Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

Saba (s for u) Ki Tarbiyat Kiss Ny Ki Hay..!!?

Chatting
 
 
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:17th Mar 2011, 1:44am
 

Saba (s for u) Ki Tarbiyat Kiss Ny Ki Hay..!!?

muhteram readers / members iss forum smait jahan kaheen b koi mubahisa hota hay ya conterversial issues par tabadala khiyaal kiya jata hay to wahan aham tareen baat yahi hoti hay k zatiyaat par attack karny ki bajaye daleel sy baat ki jaye aur daleel ka jawab daleel sy hi diya jaye ..laiken jab daleel k jawab main daleel paas na rahy to amooman tang nazar aur ana prasat qisam k log dosry ki ahanat karny k liye aur apni jhoti anaa ko taskeen puhnachany k liye iss had tag gir jaty hain k unn ki hony wali tarbiyat ka pata chal jata hay aysa hi aik karnama yahan ki aik seniour member saba (s4u) ny anjaam diya hay 
 
yahan talaq k mozo par  "kia talaq ho gayee"  kuch sawalaat aye jis main ahal-e-sunnat aur shia members ny qurani aur ahadees k refference k sath apny apny mo'aqqaf ki tarjmaani ki wahan kisi sy debate maqsood nahi thi balky apna apna nuqta nazar biyan karna tha taham mahol aysa ban geya ya bana diya geya k majboran sawal ko aik tarf rakh kar apis main behas-o-mubahisa hony laga 

chnachy jab shia members ny quran ki ayat sy apny mo'aqqaf  ko wazy tar kar diya to iss masoofa (s4u) ny apni bokhalahat ka saboot daity howy wahan sy rah-e-farar hasil ki aur aik closed thread  temporary marriage allowed  jis main behas almost complete ho chuki thi aur members samait aam readers ko shia nuqta nazar ki haqaniyat ka ilam ho chuka tha massofa ny iss closed thread ko re continue kiya aur yeh socha k divorce waly thread main jo paspai ikhtiyaar ki gayee hay uss ka kisi trah badla liya jasaky 
 
khair...iss thread main b shia members ny dobara sy bharpoor hawala jaat aur ayat-e-qurani k reffrence sy aik baar phir apny nuqta nazar ki bharpoor wazahat ki aur chaar-o-nachaar wahan b shia mukhalfeen ko shia nuqta nazar k samny ghutny takeny parry aur shia nuqta nazar ko tasleem kiya 
 
lehaza jab kisi ki naam nihaad anaa ko bar bar thais puhancy to wo apny andar tilmalana shuro kar daita hay wo aysy banahny talash karta hay jo k chahy ghiar aqli wa ghair mantqi aur ghair fitri hi q na hon laiken unhain adopt karny sy kisi trah apni naam nahad anaa ko puhanchny wali thais ka badla to liya jaye 
 
yahi kaam miss s4u ny kiya ..pehly kuch tazheek amaiz posts keen jis ka zikar main abi karta hon baad main apni durgat ban'ny k dar sy thread ko closed kiya ..yaani khud thread re continue kiya tha apny nuqta nazar ki hamayet aur wazahat theek sy na kar sakny k sabab issi thread ko khud hi closed kar diya ...baat yahan tak hi rehti to b koi baat nahi thi ..

laiken iss mu'amly ki arr main iss khatoon ny jo apni tarbiyat aur apny khoon ka saboot diya hay uss par iss ki sarzanash karna az had zarori tha iss liye mujy new thread start karna parra

Warning: No posts that attack, insult, "flame" members or guests are allowed.:Moderator
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:17th Mar 2011, 2:03am
 

continue...

mosoofa ny uss thread main apni tarbiyat ka saboot daity howy likha k

.."Diplomate uncle
aap islam k qareeb hain.aur baqool aap k k aa islam ko samjhte hain. to mojhe btaein aap k ghar me koi esi aurat ya larki hai jise aap muttah ki ijazat dein? mojhe wo chahiye sirf 3 months k lie.os k bad ose talaq de di jae gi.yahan buhot se log apni biwiyoon se dor rehteain to wo out of control ho jate hain is ie aap apni behn ko bhej dein ya Stalker ya Mufti in me se koi bhi.takay aap ko sawab ho...lol"


saba mujy aap ki baat parr kar itni takleef nahi hoi jitna ta'jub howa aur tumhari tarbiyat ka pata chal geya muhatrma zara ankhain khol kar meri baat ko parriye ga

mutah ko to aap fil haal aik tarf rehny dain ahal-e-islam main nikah / aqad ko to haram nahi samjha jata wo to halal hy agar main aap sy yeh kahoon k aap apny smait apni tamam kunwari behno , apny ghar ki sab khawateen , apni rishta daron ko yahan baij do yahan b buhat sy mard abi tak nikah k muntezar hain aur koi kunwari larrkiyaan talash kar rahy hain larrkiyon k ajany sy unn ka bhala b ho jaye ga aur aik aham islami fareeza b ada ho jaye ga ,,aur sawab k sath sath aap ki jinsi taskeen b halal tareeqa sy poori ho saky gi...

abb zara sochiye k khaa main aik halal aur islami kaam ki dawat dy raha hon laiken yeh mu'asharti lehaz sy ghair ikhlaqi andaz-e-guftgu hoga ..kia khiyal hay ?

