Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Nafrat Kia Hai,Kese Ki Jati Hai?

Non Medical Discussion   >>  Discussion
 
 
 
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:6th Dec 2009, 9:39pm
 

Nafrat Kia Hai,Kese Ki Jati Hai?

Assalm o Alikum

s4u app se kuch Questions karna chahti hai..

to ready ho jaiye aur answers dijiye!!!


1. Nafrat k kia meanings hai???

2. Kia ap ne kabhi kisi se nafrat ki hai??

3. If yes den ap ko pata kese chalta hai ap ko kisi se nafrat hai??

4. kia ap os shaks ko ye bata sakte hain dat u hate him/her???

5. Ap ki nafrat ki kia koi had hai aur agar hai tu kitnii hai??

6. Nafrat ho jatii hai ya kii jatii hai??

7. Kia ye zaroori hai k kisi se tabhi nafrat ho jab ap k dil me pehle os k lie pyaar ho???Maine Buhot log se suna kehte hoe k "I Hate You!!"
aur aksar suna bhi hai ye kisi se k ..

"Main os se itni nafrat karti/ta hoon.. k osko takleef dene k lie main apni jaan bhi dedoon"

akhri sawal...

8. ap is baarey me kia kehte hain...k wo banda jise ap ki takleef se takleef ho ..kia ap os se nafrat kar sakte hain????

sorry questions is bar bhi bht ziyada ho gae lekin kia karoon
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1949  Age:  47  
Posted on:6th Dec 2009, 10:15pm
 

S4u

tum ne aaj qal koi private school to nahi open ker liya tumary aik sawal mein 10 sawal hoty hein bundha kiss ka jawab de..

ulbuta aap k sawal No.7 k mutabiq mein issi liye tum se nufrat kerta hoon

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:6th Dec 2009, 10:17pm
 

nafrat ray nafrat, teri kaun see kal seedhi

in sawalaat k haqeeqi jawaabaat k liyeh to baqaidah koi thesisi likhna paRega. aik aik sawaal par aik aik chapter tab kaheeN jaa kar baat mokammal hosakti hai. nafrat aur mohabbat aisay jazbay haiN jinka aik doosray say baRa gahra talluq hai jaisay andheray ka raushni say, badi ka naiki say etc etc

jiss tarah mohabbat "Ki" bhi jati hai aur "ho" bhi jati hai issi tarah nafrat ki bhi jasakti hai aur ho bhi sakti hai... jaisay hum sab apnay apnay mulk say mohabbat "kartay" haiN aur kabhi kissi ko dekhtay hi oss say mohabbat "ho jati" hai..... har naik insaan shaitaan say nafrat "karta" hai.... jabkay society main baaz logouN say "pahlaa wastah" hi aisaa kharaab hota hai k ossay dekhtay hi nafrat ho jati hai (1st imp is da last imp ki tarah)... kabhi kabhi nafrat k peechay "mohabbat" chupi hoti hai... yaani bah zaahir hum kissi say nafrat ka "izhaar" kar rahay hotay hain but is nafrat ki 'asal wajah" yeh hoti hai k hum oss say laa.sha'oori taur par mohabbat kar rahay hotay haiN (filmoun maiN aisay manaazar common haiN)... nafrat agar SHADEED ho, tasalsul say ho tab hi ZAHIR hoti hai. bahoot see nafrataiN izhaar nahi hopateeN... baaz "experts" ka yeh bhi kahna hai k asal maiN nafrat ka koi "wajood" nahi hotaa yeh mohabbat k "adam-wajood" ka "nateejah hoti haiN... jaisay darkness... yeh asal main raushni k "adam wajood" ka nateejah hoti haiN. bazatay khud kuch nahi hoteeN. coz light ko hum measure karsaktay hain, darkness ko nahi... light ko reflect karsaktay haiN, darkness ko nahi.

