|
manni_guy |
Group: Members
Joined: 22nd Jan, 2010
Topic: 3
Post: 3
Age: 31
|
|
Posted on:24th May 2010, 6:11am |
|
|
age matter SALAM
meray sawal yeh hai kay agar larkay ki age 32 hai aur larki age 23 sey 25 tak ho aur larki achi ho or pasand ho tou kya age matter karti hai aksar lok kehtay hai kay larkiya shadi kay baad jaldi mature lagnay lagti hai plz positive reply
Thnx
|
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 74
Post: 2636
Age:
|
|
Posted on:24th May 2010, 8:58am |
|
|
positive reply agar laRkay ki age laRki say 7 yaa 8 saal zeyadah ho to yeh to "ideal condition" hai, bah shartekay baqi deger conditions bhi acceptable ho. yeh baat bilkul durust hai k laRkiyaaN biwi bantay hi "mature" hojati haiN aur jald hi laRkay ki "ammi" ki "barabari" karnay lagti haiN. :) |
H/dr_Qasim |
Group: Members
Joined: 29th Nov, 2008
Topic: 164
Post: 4366
Age: 32
|
|
Posted on:24th May 2010, 6:35pm |
|
|
according to my openion Meah sumujtaa hon ek 23 years ki lurki 32 years kay lurky kay leyeh bhee best hoti hay ku kay Girls en mohaamlaat meah mentaly ziyada mature hoti hen, ek 15 saaal kaa lurkaa ek dum luloo hota hay jub kay ek 15 saal ki lurki sub janti hay, or Allah nay female ko hur mahool hur environment meah dhul jany ki tofeeq day rukhi hay lurki adjust kur lati hy apny ap ko hur mahool meah even kay 80 years ka murd bhe 20 salaa lurki say shaadi kur lataa hay or some time dakhaa ghiyaa hay wo khosh hoty hen, or gulf meah tu yeh baat aam hay kay murd 50 , 60 , 70 years ka hy or oski wife 25, 35, 30 years ki hay or wo khosh gowaar life gozaar ray hen, serf jo baat effect kurti hay wo pusaand na pussund hay agur apus meh mohubaat nahi tu koch nahi or mohubat hay peyaar hay tu age ka koi problem nahi hay, |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 74
Post: 2636
Age:
|
|
Posted on:25th May 2010, 9:37am |
|
|
agreed wid Qasim bro re: serf jo baat effect kurti hay wo pusaand na pussund hay agur apus meh mohubaat nahi tu koch nahi or mohubat hay peyaar hay tu age ka koi problem nahi hay,
well said... |
Seemi |
Group: Members
Joined: 11th Sep, 2007
Topic: 30
Post: 4968
Age: 24
|
|
Posted on:25th May 2010, 4:14pm |
|
|
Age matters Yes age matters... Bohat se factors involve hotay hien is mein...
Sab se pehla issue to bachon k hawalay se hai. Agar admi ki age ziada ho jaye to generation gap paida ho jata hai jo itself aik problem hai within the family.
is k ilawa, jo issue samnay ata hai woh yeh hai k bari age ka mard apni kam umer ki biwi pe shak karna shoroo kar deta hai. aaj kal larkiyan apnay aap ko maintain rakhti hien or woh zamana chalay gaye jab kaha jata tha k larki jaldi borhi ho jati hia or mard kabhi borha nahin hota. Is liye, is fast paced zamanay mein agar larki working lady bhi to us ka ziada age ka husband us pe shak karna shoroo kar deta hai k yeh meray sath loyal hai ya nahi etc ect... or shak rishtay ko tabah karnay ka sab se pehla or basic element hai.
isi se yeh baat bhi jur jati hia k mard aik age limit pe pohanch k apni sexual needs mein kami mehsoos karta hai jab keh biwi ki sexual needs mojood hoti hien, jis se or masayil janam letay hein.
Age differene ziada honay ki waja se donon ki pasand napasand ka bhi bohat farq aa jata hai. for example mian sahab puranay zamanay ki ghazlein or qawaliyan suntay hien or biwi ko taza tareen atif aslam, ali zafar type k songs pasand hotay hien to phir is baat pe bhi behas or larayi hoti hai.. I have seen some example of this situation. :D
Shaadi k liye idea age difference 5 se 6 saal ka hai. Is se ziada difference se ijtanaab kiya jaye to behtar rehta hai. aaj kal bohat rare cases hon ge jo bohat age difference k sath achi life guzar rahay hon. |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 74
Post: 2636
Age:
|
|
Posted on:25th May 2010, 4:29pm |
|
|
nice points raised by seemi ... acha howa aik aur pahloo bhi saamnay aagayaa... spouce ki talash main iss nuktay ko bhi zehan maiN rakhna chhaiyeh.
magar west say aamdfah reports k motabiq wahaan ki laRkiyaaN apnay say 10-20 saal baRay husbands maiN zeyadah dilchaspi zahiir kar rahi haiN. wahaan yeh new trend last decade say atart howaa hai... ab pata nahi, woh aisaa kiyouN karti haiN... |
H/dr_Qasim |
Group: Members
Joined: 29th Nov, 2008
Topic: 164
Post: 4366
Age: 32
|
|
Posted on:25th May 2010, 4:37pm |
|
|
Zuburdust agreed with seemi
|
Azfar-K |
Group: Members
Joined: 02nd Mar, 2009
Topic: 7
Post: 806
Age:
|
|
Posted on:27th May 2010, 8:54pm |
|
|
myrizvi bhai Ye new trend Pakistan main bhi hai.... :)
Shayad unko yeh lagta hai k jo log mid 30's main hotein hain wo ziyada mature hotay hain mid or late 20's se.Or wo shadi jaisi commitment ko ziyada seriously lete hain or waise financial stability ki bhi wajah se hosakta hai..
Lekin jo log ye samjhte hain k age ki wajah se maturity ati hai wo galat hain zaroori nhai k har admi jo 30's main hai samajdar ho or har 20's main admi bewaqoof.Ye individually depend karta hai or Age ka is se koi talluq nhai hota.
|
saim1 |
Group: Members
Joined: 23rd May, 2008
Topic: 41
Post: 4405
Age: 32
|
|
Posted on:27th May 2010, 9:17pm |
|
|
age Re: yeh baat bilkul durust hai k laRkiyaaN biwi bantay hi "mature" hojati haiN aur jald hi laRkay ki "ammi" ki "barabari" karnay lagti haiN. :)
yeh hi tu hum larkiyon ki galti he ke 99% larkiyan(ortien)shadi ke baud khud ko dekhna chor deti haien,un ke mind may aik bat a jati he ke ab tu shadi ho gai ab kis ne dekhna he
mare khyal se shadi ke baud bhi orat ko khud ko ache se rkhna chyea,srif shor ke khatir hi nahi balke appne app ke liya,ku ke when u look good u feel good
|
H/dr_Qasim |
Group: Members
Joined: 29th Nov, 2008
Topic: 164
Post: 4366
Age: 32
|
|
Posted on:27th May 2010, 9:44pm |
|
|
zuburdust agreed with saim
|
|