Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

New Born Baby Sleeps Uncomfortably - Tips Needed ?

Non Medical Discussion
 
 
 
tspakistan Group: Members  Joined: 05th Nov, 2010  Topic: 10  Post: 10  Age:  35  
Posted on:18th May 2011, 8:50am
 

New Born Baby Sleeps Uncomfortably - Tips Needed ?

salam to all...mujhai yai question pochna hai ke mera baby 1 month ka hai ...lekin problem yai hai ke wo sedha nahin sota...specially rat ko,,.sara din tu sedha sota hai.par rat main rota hai or side pai litaon tu sou jata hai ...lekin main ne suna hai ke side pai litanai sai bahcai ka sar lamba hojata...kindly koi medicaly mujhai bata sakta kai aisa hi hota hai kiya? or main kiya karon...
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:20th May 2011, 6:47am
 

Re: tspakistan

bachay ko start k kuch mons tak kapRay meiN lapaiT kar rakha jata hae. is tarah woh uncomfortable bhi feel nahi karta aur us ko uThana bhi asaan hota hae. is tarah bacha sota bhi seedha hae. kiya aap apnay bachay ko nahi lapaiT.tiN ?

agar bacha karwaT k bal sota hae to is se koi masla nahi. aap usay isi halat meiN sonay diya karaiN. jab baby ko feed karwayeN to us k sar k neechay apni hatheli rakh liya karaiN is tarah bachay ka sar shaped rehta hae. no worries :)
Sad_heart Group: Members  Joined: 10th Feb, 2011  Topic: 17  Post: 242  Age:  20  
Posted on:20th May 2011, 10:07am
 

Reply to Maryam sis

Aap ko dobara forum par dekh kar acha laga.
Sad_heart Group: Members  Joined: 10th Feb, 2011  Topic: 17  Post: 242  Age:  20  
Posted on:20th May 2011, 10:12am
 

Nice

Maryam Sis aap Womens ki problems ko bahot ache se samajhti aur solve karti hain. After MYRIZVI you are My SECOND FAVORITE MEMBER. Allah aap ko hamesha kush Rakhe. (aameen)
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:20th May 2011, 11:14pm
 

New Born Baby

amoman hum sab k sath masla yeh hota hay k hum apni paidaish sy lay kar taqreeban 2 saal ki age tak apna guzara howa waqat nahi janty , humain yeh nahi pata hota k hum jab iss marhaly main thy to hamary maa baap ko hamari waja sy kia kia takaleef theen ,?

asal main bat yeh hay k new born baby khaas kar 2 saal ki age tak khuwaas ki madad sy apni life gee raha hota hay , 2 saal k baad bacha sha'oor ki madad sy zindagi basar karta hay , yaani 2 saal ki age tak agar bachy ko bhook ka azhaar karna hay aur khoorak ki talab karni hay to wo roo kar karta hay q k bachy k khawaas main yeh baat shamil hoti hay k bhook lagny ki sorat main siraf rona hay , iss sy bachy ki maa samjh jaati hay k bachy ko bhook lagi hay issy khorak chahiye

issi trah baqi sab masayel b hain jo 2 saal ki age tak k bachy ko apny khuwaas ki madad sy zahir karny hoty hain , bacha agar rota hay to apny khuwaas ki madad sy , agar hansta hay to khuwaas ki madad sy , bacha iss age tak apny sha'oor ki madad sy na hanas raha hota hay na roo raha hota hay ..yaani bacha jo kar raha hota hay ussy sha'oor nahi hota k wo kia kar raha hay bas uss k khuwaas kaam kar rahy hoty hain

lehaza bachy ka har act jo 2 saal ki age tak hota hay wo khuwaas ka marhoon-e-minnat hota hay iss liye iss age main bachy ki tarf sy sar ko ulata karna , sar ko gumana , kisi awaz par matwajja hona , hansna , rona gharaz yeh k har act khuwaas ki waja sy hota hay iss liye jis bachy k khuwaas jis trah kaam karty hain wo ussi trah act karta hay , aap k baby k khuwaas main b yeh baat shamil hay k wo sar ko sedha na rakhy aur taqreeban har bachy main aysa hi amal paya jata hay . iss liye don't worry ..:)

bacha agar sar ko terrah merrah kar k sakoon hasil karta hay to aap lakh mushakat kar k b uss ka sar seedha karny main kaam yaab nahi ho sakty balky sar seedha karny ki sorat main bacha uncomforted feel karta hay

aap sirf bachy ko khuwaas ki duniya main sy nikal kar sha'oor ki duniya main dakhil hony tak wait karain sab apni routeen par ajaye ga

wazy rahy k sha'oor sy meri muraad aqal wala sha'oor nahi hay wo aik alag subject hay ...thanks
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013