Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

diff b/w married & unmarried girls

Non Medical Discussion
 
 
 
rafaz Group: Members  Joined: 14th Mar, 2007  Topic: 20  Post: 937  Age:   
Posted on:10th Oct 2010, 1:06pm
 

diff b/w married & unmarried girls

Mera sawal yee ha k aam tor per log khetey heen k shadi shuda larki aur gher shadi shuda larki k barey mey maloom ho jata ha us ki shakal dheek ker ,k wo married ha ya k unmarried, matlab yee k kisi kunwari larki ko us ki shadi say phelay aap deekey to wo jo nazar aati ha us ki shadi hooney k bad us ki body ya shakal may tabdeeley log mahsoos kertey heen
matalb yee k shadi say phelay wali shakal aur shadi k bad wali shakal may log farq mehsoos kernay lagtey heen

My question is k yee sirif hamrey apney feelings heen ya k waqai esa hota bhee ha k shadi k bad larki ki body may changes aa jati heen ,and when peoples see these married girls they say yes she is a married girl

That is true or wrong please guide us thanks
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:11th Oct 2010, 12:27am
 

its true

1. married woman is more 'confident' than unmarried girl.

2. unmarried girl maiN hassasiyat, hayaa, bay.yaqeeni, adam-tahaffuz jaisi "khasoosiyaat" nisbatan zeyadah balkay bahoot zeyadah hoti haiN.

3. married woman k chehray par 'pukhtagi' /maturity saaf saaf nazar aati hai. jabkay unmarried girl, khaah kisis bhi age ki ho aur ketni hi taleem yaaftah ho, job karti ho yaa nah karti ho...... inki personality maiN un.maturity 'nomayaaN hoti haiN.

4. physically yani dounouN ki body ki saakht maiN bhi nomayaaN faraq hota hai... amooman married women jald hi tool o arz maiN "phail" jati haiN :) (exceptions /sports women etc k elawah)

5. unmarried girls 'outside' main har waqt "cho.kanna' dekhayee deti haiN...married woman bil.amoom iss baat say laa parwaah :)

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:11th Oct 2010, 3:25am
 

diff b/w married & unmarried girls

kai khawateen aisi bhi hoti haiN jin k dekh kar nahi feel hota k woh married ya bachoN wali haiN lekin mostly pata chal jata hae specially bazurgoN ko zyada idea hota hae.
likes some ppl says k kanwari aur married laRkiyan apnay haath, paoN aur chaal se pehchani jati haiN .

aik martba aik nabeena bazurg apnay aik dost k haaN gaye . dost 2nd floor pe rehtay thay to un ki bandi bazurg ka haath pakaR kar stairs se uper le gai aur kamray meiN pohncha kar lauT ayi, jab wapis janay ka waqt aya to bandi ayi aur bazurg ka haath pakaR kar stairs se utarnay lagi. un bazurg ne kaha k mujhay wapis dost k paas le jao aik zaroori baat bhool gaya. jab woh wapis apnay dost k paas aye to kaha k tumhari bandi jab mujhay uper lekar ayi us waqt tak kanwari thi aur abhi jab neechay lekar jarahi thi to is waqt yeh kanwari nahi hae. un sahib ne jab khoj lagaya to pata chala k yeh sach hae aur is arsay k dauran un k beTay aur bandi meiN aisa taluq qaim huwa hae. unhoN ne dono ki shadi karwa di.
yani dekhay baghair ya zahiri ilamaat k baghair bhi pata chal jata hae married aur unmarried meiN farq.

shadi k baad face appearence meiN waqai hi bohat farq ajata hae .
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:11th Oct 2010, 5:23am
 

omar choR

it's true k baaz log aisay bhi hotay haiN jinhaiN omar chor kaha jata hai...aisay logouN ko dekh kar andazah nahi lagta k woh kiss age k hain, unmarried haiN yaa married.... pichlay dinouN hamaray ghar k qareeb clinic maiN aik new lady doc ayee. qabl azeen wahaan aik sr doc theeN...maiN nay iska zikr apni wife say kia aur batlayaa k aik new lady doc ayee hai...shayad abhi abhi pass out kia hai.... kuch dinouN k baad apnay bachy ko lay kar ossi clinic gayaa to wohi lady doc apnay 5/7 salaah 2 bachoun k saath maujood theeN :)

oss baandi ki misaal say yaad aayaa k baaz log yeh bhi kahay hain k kissi bhi female ki chaal Dhaal dekh kar oskay 'characters' ka bhi pata chal jata hai k she is bad/gud... kuch alamtaiN bhi batlayee jati haiN iss silsilay main... lekin jab maiN yeh sab kuch sona karta thaa to iss baat par "imaan" nahi rakhta thaa...lehaza kabhi in "alamtouN" ko ghaur say sona hi nahi...aur ab pata bhi nahi warnah iss topic maiN share kia jasakta thaa :)

