Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Immoral Act By Teri Jones-What Should Strategy By The Muslims?

Non Medical Discussion
 
 
 
ishtiaaq Group: Members  Joined: 06th Aug, 2008  Topic: 38  Post: 81  Age:  29  
Posted on:11th Apr 2011, 8:24am
 

Immoral Act By Teri Jones-What Should Strategy By The Muslims?

Salam To All Friends!

Nabi Kareem (S.A.W.W) Ki Hadees-e-Pak hai ke "Agar Tum mein se koi kahin koi Bouraai hoti hoi dekhhy to ousy Hath se roky, Agar Hath se nahi rok sakta to Zuban se Roky aur Agar Zuban se b nahi rok sakta to kamm se kamm ous bouraai ko dil mein zaroor Bourra samjhy"

Dosto Aap nay Haraami Mardooud Terry Jhon ka Quran-e-Pak ko Na-ouzo-billah jalaany ka waaqeya to zaroor T.V per aur Akhbaron mein parha aur dekhha ho ga. Dosto ous Mardooud nay ye Entaahaii bhara Gunaa-e-Kabeera kiya hai aur Being a Muslim main is baat ki bharrpoor Mouzaamatt karta hon aur aap se b Mouzaamatt ki Apeal karta hon.

Dosto aik cheez dekhh kar jo dil ko khushi hoi wo ye thi ke Pakistan mein is issue per bharrpoor Aehtajaaj kiya gaya hai jis se kamm se kamm is cheez ka saboot to mila hai ke Aaj b Hamaary Ander Emaan Zinda hai.

Lekin Dosto mujy dukhh aur afsos howa hai to is baat ka ke Poory Arab aur Khaleej ke Momaalakk mein kahin b kisi nay kisi b satt ha per Ous Malloun Terry Jhon aur America ke Khilaaf kisi b qism ka koi Aehtajaaj nahi kiya aur na hi yahan ke Media mein is per koi baat hoi aur na hi Aakhbaraat mein is baary mein koi Khaber chhapi.

Dosto main ye sabb baatain is wasooq se is liy keh raha hon keon ki main khud yahan Arab ki Reyasat mein rehta hon aur rozana hi yahan ke aakhbaraat ko dekhhny ka aur yahan ke local logon se mera wasta parta hai. So is saari soorat-e-haal ko dekhh kar itna dukhh howa ke Jin Arab ki Reyaaston se Islam ki Ebbtada hoi aaj ounhi Arab ki Reyaston ke Hokamraanon aur wahan ki Aawaam ke Emaan ki ye Halatt ho gaai hai ke kisi mein itni Jouratt aur Himatt nahi hai ke wo is Mall'oun terry jhons ke khilaaf koi Aehtajaaj hi kar sakain.

Aaj mujy kamm se kamm is baat ki khushi hai ke Main Pakistani hon, Aik aisi qoum ka fard hon jis mein aaj b kuchh na kuchh Emaan baqi hai aur Allah se doua hai ke Allah hamain Emaan-e-kaamil Aata kary. Ameen.


Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:11th Apr 2011, 2:22pm
 

re : Emaan Ki Halatt!

ishtiaaq bro , main aap ki baat sy ittefaaq karta hon waqiya hi arab countries main sirf name ka islam hay wahan haqeeqi maano main islam ki na to asha'at ho rahi hay aur na hi tarweej ho rahi hay aur sitam balaye sitam yeh k arab main islam k ahkamaat par amal b aik riyasti qanoon k tor par kiya jata hay islam ka hukam samjkh kar nahi ,

wahan k logon main yeh ihsaas paida kardiya geya hay k agar koi gunah kiya jaye ga to yeh gunah nahi balky jurm hoga misaal k tor par agar koi banda zuhar , asar k waqat apni shop band karta hy to uss k zehan main yeh nahi hota k wo allah ki ebadat karny k liye aysa kar raha hy aur agar ebadat na ki to gunah hoga , bulky uss bandy k zehan main yeh hota hay k agar zuhar , asar k waqt shop band na ki to riyasati qanoon k tehat wo mujram thehry ga aur ussy jurmana b daina parr sakta hay ..!!