main amooman "afraad" say nafrat nahi kartaa ... balkay afraad k "ghalat behaviuors" say nafrat karta houN. yaani aik hi shakhs say main oss waqt "mohabbat" ka izhaar karta howaa "nazar ataa" houN jab woh acha kaam kar raha hota hai aur ossi shakhs say maiN "nafrat ka izhaar" karta howa nazar aata houn jab woh koi bora kaam kar raha hota hai aur apnay oss act par insist bhi karta hai yeh jaantay howay k yeh bora kaam hai....... goya meri "nafrat" daaimi nahi balkay waqti hoti hai aur oss banday k act say motalliq hoti hai...... kabhi kabhi aisaa bhi hotaa hai k koi fard mujh say (kissi wajha say ... ghalat yaa sahih) bad.zunn hojata hai aur woh mujh say nafrat karnay lagta hai... mosalsal...magar woh khud aik acha insaan hotaa hai. maiN aisay fard say kabhi bhi "nafrat nahi karpataa"... halaankay woh mujh say nafrat kiyeh jata hai... aisay kaii log meri zindagi maiN aa chukay haiN.

maiN jin say nafrat karta houn yaani oski kissi baat say nafrat karta houn... yaani iska izhaar karta houN... to agar yeh izhaar ghaibanah hota hai to oskay saamnay bhi hota hai... aisa shaaz hi ho k maiN kissi say ghaibanah to nafrat karoUn magar ossay nah batlaaouN. dost ka dost to dost hota hi hai... lekin  dushman ka dushman bhi dost hi hota hai....... goya meray "mahboob" ka mahboob bhi mera mahboob laazman hoga........ lekin jiss say mujhay nafrat hai/////// agar ossay bhi kissi say nafrat hai to zaroori nahi k maiN bhi oss say nafrat karouN...... jissay meri takleef say takleef hoti hai woh mera khair khaah /well wisher to hosakta hai... lekin zaroori nahi k maiN oss say mohabbat bhi karouN... agar oski deger harkataiN qaabilay nafrat haiN to mujhay oski onn batouN ki wajah say oss say nafrat hi hogi, mohabbat nahi.

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  30  
Posted on:7th Dec 2009, 1:14am
 

Nafrat

Itne lambe lambe swal hain. Main tou aik aik kr ke jawab doonga yar.

Nafrat k kia hai?

Yeh 2 lafzoon se mil kr bni hae.

Naf+Rat=Nafrat

Agr kisi raat ko sotay sotay kisi ko naaf parrh jaye tou uss rat ko nafrat kaha jata hae.

Kch log iss aqeeday ko nahin maante. Unka kheyal hae ke raat ko naf charrhne ke baud jb bnde ko ghussa aane lagay, aankhain bahir aa jayen aur baal kharay ho jaye tou uss kefiyat ko nafrat khte hain.

Ab kon sahi hae kon ghalat iska fesla main aap (s4u) par hi chhorta hun. Mujhe tou kch samajh nahin aa raha. 

madman Group: Members  Joined: 08th Oct, 2009  Topic: 9  Post: 137  Age:   
Posted on:7th Dec 2009, 1:58am
 

7 question = 1 Answer

Apkey 7 sawalon ka ek jawab hai:

Mohabbat aur nafrat ke beach ek halki si line hoti hai, jab mohabbat apni inteha ko pohanchti hai to wo kabhi kabhi nafrat ki shakal le leti hai aur yehi situation nafrat per bhi apply hoti hai.

Question 8 = Answer: Kabhi nahee..Mian give and take per yaqeen rakhta ho.
>Jaraseem Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 1  Post: 44  Age:   
Posted on:7th Dec 2009, 3:27am
 

madman

Maan ki aor olad ki mohabbat be inteha hoti ha.Ap ki theory k mutabiq to maan ko intahaay-e-mohabbat k baad olad se nafrat karni chaiye.aap ki theory yahein ghalat sabit ho jati ha.
madman Group: Members  Joined: 08th Oct, 2009  Topic: 9  Post: 137  Age:   
Posted on:7th Dec 2009, 4:45am
 

Mr. whatever.!!

