H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 186 Post: 6476 Age:
35
|
|
Posted on:11th Mar 2011, 5:19am |
|
|
Tsunami In Japan Early Morning abi Tv pur News son kur dakh kur dill-o-Dumagh meah bhe jasy tusnami or Zulzulaa aghiya ho essi meri feelings hen, Astughferollah , Allah Humain essi Durdnaak khofnaak moseebut say buchaay, |
Reza
|
Group: Members Joined: 23rd Feb, 2011 Topic: 1 Post: 33 Age:
23
|
|
Posted on:12th Mar 2011, 3:35am |
|
|
Re Amen. hamare kai pakistani bhai bhi la pta hain allabh un ko apni hifz o aman me rakhe
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:12th Mar 2011, 10:54pm |
|
|
qayamat ka manzar lgta h waqi dekh kr khouf ata hai.mere pas alfaz nahi k main is pr kia kahon.bas Allah tala hum sab pr rehm kare.ameen
meri best friend tokyo me rehti thi.jis din wo Pakistan k lie rawana hoi osi din zalzala aa gaya.Allah ne os ki zindagi rakhni thi to wo khair-o-salamti k sath wapis aa gai hai...os k rawangi k kuch hi dair bad hoa...:(
|
debater
|
Group: Members Joined: 13th Mar, 2011 Topic: 0 Post: 31 Age:
33
|
|
Posted on:14th Mar 2011, 12:28am |
|
|
tbahi bht tbahi hoe hy ALLAH maaf kre |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:15th Mar 2011, 11:50pm |
|
|
Tsunami In Japan japan zalzaloN ka ghar hae aur wahaN rozana beesiyoN zalzalay atay rehtay haiN . japan technology k lehaz se itna advance hae k yahaN k technologist buland bala imartoN k neechay aise shocks nasb kartay haiN k jitna bhi taiz zalzala ho imarat idhar udhar jhoolti zaroor hae lekin imarat ko koi nuqsan nahi pohnchta. isliye yeh log zalzaloN k itnay adi haiN k zalzala k doran bhi apna routine work jari rakhtay haiN.
lekin jumma k roz jo qayamat e sughra japan meiN ayi us ne in ki sab technology ki bawajood pooray shehar ko ukhaR phenka aur jeeta jagta shehar maut ka qabristan ban gaya. Allah pak sab ko aisi nagahani mussebtoN aur afaat se bachaye. lekin is sab ko dekh kar sun kar aur paRh kar baar baar aik baat zehan mein ati hae k kiya hum log marnay k liye 2012 ki kisi qayamat ka wait kar rahay haiN ya qayamat ki nishaniyoN k zahoor ka ?
hum doosroN ko apnay samnay marta dekh rahay haiN aur phir bhi anjan banay baiThay haiN . doosroN par guzri qayamat humaray liye tamasha zaroor hae deeda e ibrat nahi kyuN k hum khud ko sab se juda samajhtay haiN . kabhi yeh khayal bhi humaray zehan meiN nahi ata k shayad aisa hi koi Tusnami aur zalzala shayad humara bhi muntazir hae (Allah pak muaf farmaye ) hum meiN se har shakhs ka yehi khayal hae k maut, tabahi , afaat sab doosroN k liye hae hum shayad is se bala tar haiN. jab k marnay walay bhi hum jaise hi insan thay balkay hum se maal O dolat, zahanat, power aur technology meiN kahiN agay. lekin asmani afaat na to kisi ka nasab nama dekhti haiN aur na hi kisi power aur technology ko. insaan ki haqeeqat itni si hi hae.
samaan so baras ka aur pal ki khabar nahi
|
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 186 Post: 6476 Age:
35
|
|
Posted on:15th Mar 2011, 12:11pm |
|
|
samaan so baras ka aur pal ki khabar nahi Very Nice reply by maryam
|
Neha_83
|
Group: Members Joined: 16th Dec, 2009 Topic: 2 Post: 169 Age:
30
|
|
Posted on:16th Mar 2011, 4:35am |
|
|
Qyamat hi to ayi huy hay.. yeh or bat hay kisi ko nazar nayi a rahy.. har tarf hi to qyamat hay |
|