jahan aysi soch paida kar di jaye jo bazahar to charm able nazar aati hay aur iss trah ijtemaaie tor par masaajid abaad nazar aany ka sabab ho .. laiken iss trah islam ki asal rooh islam followers main sy ghaib ho jati hay aysi sorat main log mulik k qanoon ki paasdaari k tor par ebadaat anjaam daity hain islam ki rooh samjh kar nahi , abb aysi condition main har wo act jo k islam k tasha'khus ki akaasi karta hay ussy baja lany ka "rawaj" nahi hota lehaza yeh kaisy mumkin hay k aysy mahol wa logon sy yeh towaqqo ki jaye k wo islam k khilaaf hony wali kisi sazish ka kam az kam ihtejaaj ki sorat main hi jawaab dy sakain

iss k ilawa yeh baat b roz baroz daikhny ko mil rahi hay k arab main aysy aysy fatwas jaari ho rahy hain jo islamic preachings ki kam aur ghair islam ki ziyada tarjmaani kar rahy hain aysi sorat main jab mahol ko ghair islam quwaton ki mukamal grifat main dy diya jaye ya phir apny act sy yeh sabit kiya jaye k aysy hathkandon sy isalmic teachings ko khatra ho to ho laiken ghair islam quwaton ko koi khatra nahi ho ga to phir aap ki bataien k aysy logon sy kia ummeed ki jasakti hay k wo ghair islam quwaton ki tarf sy islam k khilaaf hony waali kisi saazish ka jawaab dy sakain

asal main arab ko morally dead kar diya geya hay aur arab ki iss majooda shakal sy aaj ghair islam quwaton ko koi khatra nahi hay iss liye zor shor sy ghair islam quwatain islam k khilaaf sazshain karny main masroof hain , ghair islam quwaton ny pehly islam k markaz ko apny qaabu main kiya baad main islam k khilaaf act karny lagy

beharhaal hum apna mazhabi fareeza samjhty howy maloon tery jhones k iss act ki bharboor muzammat karty hain aur apny muslim bhaiyon sy yeh b appeal karty hain k roads par aaker apni hi buildings wa amlaak ko nuqsaan puhanchany ki bajye khud morally itna mazboot ho jaien k aysy islam dushman anasar ko dobara sy aysi ghanaoni harkat karny sy pehly 1000 baar sochna parry ...
Quest Group: Members  Joined: 04th Apr, 2011  Topic: 2  Post: 104  Age:  28  
Posted on:11th Apr 2011, 3:09pm
 

istiaaq

diplomate is correct.......arab duniya is wakt western conutries kay full time under mai achuki hai......iski example app dekh sakte hain un dictators ki jo kaeee kaeee salon se barajumaan thay arab mumalik pe aur west kay agents thay ......aur ab jakay awaam jagi hai unki.......likin sirf hukmarano ko hatanay ki had tak jaagi hai......warna awami protest bhi itna zor o shor nay samnay nahi ata is tarha kay muslim againts wakiyaat pe arab mumalik main......yehi to one of the reasons hain jinki basis pe muslim countries zawaali ka shikaar hain......specially arab countries are dead

ishtiaaq Group: Members  Joined: 06th Aug, 2008  Topic: 38  Post: 81  Age:  29  
Posted on:12th Apr 2011, 2:22am
 

DOZAKH KA ENNDANN!

Salam To All Friends!