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:11th Oct 2010, 5:43am
 

omar chor in china :)

china meiN har khatoon apni age se almost 10 years kam nazar ati hae. is ki aik wajah to in ki diet hae doosri excercise aur 3rd hard work .

kisi ki chaal dhaal se kisi k character ka pata chal jata hae , its true . pehlay pehal laRkiyoN k chalnay phirnay aur uThnay beThnay k muamlay meiN bhi bohat sakhti ki jati thi . lekin behar.haal kisi k baray meiN bhi bura gomaan nahi karna chahiye . may be jisay hum ghalat samajhtay hoN ya bazahir jo ghalat nazar aye woh Allah k haaN hum se bohat behtar ho.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:11th Oct 2010, 6:07am
 

gomaan aur khayaal

its true k gomaan aur khayaal chaahay ketna hi accurate kiyouN nah ho in 'mobaiyyanah alamtouN' say kissi pointed out fard k character k baray maiN lab.kushayee nahi karni chahiyeh. balkay islam to yahaaN tak talqeen karta hai k agar apko kissi k khufya aib ka patah chal bhi jaa.ay to oss aib ki pardah poshi karaiN.

yahaan sirf academically discussion horahi hai k insaan ki shakal soorat say oskay ikhlaaq, kirdaar, shadi shudah aur ghair shadi shudah kapata chal jata hai..... wazah rahay k yeh married /un.married ki jo baat hoerahi hai woh on societies k baray maiN horahi hai jahaan 'unmarried' aur 'sexually untouched' k same meanings haiN... jahaan unmarried log bhi wohi kuch commonly kartay rahtay houN jo married log kartay haiN,,, onkay liyeh mazkoorah balaa 'alaamtaiN' nahi haiN :)

hazart Ibrahim AS ka waqe'a hai k woh kaafi barsouN k baad apnay aik betay k ghar gayee.. onki bahoo nay darwaah kholaa (jo onhaiN nahi jaanti thee)...aap AS nay apna intro karwayaa aur apnay betay k baray maiN poocha...jawaab mila k woh to kaheeN gaye howay haiN koi message ho to batlaa daiN... aap AS nay kahaa k jab woh aa.ay to oss say kahna k tumharay darwaazay ki chaukhaT sahih nahi hai issay change karlo... yeh message sun kar onkay betay nay apni biwi ko talaaq day di aur biwi say kaha k actually meray walid nay apko dekh kar ap hi k baray maiN mujhay yeh mashwarah dia thaa...

it means k yaqeenan yeh "ilm" apni jagah durust hai.

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:11th Oct 2010, 6:21am
 

Re:

ji yeh baat to bilkul darust hae k ilm k zariye ya jahaN shanasi k zariye pata chal jata hae.

lekin mardoN k baray meiN kaise pata chalta hae jab k un pe to shadi aur bachoN ka bhi farq nahi paRta na hi aging ka :)
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:11th Oct 2010, 6:55am
 

aurat aur mard maiN faraq

1. aurat bahoot hi naazuk aur aik khoob.soorat makhlooq hai... issay aab.geenay say tashbeeh dee gayee hai... till oski shadi tak ossay 'handle with care' say pala posa jata hai... iss dauran woh aik kali /tazah phool ki maanind hoti hai........ lekin shadi hotay hi woh kali say phool aur tazah phool say used-phool maiN tabdeel hojati hai.... larki ki zindagi shadi say qabal aur shadi k baad jissmani taur par, zehni taur par aur nafseyati taur par baRi tabdeeli aati hai, jo oski chaal, Dhaal, bol chaal, kirdaar par faraq nomayaaN hojata hai. yehi wajah hai k bil.amoom baak.rah larki aur shadi shudah larki maiN faraq saaf nazar aa jata hai.

