Forum.Noorclinic.com
NoorClinic: Pakistani Sex Clinic

  Make Money Online
How To Make Money Online Through Self Reliance
make money online
How To Make Money Online By Knowing What You Are Worth
Online Income
Review of the Easy Way to Make Money Online – Everyday!
Home-based Business
Working at Home and Making Money Online
 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Health| Sex | General Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
Health Articles
Best Articles
New Topics (Health & Sex)
Recent Reply (Health & Sex)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

sex toy

Religion and Sex
Handsome Men
Facial Exercise Keeps Men Handsome
Male Libido
Male Libido Enhancers - How To Enhance Low Male Libido
Exercise For Man Boobs
Best Exercise to Get Rid of Man Boobs
Enlarged Prostate
Treating an Enlarged Prostate
I need Group: Members  Joined: 22nd Nov, 2011  Topic: 1  Post: 1  Age:  22  
Posted on:22nd Nov 2011, 7:40am
 

sex toy

Assalamualaikum,

mera saawaal ye hai ke kya SEX TOY istemaal karsakte hain?

like:> ...edited...





myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 102  Post: 5282  Age:  52  
Posted on:22nd Nov 2011, 9:16am
 

g nahi

self sex ki khaatir sex toy use nahi kar saktay... albattah zarorat paRnay par husband wife aik doosray k liyeh sex toys use kar saktay haiN

(wallaho aalam bissawab)
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 13  Post: 1529  Age:  46  
Posted on:22nd Nov 2011, 12:19pm
 

myrizvi

please is ki detail bta den k yeh kesay allow hai husband wife k liyay
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 26  Post: 1491  Age:  23  
Posted on:22nd Nov 2011, 12:20pm
 

myrizvi

Please aap explain karenge. Ap ne jo statement pesh ki wo to mere sar ke opar chale gaye,'
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 26  Post: 1491  Age:  23  
Posted on:22nd Nov 2011, 12:21pm
 

myrizvi

Please aap explain karenge. Ap ne jo statement pesh ki wo to mere sar ke opar chale gaye,'
Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 84  Post: 4642  Age:  28  
Posted on:22nd Nov 2011, 4:20pm
 

I need

i am disagreed with myrizvi

husband wife bhi sex toy use nehin kar sakte.kyun ke Allah ne mard aur aurat ko alag alag banaya jore mein banaya.aur donu mein sex part alag alag rakhe ta ke woh aak dosre se luft utha sakhe.jab Qudarti cheezein insaan ke pass majood hain.to sex toy ka koi concept he nehin banta.
alirajput Group: Members  Joined: 14th Aug, 2011  Topic: 12  Post: 2879  Age:  31  
Posted on:22nd Nov 2011, 6:54pm
 

Statement for Argument

Dear Veer, I think yahan par myrizvi aap na jawab de de, uske baad decide kia ja sakta hain whether agreement ya disagreement religious basis par hain ke nahin. Mere khayal se, miya bivi ek dusraye ke liye sexual toys use karain, toh koi harj nahin, as long as it is to help in the ibadat of sex... for example, jab ek shoher apni bivi ke qareeb jata hain.. sexually, wo bhi ek ibadat ka hissa hain.. aur kyun ke Allah ne kahaan ke ye karoon, iss rishte main, toh leehaza ibadat hi huwi, ab agar iss main usko help chahye ya wo mazeed pleasure ke liye kar raha hain, toh mera nahin khayal ke uss ke liye koi mazeed ijazat namaye ki zaroorat hon?




Reply By Waterr



Agree with myrizvi reply


a)sex toys self-sex ya masturbation ya self pleasure kay leye allowed nahe haiN

sex toys aik normal healthy couple maiN bhi apas maiN use kay leye allowed nahe haiN aur sirf pleasure baRhaney kay leye normal halat maiN use allow nahe ha magar jaisey myrizvi nay kaha"zaroorat" parney bhi spouse peh use karwaya jaa sakta ha

1)sex toys (including vibrators) husband-wife ko apas mai bhee use nahee karna chaheye kyunkeh yeh gair-fitri cheez ha Aur marriage ka ya marriage mai Physical Relations Between spouses husband/wife mai khatam kar dainey wali baat ha woh bhee bagair kissi solid medical reason keh

2)islamically yehe ha k agar husband wife ko satisfy nahee kar sakta tou first woh apna medical treatment karwaeye aur gar phir bhee mumkin na hoo tou vibrators etc Husband wife peh use kar sakta ha...

