What Is A Mind Reader
Main yeh janna chatha hu k Mind Reading k konsay course hotay hain ? koi khas ilm hota hay iss technique ko hasil karnay k liay.Main nay bohat say Mentalist ko dekha hay offcourse TV progs main specially ziada tar Eurpeans hotay hain, unhain mind reading ati hay , wo kon log hotay hain ? kya koi khas log hotay hain ? kya wo bachpan say hi esay hotay hain ? un ki chund khasoosiat yeh hain : 1- woh ankhain dekh kar complete tu nahi lakin about 80% bata detay hain k agla bunda kye soch raha hay. 2-wo aglay ki memory ko influence kartay hain, us k mind ko esa hijeck kartay hain k wo sab kuch bhoolnay lagta hay uss thori dair k liay ? 3-wo conversational hypnosis kartay hain, jiss say agla bunda confuse ho jata hay. 4-wo kabhi kabhar kisi shop per jatay hain or agar 100 ka bil bunta hay tu 10 detay hain or aglay ko esa hi lagta hay jesay 100 milain hain coz of hypnosis. 5-wo randomly public main kisi bhi bunday say kehtay hain k kuch socho, or phir wo usay bata detay hain k tum kisi janwar k baray main imagine kar rahay ho, ya kisi place k baray main, ya kisi shaksiat k baray main. Etc Etc Etc. pehlay main samjta tha k yeh sab dramaybazi ha apna prog chalanay k liay, lakin abb khayal karta hu k asal main esa hota hay, kuch tu suchai hay iss main. sab kuch itna jhoot bhi nahi hay. yeh sab kesay hota hay, orr iss ko kesay seekha ja sakta hay. koi special studies hain ya book hain, kya hay actually ? main janna chatha hu, kyu k mujhay bohat shok hay iss ka. Kya yeh log yeh sab kaam shetani amal say kartay hain (Nauz-billah) ? Acha main Tricks ki baat nahi kar raha, mujhay trick or illusion ka bohat pata hay, main baat kar raha hu purely Mind-Reading or Mind-Hijacking ki......... Appreciate your comments.
|