myrizvi rizvi bhai yaqeen karein k agar koi aur yeh post kerta to mujhay bilkul bhi hairat na hoti lakin aap ne post ki to mujhay waqai mein hairat hui... Hamara ikhtelaf apni jagah lakin mein itna iqrar zaroor karoon ga k iss forum per chand aisay members hain jin k paas ilm k sath shaoor bhi hai... Kiun k mera maanana yeh hai k ilm aur shaoor 2 alag cheezein hain aur inn dono ka aik jagah per ikhatha hona thora mushkil hota hai... Issi terha wehshi sahab hain unn k paas shayed deeni ilm ki kami ho gi lakin shaoor kafi hai unn k paas... Issi wajah se jab aap ki post perhi to hairat hui kiun k aap yeh to jantay hi hain k iss masla per aik hi sahi ho sakta hai ya mein yeni fiqah jaffariya,ahl hadith etc.. ya fiqah hanafi yeni aap... Jab aik sahi ho ga to zahiri se baat hai dosra ghalat ho ga... Farz karein hum iss masla per ghalat hain to phir bhi humein itna nuqsaan nahi ho ga kiun k shariat iss terha talaq ki bhi ijazat deti hai k her iddat k baad talaq di jaye... Lakin agar aap ghalat huay to bhai masla bun jata hai kiun k agar talaq e bain agar jaiz nahi hai to phir to woh khatoon shohar-daar ho gi aur aik shohar-daar se koi insan nikah per nikah ker leta hai... To yeh kitna zulm ho ga,umeed hai aap meri baat samajh rahay hon ge... Dosri baat rizvi bhai baat aisi hai k aap bhi jantay hain aur mein bhi janta hoon k hum mein se aik sahi hai aur aik ghalat hai phir hum kaisay blindly follow ker saktay hai uss fiqah ko ya uss masla ko jo ghalat hai ?? Iss se yehi sabit ho ga k aik masla woh hai jo Allah,Quran aur Rasool saww k mutabiq hai aur dosra unn k hukam k khilaf...phir hum kaisay jaan ker bhi unn k hukam ki khilaf werzi ker saktay hain,aap per bhi yeh farz hai aur mujh per bhi k hum iss masla ko samjhein aur jaanein k kon sa hukam islam k mutabiq hai aur kon sa ghair-islami ?? Hamaray aqeeda mein Mola Ali a.s ka ferman hai k jis aurat ko talaq e bain di gaye ho uss se rishta na karo kiun k woh shohar-daar hoti hai... Ab aap dekh lein k agar talaq e bain hazrat umar ne hi start ki to phir to waqai fiaqh hanafi ki khuwateen shohar daar hoti hain aur unn k nikah per nikah kiya jata hai agar woh dosri shaadi kerti hain...phir hum iss zidd mein hi yeh zulm kertay rahein k nahi kiun k hamara fiqah ki aik shiq hai iss liye humein issay sahi samajhana ho ga... Dosri baat rizvi bhai aur aap ko kis terha ghalat nazar aaye yeh masla ?? Aap ki muattabar hadith books mein yeh mojood hai k yeh amal na Rasool Allah saww k zamana mein hua aur na hi hazrat abu bakar aur hazrat umar k awail zamana mein... Lakin hazrat umar ne talaq ki berhti hui sherah per yeh hukam jaari ker diya... Aap ko khilaf e Islam nazar aata hai agar aap khud dekhna chahein... |