Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum


  Food For Sperm Count
Foods to Increase Sperm Count - Which Food is Right for You
Low Sexual Desire
Causes of Low Libido in Men
Increase Sperm Count
10 Easy Ways to Increase Sperm
Natural Aphrodisiac
Natural Aphrodisiac for Enhancing Sexual Desire
 
     
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Search Forum
Google
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Wome Health
Men Health
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
Health Articles
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
Best Articles
    Start New Topic  My Profile
 

2010-11 The Year Of Crisis For Pakistan

Politics
She Love You
How to Identify Her Interest in Dating You
Love & Romance Tips
Attract Love - Common Mistakes to Avoid
Russian Brides
Methods of Solving Frequent Conflicts
Family Problems
Dealing With Everyday Family Problems With A Smile
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 172  Post: 5687  Age: 33 
Posted on:14th Sep 2010, 11:35pm
 

2010-11 The Year Of Crisis For Pakistan

Flood nay jis Qudur tubahi muchai hay esky bahd jo esky ussurat pakistan or pakistani nation pur purny waly hen eska undazaa ap Energy crisis , Flood, barozghari, Ghorbat, Dehshut Ghurdi, Siyasi intashaar, Leadership ka foqdaan, na ehal Leader or siyasatdaan or onky hatho meah moli bag dor, molki sorat haal , bejli or gas kay na hony ki wjaa say Industry ki tubaahi, salab ki wjaa say kham maal , wheat, cuppas, rice, or sugar can, or degur ujnaas ka foqdaan, ghyr molki investment meah kumi yeh woh problems or issues hen jo es hukomat ko next year lay doobyin gay,

crisis say ek foopath pur chabri lugaany waly say lay kur industrialist tuk ameer ghureeb hur kisi nay motasir hona hay or ho bhe raha hay, jub yeh sub problems hongy tu pher dehshut ghurdi , logo meah adam burdash, cher chera pun, lurai jhugry, intashaar, or fitna purwaan chury gah, tu yeh problems hukomat kay bus say baher ho jany hen,  

IMF ki godh meah bath kur hukomat kurna or ghorbat ki mari es muzloom nation pur or zolm kay pahaar dhaaana bhe ek zolm ki inthaa hay, tax ka behtur bunay kay bujay ,curraption ko khutam kurny kay bujy . loota howa pessy wapis laany kay bujay IMF ki godh meah bath kur hukomat kurna koi danishmundi nahi hay,  
 Jub baraozghari ni hogi, energy crisis nahi hongy log busy hongy apna kam apna business kurn gay pessy ki furawaani hogi tu problems bhe kum hongy log juldi shadiyaan kurin gay apni life meah mughun ho jayin gay tu esy problem ni hongy,, jub pesaa Ghurdash nahi kury gah tu esy he problems any hen, logo ki jub bonyaadi zuroriyaat pori ni hongi tu woh hukomat pur or hukomti edaro pur he gosaa hongy,

next year Gas nahi hogi woh he problem,  CNG bund rayngy, gas ka low pressur, lod shedding, esky sath sath cheeni or aaty ka bohraan , puta ni keya kury gahi awaam or kidur jay gah yeh hokumraan, lets see 

 current crisis 
 Gas
 Bejli
 Pani
 Cheni 
 Aata
 Rozghaari
 Subziyaan
 Leadership
 Transport 
 School and education
 Law and order
 Poor international foreign policy
 War on terror , suicide attacks , drown attacks
 Siyasi intashar
 Justice ka na hona
 Ghorbat or mahenghaai 
 Hurtalyin  and tor phor
 corruption 
 Muzhabi intashaar
 IMF

Moderator Note: Please don't post other than forum default font.






info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 12  Post: 378  Age: 28 
Posted on:14th Sep 2010, 9:36pm
 

2010-11

ham pakistani qom aik intehai ghair sanjeeda qom hain...

hamari ghair sanjeedgi ka yeh alam hai, k ham har us important issue ko, jis par hamain rona chahiey, us ka mazak bana letay hain, ya kabootar ki tarhan ankhain band kar k beth jatay hain.

jab beej boya jata hai tau woh tau ghaib ho jata hai, lekin us k reaction ki surat ma aik poda nikalta hai jo hamain nazar ata hai.... aur asal ma us poday k wajood ki asal wja woh beej tha jo ghaib ho chuka.... ab depend karta hai k beej kisi zehreeli jari booti ka tha ya kisi phaldar darakht ka..

bilkul yehi hisab zindgi k tamam muamlat k sath hai..

peda shuda halat hamesha "passive" hotay hain, yani har kisam k halaat kisi active reason ki wja se peda hotay hain, aur woh waja khud tau ghaib ho jati hai, lekin khud ghaib ho kar "reaction" k tor par achay ya buray halat ki shakal ma zahir hoti hai..

is saal siwaey Flood Issue k, baki har kisam ki mushkilat asal ma un beejon k poday hain jo pichlay 60 saal ma boay gaey hain...

