Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum


  Natural Aphrodisiac
Natural Aphrodisiac for Enhancing Sexual Desire
Deal With Vaginal Discharge
How to Deal With Vaginal Discharge - Myths and Facts
Menstrual Flooding
Dealing With Menstrual Flooding
Premenstrual Syndrome
Symptoms of Premenstrual Syndrome
 
     
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Search Forum
Google
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Wome Health
Men Health
 


    Start New Topic  My Profile
 

Is Love Allowed In Islam? Why We Discourage It?

Religion and Culture   >>  Cultural Issus and Religion
 
 
 
dollhouse Group: Members  Joined: 07th Aug, 2011  Topic: 1  Post: 5  Age:  19  
Posted on:7th Aug 2011, 7:55pm
 

Is Love Allowed In Islam? Why We Discourage It?

salam.. islam may love allow hai ya nai? agr ha tou log isay bura kiu samajty hain?
alirajput Group: Members  Joined: 29th May, 2011  Topic: 16  Post: 1854  Age:  1204  
Posted on:7th Aug 2011, 8:02pm
 

love

Logoon ka demaag sahi nahin hein
dollhouse Group: Members  Joined: 07th Aug, 2011  Topic: 1  Post: 5  Age:  19  
Posted on:7th Aug 2011, 8:20pm
 

hmm

bt mera sawal ye hai k islam may love kis had tk allow hai? kya maa baap ki marzi k bagair shadi ki ja skti ha?
alirajput Group: Members  Joined: 29th May, 2011  Topic: 16  Post: 1854  Age:  1204  
Posted on:7th Aug 2011, 8:30pm
 

dollhouse

karna nahin chahye...... but if there wrong par Islam, like if they r forcing u against ur will, then u have rites.....
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 97  Post: 4547  Age:   
Posted on:7th Aug 2011, 10:16pm
 

love n love affaurs

1. islam love affairs, dating, 2 naa.mahram ka tanhaa milna julna, outing, boyfriend /girlfriend banaanaa....yeh sab allowed nahi balkay HARAM haiN

2. apni pasand, choice aur marzi ki shadi karna, islam maiN allowed hai. balkay laRka aur laRki ki marzi k beghair to koi nikaah hota hi nahi. islam nay parents ko hukm dia hai k woh bachoun ki razaa hasil karkay hi onka nikaah karaiN.

3. islam iss baat ko bhi encourage karta hai k bachay bilkhasoos larkiyaan shadi k maamlay maiN apnay parents ki roy ko ahmiat daiN. iss liyeh k parents say zeyadah khair khaah onka koi aur nahi hosakta. phir parents k pass shadi beyaah ka zati tajarbah bhi hota hai jabkay bachay unmatured aur in maamlaat k nasheb o faraaz say agaah nahi hotay..... iss liyeh agar woh parents say chup kar, ghar say bhaag kar, kissi laRki /laRkay k kahnay par shadi karlain to iska imkaan zeyadah hota hai k yeh shadi nakaam rahegi.

4. especially agar laRki apnay parents say chup kar kissi laRkay say love karegi to aksar aisaa hota hai k larka jawani ka rus choos kar oR jayega aur laRki haath malti rah jayegi

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 5  Post: 1013  Age:  41  
Posted on:8th Aug 2011, 4:54am
 

love

agreed with myrizvi
wel explained

ali rajput
ap ne konsay islam k lehaz se love ko jaiz ker diya janab???
aur islam ka konsa section allow kerta hai maan baap ki merzi k khilaf shadi kerna yani chup ker shadi kerna ya court marriege kerna????

dollhouse

islam main na mehram male female ka ikhtalat yani mailjol HARAM hai
kiun yeh mailjol ho love ko janam det ahai

shadi main lerki merzi ka hona zaruri hai yani raza mandi
pasand ya love nhn

islam main yahan tak ijazat hai k lerki ko lerkay ko aik jhalak dikha di jai

ab yeh ijazat kiun di gai ??
is liyay k lerki ya female nature hai k woh apna life partner khubsurat chahty hai to woh usay dekh le aik bar
baqi muamlat yani lerkay ka khandan, us ki job, aur baqi muamlat lerki k maan baap hi set kerain gay

lakin hum ne her cheez ko apni ana ka masla bana ker islam ko bohat peechay phaink diy ahai aur her jaagh INSAIN HAQOOQ le aatay hain
females right sab se beri baghawat hai islam k sath