3) sex-toys na sirf aik qisam ke addiction / aadi ho jatii ha bulkey istemal say satisfaction reaching point bhee increase ho jaye ga woh ahista ahista with time 'natural way maiN' kabhee bhe satisfied nahee hounge aur yehee toys zarourat bun jayein geh jissey relation peh b faraq parta ha

4)under extreme Ya Phir"unusual" conditions Sirf Or Sirf between husband and wife islam sex toys allow karta ha woh bhee By Spouse not by one self on its own . especially agar husband maiN koi aisi 'medical condition' ha kay woh wife ko natural way maiN sex nahe kar sakta ya satisfy nahe kar sakta bad.wajood ilaj kay


Refrence fatwa

As-Salamu `alaykum. I would like to ask whether or not it is permissible for a womon to use sex toys, i.e., vibrators, when her husband cannot satisfy her?

Wa `alaykum As-Salamu wa Rahmatullahi wa Barakatuh. In the Name of Allah, Most Gracious, Most Merciful.

All praise and thanks are due to Allah, and peace and blessings be upon His Messenger.

Dear questioner! Thanks a lot for your question and the interest you show in having a clearer view of the true teachings of Islam. May Allah help you get the right understanding and stand firm on the Straight Path! Amen!

Regarding your question, it should be clear that both the husband and wife should satisfy each other in bed. If one of them fails to achieve this marital duty, he/she should resort to medical treatment or Islamic professional counseling.

Responding to your question, Sheikh Muhammad Al-Mukhtar Al-Shinqiti, Director of the Islamic Center of South Plains, Lubbock, Texas, states: "The ayah (Qur'anic verse) in surat al-Mu'minun states that "Whoever seeks satisfaction beyond marriage is among the transgressors." (Al-Mu'minum: 7)

We should earnestly try to stay within the boundaries of marriage. If the husband cannot satisfy his wife, then both of them should seek medical treatment because there might be a certain reason that can be treated.

After doing this, if the problem persists, and there is a necessity to resort to these tools to seek sexual gratification, then the husband can use those tools to satisfy his wife. The reason for doing this is to keep sexual gratification within the boundaries of the husband-wife relation."

http://www.islamonline.net/servlet/Satellite?pagename=IslamOnline-English-Ask_Scholar/FatwaE/FatwaE&cid;=1119503548386

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 13  Post: 1529  Age:  46  
Posted on:22nd Nov 2011, 10:45pm
 

islamic web sites

main ne pehlay bhi aik thread main kaha tha k islamic web sites islamic fatwon k authentic honay ki guarentee nhn hain aur na hi unhain as reference us ekiya ja sakta hai jab tak koi mustanid aalim ya mufti us k liyay tasdeeq na kerain

jahan tak bat hai husband wife k apis main toys use kernay ki to us main jahan tak husband ki bat hai k ager husband is qabil nhn k biwi ko satisfy ker sakay aur woh sex toy se biwi ko satisfy keray to yeh kisi terah bhi islami nhn jab k talaq ka aur dooseri shadi ka option islam ne diya hai
han aik jagah is ki gunjaish hoti hai k ager dono age main itni ziyadah hon aur biwi ki demand ko husband is terah puri keray

lekin biwi husband ki sex desire puri kernay k liyay female sex toys use keray is ki koi reason samjh nhn aati jab k biwi k system main ais akuch nhn jo k husband ko problem keray sex kernay se kiun k merd ko sex k liyay erection chahyay ager erection hi nhn to sex kesay ho gi isi liyay toy use ho sakt ahai
jab k biwi to pesive hai is kam main us k to insertion ho gi jo k ho sakty hai is liyay biwi kiun sex toy use keray husband ki satisfaction k liyay?????


myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 102  Post: 5282  Age:  52  
Posted on:22nd Nov 2011, 11:19pm
 

wehshi bro

sex toys jadeed daur ki jadeed kharafaat maiN say hai...lehaza iskay halaal ya haraam honay k liyeh myrizvi /wehshi ki zati roy koi maani nahi rakhti.

iss topic par sirf onhi mufti sahebaan ki roy "motabar" hogi jo jadeed aloom /techlogies / culture say bhi agaah hon.

islamonline aisi hi aik web site hai, jiss maiN authentic mufti sahab reply kartay hain. ap jadeed aloom /technologies say bhi waqfiat rakhtay haiN aur apka talluq "islam k aqliati masaalak" say bhi nahi hai balkay woh "sawaday aazam" ki nomaindagi kartay haiN

albattah yeh understood hai k iss maslay maiN "rewayti mufti sahebaan ka fatwa" mukhtalif hoga... yani ham issay "ikhtelafi maslah" bhi kah saktay haiN... iss liyeh nahi k NCF k "muftiyaan" ki roy mukhtalif hai...balkay iss liyeh k "sawaday aazam" k mufti sahebaan bhi iss maslay maiN baham ikhtelaaf rakhtay haiN.... lehaza aisi soorat maiN jiss muslim ko jis mufti sahab ki baat 'apeal" karay woh oss par amal karay. iss maiN koi harj nahi

aakhir ko bahoot say ulemaa e karam nay smoking /tambakoo ko bhi to HARAM qarar dia hai...iskay bawajood bahoot say ulema e karaam aisay bhi haiN jo smoking /tambakoo ko HARAM nahi samajhtay
Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 84  Post: 4642  Age:  28  
Posted on:23rd Nov 2011, 1:30am
 

sex toy

main yahan koi fatwa par baat nehin kar raha.

main na kisi mufti, aalim, molvi ko nehin maanta sorry to say.

main bas Quran,Hadees ko maanta hon.har aalim apne he andaaz se biyan kare ga har masle ko.jese ke myrizvi ne kaha ke kuch smoking ko bhi haram kehte hain.

humhare han yehi problem hai ke har koi fatwa ya kisi aalim ka refer send kar de ge.koi esa hai yahan jis mein Quran saaf saaf kehta hon ke sex toys bhi koi cheez hai aur ese use kiya ja sakta hai husband wife aak dosre ke sath use kar sakte hain?

Allah ne insaan ko sab se buland tarja diya hai ose jorey mein paida kiya.aur sex ka system banaya ta ke aak dosrey se luft utha sakhe.

jab Allah ne humhe jism diya hai like penis,vagina to sex toys use karne ka maksad kya hai.

common se baat hai humhare pass 2 hath hain lekin hum khana magar right hand se khate hain kyun ke sunnat hai.jab Allah ne humhe har cheez se nawaza hai to sex toys ka to koi wajood he nehin.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 102  Post: 5282  Age:  52  
Posted on:23rd Nov 2011, 2:49am
 

veer bro

i agreed with you k quran o hadees is prime source of islamic teaching.
lekin

quran maiN yeh kaheeN nahi likhaa k sex toys haraam haiN ... jiss tarah yeh nahi lkha k sex toys allowed haiN

2 osool yaad rakhiyeh ...

