Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3240 Age:
36
|
|
Posted on:19th Jul 2010, 11:55pm |
|
|
Maa As A Female ..Aur Maa Ki Mamta yeh bat theek hey k har mard khuwa wo kamyab ho ya nakam uss ko aik aurat ny hi janam diya hota hey ..laiken yeh kehna be-jaa hey k jab wo mard kamyaab ho jata hey to uss ki maa ka iss k peechy hath hota hey ...haan baaz muqammat par maa ka hath b hota hey ...laiken agar on the whole daikha jaye to yeh maa ki mamta hi nazar aye gi aur maa ki mamta to apny har baity k liye dua go rehti hey.... chahy wo baita zindgi main kamyaab ho ya na ho...
yeh to maa ki mamta hey jo apni olad sy fitri muhabbat ki jeeti jagti misal hey..laiken aysa sirf muslim manty hain ghair muslim k haan aysa tasawar nahi hey ..abb aap apni nazar ko zra wasee canvas par dorraien to aap ko kuch aysy kamyaab mard b nazar ayein gy jin ki paidaish hi maa k inteqaal k sath hoi aur unn ki sari zindgi main na behan k roop main na B.V aur na hi kisi aur aurat k roop main koi aurat dakhil hoi laiken iss k bawjood wo mu'ashrey k aik kamyaab tareen fard ban k ubhrey
lehaza main samjta hoon k maa ki dua beshak aik insan k liye aham tareen darja rakhti hey laiken yeh sirf aur sirf maa ki mamta hey kisi insan ki kamyaabi ki mukamal zamanat nahi...!!
agar zamanat ho to koi baita b iss duniya main nakam na ho..sab k sab kamyaab hi hoon...laiken aap daikh sakty hain k aysa nahi hy...
wazy rehy k main maa ki shan main gustakhi nahi kar raha ...maa to insan k liey khuda ka aik anmool tuhfa hey..main to kisi kamyaab mard k peechy kisi aurat k hath hony ki baat par comment kar raha hoon |
Neha_83 |
Group: Members Joined: 16th Dec, 2009 Topic: 2 Post: 169 Age:
30
|
|
Posted on:19th Jul 2010, 2:22pm |
|
|
hum to aj tak khud ko nai samuj paye to koi kia sumjega |
H/dr_Qasim |
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 186 Post: 6476 Age:
35
|
|
Posted on:19th Jul 2010, 2:36pm |
|
|
hmmmm correct
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:19th Jul 2010, 11:53pm |
|
|
aurat jab sirf "aurat" kahaa jaa.ay to iska matlab hota hai "biwi" yaa girl-friend... in 2 categories of females hi ko "samajhnaa" mushkil balkay naa.mumkin hota hai... jahaaN tak mother, sister yaa daughter ki baat hai to in rishtouN ko samajhnaa bahoot asaan hai... yeh "female-charcters" bahoot wazah aur inkay guftaar, kirdaar, aamaal, soch sab saaf saaf aur clear hotay haiN.
bus aik biwi (yaa GF) hi woh wahid female makhlooq hai jissay samajhnaa nehayat mushkil hai... issi ko moh "mo'ammah' kahtay hain jo nah samajh aa sakti hai nah samjhayee jasakti hai lol |
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3240 Age:
36
|
|
Posted on:21st Jul 2010, 1:22am |
|
|
Aurat...
Re : - "bus aik biwi (yaa GF) hi woh wahid female makhlooq hai jissay samajhnaa nehayat mushkil hai... issi ko moh "mo'ammah' kahtay hain jo nah samajh aa sakti hai nah samjhayee jasakti hai lol"
yes agreed with big brother....laiken iss k sath sath aik swal yeh b paida hota hey k aurtoon k andar aysii kia baat hey jisy hum mard samjna chaty hain aur jo lakh koshish k bawjood b aik mard ko samj nahi ati...ya samj nahi arehi...
mera khiyaal yeh hy k hum sab mard sirf aur sirf aurat k andar apni adaat aur fitrat ko talash karny ki koshish karty hain hum mard jaisy khud ki zindgi guzaar rehy hoty hain waisy hi towaqqo kisi aysi aurat sy b rakhty hain jis k sath hamara kuch taluq ho....aur jub humain hamara matlooba result nahi milta to hum yeh keh daity hain k aurat zaat ko samjna buhat mushkil hey
aurat ki aik hi kamzoori hey jis ka nam hey aitmaad agar koi insan kisi aurat k aitmaad par poora utrta hey (aitmaad kaisa b ho...khuwa kisi cheez k bary main ho) to uss mard k liye aysi aurat ko samjna be-hadd asaan ho jata hey..laiken agar koi mard kisi aurat k aitmaad to Thais puhancha daita hey to phir aurt ki fitrat aur anadar chupi makari ko samjna nihayet hi mushkil ho jata hey...