ap khud socho duniya main us se acha mazhab ya nizam konsa ho ga jo lerki ko yeh kehta hai k tum gher main raho aram se aur tumhari tamam responsibility woh merd uthai ga jis ko tum responsibility ho
yani baap, bhai, shoher, beta

leki west ki dekh adekhi humari females ne bhi medan main anay ka socha jis ka nateeja yeh hai k aaj kal yeh haal ho gaya hai k lerkay ki maan aisi bahu ki talash kerti hai jo k kam kerti ho aur kama ker lati ho

ap is bat se andaza laga len k hum ne un rishton ko islam k khilaf namehram ki list se nikal liya aur emharm ban aliya jin se perda lazmi tha

jesay DEWER BHABHI aur SALI BEHNOI

in dono rishton main perdah hai even aik hadeees k mutabiq DEWER MOAT HAI BHABHI K liyay

agr hum aankhain khol ker ird gird dekhain to indono rishton main kitn igandagi phaili hui hai hum soch bhi nhn saktay

is liyay love ki koi gunjaish nhn islam main han pasand ki gunjaish hai lakin aisay k pasnad hai to parents ko bata do woh muamlat tay ker len gay

wesay bhi gher walon ko chor ker ki gai shadi ka kya future hai yeh hum sab jantay hain
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 235  Post: 3898  Age:  36  
Posted on:8th Aug 2011, 8:00am
 

aik jhalak

re: "islam main yahan tak ijazat hai k lerki ko lerkay ko aik jhalak dikha di jai "

sirf aik jhalak dekh ker saari zindagi saath rehne ya na rehne ka faisla kaise kya jaa sakta hai? aur agar faisla kerne ka taluq jhalak se nahi tu phir yeh aik jhalak bhi dekhane ki kia zaroorat hai?
alirajput Group: Members  Joined: 29th May, 2011  Topic: 16  Post: 1854  Age:  1204  
Posted on:8th Aug 2011, 2:01pm
 

dollhouse, farisht bhai

Menaye ye kahaan hein ke agar parents Islam ke khilaaf unsaye shaadi kar wa rahein hein, against her will, then she has RITES..

Love ki kistraah nahin ijazat? Yaar, our daughters, sisters, may like some one at masjid, they may think this is love, rather Pursue it wooh, apko ya mujhe bataati hein, tooh as her wali, app ya mein unke liye ye faisla kartein hein..

Ab agar unko bataaya jaye ke ur not allowed to do even this?
Then where do we stand as Muslims?

Dollhouse..
Farisht bhai is very senior member just like Rizvi bhai in all Islamic Suggestions.. Mein argument only relevant basis pe kar saktaah hoon, lekin yahi Haqeeqat hein ke if he say I am Wrong, then I must be Wrong.. Leehaza you should follow their lead!

Mein naye apni soch kisi Aqeedaye se nahin Joori wi. Mein Facts aur fiqure par chaltaah hoon. Mujhe har cheez Islam mein Reference ke saath pasand hein, aur apka bhi ye mangneye ka Haqq hein.

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 5  Post: 1013  Age:  41  
Posted on:8th Aug 2011, 3:22pm
 

sirf aik jhalak dekh ker saari zindagi saath rehne ya na rehne ka faisla kaise kya jaa sakta hai?

bewaqoof
ISM E BA MUSAMA

ager aap real musalman hain to ap ko aisa sawal poochnay per Allah se muafi mangni chahyay

kiun k aap ne Allah k hukam ka mazaq uraya hai

aap apni aqalmandi dikhanay k chaker main itnay aagay chalay jatay ho k ap ko andaza hi nhn hota

Fatima RA se beri koi lerki nhn is duniya main
jab Nabi SAw ne apni beti ka rishta tay kiya Ali Ra k sath to sirif poocha tha

lekin aj kal ap jesay logon ne na sirif musalmanon ka balkay islam ka bhi mazaq bana diya hai



Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 235  Post: 3898  Age:  36  
Posted on:8th Aug 2011, 4:42pm
 

Islam aik logical aur deen-e-fitrat mazhab hai

mai ne jo baat ki hai woh logical ki hai mai ne kisi ka mazaq nahi uraya. mai chukeh musalman hoo iss liye aap mujh se iss qisim ki baatai ker rahe hai. agar yahi baat koi non-muslim kahe ga tu aap baghlain jhanktay nazar aaye ge kio keh aap jaise logo ka iman hai keh WHY WHY nahi karo.

