Root cause of current situation thanks stalker and Dr.Qasim for participating here ....
agar hum current situation ka jayza lain to aik bat aur samj main ati hey k mulak-e-azeez pakistan aik aysa tajruba gah ban chuka hey jahan har qisam k experiments easily kiye ja sakty hain pakistan main sehooniyat ko easily agents mil sakty hain easily logistic support mil sakti hey yahan har kism ka banda khareedna dosry mumalik ki nisbat asan tareen kaam hey
iss k ilawa yahan potential b buhat hey jis ko negative purpose k liye asani sy mayl wa qayel kar k apni marzi k mutabiq istemaal kiya jaskta hey...pakistan chunk aik Atomic power country hey iss liye iss ka tsha'khus majrroh karna aur issy d stable karna b sehooniyat ka agenda hy
iss k ilawa pakistan aik islamic country hey aur pakistan ko islam ka qila b keha jata hey jo baat islam k qila sy bahar k mumalik main jaye gi wo authentic aur mu'assar samji jaye gi iss liye sehooniyat ny mehz islam ko badnam karny aur islam ka asal wajood mittany ki gharz sy pakistan ko apni lpait main ly rakha hey..ta k yahan sy islam ka jo image ubhry wohi iss qadar masakh shuda ho k poori duniya islam sy nafrat karny lagy aur yeh yahood-o-nasara ki aik chal aur buhat gehri sazish hey
issi liye khuda ta'ala ny quran majeed main irshad farmaya k yahood-o-nasara muslim k dost nahi ho sakty
majooda dehshat gardi k pas manzar main aik aur tajziya hazar-e-khidmat hey Europe , America , Latin America , gharz yeh k poori duniya main islam apni poori aab-o-taab sy phail raha hey aur non muslims jook dar jook islamic taleemat sy behra mand hoty howey halka bagosh-e-islam ho rehy hain
yeh baat yahood-o-nasara k haq main behtar nahi hey unn k think tank ny iss bat par ghor kiya aur har mumkin tareeqa sy non mulims ko muslilm hony sy rokny ki bharpoor koshish ki...jub wo apni iss koshish main har trah sy nakam howey to phir unhoon ny non muslims ko mulim hony sy baaz rakhny k liye aik ghanaona aur pur tash'dad treeqa wza kiya
jis ka name sehooniyat ny "War Angainst Terrorist" rakha iss kaam k peechy sehooniyat k kai aik muqasid chupy hoy hain jin main sy chand mandrja zail hain.
# 1 har muslilm country main dakhli inteshar paida kar k uss mulik ko d stable krana ta k wahan ki muashiyat par mukamal control hasil kiya ja sky
# 2 apny bnaye howey jadeed aur new asleha (arms) k liye nai nai mandiyaan talash ki jaien aur iss amar k liye kisi b mulak main halaat kharab kiye jaien ta k asleha ki demand ban sakey......Iraq , Afghanistan , Palestine , Middle East , Pakistan waghaira ki misalain samny hain.....
# 3 islam sy badla liya jaye matlab yeh k tareekh guwah hey k islam k nazool k hi waqat sy yahood-o-nasara mukhtalaf adwaar main mukhtalaf harboon sy islam ka rasta rokny k darpy rehy hain aaj b jab sehooniyat ny islam ko apni poori aab-o-taab sy panpty howey daikha to unain islam ki kamyabi aik ankh nahi bhaiee..
iss liye unhoon ny islam k liye roy aama ko khilaf karny ki gharz sy pehly apni marzi ka islam mutarif karwaya jis ka aghaz sehooniyat ny najad sy kiya...iss k baad unhoon ny isi khud sakhta islam k hathoon asal islam ko maskh karna start kiya jis k liye unn ka mu'assar tareen hithiyaar yeh dehshat gardi hi hey iss sy islam badnam b hoga aur islam k khilaf nafrat b paida hogi
aur aap daikh sakty hain aaj aysa hi hey roy aama aaj islam ko pur tash'dad aur zalim mazhab keh rehi hey aur islam sy nafrat ka izhaar kar rehi hy ...chunachy agar daikha jaye to sehooniyat apny mazmoom muqasid main fil haal kam yaab nazar arehi hey
mndarja bala tajziya ki roshni main yehi nateeja bar'aamad ho raha hey k pakistan main majooda dehshat gardi issi sehooni think tank ki chaal aur sazish ka nateeja hey jis ka zikar uper kiya geya hy...aur yehi pakistan main majooda dehshat gardi ki root cause hey... |