s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:2nd Jan 2011, 4:03am |
|
|
♥·´¯`·Re: to all aaj kitne arse bad maine iman -dari se sare replies read kie.aur dil kr raha hai k aik aik bat ka jawab don lein koi mind na kr jae chalein dekhte hain.
Dip uncle: masha Allah janab kia khobsurat abdaz me aap ne samjhaya.buhot acha lga read kr k.
..................................................
Dr.Qasim: masha Allah se aaj k dour me sab hi buhot masrof hote hain.kisi k pas itna fuzool time nahi hota k wo fuzool si post karein.aur itni lambi lambi. blke aapko khosh hona chahiye k aap k is thread me kitni hi esi batein hoi jinhe jan kr aik os kam se bach gae jo k koi muslim nahi krna chahe ga ye jan'ne k bad. aur main ye bhi janti hon k aap sab ki post read karein ge.
"ek acha duayaa thread tah, ek duaaya wish jo meah nay ki thi abi jis ko
ikhtalaaf tahaa tu woh apna new thread start kurta na kay ek wishing
greeting thread ko lurai jugry wala thread bnaata "
aap kii dua bhi theik hai.hume hr waqt dua krte rehna chahiye.lekin khas os din nahi jis din ghair muslim khoshiyaan mna rahe hote hain to hum onki khoshi me sham ho kr hum bhi enjoy kr rahe hain k naya sal lg gya.kon sa nya sal?wohi saal jo esaiyon ne bnaya hai?
jahan tk bat hai lrne jhagrne ki to Dr.sahib yahan koi bhi nahi larr raha.Islami taleemat dena lrna n ahi hota.hidayat ki traf le jana hota hai.
.......................................
Darisha sissso: "hur bande ki apni apni soch hoti h yahan par bhi jo batain ki gayin apni
apni soch or nazariye k mutabiq keen lakin new year wish kurne ka yeh
matlab nhi k hum angraizon ki tarah new year celebrate kur rahe hn"
no dear.yahan apni soch aur nazriye ki bat nahi ki ja rahi.yahan pr Islami aur ghair islam tehwar ki bat ki gai hai.aur ye bat wazah ki gai hai k hum jis nae sal ki khoshi mana rahe h wish kr rahe hain wo saal kia hai waghera waghera.
......................
Tuba sis:
"Lakin christian ko ya kisi aur non muslim ko ye nahi malum ki muslim ka
new year Muharram se start hota hai."
ji haan onhe kia pta k hum Muslim ka naya sal kb hota hai.lekin hum Muslims ko on ka pta hai k onka kb hota hai aur hum to onki khoshiyon me bhi shareek hone ki koshish krte h.afsos.
"Jb hum apps mein hi Islami new ki
mubarak bad nahi dete to kisi aur ko kya kahe."
hum islami naey sal ki mubarak dete hain.aur muslims ki aksariyat naey sal ki mubarakbad deti hai.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7734 Age:
55
|
|
Posted on:2nd Jan 2011, 4:15am |
|
|
lambi tahreer ko paRhnay ka tareeqah 1. news paper ka aik mustaqil reader...... akhbaar ko lufz bah lufz paRhta hai...har khabar ki heading /text ko paRhta hai...har article ko onwaan say neechay tak paRhta hai......aur yeh samajhta hai k ossnay poora akhbaar "chaaT" lia hai...lehaza woh aaj k "haalatay haazirah" say poori tarah "agaah" hogaya hai.
2. akhbaar ka aik reporter iss tarah akhbaar-beeni nahi kartaa...akhbaar ka editor ka akhbaar paRhnay ka tareeqah oss say bhi joda hota hai...... aik aam qaari aik akhbaar subah say shaam tak (waqfay waqfay say) paRh kar khatam karta hai aur agar koi faarigh fard mustaqil bhi paRhay to kaii ghanTouN maiN akhbaar ko "khatam" karta hai...........but akhbaar ka aik editor subah 1/2 ghantay maiN 8/10 akhbaar "dekhtaa" hai aur saray akhbaar ki sari khabroun aur articles say bakhoobi "agaah" hojata hai...... oss reader say zeyadah "baa.khabar" hota hai jo lufz bah lufz akhbaar paRhtay haiN.......... writer, journalists, ka "paRhnay ka andaaz" aam logouN say judaa hota hai, onhaiN kam say kam waqt maiN zeyadah say zeyadah paRhnaa aur likhna hota hai.
