Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Dua-E-Maghfirat For Father Of Insan.

Non Medical Discussion
 
 
 
ozone Group: Members  Joined: 19th Jun, 2008  Topic: 25  Post: 1368  Age:   
Posted on:25th Jan 2010, 4:07am
 

Dua-E-Maghfirat For Father Of Insan.

Yahan k aik respected member insan k walid iss dunya e fani se inteqaal farma gaye ,  Allah unhein Apne jawarey rehmat mein jagha ata farmaye aur unn k kabeera sagheera gunah muaf farmaye ....Ameen... Sab unn k liye sura e Fatiha ki tilawat farma dein ....
AppkaDost Group: Members  Joined: 18th Jul, 2009  Topic: 24  Post: 281  Age:  36  
Posted on:25th Jan 2010, 4:49am
 

Insan

Allah in ko karwat karwat jannat naseeb karay oar app ko saber e jamil atta karay ..Aameen
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2117  Age:   
Posted on:25th Jan 2010, 5:31am
 

Insan Bhai

Apkay father ki death ki news sunkar bht afsos hoa.

Meri dua hy k ALLAH apkay father ko jannat-ul-firdous main jaggah atta farmaen.

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:25th Jan 2010, 10:01am
 

Doha-a-Mugfirat

Allah say doha hy k onky father ki mugfirat furmayin or onki any wali tummaam munzullayin asaan kurin or onko junat-ul-ferdoss meah jugaah ataa furmayin ameen
waseem08 Group: Members  Joined: 27th Apr, 2009  Topic: 13  Post: 1304  Age:  31  
Posted on:25th Jan 2010, 11:23pm
 

Dua-E-Maghfirat For Father Of Insan.

ALLAH tabarakwataallaa tamaam muselemeen ki maghfirat frmayen,AAMEEN.
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:25th Jan 2010, 3:10pm
 

Father of Insaan

Allah Taala se dua hai keh Insaan ke walid sahib ki maghfarat kare aur onhai Jannatul Firdous mai jagah de.
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4655  Age:  37  
Posted on:25th Jan 2010, 4:38pm
 

Insan

 apke father ka sun kar bohat dukh hua.

Allah unki maghfarat farmaye aur unka Darja buland kare. Ameen

ap jis takleef se guzar rahe hain uska andaza mai achi tarah se laga sakti hun...mere father ki death ko abhi maheena nahi hua...aur abhi bhi ye Dukh utna hia taza hai jitna pehle din tha..Allah apko sabar de aur ap ab apni walida ka bohat khayal rakhyega,.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:25th Jan 2010, 9:47pm
 

inna lillahay wa inna elaihay raaje'oon

Allah marhoom ki maghferat farmaa.ay aur ahlay khana ko sabray jameel ataa karay.aameen
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:26th Jan 2010, 3:10am
 

inna lillahay wa inna elaihay raaje'oon

Allah pak aap k father ki maghfirat farmaye aur ahlay khana ko sabare jameel ata farmaye .
Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3787  Age:  26  
Posted on:26th Jan 2010, 3:25am
 

Insan

Allah apkey walid ke magfarat farmayeen.ameen
paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:26th Jan 2010, 1:48pm
 

Insan

ALLAH app ke walid ke maghfeerat farmayen..

Unn ke qabar ko jannat k baaghaat main se 1 bagh banai...

ALLAH unn ko rahateen naseeb kareen...

ALLAH app ko aur ap ke ahle khana ko sabree jameel ataa farmayen..

Un k leye khoob khoob Esaal-e-sawab karne ke taufiq ataa farmayen...

آمین بجاء النبی لامین صلی اللہ علیہ وسلم

 

صلو علی الحبیب         صلی اللہ تعالی علی محمد

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:27th Jan 2010, 12:25am
 

pray

du'aa hamarey liye wo hitheyaar hey jis k zriye hum apni trf aney wali tammam mushkalat ka muqabila kr saktey hain .....aur un un mushkilaat sy b bach saktey hain jin ka hamari tarf aney ka khadsha ya amkan hota hey..