osool-1: "imaaniyaat aur ibaadaat" ka baray maiN sirf wohi JAIZ haiN jo quran+hadees maiN saaf saaf likha howa hai ... iskay elawah "har imaan +ibadaat+ mazhabi rasoomat " HARAM aur non allowed haiN

osool-2: maamlaat aur dunyawi amoor maiN sab kuch HALAL hai, except on HARAMS k jinka zikr quran+hadees maiN saaf saaf likha hai ... issi osool k tehat applane maiN safer JAIZ samajh kar kartay haiN ... halaaNkay quran-hadees maiN kahaaN likha hai k plane par safar karna jaiz hai ... issi osool k tehat pig/sharab haraam hai,

dunyawi maamlaat maiN rozanah nit nayee cheezaiN, ejadaat, actions saamnay aatay rahtay haiN... jiskay baray maiN quran-hadees khamosh hai... agar kissi nayee cheez /amal k baray maiN shak ho k yeh kaheeN haraam to nahee to iska "faislah" ...quran o hadees k mahereen hi ko karnaa hoga aur onhaiN yeh SABIT karna hoga k yeh naya amal HARAM hai...

yaad rakhiyeh kissi "nayee mazhabi rasam /ibadat" as per rule-1 haraam hai... issay jaiz kahnay walouN ko issay quran o sunnat ki majmooee taleemaat say SABIT karna hoga........ agar ulema ki aksariyat aisaa saabit nah karsaki to naya mazhabi rasam HARAM hi rahega

iskay bar.aks... dunyawi maamlaat say related (non-ibadaat, noon mazhabi rasam, etc) har nayee cheez (like tv, radio, plane, computer, internet etc etc) ya naya amal (like exercise, dressing, living style, sex style etc) JAIZ aur HALAL hoga... issay HARAM kahnay k liyeh quran o hadees k mahereen ko issay SABIT karna hoga, quran o sunnat ki taleemat say... aur issay ulemaa ki aksariyat ka muttafiq hona bhi laazmi hai. (ajmaa e ummat)

ham medical field maiN qualified MBBS drs k fatway ko qabool karletay haiN... woh hamari kissi bhi new issue par jo baat declare karday, ham oss par amal karletay haiN.........issi tarah deen k maamlay maiN bhi hai k koi new baat /maslah ho, jo quran+hadees maiN saaf saaf nah mil raha ho to quran+hadees k qualified mahereen say rajoo karna hi paRta hai...yeh mamooli aqal ki baat hai, koi pecheedah falsafah nahi

WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 26  Post: 1491  Age:  23  
Posted on:23rd Nov 2011, 8:46am
 

Sex Toy Using

First of all agreed with Wehshi & Veer.

Pehle mai to ye kahonga ke yaha par koi aalim ya koi mufti nahe hai or na hi mai ossse koi behes start karna chahta hoo.

Ese Islamic websites par bharosa nahe karna chaye or na hi internet ke Alimio pe kiyo ke ye sab amrica ki chaal hai kiyo ke ab ek admi afghanistan mai hai jok ke NAOUZUBILLAH messengar ka dawa kar raha hai or kiya kiya bool raha hai par even koi osse kuch bi nahe keh saka. ye sab aaj kal amrica ki chaal hai or mulsamno ko apne hi din mai gumrah hi karna chahte hai.

"maamlaat aur dunyawi amoor maiN sab kuch HALAL hai," kese ye sab halal ho sakte hai agar Quran O Hadees mai isska zikar na kiya jaye???
Oral sex ka na Quran mai kuch hai OR na hi Hadees mai kuch lekin ab issko kese halal qarar diya jae ga. Kiyo ke ye ek bohot hi ghaleez or napak activity hai jiss mai urine peena parhta hai. Oral sex ko foreplay mai shummaar kiya gaya par agar Islamic ke kuch other ossolo se ghour kiya jae to ye Na Jaiz qarar ho sakta hiia.

Ab essa hi missaal sex toy ka bi hai agar isskko sexual satisfaction ke liye use kiya jata hia to ho sakta hia ke kuch Islamic ussoolo ke zariya iss pe ghour kiya jae to ye bi Na Jaez qarar hosakta hai.

Ab yaha baat disease ki bi howi ke esi disease jo ke elaaj na hosakta hia to pir sex toy use kiya jae to agar doosri taraf se dekhe elaaj hai kiyo ke Hazrat Muhammad (SAW) ne Farmaya hai ke duniya mai esa koi bemaari nahe hai jo ke osska elaaj nahe hai" Ab agar aids bemari ka pakistan mai elaaj nahe hai to america ke paass hia or wo haimai nahe dete.

