Husnain Ji
|
Group: Members Joined: 30th Apr, 2009 Topic: 5 Post: 36 Age:
28
|
|
Posted on:17th Nov 2009, 5:12am |
|
|
Love Relationship: Whether My Fiancee Loves Me???
Asssalm O alikum, yeh forum bauht acha hai, sab yahan apni problems share kar sakte hain aur app sab log bhi bauhat ache hain, Allah app sab ko ajar dega. mera naam husnain hai kia mein apni personal problem share kar sakta hoon aur app se achi advise ki umeed kar sakta hoon, plz mujhe jawab dijiyega ajkal mein bauhat pareshan hoon. app sab ki help ki zaroorat hai.
|
Husnain Ji
|
Group: Members Joined: 30th Apr, 2009 Topic: 5 Post: 36 Age:
28
|
|
Posted on:17th Nov 2009, 6:04am |
|
|
bhaiyon koi to mujhe jawab doo,
meri mangni ho chuki hai aur mein apni finacee se be had pyaar karta hoon, har waqt ussi ka khayal zehen mein ghomta rehta hai, har waqt ussi k bare mein sochta rehta hoon, pata nahi har waqt usse kho dene ka darr laga rehta hai , ajeeb ajeeb khayaal aate hain.
mein uss se sms pe bhi baat karta rehta hoon, aur mein koi aise waise baat nahi karta just general discussions, mein ne aaj tak uss se koi sex topic pe bhi baat nahi ki, kia woh bhi mujh se itna hi pyaar karti hogi. |
sharmily
|
Group: Members Joined: 08th Nov, 2008 Topic: 5 Post: 398 Age:
25
|
|
Posted on:17th Nov 2009, 7:03pm |
|
|
simple app osi poch le
Darling do u love me, do u really care about me the way i do?
maybe this will workout |
rafaz
|
Group: Members Joined: 14th Mar, 2007 Topic: 20 Post: 937 Age:
|
|
Posted on:17th Nov 2009, 11:03pm |
|
|
yes yes i think she really loved to you ,but you know in our culture the girls are very shy to give any opinion about love,no problem man she loves yoy
|
Husnain Ji
|
Group: Members Joined: 30th Apr, 2009 Topic: 5 Post: 36 Age:
28
|
|
Posted on:18th Nov 2009, 12:13am |
|
|
sharmily & Rafaz Thanks k app logon ne mujhe reply kia, baat yeh hai k woh kabhi khud se izhaar hi nahi karti aur mujhe kehti hai k mein app ko pasand nahi karti, mujhe pata hai woh mazak hi karti hai magar aaj tak khud se uss ne kabhi nahi kaha k mein app ko pasand karti hoo ya chahti hoon.
aur aik baat woh yeh k woh Co-education mein tution leti hai aur app ko to pata hai ajkal ka mahool kaisa hai, larke kiss tarha karte hain to mujhe nahi pasand k woh co-edu mein parhe to kia mein usse mana kar doon ya nahi aur agar mana kia to usse bura lga too. |
Husnain Ji
|
Group: Members Joined: 30th Apr, 2009 Topic: 5 Post: 36 Age:
28
|
|
Posted on:18th Nov 2009, 6:35am |
|
|
where are you all app sab kahan hain, mujhe koi jawab kiyon nahi deta, agar sex k topic pe koi larki ya larka sawal poche to usse to fatafat jawab milta hai, app log meri kuch help nahi kar sakte kia. plz mujhe reply kijiye mein bauhat pareshan hoon plz, Allah app ko iss ka ajar dega. |
Waterr
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:18th Nov 2009, 6:47am |
|
|
Mr.husnain ji Nikkah se pehle ap uspe koi restrctn nai laga saktey.. Mangani koi rishta nai hota k mard ko koi ikhteyar ho,ap nikkah karlain phr jo marzi co edu ke restrctn laga lainmangni k baad romance bhe islami lehaz se allow nai ha, wo larki bilkul sahee kar rai ha, aur ap koshsh karain k nikah karain ya batain etc bund karain. |
Husnain Ji
|
Group: Members Joined: 30th Apr, 2009 Topic: 5 Post: 36 Age:
28
|
|
Posted on:18th Nov 2009, 6:50am |
|
|
Water Ji app kafi samajhdaar lagti hain thanks appne to reply kia,
