sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4646 Age:
39
|
|
Posted on:21st Jan 2009, 11:38pm |
|
|
Poetry: Dil Beqarar Nahi Karte
Tum dil ko beqarar kyoon nahi karte, Meri Muhabbat par aitbar kyoon nahi karte, Jee nahi sakta hoke juda tumse, Lekin tum to Muhabbat ka izhaar nahi karte. .. waadon par wo aitbar nahi karte, hum zikre mohabbat sare bazar nai karte, darta hai dil unki rusvaai se aur woh sochte hai ki hum unhe pyar nahi karte
|
mabrish
|
Group: Members Joined: 26th Dec, 2008 Topic: 15 Post: 150 Age:
33
|
|
Posted on:22nd Jan 2009, 11:14pm |
|
|
masha allah.... bahuth achchye ashaar hain...nice......... |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
31
|
|
Posted on:23rd Jan 2009, 10:56am |
|
|
SUNEHRI ji very nice
Na Shikayatein Na Gila Kare
Koi Shakhs Aisa Huwa kare
Jo meray Liye Hi Saja kare
Jis Ki Zulf Mujh Pe Huwa Kare
Kabhi Roye Jaye Woh Bepanah
Kabhi betahasha Udas Ho
Kabhi Chupke Chupke Dabe Qadam
Meray peechay Akay Hansa Kare
Meri Qurbatein Meri Chahatein
Koi Yaad Rakhe Qadam Qadam
Main Barre Taveel Safar Mein Hoon
Meri Wapsi Ki Dua Kare
Barra Shor Tha Teray Shehar mein
Kisi Ajnabi K Qayam Ka
Woh Qaflay Kahan Ga ye
Koi Jaake Un Ka Pata Kare
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4646 Age:
39
|
|
Posted on:26th Jan 2009, 6:44pm |
|
|
Maryam apne jo shair likha bohat acha hai,apko malum hai ke wo kis ka likha hua hai??
is se ek milti julti Nazam humare Hazoor ne likhi thi wo ye hai..
Mere Dard ki jo dua kare, koi aisa Shakhs hua kare
wo jo bepanaah Udaas ho, magar Hijjar ka na Gillah kare,
meri Chahtain meri Qurbatain, jisse yad ayen Qadam Qadam
to wo sab se chup ke, Libas-e-shab me lippat ke a-ho baka kare,
bade uska Ghum to wo, Qaraar kho de mere Ghum khayal se
uthe Hath apne lye to, phir bhi mere lye hi Dua kare,
ye Kisas ajeeb-o-ghareeb hai, ye Muhabbaton ke naseeb hain
mujhe kaise khud se Judda kare,use kuch batao ke kya kare,
kabhi teh karain yoonhi soch soch, me wo firaak ke Faasle
mere peeche a ke dabbe dabbe, meri Aankhain mundh hassa kare,
bada shor hai mere Shehar me, kisi ajnabee ke nazool ka
wo meri hi jaan na ho kahin,koi kuch to ja ke pata kare,
ye to mere Dil hi Aks hai,mai nahi hun par meri Arzoo
kujunoon hai mujhe, ye bana de to phir jo chahe Qaza kare,
bhallah kaise apne hi Aks ko mai Rafeeq-e-jaan bana sakun
koi aur ho to bata to de, koi hai kahin to Sada kare,
use dhundti hain galli galli,meri Khalwaton ki Udasiyan
wo mile to kahun ke, Aa mera Maula tera bhalla kare,
Mere Dard ki jo Dua kare, koi aisa Shakhs hua kare
wo jo bepanaah Udaas ho,magar Hijar ka na Gillah kare |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5402 Age:
|
|
Posted on:27th Jan 2009, 12:47am |
|
|
Tujhe Bhi Humari Yaad Ajaye
Sehme Labo Pe Koi Masoom Faryad Ajaye Koi Khushi Ab In Ghamon Ke Bad Ajaye Pal Pal Mehsoos Hoti Hai Teri Mojodgi Kisi Lamhe Tujhe Bhi Humari Yaad Ajaye,
|
Shefali
|
Group: Members Joined: 06th Jan, 2009 Topic: 2 Post: 139 Age:
26
|
|
Posted on:27th Jan 2009, 12:59am |
|
|
Bhula kar humain wo khush reh payenge Bhula kar humain wo khush reh payenge, Saath mai nahi to mere jane k baad muskurayenge, Dua Hai Khuda se k unhe kabhi dard na dena, Hum to seh gaye par wo toot jayenge! |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
31
|
|