3. meri "paRhi likhi biwi" bhi mujhay akhbaar paRhta dekh kar yehi kahti hai k ap akhbaar /column "etni tezi" say kaisay khatam kar letay haiN...kia choR choR kar paRhtay haiN lol |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:2nd Jan 2011, 4:29am |
|
|
acha mashwara hai waqi buhot acha mashwara dia hai aap ne in lambi lambi posts ko read krne se pehle ye soch lena chahiye k koi bhi insan kuch bhi fuzool nahi likhta.hume hr waqt parhte rehne se buhot buhot kuch seekhne ko milta hai.
logon ki soch ka pta chalta hai,dunya me kia ho raha aur kia hone wala hai ye sab hum jan pate hain.
wese buhot se log mann-psand topic read krte hain baqi likhne wala jane aur os ka kam.lol
wese ye buri adat mojh me bhi hai k main pehle apne matlab ki bat pr ziyada ghor krti hon phir baqi ahista ahista sab ki. jese koi book,newspaper ya koi magzine mil jae to main pehle apne psand k topic ,news waghera read krti hon os k bad phir sara.
aap ne parhi likhi aunty ki misal bhi buhot achi di.khair roz roz parhne se tezi aa hi jati hai.ab aap k muqable me main beth jaon to main aik newspaper ko sara din lga don parhne me.lekin parhon gi waqfey waqfey se. aksar loogon ki adat hoti h k wo agar newspaper na parh lein to on ka din hi nahi start hota.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7734 Age:
55
|
|
Posted on:2nd Jan 2011, 9:09am |
|
|
disagreed ........koi bhi insan kuch bhi fuzool nahi likhta........
atleast iss forum k hawalay say to yeh baat bilkul ghalat hai.....yahaaN aksar log (including me) fazool.waat likhtay rahtay haiN...agar meray hi baray maiN meri hi iss roy par apko yaqeen nah aa.ay to Mr. Bewaqoof (yaa onki kissi bhi ID) say pooch laiN :) |
tuba Ahmad
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2010 Topic: 23 Post: 165 Age:
29
|
|
Posted on:3rd Jan 2011, 11:21pm |
|
|
no no Mein India mein rahti jarur hoon lakin kisi tyhar ko manati nahi hoon, sirf apne tyuharo ke siva. Rahi khushyo mein sharik hone ki baat to ye hamara islam hi sikhta hai ki ham sb ki khushiyo mein sharik ho.
Khushi mein tyuhar mein sharik hone mein bahut bahut hi jyda frq hai.
Beshaq ye baat theek hai ki log sochtein hai ki itna lamba topic kya pare, choro bekar hain parna pata nahi kya likh deya hai. Lakin us pata nahi ko khatm nahi krna chatein kuch batein kuch topic ese hotein ki hum jitna bhi short krna chaye nahi kr patein ye to kafi achchi baat hai un sabhi members ki jo topic ko pura explan kartein hain jisse har ek shaksh ko achche se malumat ho jati hai aur jo members ki galti hoti waho usse malum ho jati hai.
Hain ye baat bhi bilkul thek hai s4u ki, ki hum sabse pahele apne matlab ki post ya topic talash kartein hai. Ye sabki adat hoti hai hum pahele wahi kam karein hai jiska hame shaoq hota hai fir aur kam. Lakin yha akar hume chaye ki hum long & short 2no topic read karein, qki hame jyada se jyada malumat hoti hai aur ye hamari islamic general kno. ko bhi barata hai.
Jb hum college ki pari ko partein tb bhi hame kitne long answer , topic yaad kane partein aur hum kartein bhi hai kyo qki ham usse jaruri samjhtein hai. is dar se ki kha hum fel na ho jayein. Islam mein fel ho gye tb kya hoga jis din hum ye soch lege us din kio is baat ko nahi kahega ki itne long topic ko read karke kya karein.
|
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:3rd Jan 2011, 11:38pm |
|
|
darisha & hasna = agree plus happy worlds new year
Is calendar ko follow karna duniyawi zarorat hai....kuch aesa kar k dikhao musalmano k apka islami calendar duniya follow karay jis tarha unka calendar ajj duniya follow kar rahi hai......
kamaal karte ho panday ji,........khair, Naya Saal Mubarak Ho....
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7734 Age:
55
|
|
Posted on:4th Jan 2011, 3:33am |
|
|
HITMAN bro welcome back :)
apkay jazbaat qaabilay qadar haiN. iss (hazrat eesa AS ki "wafaat" say start honay wala A.D.) callender ko follow karna yaqeenan ham sab ki "zaroorat" ban gayaa hai aur maiN bhi yehi callender "use" karta houN..........
but
as muslim mera yeh aqeedah hanooz "bar.qarar" hai k hazrat eesa AS ki "wafaat" nahi howi lehaza onki "wafaat" par muslims ko 2011th "barsi" manaanaa yaa iss "barsi" ko "kaafirouN ki naqal" maiN as " new year jashn" manaa.naa jaiz nahi.
ap agar aisaa karnaa jaiz samajhtay houN to its upto you... coz apkay amal ki jawabdahi mujhay nahi karni hogi..... aur nah hi apko meray amal /believe ki jawab dahi karni hogi........ ham dounouN ka "kaam" to sirf yeh hai k aik doosray ko "sahi raastah" batlaa daiN.
wassalam |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:4th Jan 2011, 3:47am |
|
|
♥·´¯`·Re:khoshiyon me sharik hona
Tuba sis: ji haan hume khoshiyon me zaror sharik hona chahiye.hume pora haq hasil h khosh hone ka lekin khoshiyaan wo jo sachi khoshiyaan hoti h jis pr dil bhi khosh hota hai.magar jhoti khoshiyon me khosh hone se na dil ko sakoon hasil hota hai na hi asal khoshi milti h.
