Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

  Sexually Transmitted Diseases
Sexually Transmitted Diseases In Urdu And Roman Hindi
Pneumonia | Namonyia In Urdu And Hindi
Pneumonia | Namonyia In Urdu And Hindi
Sexually Transmitted Diseases
Sexually Transmitted Diseases In Urdu And Roman Hindi
Leucorrhoea
Leucorrhoea | Causes and Treatment
 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

Ablution Taking: Wazoo Ka Tarika In Urdu

Religion and Culture
 
 
 
tote_sapne Group: Members  Joined: 02nd Nov, 2011  Topic: 4  Post: 891  Age:  26  
Posted on:6th Feb 2012, 3:22am
 

wellknown

talash haq me na dar dar ki thokare khao .
humari mano to sui najaf chale aon..
betha mushkilat ke raste haar ke ......
or badnaseeb dekh ali a.s ko pukar ke.........
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 4  Post: 548  Age:  38  
Posted on:6th Feb 2012, 3:54am
 

Wellknown

Shia firqay ka aqeeda hia ke Pekhambariyat ka wahi to Hazrat Ali ko ani wali thi... tho farishta se ghalti ho kar Hazrat Muhammad (SAW) ko di.......... Nauzubillah.
To kiya ek farishte se ghalti hoti hai????? Agar farishte se ghalti hoti hai to Allah nahe rok sakta???? Kiya ye sab kufur nahe hai?????

Hum jab koi janwar ko halaal karte hai to kehte hai ke ALLAH HUAKBAR,, jiss se halaal hojaye na ke kaat diya jaye,,,,, lekin ye log kehte hai ke Hazrat Ali ke raza ke mutaabiq,, esa hi kuch bolte hai....... jab koi cheez halaal na ho to osske khane ka kiya faida?????

Yeh to kuch bhi nahi meray bhai hum to aur bhi bohat kuch kehtay hain shayed aap ne sirf 2/3 baatein hi suni hain...

Lakin @wellknown aap ki age 24 yrs hai aur iss age mein insan kafi shaoor hasil ker leta hai...mein aap se pochta hon meray bhai k kabhi aap ne yeh aqeeda shia books mein bhi perha ya sirf loagon se suna hai ??

Aap mujhay bata dein k yeh baat jo aap ne hazrat jibrael a.s wali kahi yeh shia ki kon se book mein likhi hai mein koshish karon ga k aap ko woh book online dikha sakon...

Aur aap ne kab aur kis ko dekha k woh janwar zibah ker raha tha aur uss ne Allah ka naam lenay k bajaye Ali a.s ka naam liya ??

Pata nahi aap loag kaisay apnay mullaon ki jhooti baaton per yaqeen ker letay hain...jab k aap ko khud tehqeeq kerni chahiye thi k waqai shia aisa kertay bhi hain ya nahi ya waqai shia hazrat Jibrael a.s k baray mein aisa aqeeda rakhtay bhi hain ya nahi...

Kuch aqal use ker liya karo meray bhai jab aap ko koi afsana sunaye,aap jungle mein nahi rehtay..aaj kal technology bohat advance ho gaye hai jab koi aap ko afsana bataye to uss se proof maango k batao k kahan se yeh tum ne aqeeda perha hai shia ka,zahir hai kisi na kisi book mein to likha hona chahiye phir aap khud check karo k waqai aisi koi baat hai bhi ya nahi...

Aap ki 24 yrs age per mujhay afsos ho raha hai kiun k aap baatein 4 yrs old k bachay ki terha ker rahay hain kiun k 4 saal ka bacha bhi uss baat per bina tehqeeq kiye yaqeen ker leta hai jo ussay bataye jaye aur...phir aap ne 24 saal paa ker kon sa teer maara jab aap ki hasiat aik 4 saal k bachay ki se hai :P


WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 31  Post: 2529  Age:  24  
Posted on:6th Feb 2012, 4:40am
 

Aqeeda Vs Technology

Mai apko bewaqoof bro ki batai suna kar apke kaan kulwa dunga.

