laluch achi bala hay
teen dost ek jangal main ja rahay hotay hain, unhain ek sonay ki ieent nazar ati hay, itnay main unhai bhook lag jati hay, wo ek bunday ko khana lenay k liay bhej detay hain. jab wo jata hay tu baki k dost usay marnay ka prog bunatay hain, udher jo khana lenay jata hay wo khanay main zehar mila deta hay k sara hissa mujhay mil jaiga. khair janab wo wapis ajata hay, us k dost usay mar detay hain, khair wo khana khanay beth jatay hain, un do main say ek khana khata hay doosra nahi khata kyu k doosray nay 3 class main laluch buri bala ki kahani parhi hoti hay, jo usay us waqt yaad ajati hay. wo khana nahi khata, itnay main uska dosra dost mar jata hay. phir wo akela sonay ki ieent lekar chala jata hay, or usay sale kar k ek bohat bara busines man bun jata hay. Moral : laluch buri bala nahi hay, agar precautions rakh kar chala jai.
|