waisy b aurat k liye aik baat kehi ja skti hey k "Aurat agar apny muqam sy uThy to devi banti hey ...aur agar yehi aurat apny muqam sy gir jaye to zehreeli nagan ban jati hey"
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:21st Jul 2010, 1:46am |
|
|
aurat aur etmaad 1. it's true k aurat ki kamzori "etmaad" hai... ap kiss bhi aurat ka "kissi bhi tarah" etmaad jeet laiN aur continuously jeetay ahaiN... phir woh aurat ap ki har qism ki "tawaqqah" par poori otregi... but it doesn't mean k apnay ossay "samajh" lia hai... balkay iska matlab yeh hai k apnay oska 'control' apnay haath maiN lay lia hai. ab woh apki marzi /mansha k beghair kuch nahi karegi.
2. mard, aurat k ander "apnay jaisi adat aur fitrat talaash karta hai"... yeh baat kuch ajeeb see lag rahi hai.... asal maiN mard aurat ko apni marzi k motaabiq 'drive' karna chaahta hai... aur jab woh oski marzi k motaabiq 'driv' nahi hoti balkay 'apni marzi' chalati hai to phir yeh kahnay lagta hai k aurat ko samajhnaa mushkil hai.... go yeh conclusion to durust hai magar iska 'cause' jo amooman bayaan ki jati hai, 'durust nahi :)
3. meray hissab say asal baat yeh hai k aurat ki 'soch' aur 'amal' (both) maiN 'uncertanity' hai... koi mard kissi aurat k baray maiN 'peshangoyee' nahi karsakta k ab woh kia karegi, ab woh kia kahegi, ab woh kia sochegi etc etc... jabkay aik mamooli soojh boojh ka mard bhi apnay dost, saath, paRosi, saath kaam karnay walay k baray main aksar auqat iss tarah ki "dursut peshangoyee kar letaa hai.... aurat (friend /wife only:) ki yehi uncertanity mard ko 'pareeshaan' kardety hai.
masalan aurat gham main bhi roti hai, khushi maiN bhi roti hai, rooThnay maiN bhi ronay lagti hai.... ab aik hi 'reaction' (rona) ki kai causes hosakti haiN... ab aisay main mard bechara kia karay lol |
`RiM jHiM` |
Group: Joined: 31st Dec, 1969 Topic: 2 Post: 38 Age:
|
|
Posted on:21st Jul 2010, 2:09am |
|
|
mardon ko ... aurton par behes karne k ilawa aor koi kaam nahi.kabi apne ooper b behes kar lia karein :-)
|
Malla |
Group: Members Joined: 12th Jul, 2010 Topic: 4 Post: 78 Age:
29
|
|
Posted on:21st Jul 2010, 6:09am |
|
|
Rimjhim wujood a zun say ................ Yeh murd orto kay binaa reh he nahi sukty enki huwaa bund na ho jay?
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:21st Jul 2010, 6:18am |
|
|
RIM jHiM mardouN k baray maiN bahas aurtaiN karti haiN... aur tamaam aurtouN ki aik roy muttafiq hai, mardouN k baray maiN k ... yeh saray mard aik jaisay hotay haiN lol
Malla,
nah mard aurtouN k binaa rah saktay hain, nah aurtaiN mardouN k bina rah sakti haiN lol yeh dounouN aik doosray k liyeh laazim o malzoom haiN... balkay har aik "baqaa" ka inhesaar doosray par hai. |
H/dr_Qasim |
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 186 Post: 6476 Age:
35
|
|
Posted on:21st Jul 2010, 7:41am |
|
|
Murd or orat myrizvi say agree kurta hon,
|
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3240 Age:
36
|
|
Posted on:21st Jul 2010, 9:43am |
|
|
my rizvi bhai.... "nah mard aurtouN k binaa rah saktay hain,"
big brother zra apni likhi hoi line ko dobara aur ghor sy prrain.........bat to theek hi hey k na mard aurtoon k binaa reh sakty hain ...aur bechary rehty b hain....halan k wo b shaid rehna to na chahain laiken unn ki majboori hey.....:) |
jazzii |
Group: Members Joined: 02nd Nov, 2009 Topic: 7 Post: 62 Age:
27
|
|
Posted on:21st Jul 2010, 3:23pm |
|
|
hahahaha agr hum females app ki smj mein aa jaein to koi bat na hoi na,,,, ye males k bass ki bat ni humein smj sakein ,,,,,,,
sari zindgi lag jaye gi lekun kuch samj ni aye gi
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:21st Jul 2010, 10:02pm |
|
|
how to understand females? aik aurat ko dosri aurat nahi samjh pati hai to mard kese samjh paein ge. females ko samjhna kafi mushkil kam h.
|
|