Dosto pehly to main is Hadees ko mokammal karo doun jo kall jaldi mein poori bayan na kar saka
Nabi Kareem (S.A.W.W) Ki Hadees-e-Pak hai ke "Agar Tum mein se koi kahin koi Bouraai hoti hoi dekhhy to ousy Hath se roky, Agar Hath se nahi rok sakta to Zuban se Roky aur Agar Zuban se b nahi rok sakta to kamm se kamm ous bouraai ko dil mein zaroor Bourra samjhy aur ye Emaan ka sabb se kamzor darja hai"

Dosto mujy ye jaan kar bohat khushi hoi ke aap dost b In Naam Nehaad Islam ke thhaikydaar Arab Hokamraanon ki assliatt se acchi tarha waqif hain. Dosto ye baat jo aub takk ki gaai is mein Hokamraanon ka zikar to ho gaya but wahan ki Aawaam ke Emaan ki halatt b Hokamraanon se different nahi hai.

Paisy ki faarawaani nay Aawaam ko b itna Aaraam pasannd, Aaiyaash aur Laadeen kar diya hai ke log masjidon mein namaaz to parny jaty hain but jaisy hi Masjidon se bahar nikalty hain to Duniya ki khaarafaat mein aisy party hain ke aqal dekhh kar dhangg reh jati hai ke kaya ye waaqi sacha aur pakka Nimaazi hai?

Bhari Bhari aur qeemti ghariyaan, qqemti libaas, qeemti mobiles, aur bhary bhary restaurants mein khhna peena aur night clubs mein jana yahan gulf mein aub aam hai, Lekin Haqqdaar ko ous haqq dena parr jaaye to in logon ki jaan nikal jaati hai aur ye ousy boura bhala keh kar douttkaar dety hain.

Dosto Aap yaqeen karain main nay yahan aisy aisy ajnabi log jo yahan rozgaar ki talaash mein aaye howu hain dekhhy hain jin ki mahaana oujratt aik aam Arab bachy ke mahana jabe kharach se b kamm hai. To aub aap hi bataaiye ke ke ye kaisy Deendaar aur Allah se darny waly log hain jin ke pass apni Aaiyashi ke liy to bohat kuchh hai magar ghreeb haqqdaar ke liy kuchh nahi hai.

Dosto kaya Dozakh ka sabb se ziyada Enndann ye log nahi hain?
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2452  Age:  48  
Posted on:14th Apr 2011, 4:43pm
 

tere jhons

خــود قتــل کــر کــہ آپ پــوچھــتے ہیــں کیــا مــاجــرا ھــوا

hum khud hi i ssab k zumaadar hain k humari buzdili kam himati aur laalchi hukmaranon ki wajah se hum bhi wesay hi ho gai hain k woh log kuch bhi kr len hum boltay hi nhn

is se pehlay DENMARK ne jo kiya us per hum ne konsa teer marliya?

salman rushdi ka hum ne kya bigar liya balkay usay to IRAN ki wajah se tahafuz mil gaya

ager us waqt ki irani hakoomat us k qatal ka fatwa na dety to UK hakomay usay serkari protection na deti aur shayed ko mujahid usay qatal kr deta

is k ilawa hum ne kabhi bhi kuch nhn kiya

america ne iraq main aa ker musalman mray hum ne kya kiya?

afghanistam main mar raha hai hum ne kya kiya?

pakistan k masoom awam ko daily marta hai hum kya kertay hain balkay humari hakoomtain un k sath hain apna fayeday k liyay

ab libiya main mar rah ahai hum ky aker len gay

hum ne khud ko imaan aakhiri derjay qabil bana liya hai k bas dil main bura jano

au rjab koi kerta hai to hum hi usay dehshat gerd kehtay ahin

aik misaal hai k lerki nangalibas pehan kr ghoomti hai koi usay cheray to lerka badmuaash kehlata hai

isi terah her jagah woh musalmano ko marta hai tang jerta hai lakin jab koi muslaman kuch keray to sari duniya usay terorrist kehty hai

aisay hi hai na k

jab insaan jungle se janwer maray to SHIKARI

laki jab janwer apni hifazat min kisi insaan ko mar de to ??????

WEHSHI

1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013