Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics
Recent Reply
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Happy New Year 2012

Chatting
 
 
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:31st Dec 2010, 7:47pm
 

Happy New Year 2012

Dua hay Allah Ess Saal ko hum sub kay leyeh Khayr-o-aafiyaat wala kury or Allah humary peyar Pakistan ko Sulamut rukhy , hum sub kay leyeh yeh year 2011 Mobarik ho, na serf hum sub kay leyeh bulky poori doniyaa kay leyeh, mobarik ho, ameen, sub Forum members ko meri turaf say neyaa sal mobarik ho , 
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2109  Age:   
Posted on:31st Dec 2010, 7:55pm
 

Happy New Year

Happy New Year to all members.
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:31st Dec 2010, 8:10pm
 

new decade

sab ko naya saal mubarak ho.......:)

21st century ka pehla ashra guzar gaya, muslim umma k liay kis qadar azmaishi waqt guzra.... Allah is nayay ashray ko musalmanon k liay mubarak karay.. ameen

nikama Group: Members  Joined: 15th Oct, 2007  Topic: 47  Post: 1808  Age:  35  
Posted on:31st Dec 2010, 9:06pm
 

Happy New Year

Salaaam dear friends, Happy new year to all of you ..Hope for the best and work for the rest. thanks
DARISHA15 Group: Members  Joined: 20th Dec, 2009  Topic: 5  Post: 393  Age:   
Posted on:31st Dec 2010, 10:27pm
 

Happy New year

to all :)
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7734  Age:  55  
Posted on:1st Jan 2011, 3:00am
 

tamaam christians bros

ko nayaa eeswi saal (2011 A.D. ) mobaarak ho.

mosalmaanouN ka new hijri saal 1432 to 25 din pahlay start hochuka thaa. aaj 25 Moharramul Haraam hai

kaash ham mosalmaanouN ko "2011 A.D." ka matlab hi pataa hotaa jo islamic taleemaat k saraa sar opposite hai. 2011 A.D. ka matlab hai: 2011 After Death of hazrat eesa AS. jabkay quran ki taaleem yeh hai k hazrat eesa AS ko nah to qatal kia gaya nah woh masloob howay balkay zindah aasman par oTha liyeh gaye.

Happy new year manaanay walay (so called) mosalmaan gradually happy christmas bhi manaatay jarahay haiN. Allah ham muslims ko apni islami shanaakht bar.qarar rakhnay ki taufeeq day aameen.

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:1st Jan 2011, 3:05am
 

Shumsi or Qumri dono humary system ka hisa hayin

 or dono Years ko follow keya jata hay Shumshi year bhe or Qumri bhe , baqi jo myrizvi bro ap nay furmaya thek furmaya,   


s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:1st Jan 2011, 3:10am
 

hmm

Rizvi uncle bilkul theik kaha aap ne.hum muslim khod ko khosh krne k lie non-muslim ka sahara lete hain.waqi dukh hota hai hum islam se khod ko kitna dor le gae hain...ahista ahista inhi k tot tariqoon pr chalne ki koshish me hain.
kia kisi ne kabhi ye dekha k kisi christian ne kabhi Muharram/Islami naey saal ki mubarak bad di?



myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7734  Age:  55  
Posted on:1st Jan 2011, 3:59am
 

Dr sahab say maazrat k saath

Dr Qasim ki post ko "kharaab" karnay par onsay maazrat k saath:

1. shamsi aur qamri dounouN iss universe ka hissah aur Allah ki takhleeq haiN. lehaza waqt k paimaanouN ko maah o saal maiN naapnay k liyeh qamri saal bhi adopt kia jasakta hai aur shamsi saal bhi.

2. baat shamsi yaa qamri ki nahi balkay "hijree" aur "eeswi" ki hai.... agar shamsi saal kissi islamic event like "saalay nabwat" say start karkay "Nabwi Saal" start kia jaa.ay jo shamsi ho aur jan-dec par mabni ho to islamically iss main koi mozaiqah nah hogaa

3. lekin rewaaj pazeer saal eeswi /A.D. hai jo mobaiyyanah taur par hazrat eesa AS ki "death" say start hota hai...... islamically aisaa karna HARAM hai.... wazah rahay k B.C. years (before christ AS) par islamically koi etraaz nahi. Essa AS aik Nabi thay aur onki amad say qabal k years ko as B.C. yaad karnay par koi mozaiqah nahi.

