Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4300 Age:
38
|
|
Posted on:24th Dec 2007, 7:26pm |
|
|
Sola (16) Singhar: Does Women Do Now A Days tamam khawateen aur mard hazrat ke darmian yeh contest hai keh woh
1) 16 singhar ka name batai. matlab yeh keh iss mai kon kon se singhar shamil hai.
2) doosra sawal yeh hai keh kia mojooda dor mai khawateen sola singhar karti hai, aur agar karti hai tu kaha ki khawateen poore 16 singhar karti hai, village ki ya city ki. India, Pakistan ki ya usa, uk ki. aur agar 16 se kam karti hai tu iss ki kia wajah hai
3) ye bhi batai keh kia mojooda dor mai singhar ki asal tadad kia hai, ya singhar ki taadad 16 se bhi ziadah ho gai hai.
mard hazrat zaroor reply de takeh iss se mai analysis kar sakoo ga ke kon apni bivi/mangeter/friends/rah chalti larkio, mai ketni gahri dilchaspi lete hai |
Alveena20 |
Group: Members Joined: 15th Dec, 2007 Topic: 10 Post: 922 Age:
28
|
|
Posted on:24th Dec 2007, 9:36pm |
|
|
As_ssalama_O_Alaikum
As-sslama_O_Alaikum
bewaqoof pehle aap yeh batain kya aap ko pata hai kay hum
larkiyan 16 kyun karti hain? bhai simple si baat hai . mere kheyal mein
jab larkiyan
16 singhaar nahin karti to ziayda
khoobsurat nazar aati hain. Singhaar
kay baghair hum log chodwein ka chaand lagti hai. Hum isliye singhaar karti
hain tahkay humein kissi ki nazar nah lag jaye. Aab aap seh kya choopana aap ko
to pata hain nah kay hum larkiya kitni nazak hoti hain phool ki patiyon seh bhi
ziayda nazak hoti hain . singhaar ka pehlas faida 1. Jab hum baher jati hain
nah toh us waqt humein mard hazrat ghoor ghoor kar dhaiktay hain. Singhaar ka
faida yeh hai kay is seh humein nazar nahin lagti. Aur doosra faida is ki wajah seh hum sahee salamat ghaar wapis
aa jati hain. freinds agar main neh kuch
ghalat likha hai yaa meri koi baat kissi ko buri lagi hai toh aap log
jitna chayein mujhe daant saktay hain . Allah Hafiz
|
Alveena20 |
Group: Members Joined: 15th Dec, 2007 Topic: 10 Post: 922 Age:
28
|
|
Posted on:25th Dec 2007, 12:36am |
|
|
16 singhaar kay naam mujhe sirf itna pata hai kay mujhe sola singhaar kay naam nahin pata, aur yeh bhi nahin pata kay mahjooda dor mein in ki tadaad bari hai yaa nain . Allah Hafiz |
Be Happy |
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:20th Aug 2009, 12:54am |
|
|
Bewaqoof bhai "mard hazrat zaroor reply de takeh iss se mai analysis kar sakoo ga ke
kon apni bivi/mangeter/friends/rah chalti larkio, mai ketni gahri
dilchaspi lete hai"
aap bhi to kuch likhein na is bare mein.takey hume bhi to pata chala k aap kitni dilchaspi lete hain?aap bhi to mard hain na.to Aap Bissmillah karein phir dekhein kese baqi members yahan nahi atey:-P
aap Bis-smillah karein phir main bhi likhon gi.16 singaar k bare mein.
|
Bhimji |
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1837 Age:
30
|
|
Posted on:20th Aug 2009, 1:37am |
|
|
Let me guess 16 singhaar 1. Ubtan,
2. Kajol,
3. Tikka,
4. Mehndi,
5. Baaliyan
6. Pazeb
7. Jhumka
8. Qameez
9. Shalwar
10. Dopatta
11. Sendal
12. Sindhoor
13. Chooriyan
14. Ring
15. Chootiya
16. 10 rupees ka note sadqay ke liay takeh bachi ko nazar baazun ki nazar na lagay...lols |
saim1 |
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 43 Post: 2155 Age:
35
|
|
Posted on:20th Aug 2009, 1:43am |
|
|
haaaaaa haaaaa beeji
kiya sahi bataya 16 singhar
wasey mujhey tu nahi maloom tha key 16 singhar kiya hotey haien,abhi beeji say hi pata chala
wasey yahan tu 16 singhar koi nahi karta
lakin makeup larkiyan karti haien,or fashion ko bhi follow karti haien
lakin appney miyan key liya nahi khas karti jasey pak may hota hey
bus awien hi kar leti haien
lolzzzzzzzzzz |
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:20th Aug 2009, 3:06am |
|
|
sola singhar Disclaimer: just consider me a fine arts student studying in top fine arts institute of the city living in an ultra modren area of karachi Bhimji…….hehehehehe ……… ap tu waqai 79years ke hain…ye singhar tu 79years back ke he hain… 1)UBTAN?? Whats that?....uffff that yellow smelly paste…we have moisturizers,skin lotions,fairness creams and wide range of skin toning creams…. 2)kajol…yes sometimes…but preferably eye pencils,liquid liners etc. 3)tikka….that big big egg size … covering half of forehead……nope… Bindiya….small cute and just like hindi film actresses… 4)qameez,shalwar……….what about flappers,trousers,jeans,Capri??? 5)dupatta??...whats that?.....oh that 2 and a half meters long long very long bundle….well scarf is a better option if one feel like taking… 6)jhoomar??........why not matha patti….u know that cover forehead in circle…. 7)baaliyan……well sometimes… but preferably ear studs… 8)Bangles???…. Wo cham cham karti…itni garmi mai…...why not braclets.. 9)chootiya???????.......we are not REPUNZLES that a prince has to climb on our hair to reach tower….why not steps,layers.flakes 10) others…. Manicure,pedicure,facials,hair rebounding,teeth polishing and nail shiners,glosss etc etc etc…. sola singhar tu har area ke female karti han chahey wo America ke hon ya bhai phero ke…but apnay area wise…like thar ke females white bangles pehanti han…it suits them so well aj ke sola singhar tu uncountable han…16 ya 1600ya 16000… aur g mard bhe karte han… SALOONS FOR MEN bhe tu han…aur ab tu bridegroom bhe itna tayar hota he…..especially parlour se….
