Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Kia Cellphone Boys Aur Girls Ki Zaroorat Hai?

Non Medical Discussion   >>  Society and Culture
 
 
 
IBBI Group: Members  Joined: 15th Feb, 2011  Topic: 6  Post: 26  Age:  24  
Posted on:30th Jul 2011, 2:12pm
 

Kia Cellphone Boys Aur Girls Ki Zaroorat Hai?

Dosto AsalaMu Alikum:

May ap sb say cellphone k baray may baat karna chaho ga. K yeh cellphone boys yaa girls k baad hona chahehy ya nai.....

kia yeh boys aur girls ki zarorat hai?

Mery point of view say na girlz k pas hona chahehy aur na hee boys k pass.... q k isi cellphone ki waja say kitny hee ghar berbaad ho jaty hain ..... aur unmarried,married peoples isi cellphone say call per sex and sms per sex ki batain kartain hain....

So ap sb apni apni suggestions dain Thanks ...

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2452  Age:  48  
Posted on:30th Jul 2011, 2:22pm
 

IBBI

humaray muasheray main behayaai, fahashi phelanay ka aik zariya hai cell fon

internet aur cell fon ne muashray ki islami iqdaar ko puri terah khokhla ker diya hai

even engagment k baad ab lerki aur lerkay k maan baap bhi dono se kehtay hain k understanding k liyay SMS aur call ke rliya kero aur phir sab kuch ho jata hai

is k ilawa cell fon companies bhi aisi schemes shuru kertay hain jin se sirif boys n girls ko hi fayeda ho

yani raat 12 bajay se subah tak free call


goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 7336  Age:  32  
Blocked
Posted on:30th Jul 2011, 2:23pm
 

nice reply?

very nice reply wehshi bahii
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:30th Jul 2011, 2:57pm
 

Cell phone aik mufeed eejad hai

1. jab cell phone nahi tha tu kya burayee nahi thii. sms tu sirf sms hota hai. woh na bura hota hai aur na hi achcha. aap os ke zaria fahash baat bhi ker saktay hai aur mazhabi baatain bhi. lehaza sms ka apna koi qasoor nahi. agar aap samajhtay hai keh sms ghalat hai tu ghalat sms kerne wale ka qasoor hai.

2. burayee ka taluq insaan ki personality se hai. na keh scientific eejad se. lehaza cell phone ka be-hayaee se koi taluq nahi. tamam scientific eejad ki tarah cell phone ke bhi fawaid beshumar hai.

3. jaha tak islam ki baat hai tu woh aaj dunia bhar mai sirf aur sirf isi liye maar kha raha hai keh woi scientific mahol ko qabool kerne ko tayyar nahi. aur os waqt tak maar khatay rahe ge jab tak woh kuain ke medak bane rahai ge.

4. agar maa baap ki ijazat se mangeter aik doosre se baat kertay hai tu iss mai doosro ko pareshan hone ki kia zaroorat hai. jab maa baap pareshan nahi tu ham kon hotay hai pareshan hone wale

5. agar cell phone company koi sasta packages announce kerti hai tu os mai cell phone company ka kia qasoor.

6. aakhir mai aik baar phir bata de keh jab cell phone nahi tha tu log pen se ishqia khatoot likhtay thay tu kia yeh Pen ki kharabi thii. jis tarah Pen ki kharabi nahi thii isi liye cell phone ke zaria ishq kerna bhi cell phone ki kharabi nahi.
IBBI Group: Members  Joined: 15th Feb, 2011  Topic: 6  Post: 26  Age:  24  
Posted on:30th Jul 2011, 3:51pm
 

Re. Bewaqoof

Bewaqoof agar cellphone na hoo tou kuch hud tak burai aur fahashii harkatain khatam ho sakti hain....Network cellular companies ka boht bara qasoor hai... woh raat ko 12 bjy k baad q call and sms free packages daity hain,,,Din may q nai daitay???

Engagement k baad b boy ya girl apus may baat karty hain thats its not good q k kafi logo ki engagements break up ho jati hai.... aur after engagement boy,girl Na -Mehrum hoty hain....mairy point of view say yeh sbb galat hai....