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 12  Post: 378  Age: 28 
Posted on:14th Sep 2010, 9:53pm
 

mojuda halaat

aik admi ki monthly income agar 25 hazar rupay ho, aur us k ghar ma 10 nokar kaam kartay hon, tau tamam noker farigh rahain gy aur unhay tankha bhi nahi milay gi, unki roti pani poori hona hi bari baat hai...

yeh haal pakistani logon nay apna bana rakha hai..

aj hamaray 90 percent graduates sirf domestic jobs hasil karnay ki soch rakhtay hain....... koi bhi pakistan ma business lanay ki baat nahi karta.... pakistan ki international trade zindgi ki akhri sansain le rahi hai, export promotion ka koi nahi soch raha.... ... international standards ki trade ka koi nahi soch raha.....

jab hamari products hi international market ma nahi jain gi tau hmari industries kesay run karain gi?

jab hamari industries run nahi karain gi tau yahan research kesay ho gi?

research nahi hogi tau universities ma education standard kesay behtar ho ga?

aur yeh yeh sab nahi ho ga tau jobs kahan se ain gii??? job intensity nahi ho tau transportation kahan se tarakki karay gi?

is k ilava jo pakistan ki independent production "agriculture" hai, uska bhi satia naas ho gya, qk kam amdni ki wja se kashtkaron se koi bhi achay rate par fasal nahi khareedta.....na unhay sahuliat denay ka kharcha bardasht kia ja sakta hai....

jab pakistan ma bahir se business hi nah aey, tau pakistan k ander rehnay walon ko job kahan se milay gi? majboorain log multinationals ma jain gy jinki production ka pakistan ko faida nahi ho ga.....

lehaza pakistan k tamam idaray aik aik kar k band hona shuru ho jain gy, wapda ho ya wasa, steel mill ho ya PIA , Railway .... tamam idaray band hona shuru ho jain gy aur un ki authorities par bethay log corruption ma pesa uratay phirain gy, aur yeh sab maslay nazar ain gy

Bejli

Pani
Cheni
Aata
Rozghaari
Subziyaan
Leadership
Transport
School and education
Law and order
Poor international foreign policy
War on terror , suicide attacks , drown attacks
Siyasi intashar
Justice ka na hona
Ghorbat or mahenghaai
Hurtalyin and tor phor
corruption
Muzhabi intashaar
IMF
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 172  Post: 5687  Age: 33 
Posted on:14th Sep 2010, 11:33pm
 

2010-11 The Year of crisis for Pakistan

 haliyaa Moon soon ki barishoo say jo salaab ayaa essy control keya jaa sukta taa agur humary dams hoty, Ayoob khan kay bahd kiss nay dams bunay? abi humko munghla turballa jesy 4 dams ki zurorat hay, lakin afsoos ek be nahi bun raha, agur dams hoty tu flood etni tubaahi na muchaata , so, hum keh sukty hen es meah bhe humari apni na ehli hay, Duryaa-a-Sindh kay Poshty inthaai weak, onko muzboot nahi keya ghiya, es meah bhe apna qusoor hay,

Ap pakistani Edaro ki bat kurty hen , bilkol such hay, inthaai monafah meah jany waly edary khussara meah ku jaa ray hen,? curraption ki wjaa say, British nay jo Railway ka system bunaya woh 1947 wala abi tuk chul raha hay, woh he tracks , world Fastest Railway system chulaa rhi hay humary pas engen he nahi , Pakistan air line ka bora hal hay, pakistan steel mill ka bora hall hay,  just contraption ki waja say

serf Loota howa pessa wapis laya jay or Tax ka nizaam behtur kur deya jay tu IMF say loan ki zuroorat nahi purti, Qurzoo pay chuly or pulny wali hokomat keya khaak koch kur pay ghi, 

Corruptions, or VIP culture, khutam jub tuk nahi hota koch nahi ho sukta, log shart kuts ki tulash meah hen work koi nai kurna chahata,  Education just degree kay leyeh hasil ki jati hay, even kay technical education bhe digree or diploma kay leyeh , 

