Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

aap kya kehte hain?

Non Medical Discussion
 
 
 
wafa1 Group: Members  Joined: 11th Jan, 2011  Topic: 5  Post: 35  Age:  26  
Posted on:2nd Feb 2011, 1:24am
 

aap kya kehte hain?

Salam sab ko !!!! mera khyal hai k meri soch manfi hai ....kionke main jab bhi kisi insan (male or female)ko daikhti hoon to mujhe yahi lagta hai k yeh shakhs mera dushman hai ....jab tak main kisi k barey mein achhi tarah se jaan nahin leti uss se kuch dafa baat cheet nahi ho jati tab tak aisa hi rehta hai ......main apni iss soch ko badalna chahti hoon ..koi achha mashwara?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:2nd Feb 2011, 3:54am
 

It's gud 4 u

amerika jaisay mo'aash.ray maiN aik true muslim woman (mominah) k liyeh yeh aik bahoot "achi quality" hai. ap apni iss quality ko manfi hargiz nah samjhaiN. yeh jaan laiN haqiqat main har woh fard (male /female), apkay deen dunyaa donouN ka dushman hai, jab tak k baat cheet, tajarbay aur moshahiday ki kasauTy par woh fard 'clear' nah ho jaa.ay.

Allah apko aisay tamaam 'dushmanouN' say mahfooz rakhay jo apko kisis tarah ka bhi nuqsaan pahonchaanay ki niyyat /ahliat /salaihiyyat rakhtay houN. aameen

i-salmaan Group: Members  Joined: 19th Jan, 2011  Topic: 1  Post: 181  Age:   
Posted on:2nd Feb 2011, 1:16pm
 

Mai kehta hon kay

Agar apki soch sirf dushman ki soch ki had tak negative hai to ye achi baat hai ek tarha se - wo is tarha kay ab kay is afra tafri kay zamanay main kisi ko itni jaldi aetbaar kay kabil nahe samjha jasakta - kab koi kis wakt apke aetbaar ya apkay uskay baray main achay khayalaat ko thais pohonchade koi bharosa nahi hai - khas kar female kay liyain - kisi se baghair us kay baray main achi tarha janay, us say free hojana ya usay acha samajh lena uski kuch baton ki wajah se apke liyai nuksaan ka ba.is hosakta hai future main. apki ye baat achi hai meri nazar main. aur agar apki zyada tar soch he negative hai yani negative thinking to phir apko isay badalna hoga. kya aesa hai ?
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:2nd Feb 2011, 4:38pm
 

Walaikumsalam

ooper wali dono replies bhi apni jagah bilkul darust hain, lekin agar apko yeh koi problem feel hota hai tau psychologically, apnay baray main bahot ziada sochnay walay log, yani self obsessed logon ki aur mentally stagnant logon ki thinking dusron k baray main negative hoti hai... ap apni thinkings ko normal aur relax rakhain, negativity khatam hona shuru ho jaey gi....

baki yeh keh apko atleast muslim women se badgumani nahi rakhni chahiey... musalman dusray musalman se naik guman rakhta hai...

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:2nd Feb 2011, 4:57pm
 

Walaikum assalam

har shakhs ki apni soch aur nuqta nazar hota hae. agar insaan kisi unknown person se 1st time milay tou natural si baat hae k us pe aitbar nahi kiya jata foran, lekin beharhaal dushman bhi nahi samjha jata :) khawateen ka zyada interaction apni family se hi hota hae . kiya aap ko family k log dushman lagtay hain ya out of family ?

aitbar apnay toRtay haiN isi liye insaan kisi par yaqeen nahi karta jaldi jaldi. lekin maiN aap se itna kahoNgi k bharosa sirf Allah pak ki zaat pe hona chahiye . family waloN pe bharosa na bhi karaiN lekin dushman na samjhaiN aur aik baat k kabhi is gumaan meiN bhi na rahiyega k ab aap kisi ko itna parakh chuki haiN k us pe blind trust kar sakti haiN . in simple words k mohtaat rawaiya hona chahiye na k jarehana .
i-salmaan Group: Members  Joined: 19th Jan, 2011  Topic: 1  Post: 181  Age:   
Posted on:3rd Feb 2011, 3:00pm
 

Allah Pe Bharosa Ajnabi kay Maamlay Main

No doubt sawaal karne wali sahiba nay strangers (ajnabi) lougon kay hawalay se kaha hoga - jinmai females kay hawalay se to aesa sochna nahi chahiyai but na mahram males ka maamla alag hai aur is hi liyai mera aur dosre dost ka ye kehna hai kay mardon kay hawalay se ye soch unkay liyai faeday mand hai - wo kesey ? wo is tarha kay :

Allah Pak banday kay uspe kiyai hoe us bharosay par kese pora utar saktay hain jismai uska banda uske khilaaf koi kaam karne main involve hojae jis say Allah pak nay mana farmaya hai – aese mai banday ki wo kese help karainge ? aurat ka sirf parda hi nahe balkay mard aurat ki dosti ya unka akele saath bethna – batain karna – ek dosre ko dekhna – gharz na mehramon kay bech honay wali tamam ghair zarori batain fitnay ka sabab hain aur zahir hai gunah hai haraam hai – specially aurat ki wajah se hi mardon ko saray maslay hain kyun kay

