Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

Maa,Baap aur Biwi...

Religion and Culture
 
 
 
adqamar Group: Members  Joined: 26th Jan, 2011  Topic: 6  Post: 17  Age:  32  
Posted on:13th Jun 2012, 12:05pm
 

Maa,Baap aur Biwi...

A-o-A... may aj tmam members se apna aik personal prblm dscs kr raha hoo... plz meri help kerain. . 

meri biwi merey saath aur merey ghar walo k sath boht achi ha... lakin mere ghar waley usko,aor us k ghar walo ko acha nahi samjhte...hr waqt mujh se  meri biwi aor us k ghar walo k giley,shikwe krte rehtey han... . 

saas ,bahu ki had tak to mamla bardasht kr leta hoo..lakin jub merey walid bhi,(as a sussar) ulta sidha bolte han,aor galat alfaz bolte han..to bardasht nahi kr pata... aor may bhi gusey may bad'tamezi shooroo kr deta hoo...jiska baad me, mujhe bht dukh hota ha.... aor apni biwi pr is baat ka gusa nikalta hoo,k tumhari waja se may ne apne maa,baap se bad'tamezi ki... . .

 mere waldain k alag logics han... 
1.biwi  shoher ki baat se zyada saas,susar ka kehna maney.. 
2.biwi apne shoher aor bacho se zyada susral walo ki dekh bhal karey. 
3.agr apne ghar jana ha,to shaor se nahi hum se pooch kr jaye..chaye hum jane dain ya nahi... 
4.agar humari batoo pr chalo gi to theek werna hum tmhe talaq dilwa kr.,apne beti ki doosri shaadi krwa den ge....
in sub logics ko wo islamic kehte han...k Quran may ha.... 
 
agar kehta hoo,k ap logo ne apne maa,baap ki konsi khidmat ki...(such bhi yehi ha ,k unho ne bilkul khyal nahi kya..)//...to unhein gusa aa jata ha...(aor may aisa nahi krna chata,jesa unhon ne apne maa,baap k saath kya..) . may boht tens rehta hoo...k maa,baap se bura salook na karoo... plz mujhe batain k mujhe kya krna chaye... 
 ap sub logo ki raye ka intzar ha... 
 Allah Hafiz



mayhooraaj Group: Members  Joined: 06th Jul, 2010  Topic: 13  Post: 158  Age:   
Posted on:13th Jun 2012, 12:11pm
 

to ad.qamar....

bhai ap apni biwi aor bacho ko alag kyo nahi krte....
sub Jhagra hi khatam ho jaye ga...
joint family me aksar is tarha k prblm hote han...
hal yehi ha.k pyar mohabat se alag ho jao...kab tak maa,baap se badtamezi karo gae...
aor gunah gar bano ge...
Allah Bless u.
fahad hussain khan Group: Members  Joined: 26th Apr, 2012  Topic: 1  Post: 524  Age:  23  
Posted on:13th Jun 2012, 12:38pm
 

ad qamar

ap apne ma bap ko samjhae k asa mat kare thora indirect way main black mail kare jase yea sub na kare.kiy k ma bap hain inhe khc kiya jasakta nh kiy k akhrt barbad hai inhe oe tak nh karo uf tak nh.to ap inhe piyar se samjhae apni bewi k liy k is ka mere siwa kon hai yea sub khc apna mere loye chor chr k ae hai to is k asa suloj phr kiy phr kiy rules is k liye
fahad hussain khan Group: Members  Joined: 26th Apr, 2012  Topic: 1  Post: 524  Age:  23  
Posted on:13th Jun 2012, 12:40pm
 

ad kumar

ap k ma bap to shlar kare k ade baho mile hai adb wali warna aj kal ap ko malom hoga ki baho ate hi sub apna ghr p rob jumlete hai ghr walo ko hi girvi rulh deti hai
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 37  Post: 2797  Age:  24  
Posted on:13th Jun 2012, 9:42pm
 

adqamar

adqamar agar sach kahoo to apke parents ke jo osool wo sahe nahe hai or essa possible nahe hai ke ek aurat apne ma bap ke gar iss tarah se jaye,,

pehle to ap apne walidain ko samjaye or kaho ke esa nahe hota jo ap keh rahe hahp or agar pir bi nahe to alag hojye,

or jaha tak talaq ki baat hai jab ap talaq nahe dena chahte to koi or ka isme kiya lena dena,