Posted on:27th Jan 2009, 6:06am |
|
|
SUNEHRI ji bohat achi nazam hae sunehri :) mujhay is k poet ka name nahi pata kyun k yeh meray husband ne mujhay sunai thi:) |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
32
|
|
Posted on:27th Jan 2009, 6:38am |
|
|
yoonhi be sabab na phira karo koi shaam ghar b raha karo yoonhi be sabab na phira karo koi shaam ghar b raha karo
ye ghazal ki sachi kitaab hai issey chupke chupke parha karo
koi harh b na milaye ga jo gale milo ge tapaaq se
ye naye mizaj ka shehar hai zara fasle se mila karo
abi rah main kayi mor hain koi aaye ga koi jaye ga
tumhain jis kisi ne bhula diya ussey bhulne ki dua karo
muje ishtihar si lagti hain ye muhabbaton ki kahaniyan
jo kaha nahi wo suna karo jo suna nahi wo kaha karo
kabi husn parda nasheen b ho zara aashiqana libas main
main jo ban sanwar k kahin chalon mere sath tum b kahin chala karo
nahi be hijab wo chand sa k nazar ka koi aser na ho
ussy itni garmiye shouq se dair tak na taka karo... |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
31
|
|
Posted on:27th Jan 2009, 8:00am |
|
|
bhimji very nice:) |
happy123
|
Group: Members Joined: 30th Dec, 2008 Topic: 3 Post: 159 Age:
41
|
|
Posted on:27th Jan 2009, 8:11am |
|
|
yeh barishain ..... yeh barishain bhi tum c hain
jo baras gai to bahar hain ,jo therher gai to qrar hain
khabhi aa gai yunhi bey sabab ,khabhi cha gayi yunhi roz-o-shab
kabhi shor hain kabhi chup c hain ,yeh barishain bhi tum c hin
kisi yaad main kissi raat ko ,ik dabi hui c rakh ko
kabhi yun hua k bhuja diya ,kabhi khud sey khud ko jila dia
kaheen bond bond main gum c han ,yeh barishain bhi tum c hain |
chaman0078
|
Group: Members Joined: 26th Jan, 2009 Topic: 31 Post: 192 Age:
30
|
|
Posted on:27th Jan 2009, 8:11am |
|
|
Wo Bulaain
Wo Bulaain Toh Kia Tamasha Ho Hum Na Jain Toh Kia Tamasha Ho Wo Kinaron Se Khelne Wale Doob Jain Toh Kia Tamasha Ho Banda Parwar Jo Hum Pe Guzri Hai Hum Batain Toh Kia Tamasha Ho Aaj Hum Bhi Teri Wafaon Per Muskurain Toh Kia Tamasha Ho Teri Surat Jo Itefaq Se Hum Bhool Jain Toh Kia Tamasha Ho Waqt Ki Chaand Saatain Sagar Lout Aain Toh Kia Tamasha Ho ..
|
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
32
|
|
Posted on:27th Jan 2009, 8:20am |
|
|
Udaas Shamein Ujar Raastay Kabhi Bolayein To Lot Aana Udaas Shamein Ujar Raastay Kabhi Bolayein To Lot Aana Kisi Ki Aankhon Mein RatJagon K Aazaab Aayein To Lot Aana
Abhi Nayi Wadiyon Naye Manzaron Mein Reh Lo Meri Jaana Ye Saaray Ek Ek Kar K Tum Ko Chor Jayein To Lot Aana
Jo Sham Dhaltay Hi Apni Apni Panah Gaahun Ko Lot`tay Hain Agar Woh Panchi Kabhi Koi Dastan Sunayien To Lot Aana
Mein Roz Yunhi Hawa Pe Likh Kar Us Ki Taraf Bhejta Hoon K Achay Mausam Agar Paharon Pe Muskurayien To Lot Aana
Agar Andheron main Chor Kar Bhool Jayein Tum Ko Tumharay Sathi
AOr Apni Khatir Apnay Apnay Diye Jalayein To Lot Aana
Meri Woh Baatien Tu Jin Par Be Ikhtiyar Hansta Tha KhilKhila Kar Bicharnay Walay Meri Woh Baatien Kabhi Rulaien To Lot Aana |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
32
|
|
Posted on:27th Jan 2009, 8:22am |
|
|
KYUN TANHA TANHA PHIRTE HO KYUN TANHA TANHA PHIRTE HO. KYUN ULJHE ULJHE REHTE HO? KUCH DUNYA SE GHABRAYE HUE. JAISE BAHUT SATAYE HUE? KUCH GUMSUM GUMSUM LAGTE HO
KYUN TANHA TANHA PHIRTE HO.... KYUN ULJHE ULJHE REHTE HO??
