Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

What Is Time? Time Is Nothing

Non Medical Discussion   >>  Discussion
 
 
 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:7th Jul 2009, 1:40am
 

What Is Time? Time Is Nothing

zamin per ham jise time kehte hai woh darasal time nahi hai. kio keh yeh time zamin ki sooraj ke gird gardish aur chand ki zamin ke gird gardish ki wajah se wajood mai aayee hai. agar zamin aur chand ki gardish stop ho jaaye tu phir aap time kise kahe ge?

yeh kainaat static hai, static haalat mai koi time nahi hota, time aik relative term hai jo kainaat ke andar mojood planet wagaira ki gardish se wajood aata hai. gardish kerte huye planet per tu time ho sakta hai, lekin kainaat per nah, kio keh kainaat static hai, iss liye iss kainaat ki koi timing nahi.

jab real mai time nahi hai tu ham kaise keh sakte hai keh hamari zindagi 50,60 ya 70 years tak rahe gi. sawal yeh hai keh hamare paida hone se qabal aur marne ke baad wale period ko aap kaise calculate kare ge? kia zamin aur chand ki gardish se calculate kare ge? kia paida hone se qabal aur marne ke baad rooh isi zamin per rehti hai jo ham os ki timing calculate ker sake? ya kainaat ki timing se calculate kare jo ke zero hai. jab kainaat ki timing zero hai tu phir ham kaise keh sakte hai keh hamari age 50, 60 ya 70 years hai. agar kainaat ki timing zero hai tu hamari age bhi zero huyee.

Note: ho sakta hai keh meri baat aksar members ke oopar se guzar jaaye, koi baat nahi meri baatai sab ke samajh mai nahi aa sakti. aur na hi mai sab ko samjhana chahta hoo.

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:7th Jul 2009, 2:25am
 

hahaha

kuch members ke nahi aksar members k uper se guzar jaate hai...

Kainat ka Nizam Allah ne banaya hai ess mein koi shak karne ke gunjaish nahi hai k yeh ho jai gaa tu yeh ho jai gaa ya wo ho jai gaa.

Jab Kainat ka end hogaa kainat usse waqt Allah ke hukum se reeza reeza hogee ess mein humee mudakhelaat nahi karne chahe...

Kainat ke timming kya hai yeh app ko kese pata chala???

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:7th Jul 2009, 8:39am
 

now u r right

bewaqoof bhai... I agree 101%.... "zamaan o makaan" dounouN relative terms haiN.... aksar logouN ka khayaal hota hai k woh 'aik room" k ander baiThay haiN... halaaNkay "woh room" oskay dimaagh k ander aik "aks" hai aur kuch nahi.... hamaiN jo cheezaiN jaisee kuch narm, garm, ThanDi, meeThi, lambi chauRi etc etc nazar aati haiN.... dar haqeeqat "waisee" nahi hoteeN.... hum cheezouN ko ossi tarah "samajhtay" haiN jaisee ko woh hamaray "hawaasay khamsah" k through hamaray dimagh k pardah.e.screen par banti haiN...

bilkul issi tarah jaisay koi dehati cenimaa hall maiN film k kissi manzer maiN barish hotaa dekh kar bhagay k kaheen meray ghar k bahar para samaan geela nah hojaaye.... issi tarah hazratay insaan bhi iss dunyaa maiN hawasay khamsah say haasil shudah "waqti /aarzi pics" ko haqeeqat samajh baiTh.taa hai... aankh band hotay hi pata chalta hai k sab kuch fasana say zeyadah nah thaa...

meraajay rasool saw iss baat kaa saboot hai k time /waqt aik relative cheez hai... hum jiss period ko saal /maheenay etc samajhtay hain woh lamhaa barabar bhi nahi hotay... Allah nay zameen o aasmaan o maa.feehaa k darmayaan ki kull kaainaat ko makhi k aik par say bhi tashbeeh dee hai...

asal maiN insaan iss jasday khaaki maiN very "limited" saa hojata hai... iska "vision" bahoot short rah jata hai... jouN hi hum iss jasday khaaki ki qaid say azaad hotay haiN hum ghair-mahdood / laa.mahdood ka saamna kartay hain ... tab hamaiN apni yeh 70/80 saalah zindagi aur iska arbouN kharboun ki daulaat haqeer nazar aanay lagti hai.... jaisay aik 8/10 salaah kidz k liyeh toffes k 2/4 chaar boxes bahoot kuch hotay haiN magar jab woh apnay qadmoun par khara ho kar toffes factory ka maalik ban jaye tab bhi woh issay "bahoot kuch" nahi samajhtaa...

yeh topic to aisaa hai jiss par bahoot kuch likha jasakta hai but as bewaqoof bhai says k bahoot say logouN k ser k bahoot ooper say guzer jayegaa :) 