I know k cellphone k boht benefits b hain...but ap apnay around the environment may goomain ,,daikhain apko koi esa bunda kum hee nazar a hay ga jocellphone ka use positively karta hooo....

Iqra_alone Group: Members  Joined: 02nd Jul, 2011  Topic: 15  Post: 153  Age:  23  
Posted on:31st Jul 2011, 5:26am
 

Re ibibi

Are tumhare sugestion ghalat hai. Q ke cell phon ek useful cheez hai Q log ise ghalat istemal karte hai. Rat 12 baje se subh tak ye scheme iss liye hai ke larka aur larki ki mangni hojai to bat karsakte hai. Aur celphon par zina bhi ki jati hai agar cell phon nahi hota to zina bhi nahi hota. Aur agar mobil me internet ki sahulat hai to iss liye hai ke log isse apna kam job wagaira asan kar sake. Q log net cafe me ja kar us internet ka ghalat istimal karte hai bat ye products ki nahi use karni ke hai.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:31st Jul 2011, 5:56am
 

cell phone bura nahi uss ka istemaal bura ya acha hota hay

haliyaa cricket world cup k doran pepsi company ka ishtehaar india , pakistan tv Chanel sy chalta tha , india main pepsi company indian cricket team ko support kar rahi thi aur pakistan main pakistan cricket team ko buck up kiya jaa raha tha , iss ka yeh matlab nahi hay k pepsi company ko indian ya pakistan cricket teams sy koi hamdardi hay unhain to apna busines promote karna hay chahy uss k liye jo b kiya jaye

yahi haal cell phone companies ka hay cell phone companies ko islamic traditional values ki koi parwaa nahi hay unhain apna bussiness promote karna hay iss k liye wo jo b rah apnaien unn ka haqq banta hay , yeh to hamari zumaa daari hay k hum kisi cheez ka use kis andaaz sy karty hain

maslan agar mobile network companies koi oot ptaang qisam k packages mutarif karwaaty hain to iss ka matlab khalistan unn ki bussiness promotion hay jo log inn packages ko istemaal nahi karty ya jin ka inn sy koi saro kaar nahi wo log b to issi mu'ashary main zinda hain ,

waisy mera zaati khiyaal hay k mu'asharti gand ya abnormalities k khilaaf awaaz wohi buland karta hay jis ki pohanch ya dasatrast mehdood hoti hay , yaani imaan daar wohi hay jisy be imaani k muwaqy muyas'sar nahi hain..:)

bye the way mera aik sawal hay k yahan cell phone operators k bary likhna hay ya cell phone manufacturers k bary main ....??? q k yeh do batain hain aik bat nahi hay
raregold Group: Members  Joined: 16th Jul, 2011  Topic: 0  Post: 44  Age:  34  
Posted on:31st Jul 2011, 11:07pm
 

Fire!

Asalaamu alaikum all,

Jahan tuk mujhey patta hay kaha jata hay keh "Fire is a good slave but a CRUEL master"....................ye baat her uss cheez per lagoo hotti hay jo dual purpose rakhti hay TV aur Internet say lay ker Cable aur cell phones tuk!

IBBI aap aik BACHAY ko jo mature nahi hay mentally abhi aatish bazi day do, internet, cable video center yaa Cell phone uss nay kerna shaitani kaam hee hay! Masla yeh hay keh humaray mulk may kuch TRENDS chaltay hain bher chaal chalti hay! aik ghur may aik bachay kay haath may cheez hotti hay wo saath walon ko bhi yaa ussi model ki chahiyeh yaa uss say bhi behter!............ aur to aur joint family system may bahooyen aapus may larr beth tee hain keh ji mera cell phone acha hay falan jalti hay!

Baat sirf itnee see hay keh aapki society ka kaunsa tabqa kaunsi gadget se kerta hay! tabqay say murad meri level of education per dependant tabqa hay!

Rahi telephone companies ki baat to wo bhi BUSINESS kerr ahay hain jesay koi soodi nizam ka bank keray yaa koi Pvt School ka owner! suko ko ROKRRA banana hay lihaza kissi ki aulad tabah ho iss say unko gharz nahi, na hee wo yeh apni zimay dari samajhtay hain ikhlaqi taur per , aakhir kaunsa business hay jo raat 12 bajay say shuru hotta hay subha 6-7 bajay tuk ? 1 percent bhi SERIOUS CELL PHONE USERS uss package ko use nahi kertay hain shayed kion keh her kissi ki firm US may nahi bethi hui bara ghantay kay time difference kay sath! zahir hay teenagers aur early 20s walay hee jaagay huay hongey!

