Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

A Pakistani Killed 16 Years Old Daughter In Swiss!

Non Medical Discussion   >>  Discussion
 
 
 
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 43  Post: 2155  Age:  35  
Posted on:18th May 2010, 6:00pm
 

A Pakistani Killed 16 Years Old Daughter In Swiss!

taqreeban 1 haftey phle aik Pakitani ne jo ke pathan tha,uss ne appni beti ka qatal kar diya.wo family Swiss may aik arsey se rah rahi thi or unki wo beti swiss born thi

qatal ki waja yeh thi ke beti western thi wo azad rhna chatti thi or wo appne boy friend ke sath bhi rhti thi or kaprey wager bhi bhout behoda qisam ke pahanti thi or bap ko yeh sab passand nahi tha

in baton ko le kar bap beti may har waqt jhagra hi rhta tha,or akhir aik din jhagra itna brha ke bap ne beti ka qatal kar diya or khud hi police ko call kar ke khud ko police ke hawale kar diya

yeh mare nzdeek bhout afsosnak bat he

iss may qasoor kis ka he bap ka ya beti ka?

aik bap appni beti ki yeh harkatien bardasht nahi kar sakta ku ke uss ki gharat gawara nahi karti or beti  uss mahool ko appnaney ki koshish karti he jis mahool may wo rah rahi he

kis ka qasoor he? un ma bap ka jo appni ulad ke better future ke liya unhe Pakistan se bahir le jate haien

plz appne comments daien iss par

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:18th May 2010, 11:43pm
 

100% baap ka qasoor hai

1. hum muslim mard, mo'aa.shi khush.haali ki khatir apnay rtewayti muslim region ko choR kar western society maiN 'settled' hotay waqt yeh nahi sochtay k jab hamaari aulaad, bilkhasoos larkiyaaN issi society maiN pal kar jawaan hongi tab kia hoga???

2. jin muslim mardouN ko apna mazhab /culture azeez tar ho, onhaiN kabhio bhi with family aisay azadanah society main "settled" nahi hona chahiyeh.... agar education /job ki khatir wahaan janaa bhi paray to single jaa aiN.... wahaan family ko tour karayaiN... aur "minimum economic target" hasil hotay hi apni family /apnay culture main lauT aayaiN.

3. sirf wohi log bahar settled honay ki koshish karaiN jo wahaaN k culture ko dil say accept karnay ki "himmat" rakhtay houN aur apnay mazhab /culture ki onkay nazdeeq koi ahmiat nah ho..... muslims k saath saath esastern culture k deger mazahab (like hindu /sikh) k qadamat pasand mardoun ka bhi yehi masla hai... woh khud bay shak western culture maiN rungay howay kiyoun nah houN... woh apni biwi /beTy ko kabhi bhi wahaan ka rung opt karnay ki ijazat nahi detay.

4. masal mash'hoor hai, jaisaa dais waisaa bhais.... jo jahaaN rahegaa osssay wahaan k norms say waaastah to paRegaa... jab apnay wahaaN k dollars /pounds ko "apnayaa hai" to wahaan ki on batouN ko bhi accept karna paRega jo apko naa.pasand hi kiyouN nah ho.

5. iss qism k waqe'aat east say west migrate karnay walouN ko aksar o beshtar pesh aatay hain... yeh apni nauiyyat ka koi anokha waqe'aa nahi...... aur aisaa ayandah bhi hota rahegaa... iss qism k saanhay say bachnay ka wahid tareeqah yeh hai k aisay mahaul main apni family k saath settled hi nah howaa jaa.ay..... yaa agar settled ho gaye hain to khud ko oss society k raham o karam par chor daiN... apni agli nasal nay to onn jaisaa ho hi janaa hai, dair say ho yaa sawair say

Azfar-K Group: Members  Joined: 01st Mar, 2009  Topic: 3  Post: 772  Age:   
Posted on:18th May 2010, 11:59pm
 

Honor killing

Agreed with you but ap ko nahi lagta k hamara muashra bhi ahista ahista western society main tabdeel horaha hai...thinking se lekar dressing tak sab kuch freedom azad khayal or libernism k name par change horaha hai.