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4214  Age:   
Posted on:7th Jul 2009, 9:47am
 

bewaqoof

aap k mutabiq

jab kainaat ki timing zero hai tu phir ham kaise keh sakte hai keh hamari age 50, 60 ya 70 years hai. agar kainaat ki timing zero hai tu hamari age bhi zero huyee.

jab aap maante hain k aap ki age zero hai, to profile main 37 q likha hai...???

hahahahahaha

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:7th Jul 2009, 11:19pm
 

sunny bhai

hahaha app per waqai pagal paan ka asaar char raha hai kahi poore forum mein na pheel jai :))
DOST_YAR Group: Members  Joined: 18th May, 2009  Topic: 16  Post: 124  Age:  25  
Posted on:7th Jul 2009, 1:11pm
 

Bewaqoof bhai

Bewaqoof bhai ab aqal mandi ki baten kerne lage hain. Ye jaan ke behad khushi hue. Aap ne jo kaha bilkul durust kaha. Myrizvi bhai ne bhe bilkul sahi fermaya

Albatta, itna kahonga baqi logon ka to mujhe nahi maloom per ase hi baat main pehle kahi aur bhi pedh chuka hun.

Any ways, Congrats on a good topic

 

 

waseem08 Group: Members  Joined: 27th Apr, 2009  Topic: 13  Post: 1304  Age:  31  
Posted on:7th Jul 2009, 1:17pm
 

agree bewaqoof bhai&myrizvi; bhai

salam to all.jab se frum join kia hy aaj ap se agree krta hon.

bilkul theek hy k waqeyee iss kainaat ki haqeeqat dr haqeeqat zero k elawa or kuch ny hy pr smajhne ki baat hy.

myrizvi bhai,kia bat hy apki jo apne bare pyare andaaz me samajhaya speciley Aaqaa(sallallahoalyhiwaalihiwasallam)ki miraj ki meesal dee.

mere  mutabiq:timing Aallah ki bana krdi ek ajeebogareeb cheezon me se ek cheez hy jo hum me timing k hawale se jani jati hy or haqeeqat me dekhen to kuch b ny jese k qayamat ka din 50000 sal ka ek din hoga pr Aaqaa(sallalhoalyhiwaalyhiwasllam)ne frmayaa k kuch logo k liye itna hoga k jese 2 rakaat namaaz to kuch logoo k liye palak japakne tak ki miqdaar bas(subhanallah)so ap khud andazaa lagaa sakten hen k ye jo waqt hy ye kia hy dekhen to waqt hy or gheraai me jayen to subhannallah.

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:6th Dec 2009, 11:58pm
 

what is time

koi aur comments?
naamshahid Group: Members  Joined: 23rd Jul, 2009  Topic: 6  Post: 116  Age:  32  
Posted on:7th Dec 2009, 5:27am
 

What is time

I also agree with this situation yeh sirf one side hai

According to me     time ki haqeeqat aisy hi hai, time waqi hi relative term hai jo k is dunia aur kainaat k wajood se wajood mai aya, jahan tak kainaat k time ki baat hai k us ka time zero hai sab se pehle tou humai yeh pta hona chahye k kainaat kia hai agar tou kainaat ka mutlab wo is majood sary siyyare sittary aur is mai majood sab kehkshayen wagaira hai tou i think yeh jitni b kehksahye hai yeh kisi na kis mehwar k gird gardish krti hai agar aisa hi hai tou it means phir kainaat ka time zero nahi hai yani jab se yeh wajood mai hai tab se is mai revolving hai tab tou is ka time zero nahi ho sakta agar aisa nahi hai tou phir situation ho sakti hai jaisa ap kehte hai

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:7th Dec 2009, 7:16am
 

kainat aur kahkashan mai farq

re: "yeh jitni b kehksahye hai yeh kisi na kis mehwar k gird gardish krti hai agar aisa hi hai tou it means phir kainaat ka time zero nahi hai "

kehkashan aur kainat mai farq hai, kahkashan ka time zero nahi ho sakta lekin kainat ka time zero hai. kainat ke andar gardish ho rahi hai, lekin kainat khood gardish nahi ker raha hai.

naamshahid Group: Members  Joined: 23rd Jul, 2009  Topic: 6  Post: 116  Age:  32  
Posted on:8th Dec 2009, 12:02am
 

Kainaat

jahan tak mai samjta ho k kainaat itself kuch nahi hai yeh b aik relative term hai is ka wajood b is mai majood tamaam planets wagaira k sath hai, agar yeh planets khatam kr diye jaye ge tou kainaat itself khatam ho jaye gi, q k qiyamat k din ALLAH is kainaat mai majood tamaam planets ko khatam kr de gy jis se yeh kainaat ka wajood b khatam ho jaye ga, mai nahi samjta k pehle tammat planest khatam ho ge baad mai kainaat bach jaye gi phir us ko khatam kiya jaye ga.