Masla yeh hay keh aaj kal ki maan aur baap bachay ki cell phone ki zid kay agay hathiyaar daaltay huay ye nahi sochta hay keh sassta tareen package use kernay ka jo waqt hay uss say Surah Falaq may ALLAH swt ki panah maangi gayee hay keh raat ka andhera beshak khatarnaak tareen ATTACKING time hota hay shayateen ka!

ALLAH swt say dua hay keh humain hidayat dain iss sislsilay may ameen.

IBBI Group: Members  Joined: 15th Feb, 2011  Topic: 6  Post: 26  Age:  24  
Posted on:31st Jul 2011, 2:39pm
 

raregold welldone

Welldone...........

Ap nay jo kuch kaha sai kaha........ may b yehi kehna cha raha hooon k cellphone hamari society k youngsters k lihay nai acha..... na girls ko rakhna chahehy aur na heee boys ko...... q k youngsters Pakistan may rehty hohy iska sai istemal nai kar sakty.....

May 6 years Oman may b rey chuka hoon wahan k youngsters aur yahan k youngsters may zameen asmaan ka farq hai.....

Mera question yeh hai k wahn ki cellular companies uon ki awam ko koi sms ya call package q nai daiteen? ? ?

Sirf hamari companies esa business q kar rai hain... k hamary youngsters tabai k rasty per chal paray hain...... ? ? ?

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2452  Age:  48  
Posted on:31st Jul 2011, 3:02pm
 

raregold

agreed
weldon
IBBI Group: Members  Joined: 15th Feb, 2011  Topic: 6  Post: 26  Age:  24  
Posted on:31st Jul 2011, 4:40pm
 

KASH

Kash yeh cellphone hota heee naaa............ :( is mobile k dis advantages boht hain..... Iski radiations boht dangerous hoti hain.....

Scientists ny dawa kia hai k zaida cellphone use karnay walo ko brain ki diseases ho sakti hain... like brain tumer,brain cancer etc....

Woi loog achay hain jo is k bagair life guzar rahay hain.....

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:31st Jul 2011, 4:44pm
 

re: cell phone

IBBI aap se sawal hai
  1. kya aap cell phone use kertay hai?
  2. kya aap ke ghar wale cell phone use kertay hai?
  3. aap ke ghar mai total ketne cell phone mojood hai?
IBBI Group: Members  Joined: 15th Feb, 2011  Topic: 6  Post: 26  Age:  24  
Posted on:31st Jul 2011, 4:49pm
 

Re. Bewakoof

Bewakoof .....

Mairy cellphone ko choray hohy 3 years ho gay hain.......may cellphone use nai karta,,,, aur mairy ghar may meri mom aur younger brother hai jo 8th class may perta hai..... hamary ghar PTCL laga hoha hai..... sb us per call karty hain.........so mairy ghar may cellphone naam ki koi chez nai hai....

IBBI Group: Members  Joined: 15th Feb, 2011  Topic: 6  Post: 26  Age:  24  
Posted on:31st Jul 2011, 4:57pm
 

Re. Alirajput

Ali Bai may hr wqt ghar may hota hooon jo b call a heee may heee pick karo ga,,,,, becoz bucpun say ly kar mera zaida time ghar may guzra hai... mera koi friend nai jis k sath may bahir goomta rao.........