Rzvi uncle: aap ka kam tha btana aap ne bta dia.ab ye sab jante hoe bhi naey sal ki khoshiyaan mna rahe hain to is pr aur kia kiya ja sakta h.
warna dekhein likhne wale ye bhi likhte hain aik line me k "kuch aesa kar k dikhao musalmano k apka islami calendar duniya follow karay jis tarha unka calendar ajj duniya follow kar rahi hai."
yahan aik muslim dosron ko ghairat dila raha hai aur dosri line me likha hai "khair, Naya Saal Mubarak Ho.... "
yehi hal hai aaj k hum muslims ka.aik traf se ye jan lete hain k ye bat ghair islami hai to hume hi kuch kr dikhana hoga.aur phir dosri traf murr k onhi k ho jate hain.
isi lie is topic pr ab mazeed kuch kehne ka koi faida n
|
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:4th Jan 2011, 4:58am |
|
|
Extreme rizvi
aray chaddo ji ustaad ji, tussi malomaat main iazafa kar k acha kaam kanday ho bas yehi kartay raho...islam ko itna sakht na banaoo ji ..... sab hi jantay hain k ki karna chahida hai aur ki nahi.....tou fir koi masla nahi hoga.....Allah ji dil ka haal jantay hain achi tarha....
sanu jashan washan kisi hor de liyai thori na bana raha hai,.......bas khushi da moka lag gaya hai is wastay k oh naya saal agaya hai, january main pappu ki birthday hai, febuary main chotu 12 saal ka hojaega, o wow kitni jaldi bara hogaya na,
aur march main tinko ka result ajaye ga let c wo doctor banta hai k nahi,, aur is hi saal mere jigir yaar ki shadi hai (aur barbadi bhi uskay baad)....aur tuba ahmed student of the year 2010 ki bhi shadi hai, jismain ye sab ko india anay ki dawat dein gi apni shadi mian shirkat de naal...hai na khushi ki galh ..aur tou aur 2011 main Pakistan main new election hosaktay hain....Altaf bhai inkilaab lasaktay hain , Pakistan khush haal hosakta hai...waghera o waghera, ...oh wow what a great year.....welcome 2011, welcome welcome my lucky year.......(khushi kay pehlu yehi tou hotay hai hum masoom say musalmano ka, aur kya, koi jism main chaid thori karne hotay hain hamain k hum bhool jayen ye k saans kahan se lain aur ***** kahan se)
|
tuba Ahmad
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2010 Topic: 23 Post: 165 Age:
29
|
|
Posted on:4th Jan 2011, 5:22am |
|
|
wha wha Assalamolikum
haa
wha hitman bhai kya welcome kara hai 2011 ka. Good
mera bhi naam shamil kar deya hota qki esi saal meri bhi shadi hai, haaa
Aap sabki duyo ki behat jarurt hai mujhse aap sb apni duyoo mein sharik karein na jane kis ki duya lag jayein. |
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:4th Jan 2011, 6:58am |
|
|
Tuba: Wa alaikum assalaam apki shadi hai, mubarak ho buhut buhut.....main nay apkay liyai dua ki hai k Allah Talah apko chaand sa dulha ata farmayen aur suraj jesi saas...mera matlab hai soraj ki tarha garam nahi balkay mohabbat ki kirnay bekhairti hoe saas :) aur ek achi o khushgawaar mohabbat bari kamiyaab o kaamraan zindagi ho apki, ameen
apka naam bhi ab shamil kardia hai upper......apki age bhi shamil karna chahta tha naam k saath magar wo show nahi ki hoe appne...app 30 saal ki hain na ?
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:5th Jan 2011, 6:22am |
|
|
Tuba sis mubarak ho.Allah tala aapko shadi k bad wo hr khoshi de jo aik larki ki khwahish hoti h shadi se pehle.aur bad me.humari duaein aap k sath h.
|
tuba Ahmad
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2010 Topic: 23 Post: 165 Age:
29
|
|
Posted on:5th Jan 2011, 8:00am |
|
|
Shukriya Assalamolikum
Duaeinyo ka bahut bahut Shukriya HITMAN & s4u
Aap logo ko jarur dawat detein hain sb ayega issi bhane INDIA bhi ghum legeye.
