agreed wid seemi 1. shadi k baad laRki ka naam, husband k naam k saath attach karkay likhna koi ISLAMI TAREEQAH nahi hai, agarchay k aisaa karnaa HARAM bhi nahi hai. It's optional k agar couple chahay to aisaa kar saktay haiN.
2. ajkal naam change karna aik "technical maslah" bhi hai and it's not simple, specially jab girl /boy grown up hochukay houN aur education waghairah say faraghat paa chukay houN. coz ab tak jetni bhi educational certificate /degrees haasil kar chukay haiN, on sab ko new name k saath change karana hogaa... issi k saath saath domicile, PRC (permanent resident certificate), birth certificate, NADRA bay-form (agar shanakhti card nahi banaa to), CNIC, passport (agar banaa howa hai to).... in sab main new name ki entry nahi hogi to yeh sab apas main match nah hosaknay k sabab... mutalleqah fard ko kabhi nah kabhi diqqat pesh aa sakti hai.
3. waisay naam change karnay ka tareeqah yeh hai k pahlay aik affidavit banwaya jaa.ay k maiN apna naam ABC say XYZ rakh raha houN lehaza mujhay ayandah iss new name say pokaraa aur likha jaa.ay aur meri tamaam sabeqah dastaaweezaat ko bhi re-name kia jaa.ay (iss mazmoon ka formal text matter kissi bhi oath commissioner say haasil kia jasakta hai)....... iskay baad at least kissi 2 qaumi daily main issi mazmoon ka advertisement shaya karaanaa hogaa..... iskay baad NADRA ko in 2 documents day kar wahaaN apnaa name change karanaa hoga bay form/CNIC maiN.... iskay baad domicile, PRC, passport ko correct karwana hogaa... phir in sab ki help say apni tamaam taleemi asnaad ko dobarah banwana hogaa...
shakepear nay jab kahaa thaa tab sahi kahaa thaa k naam main kia rakhaa hai... magar aaj sab kuch naam hi main rakhaa hai...ap khud dekh laiN k naam badalna ketnaa mushkil kaam hai... aur waisay bhi laRki k liyeh SHADI karnaa aisa koi BORAA KAAM to nahi k woh iskay baad naam badal lay :) woh kahtay haiN naa k agar main nay aisaa nah kia to naam badal louNgaa lol
aik aur baat... father permanent hota hai aur father name bhi... yeh kabhi change nahi hotaa... but husband to badal bhi saktaa hai. khodfaa nah khaastah husband ki wafaat par yaa divorce ki soorat maiN... to kia aurat baar baar name hi badalti rahegi.... aqalmandi ka taqazah yehi hai k biwi k name kitabdeeli par israr nah kia jaa.ay, specially documentation ki had tak.... waisay likhnay likhaanay aur pokaarnay ki had tak agar koi husband ki mohabbat main apnay name k saath husband ka name bhi lagaa lay to koi harj bhi nahi. |