jahan tak mai samja ho ap kainaat ko is tarah se daikh rehe hai jaisy k aik band dibba hai aur us mai kuch chutti chutti balls dall di jaye tou dibba itself aik kainnat hai aur is mai mjood planets separate hai.

laiken i don't think so ke yeh aik aisa hi concept hai q k kainaat ka wajood itself in planets k sath hai jo revolving condition mai hai agar yeh planets khatam ho jaye ge tou yeh kainaat itself khatam ho jaye gi

according to me kainaat mai aik life ka concept hai i think is ka matlab yeh hai k wo tammam creations hai jo planest wegaira per rehti hai to sab mil kr aik kainaat ko takhleeq krti hai, yeh mera point of view hai

baqi ALLAH behter janta hai k is ki reality kia hai

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:8th Dec 2009, 4:43am
 

kainat, planet and space

kainaat mai sirf planet nahi balke space bhi hai. lehaza planet khatam hone ke baad space reh jaaye ga. isi tarah dabba ke andar ki tamam cheezai khatam hone se dabba khali ho jaaye ga lekin dabba khatam nahi hoga.

kia qayamat ke din planet ke saath saath space bhi khatam ho jaaye ga? agar space bhi khatam ho jaaye ga tu ham keh sakte hai keh kainaat ka bhi khatma ho jaaye ga.

agar kainat ka khatma ho jaaye ga tu kia 7 aasman bhi khatam ho jaaye ga, kia 7 aasman ke darmian space bhi khatam ho jaaye ga. kia jahannam aur jannat bhi khatam ho jaaye ga? kia jannat aur jahannam ke darmian space bhi khatam ho jaaye ga?

agar jannat aur jahannam khatam nahi hoge tu waha per time kis tarah calculate kia jaaye ga. kio keh mojooda time tu zameen aur sooraj ke mutabiq hai. agar kainat ke khaatma ke baad zamin aur sooraj khatam ho jaaye ta tu phir jannat aur jahannam ki timing kaise calculate ki jaaye g.

naamshahid Group: Members  Joined: 23rd Jul, 2009  Topic: 6  Post: 116  Age:  32  
Posted on:8th Dec 2009, 6:19am
 

Re Time

qiyamat k din ALLAH TALAH her cheez ko khatam kr de ga even k asam b zameen b aur is k darmian her chhez ko.

mai aj aik article study kr raha tha jis mai qiyamat k hawale se likha tha is article mai yeh likha gia tha k jab qiyamat ka din aye ga tab ALLAH her cheez ko khatam kr de ga even k zameen aur aasmaan, jab dobara zinda kiya jaye ga tab phir new zameen bnayee jayee gi

ak tak yeh nahi pta chal ska k jannat asmaano mai k zameen per agar asmaano per hai tou phir day of judgement ka din zameen per q lgaya jaye ga kia hisab kitab k baad jo log jannat mai jaye ge un ko asmaano per le jaya jaye ga jannat mai entry k liye

i think k aisa nahi ho ga jab qiyamat ka din zameen per lgy ga tou might b jannat aur dozakh b zameen per hi hon, jaisa k maine aik article ka ref diya hai k pehle her cheez khatam ki jaye gi baad mai dobara zameen ko bnaya jaye ga aur phir zinda kia jaye ga her cheez ko hisab kitab k liye.

Behter knowledge sirf ALLAH ki zaat aur AP SAW ki zaat k pass hai wo behter jante hai k kia hai kia ho ga aur kia nahi ho ga. insan assuptions aur apny limited mind k sath chalta hai q k kuch aisi baatain hai jin ka insani mind ahata nahi kr sakta

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:1st May 2010, 2:30am
 

Time ka koi wajood nahi hai

kia koi bata sakta hai keh iss waqt real time kia hai? koi nahi bata sakta keh iss waqt real time kia hai. kio keh time aik farzi paimaish hai, haqeeqat mai kuch nahi.
DOST_YAR Group: Members  Joined: 18th May, 2009  Topic: 16  Post: 124  Age:  25  
Posted on:1st May 2010, 2:08pm
 

Time Aur Zindagi

La - Shaoor main waqt nahi hota. Insaan Time and Space say Azaad hojata hai. Rooh Roshni hai. Aur Roshni ki raftaar per Einstein ki maroof Equation E=MC2 sab ko maloom hai. Jis say sabit hota hai kay jab koi jism roshni ki raftaar say safar kary to energy ban jata hai. Energy ko time ki zaroorat nahi hoti.

Shaoor main insaan time and space main qaid kerdya gaya hai. Usay her kaam kernay main time lagta hai. Usay ek jaga say dosri jaga janay main diqaat hoti ahi.

Neend ki halat main time and space nahi hota. Insaan apni adhi zindagi neend main bitata hai. Isleye ye kehna munasib hoga kay.

Insaan ki aadhi zindagi main time nahi hai.

1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013