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:31st Jul 2011, 5:03pm
 

re: cell phone

re: "so mairy ghar may cellphone naam ki koi chez nai hai."

yahi wajah hai keh aap ko cell phone ke baaray mai kuch bhi nahi maloom, sirf suni sunayee baato per fazool mai bahas ker rahe hai.

jaha tak suni sunayee baat hai tu phir osi ki baat kertay hai. ab aap ne jo kuch kaha hai os ka proper reference de ke aap ne cell phone ke baaray mai yeh sab baatai kaha read ki hai. ham bhi ose read kerna chahtay hai. aap ne kaha:
  1. radiations boht dangerous hoti hain
  2. Scientists ny dawa kia hai k zaida cellphone use karnay walo ko brain ki diseases ho sakti hain
  3. like brain tumer, brain cancer etc
aap ke paas cell phone nahi hai, isi liye aap yaha per lambi lambi haank rahe hai. agar lambi lambi haank nahi rahe tu phir aap ne oopar jo kuch kaha hai os ka reference dain.
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2452  Age:  48  
Posted on:31st Jul 2011, 7:10pm
 

cell fon

1984 main 1st time pakistan main Karachi main cell fon start huwa tha

1985 main cell fon ki sale start hui hum ne us waqt 75000 rupees security k sath liya jis ki length 35 CM aur weight about 1300 gram tha
us ki aik extra bettery sath rakhni hoti thi jis ak weight 650 grame tha

cell fon lenay k 5 month k baad company ne sab users ko call kiya aur anti rediation antina cover diya jo led ka tha aur us ka weight 450 gram tha aur price 13000 rupees thi woh cell fon k amtina per lagana hota tha

btanay ka maqsad yeh hai k cell fon hi nhn her new invention k baad us k liyay accessories ki bhermaar hojati hai
aur woh accessories bananay walay sab kuch kertay hain sale kernay k liyay
is liyay jab koi bhi invention hoti hai to us k fayedon k sath us k nuqsanat bhi hotay hain lakin msuse walay nuqsanat ka koi azala nhn

ab koi BHAINS ki terah SEENG phansaai jai k nhn main sahi hun to koi ilaj nhn

IBBI, raregold
aap dono sahi hain kiun k aap log muasheray main rehtay hain aur samjhtay hain




Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:31st Jul 2011, 7:27pm
 

re: Cell Phone

jo log iss baat per muttafiq ho keh cell phone intehayee nuqsaan dah hai on sab ko chahiye keh agar woh cell phone istemal kertay hai tu aaj se istemal kerna band ker dain. apne gharo se cell phone nikal ker dustbin mai phaink dain. apne aur ghar walo ke cell phone farokht ka mashwarah iss liye nahi dia jaa sakta keh jo cheez apne liye ghalat hai ose doosro ke haath farokht nahi kerni chahiye.

aur jo log samajhtay hai keh cell phone ke nuqsanat ke muqable mai fawaid ziadah hai woh cell phone ka istemal jaari rakhain aur doosro ko bhi cell phone use karne ka mashwarah dain.
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2452  Age:  48  
Posted on:31st Jul 2011, 8:23pm
 

cell fon

AQAL NA HOWAY TE MOJAN HI MOJAN

عقـل نـا ھـو وے تـے مـوجـاں ھـی مـوجـاں



hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1864  Age:  26  
Posted on:31st Jul 2011, 9:02pm
 

cell phone k haq me mein hu 50 50..:)

kisi b cheez ka ghalat ya sahi istemaal krna humare apne hath me hota hai na k cell phone k............jisko ye nhi pasand wo na use kre

10saal pehlay tk mobile itna aaam nhi tha agur kisi lurki ko dost or relative k ghur jana hota tha ya market me to ghur me se koi fard sath jata tha/ thi to ghur wale b befikar hojaty thy k lurki akaili nhi hai.aur lurki ko b da rhota tha k sath koi hai jo ghur walo ko hur bat btayegy ya btayega.

laikin mobile phone ne ye masl ab hul krdia aur nateeja ye nikla k ajkal aurty akaili idhar udhar ghooom phir rhi hoti he kio k unka body gaurd sath hota jiska naam hai cell phone..................

ais ahur jaga b nhi hai............humare apne hath me hia k hum cell phone ka sahi istemal krty he ya nahi...........kio k cell phone ko hum use krty he wo hume nahi.............:)
hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1864  Age:  26  
Posted on:31st Jul 2011, 9:04pm
 

wehshi uncle

apne adhi baat kio ki hai................:D

AQAL NA HOWAY TE MOJAN HI MOJAN

عقـل نـا ھـو وے تـے مـوجـاں ھـی مـوجـاں


AGUR HOWAY SE SOCHAA E SOCHA.............HEHEHHE
1 2  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013