watan ki fikar kar nadan aik misal sy apni baat shuro karta hon , amrica ki aik riyasat main aik fasal ko kerra lag geya , wahan sy scientists ny buhat tago do k baad africa k janglaat sy aik jarri booti mangwaiee ussy kasheed kar k dawaiee baniee aur faslon par chirrak diya , iss dawaiee k asar sy fasal ko lagay sab keerry mar gaye , laiken chand dino baad mehsoos howa k wahan ki insani abaadi aik pur asraar bemaari main mubtela hoti ja rahi hay
tehqeeqaat par pata chala k yeh ussi dawaiee ka nateeja hay jis sy keerry to mar gaye hain laiken insan b mehfooz nahi hain , chunachy aik aur dawaiee chirrak kar pehli wali duwaiee k asar ko zaiyel kiya geya , abb iss sy asar to zaiyel ho geya laiken insano ko amwaat hony lag gayee pehly log bemaar hoty thy aur ilaaj k liye hospitals ka rukh karty thy laiken dosri dawaiee k asar sy direct marny lagy , thorry sy bemaar hoty aur saans ruk jata aur mar jaty
abb authorties ko aur ziyada tashweesh hoi k abb kia kiya jaye chunachy lakh koshoshon k baad jab iss baat par kabu na paya ja saka to wahan sy insani abadi ko kaheen mehfooz muqaam par mutiqal hony ka order dy diya geya , q k wahan ki fiza mukhtlaf tajarbaat ki base par buhat ziyada alooda ho chuki thi jis ka abb insan k pas koi hal nahi tha
yaani aik ghalti par dosri ghalti aur phir uss ghalti ko sudharny k liye aik aur ghalti , yahi haal abb pakistan ka ho chuka hay yahan ghalti ki gayee adam bardahsat wala muashra paida kiya geya abb ussy force k istemaal ki ghalti kar k khatam karny ki koshish ki jarahi hay , chunachy aik ghalti ko kisi dosri ghalti sy khatam nhi kiya jasakta
yeh qanoon-e-qudrat hay k jab insan apni asaani k liye koi aysi cheez takhleeq karta hay jo ussy to fada dy laiken dosry k liye muhlak ho to aik waqat aysa aata hay jab wohi cheez apny banany waly k liye b muhlak ho jaati hay
kehty hain k bijli k lakh faidy sahi laiken yeh kisi ki mout ka b sabab ban sakti hay aur jis ny issy banaya tha end main isi k hathon mara b tha , pakistan k andar agar agencies ko apny apny mufaad k liye istemaal karny k liye banaya geya tha to aaj yeh wohi waqat hay yahi agencies apny khalqon k liye dard-e-sar bani hoi hain , aaj b agar koi aqal ka andha inn agencies ki madad sy apny iqtedaar ya powers ko dawaam bakhash raha hay to yeh uss ki bhool hay k kal ko yahi agencies uss ki barabadi ka sabab nahi banain gi |