اس ميں كوئى شك و شبہ نہيں كہ عورتوں كا فتنہ بہت عظيم ہے، اور پھر نبى كريم صلى اللہ عليہ وسلم كا بھى فرمان ہے:

" ميرے بعد مردوں كے ليے سب سے زيادہ نقصان دہ فتنہ عورتوں كا ہے"

صحيح بخارى حديث نمبر ( 4808 ) صحيح مسلم حديث نمبر ( 2704

For example auratain agar ye samjhain kay koi na mehram ajnabi jisko wo janti nahe hon se baat is wajah se kar rahi hain kay unhain us ajnabi pe bharosa nahi to kya hoa - Allah pe bharosa to hai na isliyai usay kuch nahe hoga to ye uski bhool hai – kyun kay fire (AGG) apko pata hai kay jala dey gi apko likin phir bhi usmai haath daalna is umeed pe kay mujhe Allah pe bharosa hai aur mujhe kuch nahe hoga aur mera haath nahi jalay ga to ye apki khush fehmi kehlaye gi ya ghalat fehmi? Faisla apke haath mai hai Allah kay haath mai nahe.

ا

اللہ سبحانہ و تعالى كا فرمان ہے:

﴿ اور اپنے گھروں ميں ٹكى رہو، اور قديم جاہليت كے زمانے كى طرح ا

i-salmaan Group: Members  Joined: 19th Jan, 2011  Topic: 1  Post: 181  Age:   
Posted on:3rd Feb 2011, 3:02pm
 

re-write remaining part

اللہ سبحانہ و تعالى كا فرمان ہے:

﴿ اور اپنے گھروں ميں ٹكى رہو، اور قديم جاہليت كے زمانے كى طرح اپنے بناؤ سنگھار كا اظہار نہ كرو، اور نماز قائم كرتى رہو، اور زكاۃ ديتى رہو اور اللہ تعالى اور اس كے رسول ( صلى اللہ عليہ وسلم ) كى اطاعت و فرمانبردارى كرتى رہو، اللہ تعالى يہى چاہتا ہے كہ اے نبى كى گھر واليو! تم سے وہ ( ہر قسم ) كى گندگى دور كر دے، اورتمہيں خوب پاك كر دے ﴾الاحزاب ( 33 ).

فرمان بارى تعالى ہے:

{مومن مردوں سے كہہ ديجئے كہ وہ اپنى نگاہيں نيچى ركھيں، اور اپنى شرمگاہوں كى حفاظت كريں، يہ ان كے ليے زيادہ پاكيزگى كا باعث ہے، بلا شبہ اللہ تعالى جو كچھ وہ كر رہے ہيں اس كى خبر ركھنے والا ہے، اور مومن عورتوں سے بھى كہہ ديجئے كہ وہ بھى اپنى نگاہيں نيچى ركھيں اور اپنى شرمگاہوں كى حفاظت كريں، اور اپنى ظاہرى زيبائش كے علاوہ كچھ نہ ظاہر كريں، اور اپنے گريبانوں پر اپنى اوڑھنياں ڈالے رہيں، اور اپنى آرائش كو كسى كے سامنے ظاہر نہ كريں، سوائے اپنے خاوندوں كے، يا اپنے والد كے، يا اپنے سسر كے، يا اپنے لڑكوں كے، يا اپنے خاوندوں كے لڑكوں كے، يا اپنے بھائيوں كے، يا اپنے بھتيجوں كے، يا اپنے بھانجوں كے، يا اپنے ميل جول كى عورتوں كے، يا غلاموں كے، يا ايسے نوكر چاكر مردوں كے جو شہوت والے نہ ہوں، يا ايسے بچوں كے جو عورتوں كے پردے كى باتوں سے مطلع نہيں، اور اس طرح زور زور سے پاؤں مار كر نہ چليں كہ ان كى پوشيدہ زينت معلوم ہو جائے، اے مسلمانوں تم سب كے سب اللہ كى جناب ميں توبہ كرو تا كہ تم نجات پا جاؤ} النور ( 30 - 31 ).

wafa1 Group: Members  Joined: 11th Jan, 2011  Topic: 5  Post: 35  Age:  26  
Posted on:3rd Feb 2011, 3:26pm
 

shukria

aap sab ki replies k liye bohat shukria .......mere liye soch k naye darwaze khul gaye hain ...khas taur pe maryam sis aur info 1234. maryam aap ne bohat achhi baat kahi k aitebar k layiq sirf khuda ki zaat hai ....aur blind trust siwaye hamaqat k kuch nahi kionke hum sab insan hi to hain kisi bhi lamhe kamzor par saktey hain kisi ka bhi yaqeen tor sakte hain.....yeh baat nahin k mujhe apne relatives bhi dushman lagte hain ...yahan baat ajnabi logon ki ho rahi thi ....
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013