New Born Baby amoman hum sab k sath masla yeh hota hay k hum apni paidaish sy lay kar taqreeban 2 saal ki age tak apna guzara howa waqat nahi janty , humain yeh nahi pata hota k hum jab iss marhaly main thy to hamary maa baap ko hamari waja sy kia kia takaleef theen ,?
asal main bat yeh hay k new born baby khaas kar 2 saal ki age tak khuwaas ki madad sy apni life gee raha hota hay , 2 saal k baad bacha sha'oor ki madad sy zindagi basar karta hay , yaani 2 saal ki age tak agar bachy ko bhook ka azhaar karna hay aur khoorak ki talab karni hay to wo roo kar karta hay q k bachy k khawaas main yeh baat shamil hoti hay k bhook lagny ki sorat main siraf rona hay , iss sy bachy ki maa samjh jaati hay k bachy ko bhook lagi hay issy khorak chahiye
issi trah baqi sab masayel b hain jo 2 saal ki age tak k bachy ko apny khuwaas ki madad sy zahir karny hoty hain , bacha agar rota hay to apny khuwaas ki madad sy , agar hansta hay to khuwaas ki madad sy , bacha iss age tak apny sha'oor ki madad sy na hanas raha hota hay na roo raha hota hay ..yaani bacha jo kar raha hota hay ussy sha'oor nahi hota k wo kia kar raha hay bas uss k khuwaas kaam kar rahy hoty hain
lehaza bachy ka har act jo 2 saal ki age tak hota hay wo khuwaas ka marhoon-e-minnat hota hay iss liye iss age main bachy ki tarf sy sar ko ulata karna , sar ko gumana , kisi awaz par matwajja hona , hansna , rona gharaz yeh k har act khuwaas ki waja sy hota hay iss liye jis bachy k khuwaas jis trah kaam karty hain wo ussi trah act karta hay , aap k baby k khuwaas main b yeh baat shamil hay k wo sar ko sedha na rakhy aur taqreeban har bachy main aysa hi amal paya jata hay . iss liye don't worry ..:)
bacha agar sar ko terrah merrah kar k sakoon hasil karta hay to aap lakh mushakat kar k b uss ka sar seedha karny main kaam yaab nahi ho sakty balky sar seedha karny ki sorat main bacha uncomforted feel karta hay
aap sirf bachy ko khuwaas ki duniya main sy nikal kar sha'oor ki duniya main dakhil hony tak wait karain sab apni routeen par ajaye ga
wazy rahy k sha'oor sy meri muraad aqal wala sha'oor nahi hay wo aik alag subject hay ...thanks |