Yahan sawal mohabbat yani dosto ya dost se ziada wala logo sey ki bat ho rahi hai shayad ap ne pehla post theek se nahee parha..
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:7th Dec 2009, 9:18pm
 

My Rizvi uncle

thanks aap ne buhot achi trha se answer dia.

Beeji aap ki to bat hi kuch aur hai.


saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 43  Post: 2155  Age:  35  
Posted on:7th Dec 2009, 11:30pm
 

s4u

Nafrat kiya hey or kasey ki jati hey,yeh sawal i think bhout hi bekar sa sawal hey

ku key yeh aik natural feelings hey,or kisi circumstances ki waja say insan key under a jati hey

jase agar app say koi galat kare ya bhout bura kare tu shyad app ko uss say nafrat ho jai

Sad_heart Group: Members  Joined: 10th Feb, 2011  Topic: 17  Post: 242  Age:  20  
Posted on:2nd May 2011, 1:28am
 

News

S4u mere hisab se Aap ko NEWS reporter hona chahiye tha.
Un-leashed Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 1  Post: 123  Age:   
Posted on:2nd May 2011, 7:54am
 

s4u ki nafrat


Nafrat k kia meanings hai???

kisi ko sakht napasand karna

2. Kia ap ne kabhi kisi se nafrat ki hai??

nahe main kisi se nafrat nahe karsakta,uski waja ye hai kay mai kisi ka muwakhiza karne se pehle apne apko bhi us situation mai rakh kay dekhta hon,is tarha jab mai apni ghaltiyon ko maaf kardeta hon to loag bhi meri tarha insan hain unhai kyu maaf nahe kia jasakta?

6. Nafrat ho jatii hai ya kii jatii hai??

nafrat ki jati hai jaan kay bhi aur kisi wajah se bhi,agar hojati to phir mere jese loago ko bhi nafrat honay lagti.

7. Kia ye zaroori hai k kisi se tabhi nafrat ho jab ap k dil me pehle os k lie pyaar ho???Maine Buhot log se suna kehte hoe k "I Hate You!!"
aur aksar suna bhi hai ye kisi se k ..

"Main os se itni nafrat karti/ta hoon.. k osko takleef dene k lie main apni jaan bhi dedoon"

ye zarori nahe hai,buhut say gharon main saas bahu ek dosre se nafrat karti hain,kia ye dono pehle mohabbat rakhti thi ek dosre kay liyain?

aur kuch?kis se nafrat hogae hai tumhain ?
Un-leashed Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 1  Post: 123  Age:   
Posted on:2nd May 2011, 7:56am
 

s4u

wese tum ho kia cheez?tumhai kabhi nafrat hojati hai lougo se.kabhi tumhari kisi se laraye hojati hai,kabhi tumhain koi bura lagne lagta hia,to kabhi tumhari kisi se nahe banti,ye sab tumhari ki gae baton mai nazar ata rehta hai.kia chakkar hai ye behen?
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2452  Age:  48  
Posted on:2nd May 2011, 4:53pm
 

s4u

LOVE IS A PASSION

HATE IS AN ART

mohabat izhaar mangty hai, progress mangty hai

nafrat chupani perti hai kiun k hamesha nafrat unihi se hoti hai jo bohat close hon door walon ko ya jo humain jantay hi nhn un se nafrat kernay ka na to koi fayeda hai na nuqsan

nafrat aur hasad main feraq kerna chahyay

bohat kuch hai kehnay ko lakin dooseron ki bhi sun len

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:3rd May 2011, 11:00pm
 

re : mafrooza

re "LOVE IS A PASSION , HATE IS AN ART"

yeh aik mafrooza hay jis ka haqeeqt sy iss liye koi taluq nahi k muhabbat ya nafrat ihsasaati rawaye hain , muhabbat hona b goya aik ihsaas hay aur nafrat hona b aik ihsaas hay , inn isasaat ko bharrkany ya insan k andar active karny k liye mahsoos conditions ki zarorat hoti hay , aik baat yaad rakhiye aik insan ki tabiyat jis qadar hassas , lateef hogi uss qadar uss k ihsasaat hongy

