Re-Birth and Islam
Allah ta'ala ka koi hukam ya koi b amal marfat aur hikmat sy khali nahi hay , "yashfeen" k sawal par bas itna hi comment karon ga k aap "as'haab-e-kahf" ka qurani waqia parr lain aap ko apny sawal ka behtreen jawab mil jaye ga
iss waqia ki buhat si hikmtain hain , laiken aik aham tareen hikmat yahan yashfeen k swal k ayn mutabiq hay . jab as'haab-e-kahf ko soye hoye 300 saal ka arsa ho geya to bahar aam logon main aik behas ny janam lay liya k aya khuda kisi murda jism main dobara sy jaan dalny ki ahliyat rakhta hay ?? , behas yeh b thi k jo jism buhat ziyada mudat sy murda ho chuka ho aur uss jism ki hadiyaan b gall sarr gayee hon kia uss murda jism ko khuda dobara wapis usi jism k sath zinda kar sakta hay ?
iss bat k tnazur main intellectuals ghanton behas kiya karty thy , aur akhar main apni behas ka yahi nateeja nikalty k nahi allah aik murda jism main dobara jaan nahi daal sakta ...yeh mumkin hi nahi hay ..etc etc
laiken choun k khuda to khuda hay aur uss ka har kaam hikmat sy khali nahi hota , lehaza Allah ta'ala ny as'hab-e-kahf ko 309 saal ki neend numa mout sy dobara zinda kar k jahan kaseer ul maqasid hikmaton ko wazhy kiya waheen unn so called intellectuals ka mu b aik jeeti jagti daleel sy band kar diya aur qiyamat tak k insan ko bata diya k allah rabb-ul-arbaab aur qadir-e-mutliq hay jo aik insan ko aik bar to kia bar bar hayat ata kar sakta hay
iss k ilawa har insan jab sony k baad bedaar hota hay to goya wo phir sy zindagi pata hay ... q k neend b neem mout hoti hay..aur neend ko mout ki behan b kaha jata hay ..
iss k ilawa mout k baad dobara hayat k silsly main aik common si daleel hay k har insan ko "cheenk" aati hay aur medical ki roo sy jab b insan cheenkta hay k ussi ki dharrkan arzi tour par band ho jati hay , aur yeh to teh hay k aik insan ki zindagi k liye jahan buhat sy awamal zarori hain waheen dil ki dharrkan b buhat zarori aur aham juz hay , agar dharrkan band to insan khatam , goya dil ki dharrkan zindagi ka dosra name hay , lehaza cheenk ka doraniya khatam hoty hi insani dil dobara sy dharrkna shuro ho jata hay , yaani phir sy zinda ho jata hay . to lehaza hum aksar-o-baishter mout sy dobara hayat paaty hi rehty hain , khuwa neend sy bedaar hony k baad ya khuwa cheenk aany k baad
lehaza jab b kisi ko cheenk aye to ussy chahiye k foran al'ham'do'lillah ka wird kary , aksar log karty b hain , yeh issi liye hay k goya insan mout sy aik bar phir hayat k tarf louta hay to allah ka shukar ada kar raha hay
wallah ho ilam biswab
|