4. kia christians beraadri hijree yaa nabwi saal ko adopt karlegi, khaah yeh jan-Dec shamsi saal hi kiyouN nah ho??? hargiz nahi......yeh ham nadaan muslims hi haiN jo gradually christians ki "moshaabehat" ikhteyaar kartay chalay jarahay hain. moshabehat bhi woh jo anti islamic ho.......... halaaNkay Nabi saw nay to 10th moharram k rozay par yeh kaha thaa k chouNkay yahoodi bhi 10th moharram ka rozah rakhtay hain lehaza ham iss "moshabehat" say bhi bachnay k liyeh aglay baras 9th + 10th or 10th + 11th ka rozah rakhengay. halaaNkay "rozah rakhna" koi ghair islami kaam nahi

Allah har muslim ko yahood o nasaaraa ki moshabehat karnay (bikhasoos ghair islamic batouN maiN) say mahfooz rakhya. aameen

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:1st Jan 2011, 4:04am
 

hmm

"Allah har muslim ko yahood o nasaaraa ki moshabehat karnay (bikhasoos ghair islamic batouN maiN) say mahfooz rakhya. aameen"

ameen
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:1st Jan 2011, 4:53am
 

sirf aik baat

farz karain k koi shakhas bemaar ho aur ussy Doctors la'duwa kar dain aur yeh farman jari kar dain k aap abb allah sy dua karain aap ki zindagi buhat kam reh gayee hay ..aap k zindagi k abi chand mah reh gaye hain ..aap ki zindagi abi kuch dino ki mehmaan hay ..waghaira waghaira ...

iss bat ko sun kar mareez aur mareez k azeez-o-rishta daar darrain mar mar kar roty hain q k unn k azeez ki zindagi unn k samny jany ka amkani shuba zahir kar diya jata hay ...aysy moqa par azeez rishta daar intehaiee ghamgeen hoty hain aur deegar ahbaab afsos ki kafiyat main hoty hain ...koi marny waly ko ya uss k azeezon ko mubarik baad nahi daita k abb iss mareez ki zindagi thorri reh gayee hay aur yeh kisi b waqat iss duniya sy jany wala hay iss liye aap sab ko mubarik ho....!!!!!!!!

bilkul issi trah har sal jab neya ata hay chahy qamri ho ya shamsi wo yahi naveed ly kar ata hay k ey bandy teri zindagi ka aik aur saal khatam hogeya ..abb teri umar sy aik aur saal kam ho geya ..abb b waqat hay apni islah kar lo...:(((

mesaal k toor par agar kisi ki kul umar 40 sal hay aur wo 2010 main 35 years ka hy to goya 2011 main uss ki age k baqi saal sirf 4 / 5 years reh gaye...!!!

abb iss moqa par aqal yeh kehti hay k allah toba ki jaye aur apny gunahon sy mu'aafi mangi jaye ta k abdi zindagi ki kuch to tyaari ho saky ..laiken hamari aqloon ko b salam hay hum bajaye azhar-e-afsoos karny aur toba tayeb karny k aik dosry ko mubarak badain dy rahy hoty hain

darasal yeh magharbi tehzeeb ki nishaniyaan hain jo hum sab k andar buhat taizi sy sraiyat kar chuki hain .....magar afsos sad afsos k hum sab ny apna chehra isalmic bana rakha hay...

wazy rehy k main sirf forum members ki baat nahi kar raha bulky on the whole baat kar raha hon ...
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:1st Jan 2011, 5:33am
 

Mahzurut kay sath

 ek acha duayaa thread tah, ek duaaya wish jo meah nay ki thi abi jis ko ikhtalaaf tahaa tu woh apna new thread start kurta na kay ek wishing greeting thread ko lurai jugry wala thread bnaata jin logo ko lurai jugry ka bot shoq hay woh es thread meah abi khooob nakhun tayzz kurin gay agur es tura new year enjoy kurna chaty hen tu essy he sahi es nation ko lurai jugry kay bina ata he keya hay, mery pas etni lumbi lumbi posts purny ka time nahi hay ,  