app sahi keh rahi hain k mein abhi restriction to nahi laga sakta magar usse samjha to sakta hoon na k co-edu mein parhna munasib nahi, mein uss se baat kar k gunah kar raha hoon magar kia woh co-edu mein parh k gunaah nahi kar rahi, kia mein usse islamic way mein samjha nahi sakta k tumhein iss tarha kia kia problem ho sakti hain. |
Waterr
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:18th Nov 2009, 7:00am |
|
|
Co-edu n islamic point of view.. Mai abhe yahan ye nai dscus karounge k ye agar islami nai ha k co edu ho tou log kya karain ye act ISLAMIC REPUBLIC OF PAKISTAN ke govt ko sochna chaheye bt 2 optn hain apke case keagar unke taleem ka shouba aur taleem aisi ha k uske sirf female colg mojod hain tou ap unko dai dain MASHWARA. dosra agar unke ala o arfa plans nai hain tou private kar lain teesra parda karain k bus hath aur face minimum had tak nazar aye bt apke abhe koi SHARAI haseyat nai ha |
Husnain Ji
|
Group: Members Joined: 30th Apr, 2009 Topic: 5 Post: 36 Age:
28
|
|
Posted on:18th Nov 2009, 7:27am |
|
|
Water Behen app ka bauhat bauhat shukriya, app reply karti hain, aur mera yeh topic sex catogeroy mein kiyon agaya isse kisi tarha general mein pohcha dein plz.
aur app ki baat to bilkul theek hai magar mein iss liye poch raha tha k app ko bhi pata hoga k co-edu mein kitni problems hoti hain, yeh baat nahi k mujhe apni fiancee pe shak hai ya uss per bharosa nahi magar bahar ki duniya ka koi bharosa nahi, aur meri faincee parda bhi karti hain. mein app sab se mashwara le raha tha k mujhe aisa bolna chahiye ya nahi.
aur app sab se yeh bhi pochna tha k ajkal mein apni fiancee se bauhat ziyada batein karta hoon just general koi sex topic nahi, to kia iss ka effect shadi k baad parta hai, mein ne bauhat logon se suna hai k shadi se pehle batein nahi karni chahiye.
ak aur baat bata doon k meri fiancee meri cozn hain, to kia baat karne mein koi harj hai.
|
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
38
|
|
Posted on:18th Nov 2009, 1:43pm |
|
|
Speaker Mein Alan Karo Hum Donon Aik Doosry sy piyar Kurty Hein AOA, Mr husnain yeh kia baat hy wo muj sy piyar kurti hy ya nahi.. agar sms kurti hy tu zahir si baat hy wo piyar kurti... chaly aik joke sunain... aik molvi sb ko ishq ho gia like husnain ki tarah.. har waqt us ky khailat mein khoa rehta.. aik din larki sy kehta hy aaj asar ki namz sy pehlay nehr ki pass aa jana tu baat karein gyn, larki han kur deti hy mein aaon gi.. molvi sb zuhr ki namaz parha kur, bachon ko jaldi jaldi sabaq dy kur .. sub ko chuuti dy daity hein,,, molvi sb qalaf walay kapray pehn kur , sahi tareeqay sy tism mism ho kur nehr ky pass pahunch jatay hein.. agay dekhtay hein larki nai hoti.. baray prashan... wait kur rahay hotay hein , aur style bana kur chal rahay hotay hein... kafi time guzar jata hy larki nai aati.. sath hi asar ki azan ho jati hy.. molvi sb ki tension bar jati hy ,, udhr gaon walay intizar mein hotay hein molvi sb ayn gyn aur namaz parhayn gy... lakin molvi sb larki ky intizar mein....khair namaz koi aur parha daita hy... kafi dair baad molvi sb tang aa kur wapis aa jatay hein aur masjid ka speaker on kur ky kehty hein " Hazrat aj tusan changi nai keti" mean "aaj aap ny acha nai kia"
hehhehehehheh. Husnain bhai lagta hy donon mein sy kisi aik ko speaker mein alan kurna paray ga....