Jub tuk yeh nation apna Qibla dorost nahi kurti , Vote ka sahi use ni kurti tub tuk bot moshkil hay, 

Abi jessy halat hen en meah crime rate bhe bury gah law and order ki sorat haal alag khurab honi hay in future jub logo nay surkoo pur protest kurna hay, 

jub tuk hum dosroo kay hathooo ko tukty rayngy , khod-daar nahi buny ghi koch nahi ho sukta, Jo leader ya pakistani pakistan say mokhliss nahi who ghuddaar hay, or ghudaar ek din koty ki mot murta hay, Allah pakistan ko ghudaaro say nijaat ataa furmay or Khodaaroo kay hath meah molk ki bag dor ataa kury jo sokhi rooti tu khaa layin lakin apna hath kisi kay agy na phalaayin,  

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 12  Post: 378  Age: 28 
Posted on:15th Sep 2010, 11:09pm
 

1947 se 2009 tak ka samar..... 2010


exactly.... sab kuch aesa hi hai

hamara tau executive system hi adha teetar aadha batair hai..

tamam idaron ko bureaucracy k hawalay kia hua hai, aur is system ki nigrani k liay provincial government ma hazaron "degree holders" ko wazeer bana kar thonsa hua hai, aur us provincial government par bhi nigrani k liay federal government.... yeh hai hamara ajeeb o ghareeb democratic system jis ma hakumat man chahi ayashi karti hai, aur nakami k tamam ilzamat bureaucracy par dal deti hai, isi tarhan bureaucracy autonomous idaron ki hesiat se apni man chahi ayashion ma qom ka pesa loot leti hai, aur ilzamat hakumat ki ghalat management par dal deti hai..

judiciary k par kaat kar ussay pinjray ma qaid kar rakha hai, lehaza kisi bari machhli par hath dalnay ka sawal hi peda nahi hota.

hamaray sath hua yeh k hamaray dushmanon nay chand tukron par hamari top management ko khareed lia aur unhay apni kathputli bana lia.... aur un sab ghaddaron nay apnay aaqaon k isharon par pakistan ka pesa bahir bhijwa dia aur idaray kamzor kara diay jis sy production khatam ho gai aur business khud bakhud khatam ho gya...... lehaza ahista ahista yeh sab halaat peda ho gaey jo aaj hamain nazar aa rhay hain....

ab agar pakistan k liay kuch karna hai tau hamain sab se pehlay law enforcement karna ho ga, tab pakistan ka pesa pakistan ma wapas la kar idaron ko mazboot karna ho ga jis sy production resume ho... production ki base par jab import export ma international business ki surat e haal behtar ho gi tau pakistan k baki sab muamlaat khud bakhud theek honay lag jain gy...

lekin aesa us wakt tak nahi ho sakta jab tak logon ko educate na kia jaey...

aur yeh sab kesay ho ga? pakistanion ki "intehai be sharmi aur intehai ghair sanjeedgi" dekh kar yeh sab baatain sirf "sochi ja sakti hain"....... is se agay .......sirf sawalia nishan


H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 172  Post: 5687  Age: 33 
Posted on:24th Oct 2010, 4:57am
 

2010-11 The Year of crisis for Pakistan

 Pakistan or pakistani nation kay basic problems say Naa aashnaa hukomat Ghuflaat ki neend soi hoi hay or apuss meah du saal say lur ray hen apni collation Governaments leaders or parties say enka Itfaaq nahi hay jiski waja say awami musaayil joon kay toon mojood hen or abi Cold season hay Dams meah pani ki kumi hoti jaaa rahi hay, or surdi ki waja say phaaro say Buraf pighulny ka process bhe kum ho jata hay jiski waja say dams meah pani kum ho jata hay

abi pher short fall shoro ho jay gah or next Ghurmiyoon meah bhe yeh he haal hona hay essy Direct ek common man affect hota hay, industry ka bayra ghurk tu abi bhe eno nay kur deya hay, or agriculture kaa tu flood ka enko bahana mil choka hay,

Moshuraf Hukomat thi tu os time beh LFO ek issue taha or abi NRO or puta  ni keya keya issues eno nay nation ki tuwajaa hutaany kay leyeh khury keyeh howy hen, or siyasi parties apus emah lur rahi hen, 