Khuda wand kareem sy har pal du'aa hey k wo sab members bulky sab insano ki tammam mushkilaat ko hal krey aur jo mushkilat sab ki tarf barrti hain unn sy mehfooz rakhey 

main tammam honorable members ki awaz main awaz milaatey howey "insan" k walid k inteqaal pur mallal pr du'aa goo hoon k Allah ta'ala apny Habeeb (s.a.a.w) aur un ki aal-e-mutaehra k sadqy main unn ki maghfiret farmarey aur sab members ko iss qisam k dukh aur takleef sy mehfooz rakhey....(ameem...sum ameen)



Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  30  
Posted on:27th Jan 2010, 9:06am
 

Insan

Inna Lillahay wa inna alaihay rajeoon. 
Khuda Taa'la aap ke Baba ki maghifrat farmaye aur unn ke darjaat buland kre. Ameen
Yeh yaqeenan naqabl-e-bardasht dukh hae mgr aik na aik din sab ne iss dunia se jana hae. Iss lie iss mushkil waqt main apne aap ko sanbhalain, apni family ko hosla dain aur apne Baba ki sweet memories ko apne lie mash'al-e-raah bnaate huay aane walay waqt ko plan karain kyun ke kisi bazurg ka sayya uth jaane ke baud sab se barra masla yehi hota hae ke zamaane aur moaashray ke sath kese chalna hae. Behn bhaiiyun main barra hone ki wajah se aap ne hi ab yeh saray matters dekhne hain aur apni responsibilities ko Allah ki taraf se imtehaan smjh kr qabool krna hae. Walid ke sath sath apni walida ka bhi bht sa kheyal rakhiega. Jesa ke Imam Sadiq (A.S) farmaate hain; “Tum main se kisi shakhas ko kya cheez iss baat se rikti hae ke woh Zinda ya Murda walidain ke sath naiki kre. (Murda hone ki soorat main) unn ke lie namaz parrhe, unki taraf se sadqa de, unki taraf se Hajj kre aur unki taraf se roza rakhe. Pass jo kuch unn ke lie kre ga, Khuda uss ke lie iss naiki aur silla ke iwz kher-e-kaseer main izafa karega.”  

Allah aap ko strength aur sabat qadmi de aur aap ki tofeeqat main izafa farmaye. Ameen

insan Group: Members  Joined: 31st Jul, 2009  Topic: 12  Post: 463  Age:   
Posted on:28th Jan 2010, 8:14am
 

aap ka buhat buhat shukriya....

aaj main kitney dinoo baad iss forum pr aya to to mehsoos howa k main akaila ghamgheen nahi hoon mery sath tammam members mery gham main shreek hain ..

lehaza main sub muaza'az members ka dil ki atha gehraiyon sy shukar guzar hoon jinhon ny mery merhoom walid k liye duay maghfirat ki hey

main khaas taoor per "ozone" "bhimji" "water" "myrizvi" appkadost" "eagle fly" "H/d Qasim" "waseem08" "Bewaqoof" "sunehri76" "Maryam" "Paroot" "Diplomate" ka intehai shukar guzar hoon

khuda aap ko jazaye khair dy (amin)
lubnamalik Group: Members  Joined: 31st May, 2009  Topic: 28  Post: 410  Age:  26  
Posted on:28th Jan 2010, 11:13pm
 

Inna lillahay wa inna elaihay raajeoon

Insan bhai.....app k father ka sun ker bht hi afsoos hua .......Allah pak se dua hai k app k father ki maghfarat kare aur onhain Jannatul Firdous mai jagah de.  or app or apki family ko saber dy ameen
paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:28th Jan 2010, 1:41pm
 

Ameen

Ameen
Lahori78 Group: Members  Joined: 03rd Jan, 2012  Topic: 0  Post: 63  Age:  35  
Posted on:19th Feb 2012, 1:01pm
 

inna lillahay wa inna elaihay raaje'oon

Allah tala anko khairiat se aap ne paas rakhe. Anke gunah maaf farmaay. An ko achi si janat main jaga de. Janat-al-firdous main unka makan hon, aur insan jab aap faut hon toh aap ne walid ko udhar hi paay. Allah tala aap ko is maqam par pohchaay ke aap ap ne walid ke baad ghar ka, behno ka, walda ka, bivi aur bacho ka khayal rakh saky.

Sum Ameen
goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 7336  Age:  32  
Blocked
Posted on:19th Feb 2012, 5:56pm
 

Allah may peace his soul

Allah unkoo Jannat may jaga day..Ameen
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013