Iss liye mai ye kahoonga ke jaab tak isko Islamic ossoolo ke mutabiq Jaez Ya pir Na Jaez qarar na denge to issko yahi pe chorna chaye...
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 102  Post: 5282  Age:  52  
Posted on:23rd Nov 2011, 9:51am
 

taqwa aur fatwa

well known dear!

taqwa aur fatwa maiN faraq hota hai... jo cheez quran o sunnat maiN wazah taur par HARAM declared nahi ossay koi xyz kaisay HARAM karsakta hai? kia HARAM qarar denay ka HAQ Allah nay ghair Nabi ko day rakha hai??? jabkay deen e islam ki takmeel hochuki hai

ab sirf yeh hosakta hai k kissi new issue par islamic scholars jamaa hokar quran o sunnat ki overall taleemat k hawalay say issay haraam qarar daiN...issi ko fatwa kahtay haiN... fatwa agar koi aik aadh mufti day to yeh hujjat nahi ban sakti...albattah kasrat say same fatwa diajaa.ay tab mosalmaanouN par ye lagoo hoga.

yeh to hai FATWA ki baat ... rahi TAQWA ki baat to jissay koi cheez /amal mashkook /haraam jaisi lagay woh ossay opt nah karay.... HARAM nah honay ka matlab yeh nahi k woh cheez FARZ hogayee aur sab ko laazmi karna hai... kissi ko nahi karna to nah karay.......magar woh kiss bunyaad par doosrouN k liyeh HARAM qarar day...ossay yeh HAQ kiss nay ataa kia hai...zaahir hai kissi nay nahi.

hope k aik osooli baat apki samajh maiN agayee hogi...quran o sunnat maiN sex related sirf 2 act HARAM declared haiN aik anal intercourse, doosra intercourse during menses...iskay elawah koi teesra act HARAM DECLARED nahi hai... quran o hadees maiN...agar hai to pls share with us
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 26  Post: 1491  Age:  23  
Posted on:23rd Nov 2011, 10:22am
 

Dear myrizvi Bro

MUjhe samaj agaye FATWA or sab kuch jo apne bataya. Agar intercourse mai to tareeqay haram hai to pir theek hai agar oral bi halal hai to urine pena to mana hai. Koi wife urine peena pasand karega. Chahe wo intercourse mai hoo ya pir oral sex mai hi hoo.

Ab kuch asay bate hai jisse islamic bato se dekh kar wo sahe or ghalat sabit hote hai.
Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3752  Age:  24  
Posted on:23rd Nov 2011, 10:32am
 

Re: Use Of Sex Toys among Spouses:


agree with reply of myrizvi. jahaaN bhi clearly defined nahe ha Quran maiN wahaaN fatwa peh hee depend kiya jaa sakta ha. Kissi ki personal raeey ya khayalaat say koi faraq nahe parta

Agar personal view ki hee baat ki jani ha to meray personal view say oral sex ya sex toys ka use (between spouses bhi) aik jaiz / paseendedah act nahe ha. magar jaisey iss tarah kay mamley maiN meri personal view ki koi ehmiyaat nahe oosi tarah kisi bhi xyz ki nahe bunti.

Bulkey mainey 'medical' view points say especially sex toys kay negative points explain keye haiN aur sex toys addictive bhi haiN aur normal marriages maiN chheye yeh pleasure kay leye initially start houN magar iss qadar dependence ho sakti ha keh Physical relations between spouses tabah ho jaeeynge aur aik doosrey ki 'zaroorat' hee nahe rahey gee.
Iss tarah oral sex kay bhi disadvantages haiN.

magar jinn'unusual' halaat maiN sex toys among spouses allowed haiN as per fatwa oos say inqar to nahe keya jaa sakta: aur jaisey myrizvi nay kaha kay taqwa yehe ha kay aisey tamam kaam say ijtinab karna hee taqwa  ha jiss main shak ho.

yeh Dar ul ifta ka fatwa ha:

Question: Is it permissible to use an external (clitoral) vibrator on one's wife during intercourse?