2. iskay bar.aks laRkay aik rough tough shakhsiyat k haamil hotay haiN. ibteda hi say onpar out door zimmah daariyouN ka bojh Daal dia jata hai... onka outer world say exposure ibtedaa hi say nisbatan zeyadah hota hai.... woh larkiyoun ki tarah nazuk bhi nahi hotay nah jismani taur par nah mizaaj k etbaar say..... aur nah hi shadi onki jismani, zehni aur nafseyaati satah par koi khaas remarkable tabdeeli laati hai.... aik hi age, qad kaaTh aur rung roop k (like 2 identicle twins) 2 laRkoun maiN say aik agar married balkay bachouN wala bhi ho aur doosra bachelor ho to indounouN ko iss hasiyat say shanakht nahi kia jasakta k kaun married hai kaun nahi....... jabkay aisee hi sooratay haal main laRkiyouN main wazah fara paida hojata hai

3. albattah rare cases main mard bhi omar chor hotay haiN...show biz maiN to aisee misalain aam hain...mera aik friend meri hi omar ka baal bachouN wala hai...but dikhnay main colligiate saa lagtaa hai...woh apnay 4 bhaiyyooun main sab say bara hai...lekin dikhnay maiN sab say choTa lagta hai... but aisay "namoonay" kam hi hotay hain :)

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:11th Oct 2010, 7:20am
 

shadi k baad difference

married khawateen ka shadi k baad different lagnay ka aik reason yeh bhi hae k
mard ki zaat aurat ko jazzbiyat aur aitemad dono bakhshti hae.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:11th Oct 2010, 7:27am
 

That's true

shadi say qabal laRkiyaaN 'naa.mokammal' hoti haiN...shadi k baad onki shakhsiyat ki 'takmeel' hojati hai... ab zaahir see baat hai k 'adhori aurat' aur 'mokammal aurat' maiN faraq to hogaa... magar bahoot kam biwiyaaN iss baat ko samajhti hain k onki "zaat ki takmeel", onkay shauher ki marhoonay minnat hai...lehaza apnay iss mohsin ka yeh 'ehsaan' kabhi nah bhoolna chaahiyeh... bukhari shareef ki aik hadees ka mafhoom hai k shauher ki naa.shukri bhi aik tarah ka shirk hai (Dr. israr k motabiq iss qism k shirk, shirkay khafi kahlaatay haiN jo Allah ki wahdaniyat main shirk say mukhtalif hotay haiN)... kaash dunyaa ki sari biwiyaaN yeh baat samajh laiN to onka yeh dunyawi ghar bhi jannat ban jaa.ay aur jannat main gahr bhi yaqeeni ho jaa.ay :)
aamir2020 Group: Members  Joined: 05th Nov, 2007  Topic: 50  Post: 369  Age:  29  
Posted on:11th Oct 2010, 9:35am
 

great

very nice post and nice replies i like it

abi mairay pas waqt ki qilat hai mai b is topic mai zaroor kuch add karna chahoonn ga

rafaz Group: Members  Joined: 14th Mar, 2007  Topic: 20  Post: 937  Age:   
Posted on:11th Oct 2010, 9:42am
 

HARMONAL CHANGES

Very very informative replys by the members ,

My question is related to this topic can harmonal changes is also occured in a married girl after her married,and if yes these harmonal changes can change her body look or not
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:11th Oct 2010, 9:53am
 

HARMONAL CHANGES

ji bilkul shadi k baad hormonal changes ki wajah se hi laRki aurat numa hojati hae :) isi liye kuch shadi k baad changes ati hain aur kuch kids k baad. beharhaal yeh changes bohat hi achi hoti haiN.
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:11th Oct 2010, 10:26am
 

diff b/w married & unmarried girls

well explained by Myrizvi and Maryam 
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:11th Oct 2010, 11:14pm
 

khud.kalaami

maiN: miyaaN myrizvi...baat kaheeN say bhi shooroo ho, baat ko khainch taan kar tum aurat /biwi tak zaroor lay jaatay ho, aakhir sara nazlah bay.chaari biwi /aurat par hi kiyouN giratay ho???

myrizvi: haaaa haaaa, aisaa aur bhi bahoot say log sochtay haiN, par boltay nahi :) asal maiN jiss tarah zameen apnay mahwer k gird ghoomti hai, issi tarah naslay insaani biwi k gird.

maiN: kia matlab?

myrizvi: bhai tum nay sonaa hi hoga k baRay baray kah gaye hain k tum mujhay achi bayaiN do, maiN tumhaiN achi qaum douNga, aik laRkay ko taleem dena sirf aik fard ko taleem dena hai hai jabkay aik laRki ko taleem dena aik khandaan ko taleem denay k baraa bar hai... har kaamyaab mard k peeechay kissi nah kissi aurat ka haath hota hai....... goyaa naslay insaani ki behtari aur bhalayee issi maiN hai k aurat, biwi bannay say lay kar maaN bannay tak agar sahih track par chalay to...