Shayed aap bhool gaye ke ap ne maan liya tha ke ap ko apne firqai par yaqeen nahe??? Bewaqoof ke sath discussion.

Kisi firqay ka technology ke sath koi taluq nahe, or na hi taluq hoga, wese bi ap ko apne aqeede par yaqin nahe to tum mere sath kiya discuss karloge?? Tumhare sath aqeede par behes karna "BEHNS KE AGE BEEN BAJANA" hai. Jiss ko apne aqeede par yaqeen nahe wo kesasa kissi or ke sath behes karega????
Ap logo ke book parhne se to mere liye yaha par kissi ke sath chat karo to behtar hoga.
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 4  Post: 548  Age:  38  
Posted on:6th Feb 2012, 5:24am
 

Wellknown

Mai apko bewaqoof bro ki batai suna kar apke kaan kulwa dunga. 
Shayed aap bhool gaye ke ap ne maan liya tha ke ap ko apne firqai par yaqeen nahe??? Bewaqoof ke sath discussion. 

Kisi firqay ka technology ke sath koi taluq nahe, or na hi taluq hoga, wese bi ap ko apne aqeede par yaqin nahe to tum mere sath kiya discuss karloge?? Tumhare sath aqeede par behes karna "BEHNS KE AGE BEEN BAJANA" hai. Jiss ko apne aqeede par yaqeen nahe wo kesasa kissi or ke sath behes karega???? 

Ap logo ke book parhne se to mere liye yaha par kissi ke sath chat karo to behtar hoga.

Janab mein ne aisa kab kaha aur aisa kiya kaha k jis per aap yaqeen ker gaye k mujhay apnay aqeeda per yaqeen nahi hai ??

Dosri baat mein ne aap se pocha k aap ne kahan perha k hamara yeh aqeeda hai k Hazrat Jibrael a.s se koi ghalti hui aur woh Ali a.s ki jagah Hazrat Muhammed saww ko ghalti se Nabi bana gaye ??

Aap ne iss ka jawab nahi diya...

Dosra aap ne ilzam lagaya k shia janwar zibah kertay waqt Allah ka naam nahi letay balkeh Ali a.s ka naam letay hain...mein ne iss baat ki bhi daleel mangi magar aap ne iss baat ka bhi jawab nahi diya...

Inn baaton ko dekh ker mein yeh kehnay ka haq rakhta hoon k aap sunni sunai baaton per yaqeen rakhnay walay sunni hain...

molvi ne keh diya bas aap ne yaqeen ker liya k waqai aisa hi hai kabhi tasdeeq kernay ki zehmat nahi ki...

Aik aur baat mein ne abhi tak aap ko tum keh ker nahi bulaya issi liye umeed kerta hoon k aap bhi ussi terha izzat se baat karein ge jis terha mein izzat se baat ker raha hoon...

Mein ne aap ko kab kaha k aap hamari books perhein ??

Allah ne agar aap ko tehqeeq ki taufeeq nahi di to mein kon hota hon aap ko tehqeeq ka kehnay wala...lakin jab aap hamaray aqeeda per jhoota ilzam lagaein ge to mera haq bunta hai k aap se poochon k aap ne kon se book mein hamara yeh aqeeda perha k hum Hazrat jibrael a.s ki ghalti mantay hain ya Ali a.s ki nabooat mantay hain...

Aap ka yehi masla hai k aap baat ko samajhtay nahi hain aur post ker detay hain...mein ne technology ko deen ka hissa qarar nahi diya balkeh aaj k doar ki baat ki hai k technology itni hai k aap koi bhi ghalat baat kisi k aqeeda k baray mein suntay hain to aap computer per beth ker tasdeeq ker saktay hain k waqai yeh unn ka aqeeda hai bhi ya mulla ne jhoot bola...

Pehlay post perh ker thora samajh liya karein ta k aap ko baat ki samajh aa sakay...