saba aik baat ko zehan main rakhain agar aap k abu ko daikh kar koi yeh kahy k yeh saba ki maa ka khasam ja raha hy to baat sach hony k bawajood ghair ikhalaqi tasawar ki jaye gi ..koi aap ko yeh kahay k aap ka behnoi har raat aap ki behan k sath hambistri karta hay ..yeh baat b sach hony k bawajood ghair ikhlaqi tasawar ki jaye gi ..

lehaza kuch batain aysi hoti hain jin ka andaaz ghair ikhalaqi hota hay aur kisi ki be-izzati karny ki khatar ki jaien to iss sy baat karny waly k khoon ka hi pata chalta hay k yeh khoon kis qadar alooda hay ..aur aysi batain takleef deh b hoti hain ,,jis trah main ny abi nikah wali baat ki hay halan k nikah ayn islami faiyl hay laiken sar-e-aam kisi larrki sy aysi baat karna ghair ikhlaqi aur takleef deh amal hay ..khair

kisi ki society aur khiyalaat ka pata uss k alfaaz sy hi chalta hay ..agar s4u tumhain achy alfaz main guftagu karana kisi ny nahi sikhaya to khuda k liye apni iss behoda tarbiyat ka saboot sar-e-aam to mat do...umeed hay baat ko barrhany ki bajye tum baat ko samjhany ki koshish karo gi aur aynda aysi behoda harkat sy baaz raho gi ...warna sakhat alfaz use karna mujy b ata hay aur tum yeh bakhobi janti b ho ..



s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:17th Mar 2011, 2:10am
 

buhot khoob

jab dekha k her aik se insult ho rahi hai to topic ka rukh mor dia.ab behs krni hai to wahan karein.
mere khoon aur meri tarbiyat ko aik traf rakhein.
Alhamdulillah main jaiz peda hoi thi.shak -edited- hai k ye kis trha peda hoa.

agar koi insan badtameezi krta hai to ose jawab bhi wesa hi ia jata hai.ab esa to hai nahi k aap log tahajud parh rahe th aur maine aa k aap k sath bura salook kia.shorowat aap ki traf se hoi.
aur humesha ki trha aap bina kuch parhe nai post krne me jaldi krte hain.

-edited-

na hi hum is k haq me hain na hi muttah k.to ye edited aap logon ki traf se hoi.warna behs araam se ho rahi thi.jab aap kisi ki izzat per bat krte hain to ye bardasht se bahir hoti h.jese ab aap logon ko bura lag raha hai.agar aap ko ese aram se pyar se samjhati to aap logon ne mazeed mere sar per sawar ho jana tha......ab aap btaein aik unmarried larki se aap kahein k aap se 1 week k lie nikkah krta hon phir talaq de don ga.aur nikkah kis lie?ye btane ki zarorat nahi.


edited

apni asal ID se chup kr is id se aa rahe hain to kia hum nahi jante k is k piche kon hai?agar ye ID ozone ki nahi?
os se kahein k aa k kasam uthay k ye id os ki nahi.aur aap os k cousin nahi....pehle ye ID main aap ki samjhti thi lekin jab out of forum ozone ne mojhse sorry ki k os ne is Id se mere sath buhot badtameezi ki hai to phir maine sun k ignore kr dia.jahan tak mojhe yad prta h is ne sorry ki thi,agar nahi to Allah behtar jane)
(chalo agar jhooti kasam kha bhi lete hain to phir aik shia ko dosre shia bhai ko kia samjhane ka haq nahi?ose hi samjha dete?)

edited
maine to stalker urf ozone k is post k bad koi thread start nahi kia k in edited
edited bhi khod aur masoom bhi khod ban jate hain jese aap logon ne to kuch kia bhi na ho.
ab agar sach sun'ne ki himmat hai to 1 word bhi edit mat kijiye ga.

wo thread kiu close hoa?kiu k 10 pages complate ho chuke th.is lie.

baqi aap ki peeshkrdah hadees ya jo bhi aap logon ne reference die h wo Muttah k haram hone se pehle k th.


edited.

you are also cross the limits , dont creat fuss here

moderator

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:17th Mar 2011, 3:17am
 

aap chahte ho



Warning: No posts that attack, insult, \"flame\" members or guests are allowed.:Moderator

Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 31  Post: 2017  Age:  48  
Posted on:17th Mar 2011, 10:28am
 

S4u-Diplomate

mujy ye ilam to nahi k aap 2no k darmiyan talkhi kahan se shuroo huee albata aap ne apni taleemi qabliyat bohat achy andaz mein paish ki aur sath sath ye bi sabit kiya k net ki iss duniya per qutan bharosa nahi kiya ja sakta k net per bana howa relation khawah kitna hi porana ya close kiyon na ho uss ki koi hasiyat nahi ho sakti,lehaza aap ne dusry mazhib k logon ko ye moqa bi farahm kerny ki koshesh ki k hum Muslim aik dusry ki izat iss andaz se bi kiya kerty hein,aap 2no uger mery ikhtiyar mein hoty to mein aap ka moonh kala ker k kissi chowck mein jooty marny k liye kharra ker deta laiken afsos mein iss haq se mehroom reh giya,,mujy to aap 2no se request kerny ki bi shirmindgi ho rahi he,uger aap 2no ye sumjhein k sharam name ki koi cheez mojood he to aap sharam ker lein..

This Thread Closed Due To Some Hidden Causes

No More Discusion Would Be Allow Here On This Topic

All

For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Student In Michigan University Usa  How To Fill Out A Job Application  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us