Answer: In the name of Allah, Most Compassionate, Most Merciful,

Sexual relations between the spouses are vital and one of the most important aspects of marriage. It purifies and prevents one from falling into fornication and the unlawful. As such, the spouses may fulfil their sexual needs in any way they desire as long as it does not violate any injunction of Shariah.

Islam also generally abstained from placing many restrictions with regards to bedroom behaviour; rather (with the exception of certain harmful and unhealthy practices) it left it to the spouses as how they should enjoy one another in their sexual relations.

From the various forms of pleasing one another, the usage of sex toys/aides, such as vibrators, dildos, lubricants, etc has become (or is becoming) a common phenomenon. Islamically, there is nothing wrong in using such toys provided two conditions are met:

1) The toy must not be harmful in any way to the spouses, for inflicting harm upon your self is unlawful.

2) The toy must not have an animate figure to it.

If the above two conditions are taken care of coupled with the permission and consent of the spouse, there seems no hindrance from employing such toys.

Having said that, it must be remembered that, it is unlawful to use such toys alone to alleviate one's loneliness, etc, for this would be considered a form of masturbation, which is unlawful (haram) and sinful.

Therefore, if there is a fear that by using these aides/toys during intercourse with one's spouse, one may be tempted to employ them when alone, then they must be avoided altogether

And Allah Knows Best

Muhammad ibn Adam al-Kawthari
Darul Iftaa, Leicester, UK
source: www.darulifta.org




Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3752  Age:  24  
Posted on:23rd Nov 2011, 10:39am
 

WellKnown:

{"O ``` ral sex ka na Quran mai kuch hai OR na hi Hadees mai kuch lekin ab issko kese halal qarar diya jae ga. Kiyo ke ye ek bohot hi ghaleez or napak activity hai jiss mai urine peena parhta hai"]

Kindly yahaaN par oral sex peh discussion nahe ho rahe. aap osko beech maiN mat laiN. Oral sex maiN kaheeN urine nahe peena paRta. jiss cheez ka apko ilm nahe oos peh emphasize mat karaiN.
oral sex waisey aik "dirty act " ha. magar iss maiN urine peeney ka koi taluq nahe. jo zubaan Kalaam-e-Pak paRhney aur tilawaat kay leye istemal hoti ha aur khana khaney kay leye bhi oos ko iss kaam kay leye istemal ka sooch keh bhi kareehat mehsoos hoti ha to karna to yaqeenan be hadd dirty act ha merey nazdeek oral sex aik insaniyaat ka waqar say gori huwi harkat ha jo husband wife kay relation kay taqaddus ko pamal kar sakta ha .magar iss peh aap apna zati khayal mat daiN. Oral sex ka matlab urine peena nahe ha



"Ab agar aids bemari ka pakistan mai elaaj nahe hai to america ke paass hia or wo haimai nahe dete."

yeh kub huwa kay AIDS ka 'cure' aa gaya? kindly apni baat ko prove karney kay leye topic say hat kar aur woh bhi baseless baat na karaiN.
yaaN to aap medical journal/text book ya phir authentic medical site ka refrence daiN.

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 13  Post: 1529  Age:  46  
Posted on:23rd Nov 2011, 11:06pm
 

sab se beri bat hadees

is bat ko bhi samjhna zaruri hai k islam sirif SHEWAT RANI ya LUST k liyay sex kernay ko sahi nhn manta husband wife main

aik ahdees main hai k jab bhi apni biwi k pass jao bachay ki niyat se jao

is k baad lazat, pleasure, satisfaction ki gunjaish kahan hai

yeh to hum log her bat ko sirif Quran se sabit nhn ker saktay kiun k Quran ki isharati guftagu ki takmeel k liyay hadees zaruri hai aur in k samjhnay k liyay yaqeenan aisay logon ki bhi zaruret hai jo Quran aur hadees ko un k asoolon k hisab se samajhtay hon

jesay myrizvi ne asoolon k hawalay se kuch batain kin

is liyay is bat ko hum apni aqal ki base per koi bhi fesla nhn de saktay
is k liyay sab siyaq o sabaq dekhna zaruri hai