Ek achi hukomat future kay 10 years ki advance meah planing kurti hay lakin yeh tu next year ki planing nai kur paa ray, 5 years pory kur kay Loans lay lay kur or bayraa ghurk kur kay dosri hukomat ko pakistan ki baag dor day daty hen, yani pakistan ko muzeed tareekoyoon meah dhukaal daty hen jiska khumyaazaa awaam ko bokutnaa purta hay 

energy crisis ka year 2011 humary saamny khuraa hay or mujy lugta hay kay next year es hukomat ka aakhuri saal hona hay ku kay Major sary issues joo k tooun pury hen or next year es awaam nay enko Islamabad meah pukur lanaa hay, jahaa say enko bahagny ka raasta bhe nai milna hay,

eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 55  Post: 1833  Age:  
Posted on:3rd Nov 2010, 7:01pm
 

Mehangaee k Atom Bomb

hukoomat ny a'awam par aik baar phir mehangaee k bomb giranaa shuru kardiay hyn. Government ny petrol Rs 5.97, Diesel Rs 4.51, HOBC Rs 7.11, kerosene oil Rs 5.15 aur light diesel Rs 4.27 mehangaa kardiaa hy. is izafay k baadd Petrol ki naee qeemat Rs 72.96, High Speed Diesel Rs 78.33, HOBC Rs 86.67, Mitti ka tail Rs. 70.95 aur Light Diesel Rs 66.61 ka hogayaa hy.

mera khayaal sy ye government a'awami masael ko haal karnay main nakaam hochuki hy. PPP(P) ny elections main ye naaraa lagayaa thaa k PPP(P) iqtidaar main Aakar a'awaam ko rotee,kapra aur makaan daingy. Saddar Asif Ali Zardari ny judges bahaali sy kafee pehlay yeh kahaa thaa k a'awaam ny unhain roti,kapra aur makaan ka mendate dia hy judges bahaali ka nahee. PPP(P) ny apnay wa'aday k bar.a'aks a'awam ko roti k badlay goli dee hy, kapray k badlay kafan diaa hy aur makan k badlay qabar dy rahee hy.

is waqt a'awam k andar shadeed gham-o-ghusaa payaa jaa rahaa hy agar a'awam sarkoun par Aagaey tou mera khayaal sy is govt. ko shaheed bannay sy koi nahee bacha sakay gaa.

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4437  Age:  
Posted on:3rd Nov 2010, 7:35pm
 

2010-11 The Year of crisis for Pakistan

2010-11 meiN na sirf mehngai had se zyada hui balkay subsidies bhi khatam ki gayeN, funds bhi khatam kar diye gaye aur ab sun,nay meiNz araha hae k 2 years k liye promotions bhi delay ki jayeN.gi . sensitive idaroN se brain drain k chances kafi zyada hogaye haiN isi liye abhi tak is ko disclose nahi kiya gaya .
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 172  Post: 5687  Age: 33 
Posted on:4th Nov 2010, 6:06am
 

Ghorbut or Mahengaahi meah pisti awaam or din ba din ameer hota hukumran or siyasatdaan

 Humari ek wuzeer-a- khoraak i think ono nay kahaah ay kay cheeni ayaashi hay zuroorat nahi so awaam cheeni ka use he bund kur dayin, abi pher eno nay kehna hay bejli pani or gase bhe bund kur dayin use kurna , dur usaal hukumraan humary esy hen jinko ghureeb aadmi ka ehsaas he nahi kay woh kessy apni zindghi busur kur raa hay enky apny banks tu corruption say full hen.

looti hoi dolat wapis nahi lotaa ray oldaa awaam pur nay tax daly jaa ray hen, Loans lay kur apni khodaari Ghervi rukh kur hukomaat ki jaa rahi hay, hur roz kisi cheez ki price bur rhai hoti hay, jiski wajaa say log suicides kur ray hen, mohashiraa adam-a-tuwaazan ki waja say shudeed moshkilaat say duchaar hay jski wajaa say log tura tura kay nufsiyaati bemariyoon ka shikaar ho ray hen

2011 the year of crisis hay, jis meah just ghureeb awaam pakistani nation suffer kury gahi or hokumraan apni siyaasat chumkayin gay or lasho pur siyaasat kurin gay, abi tu cold season hay or dams koshk hen pher Hot season meh bhe esaa he hona hay, edur Industry ko power shutdown say tubaah kur kay apny paon pur kolhaari maari jaa rahi hay dosri turaf Electric genirate kurny waly edaaro ki gase or oil ki rusud bhe roki jaa rahi hay 

esaa lughtaa hay IMF or humary hokumraan es awaam ko ek chuki meah peess ray hen,

eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 55  Post: 1833  Age:  
Posted on:9th Nov 2010, 5:37pm
 

Rapid Increase In Sugar Prices

Sugar price latest updates k mutabiq kaee shehroun main Rs.125 tak jaa pohanchee hy kaheen 110 kaheen 115. is govt. ko koi dilchaspi nahee hy a'awami masael ko hal karnay main. aisa malum horahaa hy k sugar prices main haliaa izafaay main hukoomat barah-e-rast mulawis hy.

