Gunah aur self pity HopeExistsagar aap apney gunahouN say taang aa chukey haiN to ap Allah say toubah karain . Toubah ka simple tareekah yeh ha key ap Past mai keye huwey apney gunah ko gunah samjahaiN aur galat jaaney aur Present mai oos par nadam houN Allah kay samnaey (na kay logo kay samney) aur oos per maafi talab kareiN apney Allah say aur Future mai oos say perhaiz karney ka ahad karaiN aur mazeed yeh keh achchey kaam karain daily routine life maiN albatah self pity maiN indulge houney ki koi zaroort nahe ha kunke self pity apko mazeed miserable hee bunayega . self pity say sirf aur sirf yehe hoga keh ap apney aap ko ginahgar tasawar kartey huee mazeed gunah karney mai koi faraq nahi samjahaiN ge kay pehley say hee gunahgar houN to mazeed gunah kar liya to kya faraq pareyga behtar yehe ha k ye accept keya jaeey k pehle gunah keya ha jo keh galat tha karna oospe sharminda huwa jaeey Allah k samney aur ainda na karney ka ahad keya jaeeye. agar ap aik hee gunah bar bar kartey haiN badwajood repentance kay to ye nahe samajhna chhaheye k wo gunah maaf nahe huwa Allah chhahey to har bar maaf farma daitey haiN albatah ye sooch kay gunah nahe karna chhaheye k baad mai maafi mang li jaeeyge jahaaN tak self sex pleasure (masturbation) karney pe self pity ka shikar hooney ka taluq ha to ap pehle ye decide kar laiN keh aap self pity ka shikar kyun ho rahe haiN . kya iss leye k ap masturbation ko haraam samjhtey haiN ? ya iss leye k aap k zati khayal maiN iss say aap sexually aur physically kamzoor ho rahey haiN ? agar iss leye masturbation peh self pity ka shikar haiN keh aap samjhtey haiN aur jantey haiN kay ye gunah ha to behter ha k khud tarsi say khud ko nikal kar repentance ki taraf lai kar jaeen |