baghal geeri
waterr sis touba hay aap ny kitna mushkal mushakl samjhaya hay ..:.."to embrace or to greet or cuddle" ...hadd hay waisy ..lol
ooh bhai maro sahib aap ko baghal geeri ka b nahi maloom yaar , acha main aap ko asan sa samjhata hon ...insan ki baghalain hoti hain na jo arms k neechy hoti hain unn ko gair laina baghal geeri hota hay ....yaani aik insan dosry insan ki bhaghlon ko gair lay to iss ka matlab hoga baghal geeri ...kia samjhy ?
waisy muhawaratan yeh lafz yaani baghal geeri ghalat-ul-aam hay ...asal word hay baghal gira hona .....gira ka matlab hota hay "ganth" (knot) yaani gira lagana ...to jab aik insan dosry insan sy galy milta hay to uss ki baghlain goya dosry insan ki baghlon par gira laga rahi hoti hain ..iss liye issy baghal gira kaha jata hay ...laiken yeh lafz banty banty baghal geeri ban geya hay ...
taham ghalat-ul-aam lafz ban jaany k bawajood b "baghal geer" baa maani word hay yaani agar baghal gira hona k bajaye baghal geer hona b kaha jaye to baat ka matlab garr barr nahi hota matlab k lehaz sy dono alfaaz theek hain , main ny sirf asal aur ghalat-ul-aam alfaaz ka farq bataya hay
|