Hosakta hai shayad aise waqiyat Pakistan main bhi hotay hon q k Pak Islamic country to hai nahi...
waise honor killings ki news bhi dekhne ko atin rehtin hain....
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4655  Age:  37  
Posted on:19th May 2010, 5:28am
 

my Point of view

-----------



H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:19th May 2010, 5:45am
 

Honor killing

Agreed with Sonehri76 ,  meah koch bato ka or ezafa kur dena cha-huta hon wo yeh kay Ghur ka mahool islamic ho or os meah apna culture nuzur aay, or apny bucho shoro say he essi he turbiyaat dani cha-yeh jessy sonehri nay apni post meah kahaa hay, 
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:19th May 2010, 5:54am
 

society , culture aur tarbiyat

on the whole.....hamarey mu'ashrey ki sorat hal adha teetar adha baTair wali ho chuki hey..

hum apni zindgi main na to pury mazhabi hain aur na pury duniya dar issi trah duniya darii krty howey b kabi kabi mazhab main mu marny lagty hain..

hamarey gharoon ka mahool ahista ahista western hota jaraha hey laiken hum apni olaad sy yeh towaqqo krty hain k unn k khiyalat eastern hi rahain ...ham cchahty hain  k hamari oladain mashriqi qadron ki ameen aur muhafiz rehain laiken hum kabi b apni olad ko waisi society ya culture muhiya karny ka nahi sochtey..

issi trah behtreen mustiqbal ki aas ummeed main jub hum apny mulak ko chorr kr kisi western country main skoonat ikhtiyaar karty hain to wahan b hum apni life to western mahool main guzarty hain laiken talash eastern mahool ko karty phirty hain...

mazkora bala wardat k peechy b kuch issi qisam k muhar'kaat nazar aty hain wahan b aik baap rehta to maghrbi mahool main hey laiken khud pr aur apni olad pr mashrqi mahool ko daikhna aur apply krna chahta hey ...jub wo na poory maghrbi ban saky aur na hi pury mashrqi rehy to yaqeeni tour pr aysi wadatain waqoo pazeer ho hi jati hain ...issy hi to kehty hain adha teetar adha baTair



Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:19th May 2010, 11:02pm
 

bap beti dono sahi hai

baap beti dono sahi hai. baap ki tarbiat Pakistani mahol mai huyee lehaza woh Pakistani khayalat ka malik hai, jabkeh beti ki tarbiat swiss mahol mai huyee iss liye os ke khayalat waha ke mutabiq hai.

agar baap ko beti ke khayalat pakistani aur muslim jaisa banana tha tu ose chahiye tha keh os ki tarbiat Pakistani aur muslim jaisa kerta. aur beti ki tarbiat pakistani aur muslim jaisi hoti tu woh kabhi bhi shikayat ka moqa nahi deti.

dono apni apni jagah sahi hai, dono ka qasoor nahi. albatta baap ko swiss qanoon ke mutabiq saza mile gi kio keh os ki harkat swiss qanoon ke mutabiq ghalat hai. agar woh pakistan mo hota tu os ke jirga se ose saza nahi milti kio keh os ki harkat jirga ke qanoon ke mutabiq sahi hai.

matlab yeh keh swiss qanoon apni jagah sahi aur jirga apni jagah sahi, baap apni jagah sahi aur beti bhi apni jagah sahi. ghalat koi nahi hai.
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 43  Post: 2155  Age:  35  
Posted on:19th May 2010, 11:20pm
 

i think

ke jan se mar dena sahi nahi tha uss ke bap ne jo qadam uthaya wo bilkul galat tha

or above posts may se may kuch logo ki baton se agree karti hon or kuch ki baton se agree nahi hon

sunheri ki yeh bat bilkul sahi he ke qasoor ma ka he wo iss liya ke tarbiyat olad ki ma hi karti he ku ke bap ghar nahi hota sara din bache ma ke sath hi rhte haien

ma ne itni azadi larki ko di hi ku?

ab bat jahan tak Pakistan se bahir rhne ki he tu mare khyal se ab Pakistan may bhi koi itna khas islami mahool nahi raha

