merey bachay bohat tang kartay hain aur ajjeb ajeeb sawal kartay hain.Mey kisi bhi family function ya shaddi par nahein jata kyun kay asa karnay saey mujhay meri wife yaad atey hay aur merey tabiat kharab ho jatey hay.Mera weight bhi bohat kam ho gaya hay mey ab khata bhi bohat kam houn ta kay may apnay fellings par control kar sakoun.Merey parents bhi merey family functions aur shaddioun par na janey aur shaddi na karney ki wajah saey aur kaey kaey din khana na khaney ki wajha sey bohat pareshan hotay hain aur kia mey bachay mother key beghair achaey tariqey say pal saktay hain?Mey apnay parents ko kesay samjoun kay merey dil mey aik aur aurat key liye jagha nahein?

greeny Group: Members  Joined: 29th Apr, 2012  Topic: 12  Post: 92  Age:  28  
Posted on:3rd Jul 2012, 2:16pm
 

Hammad ali

dear brother buhat afsos hua ye jan kr k apki wife app ko itna jaldi chhor kr chali gaen . appka dukhi hona normal hai . app apni wife ko miss krte hain ye b normal hai aur app samajhete hain k unki kjaga koi nae le sakta asa bhi hota hai.

magar app k bache buhat chhote hain unko maan ki zrurat hai unk swalat bhi normal hain. app unki zrurat ko samjhen.

app khud ko ar apne bachun ko akela kr re hain family function ko aviod krna bilkul b normal nae hai iss tarha to app khud bhi frustrate ho jaen ge aur app ka bachun ki shakhsiat bhi sahe nassho numa na paa sake gi.

app abhi buhat young ho . app ko definitely kwife ki zrurat hai. iss bat se inkar nae kia ja sakta. app ki weakness ka yehi reason hai. khas tor pr tb jb ap aik happy married life experience kr chuke ho.

apne nikah k bad divorce de kr buhat bura kia. buhat hi bura. app ko chaheay k app koi achhi c larki dekh kr shadi kr len. baqi app k andar love feelings jagana. app k bachun ko sanbhalna aur maa bap ka khayal ye sab wo achhi larki khud hi kr le ge. trust me. please remarry. for your kids and your parents khush raho.

May God bless you

1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013