Regards |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
38
|
|
Posted on:18th Nov 2009, 1:51pm |
|
|
Shaq kurna Chore Do AOA , Husnain apanay damagh ka alaj karao warna bahut kharab ho jao gy.. yar agar co-education mein parh rahi tu kia hoa , sab party hein.. yeh koi masla nai ... shaq insan ki aqal kha jata hy.. agar zindgi guzarni tu shaq wali adat chore do.. allah pay baroosa rakho , khair ki dua mang karo kuch nai ho ga.... agar zada aitraz tha tu mangni nai kurni thi... kuch hosh ky nakhan lo....
Regards |
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 186 Post: 6479 Age:
35
|
|
Posted on:18th Nov 2009, 10:42pm |
|
|
my brother abi ap eng ho or jesa waterr ny btaa deya es releation ki koi shuri hasiyaat ni bus ek promiss hy k ap dono ny rishta azduwaaaj meh bundny ka eradaa or plan kur leya hy esy agy koch ni ap abi sy on ko esi koi bat ni khao ye na ho wo abi sy sumajny lug jay abi ye haal hy tu puta ni mosoof shadi k bhad keya keya pabundiyaa lugayin, humara system or culture alag hy west ki tura ni hy so shadi ki bhad e understanding create ho sukti hy ku k as husband wife Allah diloo ko kureeb kur data hy or dil meh mobabat dal data hy,so dont worry, , |
Husnain Ji
|
Group: Members Joined: 30th Apr, 2009 Topic: 5 Post: 36 Age:
28
|
|
Posted on:18th Nov 2009, 11:51pm |
|
|
RE: Javed Bhai: bauhat ache bhai app ne to mera masla hi hal kar diya, mein ajj aisa hi karoga speaker mein ja kar ailan kar deta hoon. aur bhai jaan mein yeh pehle bhi keh chuka hoon k mujhe apni fiancee pe 0% bhi shak nahi hai aur na meri shak karne ki adat hai bus aaj kal k mahool k hisaab se thora darr lagta hai. waise thanks k app ne itne ache mashware diye Allah app ko bhi iss ka ajar dega.
H/Qassim bhai: app ki baat bhi bilkul theek hai k abhi hamare rishte ki koi sharayi haisiyat nahi hai, aur mein apni fiancee ko kisi cheez se rok tok nahi karta mein bhi iss cheez ko samajhta hoon, magar bhai mein app sab se sirf aik mashwara le raha tha k kia karna chahiye.
mein ne app sab se yeh bhi pocha tha k mein apni fiancee se bauhat ziyada batein karne laga hoon to kia iss se aage chal kar koi problem ho sakti hai, means k log kehte hain k shadi se pehle baat nahi karni chaiye ya etc etc. to iss baaat mein kitni haqeeqat hai, app sab log kafi samajhdaar hain, mein to yahan naya naya aya hoon. plz apna chota bhai samajh kar mujhe mashwara dijye ga aur app sab meri kisi baat ka bura mat laga. |
Waterr
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:19th Nov 2009, 12:06am |
|
|
mr.husnain ji mein ne app sab se yeh bhi pocha tha k mein apni fiancee se bauhat ziyada batein karne laga hoon to kia iss se aage chal kar koi problem ho sakti hai, means k log kehte hain k shadi se pehle baat nahi karni chaiye ya etc etc. to iss baaat mein kitni haqeeqat hai, app sab log kafi samajhdaar hain, mein to yahan naya naya aya hoon. plz apna chota bhai samajh kar mujhe mashwara dijye ga
ans: jab aik cheez gair islami , gair sharai ho tou geeee nuksan tou hota haa...