New Year 1432 Bhe hay or New year 2011 bhe dono ko Islamic country meah follow keya jata hay or Rayij bhe hen, bat hay enko celibrate kurnay ka kon sa Tureeqa apnaya jata hay, Being muslim . or meah nay oper non muslims ki tura ni muslims ki turah ek wish ki, dua ki, 

Lakin Pakistani nation ka Ulmiyaa yeh hay kay na khosh raho na khosh rukho , Na Chain say batho na chain say Bathny du, ek wishing thread ko lurai wala thread bunaa deya ghiyaa, khoob lugay raho 



DARISHA15 Group: Members  Joined: 20th Dec, 2009  Topic: 5  Post: 393  Age:   
Posted on:1st Jan 2011, 5:37am
 

we should see the things broadly instead of seeing from one angle

hur bande ki apni apni soch hoti h yahan par bhi jo batain ki gayin apni apni soch or nazariye k mutabiq keen lakin new year wish kurne ka yeh matlab nhi k hum angraizon ki tarah new year celebrate kur rahe hn yeh sirf aik greeting hai or new year par greet kurna ya dua kurna koi buri baat nhi isse kisi ko koi nuqsan nhi pohanch raha bilkul isi tarah hai k kisi bhi nayi cheez ki shooroat se pehle insan khush hota hai or usk acha hone ki umeed kurta hai ub nak us par rone beth jata hai k aik saal kam hogaya agar aisa hi hai to birthdays par q wish kiya jata hai kyoon itni khushi manai jati hai kyoon presents diye jate hn?
tuba Ahmad Group: Members  Joined: 30th Jul, 2010  Topic: 23  Post: 165  Age:  29  
Posted on:1st Jan 2011, 5:55am
 

HNY

******************************************************

Wish You A Very Very HAPPY NEW YEAR

All members

Ye Saal sabke leye khushiyo ki sugat lekar aye (Ameen)

hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 41  Post: 2016  Age:  27  
Posted on:1st Jan 2011, 6:06am
 

agree to darisha and all other members

my rizvi uncle apse me aur yah mjood sab members agree krty he aur kre gy b............laikin darisha wali baat k sabki apni apni soch hoti hai............

pakistan ek islamic country hai laikin waha b essai saal k hisaab se hi sabkuch hota hai...........yha tk k ramadan ka chaand b nazar aye to kehty he k ramazan ka chaand nazar agya hai 11august 2010 ko pehla roza hai............hehehehe

phri eid ul azha k muqa per b yehi hota hai k eid ka chaand nazar agya hai eid 17nov ko hogi...........islamic year shuru hota hai to ye news ati hai k muharram ka chand nazar agya hai 6december ko 1st muharram hai.

abhi agur in bato per gor kia jaye to daikhy k islamic country kis year ko follow kr k chulti hai............?

phir pakistani nation k zehn me b wohi concept hoga na k humari country k log kis year ko follw kr k chulty he yha bht km members aisay hongy jinko ye yaad hoga k unki shadi hijri saal k kis maheenay me hui thi aur unkay bcho ki paidaish kis hijri aur qamri maheenay ki kis tareekh ko.............sab eesai saal hi yaad rkhty he.l

mera kehne ka mutlab sirf ye hai k agur yha new year k naam se wish kia gya to isme b koi burai nhi hai.hijri saal shuru hoty waqat kisi ne thread shuru kai to iska mutlab ye nhi hai k sirf wohi musalman hai..............

rai ka pahar nhi bnana chahye zra zra si baat ko islam hume ye b seekhata hai k dosro k jazbaat ki qadar kro kisi ka dil nhi dukhao.
tuba Ahmad Group: Members  Joined: 30th Jul, 2010  Topic: 23  Post: 165  Age:  29  
Posted on:1st Jan 2011, 6:08am
 

s4u

aapne jo kha who bilkul turust hai.

*kia kisi ne kabhi ye dekha k kisi christian ne kabhi Muharram/Islami naey saal ki mubarak bad di?

Lakin christian ko ya kisi aur non muslim ko ye nahi malum ki muslim ka new year Muharram se start hota hai. Jb hum apps mein hi Islami new ki mubarak bad nahi dete to kisi aur ko kya kahe.