Aur agar mujhay apnay aqeeda per yaqeen na hota to mein apnay aqeeda ko kabhi bhi defend na kerta,mein aap ki terha nahi hon k sunni sunai baaton per yaqeen ker loon ussi liye to sunni nahi hon...mein jab koi baat sunta hon to koshish kerta hon k unn k aqeeda se tasdeeq ker loon...


WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 31  Post: 2529  Age:  24  
Posted on:6th Feb 2012, 5:37am
 

Mufti

Aik aur baat mein ne abhi tak aap ko tum keh ker nahi bulaya issi liye umeed kerta hoon k aap bhi ussi terha izzat se baat karein ge jis terha mein izzat se baat ker raha hoon...

iss se pata chalta hai ke app ka emaan kamzoor hai ,,, ap itni choti baat pe kiya karlete hai itna barha post ko le kar tum or app par laya,,,,, ok i need no more arguments and no more debate.
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 4  Post: 548  Age:  38  
Posted on:6th Feb 2012, 5:50am
 

Wellknown

Yaqeen karein k mujhay aap se issi jawab ki umeed thi...

Mein ne bhi itni lambi post ki magar uss mein aap ne sirf aik sentence tum aur aap wala perha aur baaki shayed aap ko nazar hi kuch nahi aaya...

Next time jab aap hamaray aqeeda k baray mein koi baat karein to sirf apnay mulla ki baat per yaqeen mat kijiye ga balkeh tasdeeq bhi ker lijiye ga k waqai yeh unn ka aqeeda hai bhi ya nahi ta k aap ko aaj ki terha sharmindagi na uthani paray...

iss se pata chalta hai ke app ka emaan kamzoor hai ,,, ap itni choti baat pe kiya karlete hai itna barha post ko le kar tum or app par laya,,,,, ok i need no more arguments and no more debate.

Agar kisi ko kehna k akhlaq se baat karo....yeh emaan ki kamzori hai to phir to poora deen islam hi kamzor ho ga aap ki nazar mein kiun k Islam mein akhlaq per to obhat zoar diya gaya hai wellknown sahab...

alirajput Group: Members  Joined: 02nd Nov, 2011  Topic: 2  Post: 1602  Age:  33  
Posted on:6th Feb 2012, 5:57am
 

re : sirf apnay mulla ki baat per yaqeen mat kijiye ga

mera bhi aap ko yahi mashwara haiN naami Mufti, kyun ke, aisi yakeeno ne aap ko islam se ba-yakeen kar diya haiN, ab Allah ke hukam ke saamne bhi (Quran aur Hadith) aap daleele pesh karte ke aisa nahiN toh aisa sahi.. Kaash aap ka Mulla aur Mola, sirf Quran aur Hadees se milta, toh ye pareshaani aap ki. mujhe istrah bayan na karni parrti.
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 31  Post: 2529  Age:  24  
Posted on:6th Feb 2012, 5:59am
 

Mufti Sahab

Mere nazar mai Islam bohot hi mazboot or wasee din hai,....

Lekin pata nahe app apne firqay se kiyo badle... Islam mai to shiya firqa nahe hai, Islam mai to ek hi firqa hai wo bi Sunni,, Hazrat Muhammad SAW to sunni the ,,.,,, tho hum bi sunni hai...

I told you i dont want no more arguments
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 31  Post: 2529  Age:  24  
Posted on:6th Feb 2012, 6:03am
 

Mufti Sahab

ek or baat. App ka firqa badal hai Mera firqa badal,,, Apke soch o fikar alag tarah ke honge or mere alag honge iss liye app apne shiya members se debaate karke khoob karsakte hai to mere sath na kre,,,, Or wese bi abi tak mai koi bi firqay thred mai mai ne hissa nahe liya,,,, aaj mai ne sapne ke post par jawab diya to wo mujhe shayiri sunani lagi
alirajput Group: Members  Joined: 02nd Nov, 2011  Topic: 2  Post: 1602  Age:  33  
Posted on:6th Feb 2012, 6:04am
 

WellKnOwN the Great

Hazrat Muhammad SAW Musalman thaaye... aur Musalman rahenge
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 4  Post: 548  Age:  38  
Posted on:6th Feb 2012, 6:12am
 

Wellknown

Mere nazar mai Islam bohot hi mazboot or wasee din hai,....