farz karain aik shakhas hassas tabiyat ka hay to ussy har uss cheez sy muhabbat hogi jo uss ki hasasiyat ko challange nahi karti aur har uss cheez sy nafrat hogi jo uss ki hasasiyat sy takrati ho

re "hamesha nafrat unihi se hoti hai jo bohat close hon"

agar rishton k darmiyaan nafrat ki baat ho rahi hay to phir baat shaid theek ho laiekn agar nafrat ko aik ihsaas k maano main liya jaye to phir iss dayry main sirf wohi nahi aaty jo qareeb hon balky har uss cheez ny iss dairy main aana hay jo insani hasasiyat sy takraa rahi hay , maslan kisi ko ullu (Owl) sy nafrat hoti hay kisi ko ghadhy (donkey) sy nafrat hoti hay iss ka yeh matlab thorri hay k yeh nafrat guzeeda janwar pehly kisi k qareeb thy aur abb unn sy nafrat ho gayee hay ...:)) huh
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2452  Age:  48  
Posted on:5th May 2011, 2:30pm
 

diplomate

aap ne to qasam khai hai k her sahi bat main bhi koi na koi PANGA nikalna

isi liyay ap ki kisi bhi bat ka jawab dena band ker diya hai ab

:) :) :)

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:5th May 2011, 10:58pm
 

observation

re "aap ne to qasam khai hai k her sahi bat main bhi koi na koi PANGA nikalna"

jis cheez k bary main b jis ka mushahida ya observation jis trah ki hogi uss k comments b uss bary main waisy hi hon gy , aur yeh zarori nahi k aik hi cheez k bary main do ya do sy ziyada afraad ki obsevation aik jaisi hi ho , jab observation mukhtlaf hoti hay to yaqeenan comments aur tajziyaat b alag alag hi hoty hain

jab alag alag opinion samny ata hay to ussy "PANGA" keh kar saraf-e-nazar sy kaam nahi laina chahiye balky apni observations ko kaam main laaty howy daleel sy baat ki jani chahiye warna yahi samjha jaye ga k apny paas sy qayem karda mafroozon k jawab main dosry opinion ki samjh hi nahi ayee aur sar k ooper sy baat guzar gayee hay

love ya hate k bary main hamary han jo aam concept rayj ho chuka hay main uss sy agree hi nahi karta darasal hamara social set up hi aysa hay k yahan ham har cheez ko apni alaaqaiee demand k tehat hi laity hain har cheez k maaani waisy hi nikalty hain jaisa k hamara culture hay , humain kisi b cheez ki wazahat karty waqt yeh yaad hi nahi rehta k hamary society / culture k ilawa b dnunya main societies / cultural atmospheric conditions exist karti hain

lehaza jab b kisi insani rawaye ya ihsaasati amal ki tashree ki jaye to sirf apny mahol ko ya culture ko zehan main rakh kar baat na ki jaye iss trah baat adhoori aur na mukamal hoti hay , balky iss mozo par jab b baat karni ho to koshish yahi ho k insani khilqat ko zehan main rakh kar baat ko kiya jaye q k insan kisi aik mu'ashy ka hissa nahi balky duniya ki jitni b societies / cultures hain wo insan k hi dam qadam sy hain

lehaza main insani rawayon par baat kar raha hon aur aap social mafrozon ko haqeeqat samjh rahy hain iss liye aap ko meri baat "PANGA" lag rahi hay ...:)
♥..s4u..♥ Group: Members  Joined: 14th Aug, 2010  Topic: 2  Post: 185  Age:  24  
Posted on:7th May 2011, 9:53pm
 

♥·´¯`·Re: Un-leashed

janab main aik insan hi hon,aur mojhe nafrat nahi hoi jab k same yehi sawal poche gae th to maine bhi yahan k members se poch lia....huhh
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013