Aur hum muslamano ka frz hai ki hum kisi ko bhi christian ko HAPPY Christmas naho bole qki waho shirk hai. Aur kisi ka to nahi pata lakin hum is rules ko follw krtein hai.

Main har majhab ke bare mein tora tora janti hoon lakin manti nahi qki mujhse esa nahi mehsus hota ki ye non muslim jin majhab ko pujtein hai waho theek hai. Mujhse islam se achcha kio majhab nahi lagta. lakin sb sath mein rahtein hain to sirf hum utna hi in logo ko follw kartin jitna krna chayein mein shirk bato se aur islam ke ger mutabik chalne wale raste ko nahi apnati.

tuba Ahmad Group: Members  Joined: 30th Jul, 2010  Topic: 23  Post: 165  Age:  29  
Posted on:1st Jan 2011, 6:19am
 

agree

i also agree hasna & my rizvi

good hasna aapke points turust hai

razi khan Group: Members  Joined: 01st Jan, 2011  Topic: 6  Post: 11  Age:  27  
Posted on:1st Jan 2011, 7:07am
 

agree

ok agree

i also agree

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:1st Jan 2011, 7:47pm
 

lambi posts ko na parrny walon k naam....!!!

mera yeh reply lambi tahreerain na parrny walon k liye hay.....deen ko mehaz sawab k hasool ki khatar hi ikhteyaar na karo ..bulky deen ko apni zindagi ka maqsad banao..sawab ka mil jana iss deen ka faida hay ..aur faida aur maqsad main buhat farq hota hay

joo log faida ki khatar deen ko ikhteyaar karty hain khuwa unn k nazdeek faida lainy ka naam sawab hi q na ho to aysy log deen main nai nai jidad'tain talash karny lag jaty hain k fulan kaam karain gy to fulan ko khushi ho gi aur jab kisi ko hamari waja sy khushi ho gi to hamain faida yani sawab mily ga

na na janab sirf sawab ka hasool ya ummeed deen ko ikhtiyaar karny ka hadaf nahi hay sawab to allah ki tarf sy apny bandy ko iss deen main lany k liye aik qisam ki targheeb hay ta k banda iss deen main sawab ki khatar hi sahi laiken aa to jaye ..allah ki zaat adal hay ..wo rubb kisi ki zara si naiki ko b zya nahi karta ..uss ka ajar zaroor dy ga yeh uss la shareek zaat ka insan sy wada hay..taham agar hum sirf sawab lainy ki gharz sy hi deen par amal karain to iss baat ka matlab hoga k hamara hadaf sirf sawab ka lalich hay allah ki asal marfat ka hasool nahi ..

abb yeh new years par wish karna b aik kisam ki man gharrt istlah hay k shaid iss trah hum kisi ki khushi main shareek ho jaty hain aur khushi main shreek hony k baad humain sawab mily ga waghaira waghaira
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7734  Age:  55  
Posted on:2nd Jan 2011, 3:55am
 

hasna sister

1. kissi calenders ko opt karna reyasat ka kaam hota hai, afraad ka nahi. agar beshtar muslim momalik ki hakoomatouN nay hijree /islamic callender ki jagah eeswi /non-islamic callender ko apnaya howa hai to yeh hakoomat iski zimmah daar hai, yahaaN k muslim bashinday to majbooran issya opt kartay haiN... sunday aur yahood o nasaaraa ki tarah saturday ko weekend "manaanay" par majboor haiN...jabkay aj bhi saudia maiN friday ko weekly chutti hoti hai

2. saturday /sunday ko weekly chuTTi karna to aisay muslim country k muslim awaam ki majboori hai... but yeh agar saturday /sunday ko yahood o nasaara ki tarz par "manaayaiN" to yeh laazman gonaah ki baat hai.......issi tarah

3. new A.D. year ki aamad par nasaara/christians ki tarah "jashan manaana" aik doosray ko "new year" ki mobarak baad denaa......bilkul aisaa hi hai jaisay western momaalik k bahoot say 9so called) muslims X-mas par nah sirf christians ko "merry chrismas' kahtay haiN, balkay onkay saath yeh tehwaar 'amalan" bhi manaatay hain...jo saraa sar gonaah hai

wallaho alam bissawab

For More Detail Click On Page No: 1 2  >>
 
 
 
Pakistani Student In Michigan University Usa  How to find job with no work experience  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us