Lekin pata nahe app apne firqay se kiyo badle... Islam mai to shiya firqa nahe hai, Islam mai to ek hi firqa hai wo bi Sunni,, Hazrat Muhammad SAW to sunni the ,,.,,, tho hum bi sunni hai...

Phir wohi sunni sunai baatein...aap ko kis ne keh diya k Rasool Allah saww sunni thay ??

Kon se book mein aap ne perha hai mujhay aap uss ka naam batana pasand karein ge ??

Chalein aap yehi sabit ker dein k ahl sunnah wal jammat ya koi sunni Rasool Allah saww k zamana mein tha ya khud ko kehta tha ya aap apnay 4 khulfa k zamana mein hi koi sunni ya ahl sunnah wal jammat sabit ker dein...

Baaton se aqeeda sacha sabit nahi hota meray bhai balkeh aap kam-ilmi mein jitni baatein karein ge utna hi aap phanstay chalay jaein ge baaton mein...

Meri aap se request hai k pehlay aap apnay aqeeda ka ilm hasil karein phir aa ker discussion bhi karein...



WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 31  Post: 2529  Age:  24  
Posted on:6th Feb 2012, 6:14am
 

Mufti

Mai ne pehle yaha apke liye konsa post kiya?? Khud aa kar start howe or debating.
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 4  Post: 548  Age:  38  
Posted on:6th Feb 2012, 6:16am
 

alirajput

mera bhi aap ko yahi mashwara haiN naami Mufti, kyun ke, aisi yakeeno ne aap ko islam se ba-yakeen kar diya haiN, ab Allah ke hukam ke saamne bhi (Quran aur Hadith) aap daleele pesh karte ke aisa nahiN toh aisa sahi.. Kaash aap ka Mulla aur Mola, sirf Quran aur Hadees se milta, toh ye pareshaani aap ki. mujhe istrah bayan na karni parrti.

Mein ne pehlay bhi aap ko kaha k aap pehlayapnay aqeeda ko to sahi sabit karein phir dosron ko dawat dein...

Yeh wudhu ka topic hai chalein aap wudhu ko hi sabit ker dein k aap ka wudhu sahi hai..baaki baatein to baad mein hoti rahein gi...

Mein ne aap se pocha tha k aisa kiun hai k wudhu mein to aap paon per masah jaiz nahi samajhtay lakin socks per masah aap k liye jaiz hai...

Dosri baat mein ne tayamum ki thi jo paani na honay ki soorat mein nemobadal hai k uss mein to sirf 2 azaa per tayamum kernay ka hukam hai hath aur moun phir aap paon ko kaisay shamil ker letay hain wudhu mein jab k tayamum mein iss ka hukam nahi hai...

tote_sapne Group: Members  Joined: 02nd Nov, 2011  Topic: 4  Post: 891  Age:  26  
Posted on:7th Feb 2012, 1:02am
 

mufti bhai

bhai ye log kbhi nhi manege chahye ap ktni hi na posts kro q ke in ankhon me parda lga hua hai jo un ki ye bad luck hai .
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 31  Post: 2529  Age:  24  
Posted on:7th Feb 2012, 2:46am
 

sapna

Hmmmmm, hamare ankho pe patti lagi howi hai.
alirajput Group: Members  Joined: 02nd Nov, 2011  Topic: 2  Post: 1602  Age:  33  
Posted on:7th Feb 2012, 4:56am
 