Azfar ne kaha ke Pakistan islami mulk tu he nahi

yeh bat sahi nahi he,balke Pakistan hi 1 wahid mulk he jo islam ke nam par bana he magar afsos ke wahan ka 1 bhi law islami nahi he

may khud jab koi Pakistani koi channel dekhti hon or larkiyon ke kapre dekhti hon tu lagta nahi ke koi Pakistani channel dekh rahi hon

ajj tak ham ne yahan 17 sal rhne ke bawajood iss trha ki dress nahi pehna

or sari bat trbiyat ki hi he app chahe kahi bhi rahien

ku ke may ne yahan par ase bhi bache dekhe haien jo yahan par born howe haien magar 5 waqt namaz ke or roze ke paband haien

wo sab unki ma ki trbiyat hi he

or kuch log ase bhi haien jin ke bache achi age may Pakistan se aii lakin yahan ke mahool may dhal gai tu wo bhi unkey ma bap ki trbiyat ka hi nateja he

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:19th May 2010, 10:56pm
 

daryaa maiN rah kar magarmach say bair???

1. western / mother-pedar azaad culture maiN paida honay walay muslim bachouN ki tarbiat maaN /baap kahaaN tak aur kaisya kareNgay???

2. kia woh apnay bachouN ko wahaaN k taleemi adaarouN maiN dakhil nah karaayaiN??? wahaan k taleemi adaroun maiN sex education laazmi hai... co-education laazmi hai... boy-girl-friendship aik normal baat hai aur aisaa nah karnay wala /wali abnormal.... wahaan k tamaam aalaa taleemi adaaroun maiN makhloot parties common hai...

3. 12/14 saal k above "taaleemi mahaul" say faarighul tahseel bachay bachiyaaN.... apnay migrated-muslim-parents k 'old-culture' ko sahih samjhengay yaa jo kuch onhouN nay taleemi adaroun maiN seekha, ossay sahih samjhengya???

4. sirf woh "nasal" apnay "baa.kirdaar muslim parents" k "zeray asar" rah saktay haiN jinki schooling apnay parents k mulk maiN howi ho.... aur aisay kidz ka ration bhi bahoot kam hota hai.

5. wahaaN qanooni taur par baligh laRkay laRkiyaaN apnay parents k under nahi balkay azaad hotay haiN...sakhti-bara.ay-tarbiat karnay walay muslim parents ko jail ki hawa khani paRti hai... just kidz ko aik call karni hoti hai.

6. bewaqoof ki yeh baat yahaaN aik khaas tanaazur maiN "sahih" hai k above case main laRki bhi "sahih" hai aur baap bhi "sahih" hai..... dounoun nay apnay apnay hasil kardah "taleem o tarbiat" k tehat "durust" qadam oThayaa hai.... laRki nay jo kuch dekha, seekhaa, oskay motaabiq amal kia.... aur baap nay jo kuch seekha thaa oskay motabiq sahih kia.... baap agar khud ko ghalat /mujrim samajhtaa to khud ko police k hawalay karnay ki bajaa.ay police say chuptaa... koi bhi "mujrim" kabhi bhi khud ko razakaaraanah taur par police k hawalay nahi kartaa...

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4655  Age:  37  
Posted on:20th May 2010, 3:15am
 

well

----------



myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:20th May 2010, 5:15am
 

sunehri

thanx k apnay details say apna point of view aur apnay halaat batlaa.ay. mujhay apki kissi baat say adam ittefaaq nahi... ap jaisay bahoot say gharanay oss azaadanah mahaul maiN bhi paa.ay jatay haiN....... magar kia wahaan aisay "muslim gharanay" aksariyat maiN yaa aqliat maiN... aur doosri baat yeh k jiss qadar apkay parents nay apki tarbiat kia aur apnay maan li....kia otni hi tarbiat ap apnay kidz ki karlengi aur apkay kidz ossay accept karlengay???

