Batman1 Agar aap ko etiraz hai to aap shia kutbu se sabit karo k Hazrat Ali a.s ne pehlay Quran nahi likha tha... Jahan tak baat hai hazrat usman k Quran likhwanay ki baat to janab aap ko ilm hona chahiye k unhon ne baaki tamam mashaf jalwa diye thay aur wohi quran nafiz kerwaya jo unhon ne likhwaya tha... Agar aap iss masla per perhna chahtay hain shaih bukhari mein yeh waqiya mojood hai... Aap kon se zuban samajhtay hain batman sahab,mein kitni baar bata chuka hon k yeh jo Quran hamaray paas hai yeh na Mola Ali a.s ka likha hua hai aur na hi abu bakar...hazrat abu bakar ka jo quran likha hua tha bhi to woh jala diya gaya... agar koi fazeelat ki jga ho to kia lazmi hy wahan paida hona bhi fazeelat ho? agar fazeelat thi to rasool Allah saw ki wiladat bhi wahin ho jati Agar fazeelat na hoti to iss waqiya ka zikr kiun kiya gaya ?? Aap apnay 3 khulfa k baray mein bataein ge k woh kahan paida huay ?? Zahir hai woh kisi fazeelat wali jagah per paida nahi huay tabhi to unn ki padaish ka naam o nishan hi nahi hai...
Khanay kaaba bilkul ahtraam ki jga thi or isko ahtraam dubara rasool Allah saw nay baksha .. Khana Kaaba uss se pehlay bhi ahteraam ki hi jagah thi tabhi to abrah ka waqiya hua agar ahteraam ki jagah na hoti to Allah ababeel ko bhej ker uss ki foaj ko tabah kiun kerta ?? Janab Rasool Allah saww ne to 8 hijjre mein ja ker buat toray,uss se pehlay ussi Khana Kaaba ka tawaaf ker k aaye thay balkeh hajj kernay ja rahay thay jisay umrah mein tabdeel kiya gaya,aap ne bataya nahi k woh kiya buaton ki ziyarat aur tawaaf kernay k liye gaye thay ?? Rasool saw ny umra fatah makkah k baad kia tha or button ko khaas tor pr nikaal k kia tha janaab.
Mein fatah e makkah se pehlay ki baat ker raha hon aur aap ki sui fatah per ataki hui hai :P Janab uss umrah k baray mein kiya fatwa aap dein ge jo Rasool Allah saww ne kiya jab k wahan buat mojood thay,chalein Mola Ali a.s to bachay thay unn ka amal aap buaton ko sajda bhi maan lein to bhi unn per koi hudd nahi uss age mein magar Rasool Allah saww to MashAllah 50+ thay aur aap k abu bakar,umer o usman bhi baligh thay unhon ne phir buaton ka tawaaf kiun kia ja ker aur buaton ka umrah kiun kiya ?? sahi bukhari ki hadees hy k
Ibn abbas ra say riwayat hy k jub rasool Allah saw makkah tasheer lay to Kaaba k andar janay say inkaar kia kiun k andar butt mojud thy.. pahly saray butt nikalway or andar ja kr charon taraf Allah o akbar ki takbeer kahi (Bukhari Chapter 5 no 584)
Yeh useless ref. aap mujhay mat diya karein aap ko aur kitni baar samjhaon ??
bukhari aap k liye hujjat ho gi meray liye nahi jo aap khud ki baat ko sacha sabit kernay k liye apnay hi aqeeda ki book se ref. de rahay hain...next time khayal rakhiye ga. tareekh aap parhhen janaab buton ko chat par kia dhoob lagwany k liay rakh dia tha?/ kaaba k andar 360 butt thy har taraf or chat par shuru main sirf ek butt tha jo button ka sardar tha woh bhi mun k bal zameen pr gir gya tha phir usay bhi andar rakh dai gya tha..
jaha tak niat ki baat hy to meri post gor say parh lety to yeh sawal nahi krty
Aap ne neeat per jawab hi kab diya,kher ab to neeat se baat agay chali gaye hai ab to aap k asool k mutabiq Rasool Allah saww ne buaton ka tawaaf aur umrah kiya...
kapron ki post useless hy..
Mein ne pehlay hi kaha tha k yeh sirf aap k ilmi izafa k liye hai kiun k aap ne tawwaf ka zikr kiya tha jis ka mein ne jawab diya...
rasool saw ki paidaish say kuch dair pahly tak k waakiat record pr aana shuru huay thy us say pahly ki konsi history ki kitaab hy jis say bachay paida hony ka hawala dun. agar us time history ko maintain rakha gya hoga to hawala bhi mil jay ga
Janab yeh aap ko kis ne kaha ??
Rasool Allah saww k walidein ki shaadi bhi nahi hui thi tab k waqiyat bhi history mein mojood hain,shaadi k baad bhi waqiyat mojood hain...yeh kaisi taveelein ker rahay hain aap ?? 2012 main rehny walay mufti sahab ko to maloom hy k hamaisha pairon ka masah kafi nahi ho sakta is liay pahly pair dho liay jatay hain to kia nauzubillah Allah ko nahi pta tha is masly ka jo quran main sirf pairon k masay ka kaha.. or quran ki ayat main pairon ka masah nahi hy pairon ko dhony ka hukam hy Aap aik baar apnay iss jawab ko khud perhiye ga aap ko khud ajeeb lagay k aap ne baat kiya ki hai... Janab jism ka saaf hona wudhu ka asool hai,uss k liye wudhu mein zikr kerna zaroori nahi hai,ab wudhu mein kahin nahi likha k jism ka paak hona zaroori hai to kiya aap na-paak jism k sath wudhu ker k namaz perh lein ge k Allah ne aisa nahi kaha to yeh sab jaiz hai ?? Allah ne sirf wudhu k 4 ahkamaat bataye hain quran mein jis mein 2 ko dhona hai 2 per masah kerna hai aur tayamum jo wudhu ka namobadal hai uss mein unhi 2 azaa per masah kernay ka hukam hai jin ka Quran mein dhonay ka hukam hai agar aap k aqeeda mein paon dhona wajibat mein shamil hai to phir aap tayamum mein paon per masah kiun hai kertay ?? Aur meray bhai mein aap se baar baar pooch raha hoon k aap k aqeeda mein waisay paon dhonay ka hukam hai lakin socks pehni hon to aap ka woh hukam khatam ho jata hai aur aap socks per masah kertay hain...kiya aap iss ka Quran se hukam sabit ker saktay hain ?? agar aapky alim nay aam shia awam ko faraib deny k liay tarjuma galat likha hy to is main mera kasur nahi hy.. aap dunia k ksi bhi insaan sy is ka tarjuma kr wain gain woh mera hi tarjuma karay ga agar woh diyanatdaar hoga to .. mera tarjuma galat hy to kia arabic statemtn bhi galat hy?? us main ek aam insaan bhi dekh sakta hy k pair ko dhony ka kaha hy masah krny ka nahi.. is liay main arabicbhi likhta hun takay agar tarjumay main yeh ilzaam lgaya jaey k meny dandi mari hy to arabic main to aesa nahi ho sakay ga .. Mein ne aap per ilzam hi kab lagaya ?? balkeh mein ne aap ko kaha hai k mein InshAllah kuch time k baad iss riwayat k sath aaon ga...iss mein itna shoar machanay ki baat hi kiya hai meray bhai ??
|