aur jaha tak mera taluq hai mai aik paidaishi musalman hoo, aur martay dam tak musalman rahoo ga. aap jaise logo ki certificate ki zaroorat nahi.

haqeeqat yeh hai keh har woh baat jo logical nahi hai ose Allah aur os ke rasool se mansoob kerna sahi nahi hai. hamara eeman hai keh Allah aur os ke rasool illogical baat ker hi nahi saktay.

ham woh log hai jo yeh sabit kerne per tulay huye hai keh Allah aur os ke rasool koi illogical baat nahi ker saktay. jab keh aap jaise logo ne Islam ko aik mushkil aur na-qabil-e-amal mazhab bana dya hai. aik zamana tha keh Islam logical aur deen-e-fitrat kehlata tha, jis ki wajah se tezi se phailta tha jabkeh aap jaise logo ki waqyanoosi logic ki wajah se Islam ghair-muslimo ke liye na-qabil-e-amal mazhab ban gaya hai.

jab tak aap jaise log islam ke dairay mai rahe ge, Islam aik waqyanoosi mazhab ke tor per rahey ga. jabkeh Islam na waqyanoosi mazhab hai aur na hi illogical. Islam mai har Why ka jawab mojood hai. aap logo ke islam mai Why ka jawab mojood nahi aur na hi aap Why Why pasand kertay hai.
alirajput Group: Members  Joined: 29th May, 2011  Topic: 16  Post: 1854  Age:  1204  
Posted on:8th Aug 2011, 4:51pm
 

Friends and members

So we dont Divert this thread.. A thread has been created..
I wish to transfer Farisht bhai's response and Bewaqoof bhai's response from here.. please come here and finish your discussion.
thanks
::

:: 

Islam aik logical aur deen-e-fitrat mazhab hai




myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 97  Post: 4547  Age:   
Posted on:8th Aug 2011, 10:47pm
 

masha Allah wehshi bhai

apki tafseeli roy /tabsera bahoot khoob hai. yeh youth ki aankhaiN kholnay k liyeh kaafi hai agar woh apnay deen o mazhab say zara bhi dilchaspi rakhta / rakhti hai. Allah karay zoray qalam aur zeyadah.

ali bhai: razamandi, pasand aur love teenoun alag alag madaaraj haiN. aik muslim laRki k liyeh afzal tareen baat yeh hai k woh apnay wali k intekhaab par razaa mandi zaahir karay k oskay wali say zeyadah behtar oskay liyeh koi aur oskay liyeh bar nahi Dhoond saktaa, even yeh k woh khid bhi nahi.... doosra darjah pasand ka hai. agar laRki educated, mature aur baa.sha'oor hai to woh bhi apni "pasand" k baray main apnay wali ko agaah karsakti hai k falaaN ko check kar laiN... woh as class mate, colleage, aziz rishtah dara, waqif.kaar mujhay acha laga...agar wali nay tahqeeq k baad ok kardia aur laRay waly bhi agree hogaye to yeh bhi jaiz or ok hai.... iss say aagay teesri bay.hayaa.ee ki qism LOVE hai...yani laRki ko agar koi PASAND aagaya to woh oss say dirrectly milnay milanay lagi. baat cheet honay lagi. aik doosray ko samajhnay k liyeh date par jaanay lagay, ghar waloun /jannay walouN say chup kar tanhaa milnay lagay...lambi lambi call karnay lagay takay love before marriage hosakay....... aur agar kissi wajah say yeh affair agay nah chal sakay to yehi amal doosray, phir tesray k saath kia jaa.ay aur aisay hi kai attempt k baad kissi aik ko select karlia jaa.ay... aur agar oss waqt tak woh kisis boy friend k haathoun apni asmat ganwanay say bachi rahi (jiska imkaan kam say kam hota hai k aik hadees ki roo say jahaaN 2 naa.mahram tanhaa miltay haiN, wahaan teesra shaitaan hota hai)..... to last n final byfriend say shadi karlay... aisi shadi k baad bhi yeh KHATRAH har waqt sawaar rahta hai k koi saabeqah boyfriend say aamnaa samnaa nah hojaa.ay aur woh present husband ko apnay talluqaat say osay agaha karkay iss shadi ko kharaab nah karday...

Allah har mosalmaan laRkay ko bil.amoom aur mosalmaan laRki ko bilkhasoos love affairs say shaitani chakkar say mahfooz rakhay aameen

1
 
 
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us