UK /usa /canada etc k chand aik makhsoos areas maiN jahaaN indian / pakistani abaadi aik "community" ki tarah rahti hai... sirf aisay hi areas main inhouN nay apnay deen o culture ko kissi had tak save rakha howaa hai woh bhi doosri yaa zeyadah say zeyadah teesri nasal tak...... iskay baad chiraghouN maiN raushni nahi rahti...meray kafi closed relatives in momaalik maiN qayaam pazeer haiN... iskay elawah deger contacts k zariyah bhi wahaaN k halaat say agahi rahti hai

maiN yeh nahi kahtaa k wahaaB sab ghalat hotay haiN... main yeh kahtaa houn k apnay mulk india /pakistan k moqaablay maiN muslims ko in western momalik maiN apnay deen o imaan o culture ko mahfooz rakhnaa mushkil hojataa hai...balkay bahoot had tak naa mumkin.... pakistan maiN koi laRki kissi non-muslim say shadi nahi karti...wahaan aisay bay shomaar waqe'aat hain, jissay media report nahi kartaa

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 43  Post: 2155  Age:  35  
Posted on:20th May 2010, 6:14pm
 

myrizvi bhai

app ki bat bhi bhout had tak sahi he,key yahan 18 sal ka bacha ho jata he tu adult khlata he or phir ma bap ka ikhtiyar khatam ho jata or wo appni marzi ka malik,or yeh bat bhi sahi he ke school may sex education amm he

yahan par bachon ko yeh pata hota he ke christmas kiya he or kab ati he or uss may kiya hota he,valentines day kiya hota he,easter kiya he,thanks giving kiya he bachon ko sab maloom he

lakin agar ghar may ma bap bachon ko yeh bataien ke hum yeh sab din nahi mante or hum muslim haien tu mare khyal se bachon ko bat samjh a jai gi,agar bachon ko ghar may asea mahol diya jai jo ke aik muslim ghar may hona chyea tu mare khyal se bacha zaror adopt kare ga uss mahool ko

jab ma ya bap hi ghar may namaz na parhte hon tu bacha kiya sekhe ga

may ne yahan par ase bhi bache dekhe haien jo yahan par born howe lakin mashallah 5 waqt namaz ke paband,ramzan ke pore roze rakhna,taraveh parhna dekh kar bhout dil khush hota he

or wo bache ajj sirif iss liya ase haien ke un ke ma bap ne unhe wo mahool appne ghar may diya

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:20th May 2010, 10:53pm
 

saim1

1. its true k west main bahoot say aisay muslims mil jayengay jo muslim momalik maiN rahnay walay common muslims say bahoot achay haiN, zeyadah muttaqi aur parhezgaar haiN, islam ki zeyadah knowledge rakhtay haiN aur in par amal bhi kartay haiN.

2. maiN in "exception" ki to baat hi nahi kar raha ... nah hi mera "isharah" aisay momalik maiN rahnay walay kissi khas fard /family ki taraf hai... lehaza wahaaN rahnay walay log issay 'personal' nah laiN... it shud be just a healthy discusiions.

3. mera kahnaa sirf yeh hai k muslim momalik maiN rahnay walay "common peoples" k moqaablay maiN in western momaalik maiN permanentlt settled "common muslim gharanay"... bilkhasoos wahaan paidaa honay walay muslims..... amoomi taur par islamic culture say dooooor aur non-islamic culture k qareeb hotay haiN... woh charoun taraf say bay deeni aqdaar aur bay.hayaa.yee (as per islam n eastern culture) k toofaan main ghiray hotay haiN...... aur bah tadreej woh inhaiN qaboool kartay jatay haiN

4. aik 'fitree' see baat hai k jo baat aik bachaa paidaa hotay hi apnay gird o pesh mosalsal dekhta suntaa rahay, woh ossay aik aam baat samajhnay lagta hai, khaah woh baat deeni /ikhlaqi taur par ketni hi kharaab kiyoun nah ho..... aik koThay /bazaray husn maiN parwarish paanay walay aur aik normal society main parwarish panay walay 'common bachay" ka ikhlaaqi mayaar same nahi hosaktaa.......khaah bazaray husn maiN parwarish paanay walay bachay /bachiyoun ki tarbiat koi "molvi sahib" hi kiyoun nah karaiN... jaisaa k lukhnow k bazaray husn ki "rewayat" rahi hai....... wahaan "zeray tarbiat bachiyouN" k "asaatzah" maiN naach gaana sikhlanay walay bhi hotay hain aur "ikhlaqiyaat sikhlaanay walay molvi bhi".......

1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013