sapna aur uss jese dosts

Allah par amal yakeen ka, hamne ankhon se kam, yakeen se zaada kia haiN, kyun ke Allah ta'laa ko, (Phsycial sense) maiN naa aap ne dekhaa haiN aur na mene...
Aur, Quran aur ahadith pe bhi ham Yakeen laa chuke haiN, parr ne (ankhooN se) mooH se (recitation se) haatho se, aur mazeed wudu aur namaz maiN ham ussi yakeen ko sabit aur uska saboot, 3 waqt nahiN!!!!!!!! Balke 5 waqt parr kar sabit karte haiN ke ham Musalmaan haiN, mere nasdeeq, sab Musalman, jho mene bataya waa tarikaa karte haiN, wo sab ke sab Inshallah Allah se fakhar se milenge, albatta jho hamse larrte haiN, aur usko aap na HAQQ samaj te haiN, ya jho 1400 saal puraani batoon, ya ghaltia ko LARRAAYE ki basis banaate haiN, mere nasdeeq ye FITNA haiN, aur unko unkaa ye amal bhi wesaa hi milengaa jesaa wo karenge, wese ye bad luck aap ki haiN, aur aap jesoo ki haiN, iss maiN na Bewaqoof ka kasoor haiN, naa myrizvi ka kasoor haiN, na WellKnOwN ka kasoor haiN aur naa iss forum kaa... Hamari jho misunderstandings haiN, jinn members ka mene naam lia haiN, wo kisi na kisi RESPECTABLE POST ke zariye Clear kar dete haiN, lekin jab se aap loog aye haiN, sirf aur sirf ek 1400 saal purani jang ki hi bataiN, uss sahabi ne aisa kyun kia, toh uss sahabi ki kia niyat thi.. Pehle aap ni girbaano maiN toh jhaankloo, pir jitne saal aap duniya maiN thaye nahiN, pir aap ne million atoms processing BraiN maiN solve karna yaa query......................!
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 31  Post: 2529  Age:  24  
Posted on:7th Feb 2012, 5:40am
 

ali

Mashallah good reply.

Lekin ye log apne aqeede pe yaqeen nahe karte to hume kiya muu dikhaenge?
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 4  Post: 548  Age:  38  
Posted on:7th Feb 2012, 7:51am
 

alirajput

Jahan tak baat hai Allah k physical form ki to hamara aisa kabhi aqeeda nahi raha k Allah physical form mein hai,haan aap ka yeh aqeeda zaroor hai k Allah jism rakhta hai...jo k aik batil aqeeda hai...

Dosri baat aap ne history ki ki hai to janab history hamesha se hi zaroori rahi hai agar history zaroori na hoti to Allah Quran mein Hazrat Adam a.s k beton ka zikr kiun kerta,Hazrat Ibrahim a.s,Hazrat Ismael aur Hazrat Eesa a.s o Hazrat Moosa a.s ka zikr kiun kerta ??

Aur namroud,firoan aur Puranay Anbiya ki biwion ka zikr kiun kerta ??

Inn waqiyat se humein kuch nuqsan na hota agar zikr na kiya jata magar Allah ne humein bataya k history jaanana aur history mein achay ko acha kehna aur buray ko bura kehna Islam ka hissa hai...

Aap ne kaha k aap 5 waqt namaz perhtay hain 3 waqt nahi...aap bataein ge k aap ko kis ne bataya k shia 5 namazein nahi balkeh 3 namazein perhtay hain ??

Agar aap ne kabhi Quran perha ho to uss mein 5 namazon k 3 auqat hi bataye gaye hain aur aap apni sahih bukhari aur sahih muslim utha ker dekh lein k Rasool Allah saww ne bhi 5 namazein 3 auqat mein perhein...kiya unhon ne ghalat kiya ??

Mein ne aap se pehlay bhi kaha k yeh topic wudhu ka hai iss liye aap pehlay apna wudhu sahi sabit karein...yeh to aap pathan ki terha hi hain jo mein ne aap ko joke sunaya tha...khud deen ka pata nahi aur dosron ko tableegh ker rahay hain...

Agar aap ko 1400 saal purani baaton per etiraz hai to phir aap 1400 saal purani baaton ko kiun defend kertay hain ??

Islam ki her baat hi 1400 saal purani hai,aap choar dein unhain...