 

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 43  Post: 2571  Age: 34 
Posted on:10th Nov 2010, 7:44am
 

majooda buhraan

cheeni k majooda buhraan main hakumat involve nahi hay bulky hakumat to iss mu'amly main be bas dikhaiee dy rahi hay ...q k hakumat k har faisly ko high-court ya supreme- court main challenge kiya jata hay aur hakumat adliya k faisly par apna mo'aqqaf dainy k baad uss faisy ko man'ny par majboor hoti hay ...courts by force apny har faisly par hakumat sy amal dar'aamad karwa sakti hay

mazi qareeb main adliya ny cheeni k daam 40/- per Kg karny k orders diye laiken iss par amal na ho saka bulky jis din orders howey usi din supreme-court k samny cheeni 65/- rupees per Kg k hisaaab sy frokhat ki gayee ...agar courts apny faisly par amal dar'aamad karwany sy ajaz hain to issi trah majooda Government b cheeni ki majooda high prices ko control karny main ajaz hay fil haal.....because "Might is Right" ...jis ki lathi uss ki bhains....simple ...iss waqat iss mulak k ba asar logon k hath main lathi aa chuki hay jin k samny majooda hakomat be-bas hay..
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 172  Post: 5687  Age: 33 
Posted on:10th Nov 2010, 3:42pm
 

Rapid Increase In Sugar Prices

agree with you eagle fly 

new Tax
aaj Koch muzeed Tax bhe lugaany ki munzori dee ghi hay,

Oil pricess and Political cirisis
Hukomat nay Oil prices increase kur kay Ghureeb awaan pur zolm ka ek or phahaar tora hay or Hukoomat kay apny Qudum lurkhuraa gay hen, oil prices burhanaa zolm-a-azeem hay ess ghureeb awaam pur
mustmust Group: Members  Joined: 03rd Dec, 2008  Topic: 12  Post: 148  Age: 26 
Posted on:6th Jan 2011, 10:28am
 

Old oil prices restore kur de ghi hen

Awami or Siyaasi presser ki waja say PPP nay Oil prices pher say kum kur kay old restore kur de hen lakin esky sath sath Gas ki prices Increase kur kay ek or Bomb gheraa deya hay

Punjab ko Gase ki Turseel meah rukaawat just PPP 

Hukomat punjab ki muqboliyaat ko kum kurny kay leyeh Kod sakhta Gas ki bundash or turseel meah rukawaat hukomat a wuqat nay daal rukhi hay jiska muqsad punjab or punjab hukomat ki moshkilaat meah ezafa kurna hay , lakin ppp yeh bhool ghi hay essy pakistan ko he noqsaan hona hay , industry bund hogi tu noqsan kis ka hoga, serf apny zaati mofaad or zaati runjush pur awaam ko suzaa dee jaa rahi hay ,

Onion India export ho ra hay or Pak meah Onion Dus-turss say baher 

Humari planing ka yeh haal hay kay Onion ko Inida export or Afghani smuggle keya ja raha hay or pakistan meah bazaar meah onion ki asmaan say batin kurti onion prices nay logo purashaan kur rukhaa hay, India onion ki turseel fori tor pur bund ki jay or local market meah onion ki normal prices bahaal ki jain,


Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 43  Post: 2571  Age: 34 
Posted on:9th Jan 2011, 5:48am
 

hmm

"India onion ki turseel fori tor pur bund ki jay or local market meah onion ki normal prices bahaal ki jain,"

theek hy Dr.sahib kal sy aysa hi hoga...:)
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 172  Post: 5687  Age: 33 
Posted on:26th Mar 2011, 8:45am
 

