yes kissi bhi insaan ya haiwaan (animals) ki drawing /painting islam maiN HARAM hai as per Hadees. nabi kareem saw ka irshaad hai k jiss nay kissi jaan.daar (insaan /jaanwer) ki tasweer banaayee, rozay hasher Allah ossay iss tasweer main jaan daalany ka hukm dega... jiss ghar main jaan.daar ki tasaweer aawezaaN ho, oss ghar maiN rahmat k farishtay daakhil nahi hotay.
ALBATTAH
taleem o tarbiat yaa kissi aur naa.guzeer zaroorat k tehat sirf ossi maqsad k liyeh aisaa kia jasakta hai...... jaisay zoology /medical ki taleem k dauran human /animal k sketches banaa.ay jasaktay hain takay educational zaroorat poori hosakay. |