Teyari shuru kar de abhi se qki abhi 2.5 months hain
HITMAN bhi hamari age 30 nahi 26 hai, ab aap age ko bhi shamil kar saktein |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:5th Jan 2011, 6:18pm |
|
|
Wa Alikum Asalam Wrwb ji kiu nahi.hum aapki shadi pr zaror aein ge...:) aap jb soein gi to aap k khwab me hum aapko milne aein ge. aap ka room hum hi set karein ge...make up to main hi kraon gi aapko...:D
|
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:5th Jan 2011, 6:39pm |
|
|
wah g ..tuba ahmed...:) mubarik ho shagidani sahiba ...:) ary aap ki to shadi ho rahi hay ...:) waisy kab hay shadi..?
aap ny humain to shadi ki dawat hi nahi di ..:( waisy agar aap apni shadi k baad sair sapaty ki gharz sy kaheen jany ka irada rakhti hon to aap ko pakistan any ki dawat di jati hay ...:)) |
tuba Ahmad
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2010 Topic: 23 Post: 165 Age:
29
|
|
Posted on:6th Jan 2011, 7:53am |
|
|
Thanx Assalamolikum
s4u beshaq makeup aapse hi hoga bus farq itna hoga ki makeup box Arab ka aur khyal aapka hoga.
Qki mere ek bhi Hajj ke leye gye the jo waha se mere leye makeup bax lekar aye hai behat khubsurat hai. Hum wahi use karege.
Sir ji shukriya, humne sabko dawat de hai. Aapko kese bhul saktein hai, aap sb ayege ye to hamare leye khushi ki baat hogi.
Duaeinyo mein jarur yaad rakhega.
Shadi April mein hain.
Allah ne chaha to jarur Pakistan bhi ayege.
Aap sabka shukriya. |
H.A.S
|
Group: Members Joined: 16th Dec, 2011 Topic: 3 Post: 517 Age:
21
|
|
Posted on:1st Jan 2012, 3:06am |
|
|
Asalaam... Kaise hu aap sab log...?
Kiya koi online hai..? |
WEHSHI
|
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 46 Post: 2532 Age:
49
|
|
Posted on:1st Jan 2012, 4:44am |
|
|
Naya Saal
repeat post
|
WEHSHI
|
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 46 Post: 2532 Age:
49
|
|
Posted on:1st Jan 2012, 4:45am |
|
|
Naya Saal musalman honay ka yeh matlab nhn k bas namaz perhi roza rakha au rbas
ager aik musalman apnay ird gird k mahol ko sahi nhn ker sakt ato usay apnay iman k baray fiker kerni chahyay
kya kabhi kisi ne gulab k phool ko kisi kachray k dher per khiltay dekha hai??
ab yeh bhi keh saktay hain k khaad to khachray se hi aati hai
isi terah aik musalman apnay ander ki gandagi per qabu pa ker sirif gulab ban jat ahai
is k liyay zaruri hai k hum islam ko apni zindagi ka rasta bana len yani islam aik mukamal zabta hayat hai
aisa nhn k hum kuch mainain au rkuch ko yeh ker chor den k ji ais amumkin nhn ya musalman i sqabil nhn ya musalman khud ko is qabil banain
ager musalman kuch kernay k qabil hotay to sab s epehlau khud aik ho jatay
aaj bhi hum aik dooseray k khilaf hain halan k aik kaba ki teraf munh ker k namaz perhtay hain
aaj NETO aik eesaiyat ki taqat ki alamat hai kisi bhi non muslim mulk k khilaf kuch ho to sab us ki help kertay hain lekin aik musalman mulk k khilaf kuch ho to baqi i schakar main hotay hain k humari teraf na ho aisa
1984 main israel ne iraq k atomic plant per attack kiya jis k asab ko pat ahai even TIME mein us pilot ka interview bhi aya lekin islamic confrence khamosh rahi
u sk baad iraq, iran, afghanistan, chechniya, aur ab to sab islami mumalik per shuru hai
lekin hum kehtay hain k ji koi bat nhn duniya ka nizam isi se chalta hai
asal bat yeh hai k hum apni zat ko apnay aap ko samjhain
india main rehnay wal amusalman HOLI, DEWALI, DAS SEHRA, RAKHI sab manat ahai au rphir bhi khud ko paka musalman samjhta hai
jab k Nabi SAW ne pehli asmani kitabon k perhnay tak per narazgi ka izhar fermaya
I TOTALY AGREE WITH MYRIZVI
|
WellKnOwN
|
Group: Members Joined: 06th Sep, 2011 Topic: 55 Post: 3517 Age:
22
|
|
Posted on:1st Jan 2012, 5:41am |
|
|
Wehshi Very well said i agree with you. |
|
For More Detail Click On Page No: 1 2 >> |
|