baat yee ha k islam mai ye allowed nahee.... woo apkee cousin hain matlab apko ab takk kafii basic aadat ka pata hogaa unkeee aur sub theeek laaga ha... jankari hogai na unkey mizaj keee tou ab heee bus kar dain....
yahan kuch nazreeyati farq aa sakat hey.. kuch log kehtey hain k agar rikhshaw driver n mali etc se baat kar saktey hain tou mangaterr sey kyun nai??
maii yee nai mantiii kunke rikhshaw driver sey app woh baatain naheee kartey na heee usss andaz mai kartey hain na heee apkey zahain mai kuch aur hota ha...
aur agar tamam baaatain app pehley kar lain gey tou shadii k start mai koiiii charm ya new thing ka charm naheee rahey gaaa... waisey bheee agar hadd sey zada pehley baaat cheeet ho jayeee tou khameeyan zada nazar atiii hain kunkee bhe koi mazboot ya compromise wala rishta tou bana naheee |
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 186 Post: 6479 Age:
35
|
|
Posted on:19th Nov 2009, 12:16am |
|
|
agree with waterr ji ap ny kafi detail bta d good ans |
Husnain Ji
|
Group: Members Joined: 30th Apr, 2009 Topic: 5 Post: 36 Age:
28
|
|
Posted on:19th Nov 2009, 12:41am |
|
|
Water sister app ki baat bilkul theek hai k mein uss se baat kar ke galat karta hoon mujhe nahi karna chahiye. abb dekhein mein app ko explain karta hoon.
meri fiancee jo hai na woh mujh se 9 years choti hain means mein 26 aur woh 17 ki hai abb iss baat mein app log mat hasna kiyo k yeh hamari family ka decission tha aur hum dono iss faisle se bauhat khush bhi hain, iss liye abhi woh kafi un-mature aur na samajh bhi hai, jo bhi baat hoti hai woh mujhe bata deti hai, kuch dino pehle usse aik larka bauhat preshan kar raha tha to uss ne apni ammi ko bhi nahi bataya aur mujhe bataya aur mujh se pochti hain k mein kia karon, abb app log hi batayen k mein kia karon.
mein sochta bhi hoon k abb uss se baat nahi karoga aur bauhat kam kar doga, uss ke ghar mein bhi theek se koi samjhane wala nahi hai, mujhe kuch samajh nahi ata k mein kia karon. |
Javed Imad
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2009 Topic: 14 Post: 367 Age:
38
|
|
Posted on:19th Nov 2009, 11:05pm |
|
|
Kia Kahon AOA, Husnain yar kis duniya mein rehty ho, yeh koi itna bara issue nahi... sirf shaq wali adat hy .. aap mano ya mano........apny aap ko relax karo and life enjoy karo , avain prashan ho rahay ho, aik tu abi aap nikah nai hoa abi sy prashan ho jab shadi ho jaye tu phir kia ho ga.. us ki apni zandgi hy jaisy marzi wo guzaray jab tumhary niqah mein aye tu phir apni marzi kur laina... baat rahi shariat ki tu wo namehrm hy tumhary liaye , abi wo tumhary niqah mein ni aye.. shariat ky mutabiq us baat nai kur sakty... wo bat hoti hy niqah ky liaye both male n females aik dosry sy mil sakty hein but in limit.. wo bi just pasand na pasand ky liaye........avain tension na lo... enjoy karo... fazool baton mein time na zaya karo.. aur Allah sy khair ki dua manga karo
Regards |
saahilbhai
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2007 Topic: 17 Post: 971 Age:
28
|
|
Posted on:17th Dec 2009, 6:41am |
|
|
husnain bhai kia avayen mein tension liye hue hoo, app ko zaroorat hai shadi ki jladi se amma abba ko bolo k appp dono ki shadi kar den, dont worry bhai. |
|