CHEHRE PE KHUSHI KI KIRAN NAHIN NA HONTON PE MUSKAAN HASEEN?.. KYUN PRESHAAN TUMHARI BATEN HAIN KYUN HERAAN TUMHARI AANKHEN HAI KYUN KHUD SE HI BATEN KARTE HO??
KYUN TANHA TANHA PHIRTE HO?? KYUN ULJHE ULJHE REHTE HO??
LEHJE MEN TERE NA AAS KOI ?? KAR GYA TUMHEN UDAAS KOI?? KYUN GEHRE HALKE AANKHON MEN KYUN JAAGTE TANHA RATON MEN? KYA SAPNO SE TUM DARTE HO??
KYUN TANHA TANHA PHIRTE HO? KYUN ULJHE ULJHE REHTE HO??
KYA SAPNE TUMHARE TOOT GYE? YA APNE SAARE ROOTH GYE?? KYA GUM HO BEETE SAALON MEN KISSI BEWAFA KE KHAYALON MEN TUM KHOYE KHOYE LAGTE HO?
KYUN TANHA TANHA PHIRTE HO? KYUN ULJHE ULJHE REHTE HO?? |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
32
|
|
Posted on:27th Jan 2009, 10:58am |
|
|
jahaaN gaaey thay Khushiyun ke taraane jahaaN gaaey thay Khushiyun ke taraane
muqaddar dekhiye roay wahin par
huay masjid se gum jootay hamaare
jahaan se paaey thay khoay wahin par |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
32
|
|
Posted on:27th Jan 2009, 11:14pm |
|
|
jis din huaa paThaan ke murGe kaa intiqaal jis din huaa paThaan ke murGe kaa intiqaal
daavat ki maulvi ki tab aayaa usey Kheyaal
murdaar murG ki hui mullaah ko jab Khabar
saaraa badan sulag uThaa, aaya bht jalaal
kehne lage khilaao ge haraam gosht?
tum ko nahi zaraa bhi shariyat ka kuchh Khayaal
murdaar Gosht to shariyat mein hai haraam
jab tak na zibaah kijiye, hotaa nahiin halaal
fatvaa jab apanaa maulvi saahab sunaa chuke
jhunjhalaa ke Khan ne kiyaa tab un se ye sawaal
kaisi hai aap ki ye shariyat bataaiiye
bande ko kar diyaa hai Khudaa se bhi baa-kamaal
Allah jis ko maar de, ho jaaye vo haraam
bande ke haath jo mare, ho jaaye vo halaal |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
32
|
|
Posted on:29th Jan 2009, 7:26am |
|
|
Aey Chaand ki kirno jao na Aey Chand ki kirno jao na,
Tum usko choo kar aao na,
Woh kab kab kia kia krta hai,
Woh jaagta hai ya sota hai,
Woh kis se baatein krta hai,
Woh shaam ko kesa lagta hai,
Woh raat ko kesa dikhhta hai,
Jab soey kesa lagta hai,
Jab jaagey kesa dikhta hai,
Tum chupkay chupkay jaao na,
Tum uss Chand ko chhu kar aao na.... |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
31
|
|
Posted on:29th Jan 2009, 7:28am |
|
|
Bhimji very nice collection |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
32
|
|
Posted on:29th Jan 2009, 7:36am |
|
|
Thanks Maryam ji Bht bht shukriya.. |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
34
|
|
Posted on:29th Jan 2009, 9:36am |
|
|
bhimji very nice yar
tu to bara romantic hai yar
majnu to nahi kisi ka
hehehe |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
32
|
|
Posted on:29th Jan 2009, 10:00am |
|
|
yar Main kisi ka majnu bano ya majoon, Tum meri chori shuda poetry enjoy kia karo.. |
|