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5790  Age:  53  
Posted on:14th Jun 2012, 2:41am
 

best solution

1. yehi hai k ap aas paass hi kaheen separate ghar lekar apni family k saath shift hojayaiN...jahaaN say ap apnay parents ki dekh bhaal bhi kar sakaiN aur apkay parents bahoo par hukm bhi nah chalaa sakaiN

2. sharan apki biwi apka huk mannay ki paband hai, saas susar ki nahi... agar onhaiN koi baat manwana bhi ho to ap ki maarfat manwasaktay haiN, direct nahi

3. parents k kahnay par ap apni biwi par koi zulm nahi karsaktay aur nah hi ossay talaaq day saktay hain

as soon as possible aap separate hojayaiN yaa agar ghar bara ho to portion hi ko separate karlaiN...jahaaN aanaa jana alag ho, khana peena alag ho...iskay elawah apkay parents ka koi elaaj nahi hai
adqamar Group: Members  Joined: 26th Jan, 2011  Topic: 6  Post: 17  Age:  32  
Posted on:25th Jun 2012, 3:30am
 

Maa,Baap Pyar kyo nahi krtey...?

A-o_A..
Ap sb logo ka bht,bht shukria k ap ne reply kya....

may apne maa,baap se bht pyar krta hoo,,unki bht izat bhi krta ho...lakin wo phir bhi mujh se naraaz,naraaz rehtey han...meri biwi se bhi...jb k meri arange mrg thi...waldain ki pasand thi...
meri nisbat doosre beto ko zyada pyar krte han....jab.k mera bada bhai maa,baap se bht bad.tamezi krta ha...gaaliyaan tk deta han...lakin phir bhi wo us jaan chidaktey han...
agr may ye kahoo k bhai,tmhein kitni galiyan deta ha.ktna bura kehta ha...to kehte han..k pehley tu us jesa ban to ja....tujh may aor us me zameen aasmaan ka farq ha...
may ne is fark ko smjhne ki bht koshish ki..lakin......
mujhe ehsaas-e-kamtri honey lagi ha...k mere maa,baap mujhe meri biwi ko kyo pyar nahi detey...
jab k hum un ki izat bhi krtey han.......
yehi waja k may unko chor kr alag hona nahi chata.....
plz mujhe btain,k mujhe kya krna chaye...am so hurt....

greeny Group: Members  Joined: 29th Apr, 2012  Topic: 6  Post: 25  Age:  27  
Posted on:26th Jun 2012, 3:04pm
 

adqamar

maa baap ka haq apni olaad par olaad k haq se kaheen zada hai. aap ye q nae sochte k appko to un k agay uff kehne ki b ijazat nae hai. app comparison mat kren k mujhe pyar kam krte hain usko zada. wo parents hain. unk pyar pe shak nae kia ja sakta.

aur ye be hai k waldain ko b khyal krna chaheay magar agar wo asa nae kra pa rae to b appko un se bdtamizi ka haq nae.

ap apni wife aur bachun ko elahda rakh sakte ho. ase k apne parents k huqooq b poore krte rho aur biwi bachun ko b achha mahol aur life de sako

God Bless you

greeny Group: Members  Joined: 29th Apr, 2012  Topic: 6  Post: 25  Age:  27  
Posted on:26th Jun 2012, 3:04pm
 

adqamar

maa baap ka haq apni olaad par olaad k haq se kaheen zada hai. aap ye q nae sochte k appko to un k agay uff kehne ki b ijazat nae hai. app comparison mat kren k mujhe pyar kam krte hain usko zada. wo parents hain. unk pyar pe shak nae kia ja sakta.

aur ye be hai k waldain ko b khyal krna chaheay magar agar wo asa nae kra pa rae to b appko un se bdtamizi ka haq nae.

ap apni wife aur bachun ko elahda rakh sakte ho. ase k apne parents k huqooq b poore krte rho aur biwi bachun ko b achha mahol aur life de sako

God Bless you

1
 
 
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us