Kher topic per wapas atay hain...aap ne meray wudhu per kuch sawalat k jawab abhi tak nahi diye...mein kiya samjhon k pathan ki terha aap ko bhi islam ka nahi pata aur chalay hain musalman kernay ??

alirajput Group: Members  Joined: 02nd Nov, 2011  Topic: 2  Post: 1602  Age:  33  
Posted on:7th Feb 2012, 8:25am
 

Wudu (Masaa on socks)

Books of Sunan and Musnad Ahmed record the Hadith narrated by Mughirah ibn Shu'bah, Radi-Allahu anhu, that Prophet Muhammad performed ablution and made masah over his socks and shoes. It is mentioned in Abu Dawood that Ali, Abdullah ibn Masood, Bara ibn 'Azib, Anas ibn Malik, Abu Umamah, Suhail ibn Saad, and Umar ibn Hurayth made masah over their socks.

The practice of making masah over socks is also narrated from Hazrat Umar and Abbas.(r.a.)Moreover, Ibn Abbas and Anas ibn Malik are reported by Uwais ibn Auws in Tahawi that the Prophet (SAW) made masah only over his shoes; socks are not even mentioned. This was also the practice of Hazrat Ali (r.a.). Thus, after taking into consideration all these narration's, it should be permissible to make masah on only socks and socks with shoes, just as it is permissible to make masah over leather socks. Iss par behaiz haiN, 2 groups ki , ek aap jese shia hazraat jho ke 6sita kitabon ko nahiN maante. Aur pir, jin hadeeso pe Sunni Muslims ka emaan haiN, maiN qoute bhi toh wohi se karoonga. Naami Mufti ye koi behaiz nahiN he aap se ke kaun jeeta aur kauN haraa, hamaiN malum haiN ke aap loog kis had tak behaiz ke Qabil haiN, leehaza mere nasdeeq ye behaiz bekaar haiN, aap koi aur forum kyun nahiN dhoondh lete jahaan shayd aap ki zaroorat bhi hooN.. shayd unka mohaul ko aap jese ki Thirst hooN...

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 4  Post: 548  Age:  38  
Posted on:7th Feb 2012, 8:36am
 

alirajput

Dekhein mujhay koi aur forum dhondnay ki zaroorat nahi hai agar aap k paas meray sawalon k jawab nahi hain to aap baray shoaq se yahan se ja saktay hain aap ko koi nahi rokay ga...

aur iss forum ka mahol meray liye sahi hai agar aap ko acha nahi lagta to aap khushi se tashreef le jaein...

Dosri baat janab aap ne to copy paste ki aik hadith mein ne aap se pehlay issi baray mein sawal kiya tha...

Aap se mein ne hadith k baray mein nahi pocha tha k aap ne quote ki balkeh meray sawal kuch aur thay jo shayed aap ki samajh se balater hain...

Mein ne pocha tha k kiya wajah hai k aap k aqeeda mein paon per masah kerna jaiz nahi hai magar socks per jaiz ho jata hai ??

Dosra sawal yeh tha k tayamum jo wudhu ka namobadal hai uss mein sirf 2 azaa per tayamum kernay ka hukam hai yeni hath aur chehra phir aap tayamum mein paon per kiun nahi kertay agar aap k aqeeda k nazdeeq dhona wajib hai ??

Umeed hai ab meray sawalat aap ko samajh aa gaye hon ge...mujhay sites se copy paste ker k mat dikhaein...aap MashAllah se 35 yrs k hain aur aap ko khud abhi tak wudhu ka hi nahi pata k aap ko websites ki help lena perti hai ??

1 2 3 4 5  >>
 
 
 
Gall Bladder | Pitta
Gall Bladder | Pitta
Stomach Problems And Treatment
Stomach Problems And Treatment
Cirrhosis Of Liver | Jigar Ka Sukarna In Urdu
Cirrhosis Of Liver | Jigar Ka Sukarna In Urdu
HIV And Aids Causes And Treatment
HIV And Aids Causes And Treatment In Urdu

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us