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 102  Post: 5282  Age:  52  
Posted on:23rd Nov 2011, 11:07pm
 

meri zaati roy, aik wazaahat

aik wazahat kartaa chalouN k meri zaati roy maiN masturbation, oral sex, sex toys, spouse ka alif nude hokar sex activities karna etc etc jaisay acts koi achi baataiN nahi haiN... in sab kaamouN k mokhtalif nuqsaanaat haiN, iss say insaan ki jinsi life par boray asraat paRtay /paR saktay haiN... spouse k darmayan ham ahangi motassir hosakti hai

lekin

yeh meri zati roy hai... aur jab maiN quran o hadees /islamic hawalay say, bilkhasoos HARAM o HALAL k hawalay say kuch likhta houN to iss maiN apni zaati roy ko shamil nahi kartaa... jo mujhay acha lagay /pasand aa.ay woh HALAL yaa jo mujhay pasand nahi, acha nah lagay woh HARAM hai... aisaa nahi hai...
HARAM o HALAL quran o hadees maiN wazah haiN 2 Tok andaaz maiN... albattah haraam o halaal k mabain kuch shobah ki cheezaiN /act zaroor hoti haiN, jiskay wazah ta'ayyun k liyeh islamic scholars ki aksariyat ki roy SANAD hogi, kissi xyz ki nahi, bilkhasoos jab woh NCF k members jaisay houN... mera gomaan hai k yahaaN koi aalimay deen, mofassir, mohaddis, mufty nahi hai, jiski pooray quran o hadees aur fiqah pay nazar ho... iss liyeh ham just apni apni roy day saktay haiN aur apni roy k haq maiN quran o hadees ya ulemaa ki roy (fatwa) ko naqal kar saktay haiN
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 26  Post: 1491  Age:  23  
Posted on:23rd Nov 2011, 11:13pm
 

Islam X Medical

Mai ne kab kaha ke yaha par oRal ki discusison ho rahi mai to misaal de raha tha myrizvi ke statement ke waste.

Mai baseless bate nahe kar raha hoo. Apko khaas kar internet reference pasand hai na to ek reference mai bi donga kisi or topic ke waste kiyo ke appko direct internet reference chaye to pir dekhna.

Kahee ISlam or Kahi Medical.
E.g. Islam jinnat ko maanta hia or Medical nahe manta or kehta hai ke ye mind ki beemari hai.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 102  Post: 5282  Age:  52  
Posted on:23rd Nov 2011, 11:17pm
 

wehshi bhai

[quote] is bat ko bhi samjhna zaruri hai k islam sirif SHEWAT RANI ya LUST k liyay sex kernay ko sahi nhn manta husband wife main

aik ahdees main hai k jab bhi apni biwi k pass jao bachay ki niyat se jao

is k baad lazat, pleasure, satisfaction ki gunjaish kahan hai [/quote]

sir g iss hadees ko with reference quote karaiN ... aur kia apnay woh ahaadees nahi paRhee jin maiN azal (outside discharge) ko manaa nahi kia gayaa.

"intercourse with azal" ka kia maqsad hotaa hai ???
islam maiN biwi say lazzat, pleasure, satisfaction kab say manaa hai?
1 2  >>
Pregnancy Chances
Increasing Chances of Pregnancy - How to Help Infertility
Boost Your Fertility
5 Ways To Boost Your Fertility Naturally!
Ovulation Info
10 things you need to know about ovulation
Chances Of Pregnancy
Tips to Enhance Your Fertility and Chances of Becoming Pregnant
 
 
Typing
Learn to Type Fast
 Psychology of Lying
3 Bizarre Reasons Why People Lie
 Body Language
Examples on Body Language and Their Meanings
 Better Concentration
Can Listening to Music Help Us Work Better
 

Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2006 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved   Contact Us