2010-11 The Year of crisis for Pakistan

Mujy Lugta hay kay Arab inqalaab kay sath he pakistan meah eski ebtadaa hony wali hay or nation Qureeb he koch months bhad ap surko pur dakhain gay ku kay abi power shutdown or oil pricess or Mahengaai kay tofaanoo nay awaam ko bot hud tuk disturb kur deya hay or meri yeh pashungoi ghult nahi hogi kay Awaam bot bory tureeky say phiphlaaa kur Hukomat kay khilaaf next comming months meah protest kury gahi or yeh protest inqalaab meah change hoga,

Lakin Serf zuroorat hay tu Ture Leadership ki Allah pakistani Nation ko ek tu sumaj booj ataa kury or dosra Ek acha leader ataa kury Jo Qom ki omaangoo ka turjomaan ho , Jis din jis Wuqat Pakistan ko woh leader nuseeb ho ghiyaa jis nay Pakistan ky Jhundy tuly subko ek kur deya os din Inqalab or Tubdeeli ka aghaaz hoga, 

Posted on : Saturday, 25th June 2011, 3:25am
2010-11 The Year of crisis for Pakistan
2011 meah Osama bin laden or PNS attack and drone attakes nay bhe pakistan meah new crissis ko Junam deya, Nation ek turaf energy crisis say du char or dosri turaf kam karobar thup or Hokumaran bhe essy mily jo apni moddat pori kurny pur ektufaa kur ray hen taa kay pakistan ko humasha ki tura loraa lungraa dosri hukomat kay huwaaly kur dain or dosri hukomat humashaa ki turaa aa kur boly khuzaany khali hen, yeh sisilaa jany kub tuk hota ray gah, Allah kury es nation ko aqal ajay or en tummaam siyasi parties ko yeh reject kur dain jo nation ko Tuqseem kurty hen or pakistan meah fitna or fussaad burpaa ku ray hen




H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 172  Post: 5687  Age: 33 
Posted on:17th Jul 2011, 3:22am
 

2010-11 The Year of crisis for Pakistan

Pakistan History kay nazuk tureen dor say gozzur ra hay jaha Siyaasi Entashaar, Qiyaadat ka Foqdaan, Pani kay Mussayil , Bejli ki kumi, Corruption, Dehshut Ghurdi,, Fitna Fussad rung nussul muzhaab, qom, siyaasi or lussaani bonyado pur qom ko tuqseem kurny ki sazush yeh sub woh problem or woh mussayil hen jin ki waja say pakistan jo Islam ka Qullah hay oski bonyaado ko khokhlaa kur raa hay,

Agur Bejli ka Bohraan essi turaa jari raa tu humari export kay sath sath humari apni products ki productions khutam ho jay gahi or hum ko baher say cheezain lana purin ghi or woh molk meah Mahengaahi ka ek or tofaan lay kur ayin ghi , essi tura agur muzeed bury dams na bunay gay tu yeh ek Qomi unity ko tar tar kurny ki ek or sazush hogi,

Essi tura water ka problem hay humara pani somondar meah chula jata hay, hamary pas dams ni hen , pani ka yeh haal hta hay kay ess pur bhe soby apus meah lurty hen, India nay pakistani duryaaon pur dams buna buna kur sara pani bund kur deya hay or humara bucha kocha jo pani hota hay woh b somondar meah chula jata hy,

Siyasi entashaar ki yeh condition hay kay nation ko firqa, nusal , qom, zoban , libaas pur siyasat or fussad kurwaa kur lasho pur siyasat ki jaa rahi hy, humara media zukhmo pur numak churakny kay sath sath Julti pur tail bhe churakta hay or Media war kurwaa kur molk meah bay chaani or entashaar phalaa ra hay,

Qiyadat kay foqdaan ka yeh aalim hay kay ferhoon o qaroon ki khuslat leyeh hokumraan hum pur mossulat hen or humary sary siyasat dan enky hath muzboot kur ray hen, humary olamaa afghan jehad tu kurty hen , USA say Jehad ki batin tu kurty hen dehsut ghurd fack talbaan say jehaad ki batin tu kurty hen lakin corrupt hokumrano ky khilaaf jehaad ki batin ni kurty, Zukaat na dany walo ky khilaaf jehaad ho sukta hay tu qomi khuzaana lotny walo ky khilaaf jehaad ku nahi ho sukta , humary olmaa mofukur ku khamosh hen,
1
Sexy High Heels
5 Tips for Choosing Sexy High Heels
Sexy High Heels
Sexy High Heels: 5 Things Why so Many Men are Mad About Them
Sexy High Heels
How to Walk Confidently in Sexy High Heels
Sexy High Heel Sandals
Top 3 Sexy High Heel Sandals of This Summer
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us