Qudrat Ka Inaam Quran main irashad-e-bari ta'ala hey k "tum apny rabb ki kon kon si naimtoon ko jhutlaoo gy"
yaqeenan aik insan k liye iss duniya main jo b paida kiya geya wo uss k liye naimt-e-khuda wandi hi hey..aur iss sy inkar kisi b insan k liye mumkin nahi hy
laiken agar inn naimtoon ki darja bandi ki jaye yani yeh daikhny k liye k konsi naimat insan k liye ziyada inaam ka darja rakhti hey to phir yaqeenan "AQAL" insan ko aysa tuhfa aur inaam k toor par ata hoi hey k jahan yeh aqal ho gi wahan khuda ki ata karda har naimat aur inaam ki pehchan ho gi wagrna insan janwar jaisa hi ho ga jisy aqal nahi hey aur wo duniya jahan ki naimtain b kha ly laiken khuda ki tarf sy ata ki gayee naimtoon ko apny liye inaam k tarjmy main nahi ly sakta..
aqal hi wo wahid zariya hey jis ki bina par aik insan khuda ki har naimat ko naimat aur inaam samj sakta hey chahy waldain hoon , bhai behan hoon , rishta daar hoon , dost ahbaab hoon , ya kisi b qisam ki koi b naimat jo khuda ki tarf sy insan ko ata ki gayee ho.....iss liye main yeh kehny main haq bejanab hoon k darja bandi k lihaaz sy aqal khuda ki tarf sy sab sy barra inaam aur naimat hey...(alla hazal qiyaas)
wazy rehy k jahan aaj k door main waldain olaad k liye khuda ka inaam hain (yaqeenan hain) to waheen naik aur saleh olaad b apny waldain k liye khuda ka inaam hi hain... |