maiN: o i c.... yeh to baRa acha tareeqah hai, apni "mardanah beradri" ko har zimmah daari say balaa tar karnay ka...

myrizvi: no NOT at all... ab aisaa bhi nahi hai... asal main har mard charouN taraf say "aurtouN" maiuN ghira hota hai... sab say pahlay woh maaN ki "dastaras" maiN hotaa hai, phir bahnaiN oskay gird apna gheraa Daal deti haiN... phir biwi aan kar oski naak maiN nukeel Daal deti hai:) phir beTiyaaN oskay paouN ki zanjeer ban jaati hai...ab ap khud hi sochaiN agar yeh sariu "aurtaiN" right track par maujood rahain to kisis mard ki kia mijaal k woh wrong track ki taraf janay ka soch bhi sakay...janaa to door ki baat hai

maiN: batoun maiN to apsay koi jeet nahi saktaa... jawaab detay howay sab ko laa.jawaab kardetay ho aur jab aisaa nahi kartay tab saaf saaf jawaab day detay ho... yaa phir khari khari sonaanay lagtay ho...goya chit bhi apki aur paT bhi apki :)

myrizvi: haaa haaa...yeh to jawaab nahi, meray 'jawaab' ka lol

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:12th Oct 2010, 12:32am
 

hehehe

waqi Rizvi uncle agar bolne pe aein to barey baron ko lajawab kr dete hain.is me koi shak ki gunjaish bhi nahi.jese above post se is bat ka saboot mil gya h....

wese maza aa gya aap ki ye post read kr k aap apne aap k sath bhi itni achi batein kr lete hain.is se aik bat ye bhi pta chalti hai k agar aapko kahin tanha chor dia jae to aap khod ko is tanhai me bore nahi hone dein ge
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:12th Oct 2010, 1:03am
 

khud.kalaami

parveen shakir ki khud.kalaami k baad myrizvi bhai ki khud.kalaami read karnay ko mili ." Anjuman" ka lutf dobala hogaya :))
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:12th Oct 2010, 1:33am
 

omar chor

humari family me ese buhot se afrad milte hain jin ki age ka andaza lgana buhot mushkil hai.mere Abu,mere barrey bhai,aur nanihaal me meri meri aunty (in future meri saasu maa;-),mere faince,aur inki donu hi sisters isi trha aur bhi mil jaein ge filhal mojhe ye jo yad th bta die.

aur jahan tak unmarried & married ki bat hai to aaj kal ki larkiyaan jis qadar fashion krne lg gai hain to in k make up in k libas se andaza lgana mushkil hota hai k ye married hain ya unmarried.
aaj kal ki larkiyaan ab pehle ki trha nahi rhi bilkul simple si hon.on k kapre fit na hon ya make up na kia ho,plucking na ki ho waghera...

unmarried ka kuch is trha se andza lgaya ja sakta hai k on ka face fresh dikhta hai married woman ki nisbat wo is lie k married woman bachon ki waja se kisi had tak murjha si jati h....raat bhar bache sone n dete,din ko on ki shrartein sakoon n krne deti...lol

aur unmarried boy & married ka kese pta chale to aksar dekhne me ye ata hai k shadi k bad mardon ka pait nikal ata hai to is se andaza ho jata h.shadi se pehle ye bhi bilkul slim & smart hote



love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1175  Age:  37  
Posted on:12th Oct 2010, 2:00am
 

Common Change in male & Female

My Rizvi nay married women kay baray meiN kaha " physically yani dounouN ki body ki saakht maiN bhi nomayaaN faraq hota hai... amooman married women jald hi tool o arz maiN "phail" jati haiN :) (exceptions /sports women etc k elawah"

oar S4U nay married man per kaha aur "unmarried boy & married ka kese pta chale to aksar dekhne me ye ata hai k shadi k bad mardon ka pait nikal ata hai to is se andaza ho jata h.shadi se pehle ye bhi bilkul slim & smart hote"

both r true

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:12th Oct 2010, 2:20am
 

marrued men ki pahchaan

1. nikaltaa howa paiT ):

2. oRtay howay baal :)

3. pareeshan pareeshan saa chehra :)

1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013