|
fari pari |
Group: Members Joined: 05th Apr, 2009 Topic: 3 Post: 95 Age:
25
|
|
Posted on:20th Aug 2009, 3:34pm |
|
|
water aap to bohat modern lagti hain wesy :-D
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4655 Age:
37
|
|
Posted on:20th Aug 2009, 5:44pm |
|
|
hmmm 1. Ubtan,..................... its good but no time
2. Kajol,----eyliner
3. Tikka,.------no way...
4. Mehndi,------no way...i dont like mehndi
5. Baaliyan.....often
6. Pazeb......sometimes
7. Jhumka......no way
8. Qameez......daily..hahhaa
9. Shalwar.....daily
10. Dopatta.....not at home
11. Sendal......sometimes
12. Sindhoor.....no
13. Chooriyan.......sometimes
14. Ring.......everytime
15. Chootiya.....noo just an clip
16. 10 rupees ka....... ye shohar ka kaam hai...
waise jab maine kahin jane ke lye tayar hona hota hai to mere lye
eyshade,eyliner,maskara,light colour ki lipstick and earrings important hain. |
saim1 |
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 43 Post: 2155 Age:
35
|
|
Posted on:20th Aug 2009, 6:25pm |
|
|
sunher mehndi nahi passand?
yar mujhey tu bhouttttttt passand hey agar eid par mehndi na lago tu lagta hi nahi key eid hey |
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:20th Aug 2009, 8:59pm |
|
|
my reply was for fun only i have written a disclaimer.....was for fun... |
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4655 Age:
37
|
|
Posted on:21st Aug 2009, 5:18am |
|
|
saim 1 mujhe mehndi pasand to hai ,lkein mai nahi lagati kabhi bhi...kyoonke jab tak to uska rang tez hota hai bohat achi lagti hai..par jab rang utarne lagta hai to mujhe acha nahi lagta wo colour...aise me kahin kissi official work ke lye bahir jana pade to acha nahi lagta..islye maine mehndi bilkul chod di hai.
|
Bhimji |
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1837 Age:
30
|
|
Posted on:22nd Aug 2009, 7:21am |
|
|
Ladies Yeh sola singhaar jo main ne btaey hain sara sar mere zehen ki ikhtraa hai. May be inka asli sola singhaar ke sath koi taalluq na ho. Sab se amazing cheez yeh hai ke khawateen hone ke bawjood aap loag bjaaey apna opinion dene ke mere Sola singhaar ko hi pakar kar beth gai hn aur iss par discussion kar rahi hain..hehe |
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:22nd Aug 2009, 7:53am |
|
|
Hehehe But maine tu bohat alternatve batai han..na unho ne coment kya jinka thread ha bewaqoof ne , na kisi aur ne,itna interestng likha maine.. |
Bhimji |
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1837 Age:
30
|
|
Posted on:22nd Aug 2009, 8:12am |
|
|
ji I think aap ne alternatives par zorr rakha hai jab ke poocha sola singhar ka gya hai. Iss liay sirf Sola Singhar ke mutallaq hi discussion ho tou zeyada interesting rahe aur yeh informative b ho. Jo cheezain aap ne btai hain woh tou sab ko pta hain. So, stick on the topic because no one knows exactly about 16 Singhaar.... |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4300 Age:
38
|
|
Posted on:28th Jul 2011, 11:10pm |
|
|
re: sola singhar aaj kal abaya ka zor hai, iss liye sola singhar ka koi faida nahi. lagta
hai isi liye members ne iss thread mai dilchaspi nahi li hai. |
|