whtevr |
Group: Members Joined: 24th Feb, 2008 Topic: 11 Post: 57 Age:
29
|
|
Posted on:23rd Mar 2008, 7:26am |
|
|
Imaginative Sex: What Does Islam Says?
Hello friends I m here with an issue, hope that all of u will give ur best openion, baat ye hai k eik larka jo mere ghar k paas rehta hai, last 3 years se mera bohat acha dost hai, balke main us se bohat pyar karti hon or wo b mujh se bohat pyar karta hai, ye pyar kuch anokha is tarah se hai k humari sirf phone pe baat hoti hai, jab kabhi mile hein bas door se aik doosre ko dekha hai, mukhtalif wajoohaat ki bina par hum eik doosry sy shadi nahyn kar sakty, ye jaanty huye b hamara pyar eik doosry k liye by_lous hy, lekin jab hum baat karty hyn to hum har topic py khul k baat kar lety hyn, yahan tak k hum apni sexual wishes or feelings ka b khul k izhaar karty hyn, hum apni imagination myn eik doosry sy wo sab karty hyn jo koi is age myn karna chahta hy, lekin ye sab imaginative hota hy, jab hum milty hyn to bas door sy dekhty hyn, hum ny eik doosry ko physically kabhi touch b nahyn kiya hamysha hum ny khud py zabt rakha hy, eik doosry ki bohat izzat b karty hyn, lekin kabhi kabhi dar lagta hy k anjaany myn koi ghalt qadam na uth jaye, main us larky sy bohat pyar karti hon, ussy khona nahyn chahti lekin haasil b nahyn kar sakti, kuch aisi he condition uski b hy. Main aap sab sy ye poochna chahti hon k humary aisy relation ki (jo k sirf imaginative hy), Islam ki nazar myn kia hesiyat hy? Kia hum ghalat kar rahy hyn? Plz. Reply.
|
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:23rd Mar 2008, 11:12pm |
|
|
whtevr sex chahay imaginative ho ya non imaginative ya kisi bhi forum main ho (including sexual talk)......... ek na-mehram aur un-married larkay aur larki kay liyain illegal hai aur bara gunah hai.............app jo kuch kar rahi hain wo bilkul ghalat hai gunah hai ......Allah Talah Say mafi mangiyai aur isko foran tarak kardijiyai..........
agar app say zabt nahi hota tou foran shaadi karlijiyai .......is say pehley k koi ghalat kadam uth jaye.....agar shaadi nahi karsakti tou 5 times prayers start kardijiyai aur us larkay ko bhi iski talkeen kijiyai.......inshallah sab behtar hojaye ga................
|
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4214 Age:
|
|
Posted on:23rd Mar 2008, 12:09pm |
|
|
to whtevr whtevr ji
hitman ne jo kaha sahi kaha. agar aap os boy ko itna like karti hai k os se shadi b karna chahti hai to aap aisa kare k os boy ko kahe k wo apne parents aap k rishte k lie beej de. agar aap k parents ne haan kar di to bat bani agar nahi to aap os ko bhoolne ki koshish kejie.
khush raho |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:23rd Mar 2008, 12:36pm |
|
|
whatever - love problem..... apko mohabbat hai , par kash apki shadi bi ho jaey :( is tara taras taras k ap dono apnay ap ko nuksaan pohncha rahay ho.....
dono apnay maa baap say baat karo, unko samjhanay ki koshish karo k ham aik dosray ko pasnd kartay hain aur shadi k baad khush rahain gay , kindly ap hamari shadi kar dain....... ap dono darnay ki bajaey , aik martaba khul kar apnay dil ka haal apni apni maa say share karo...
apnay gunah sawab ka puchha hai to mai apko bata don k imagination mai baaz okaat automatically koi galat khayal aa jata hai,, jisay ham nai lana chahtay par wo khud hi aa jata hai,,,,,, to aisi soorat mai mere ilm k mutabik gunah nai hai,,, koshish karni chahiye k khayal aye to isay apnay andar say nikaal phenkain....... lekin agar koi insan khud khayal laata hai,, ya khayal ata hai to wo khush hota hai , us buray khayal ki waja say wo lazzat mehsoos karta hai,, ya apnay kiye gaey gunah ko zehan mai laa kar mazaa aur lazzat mehsoos karta hai to usko gunah ho ga...... is liye agar gunah ho jaey ya galti ho jaey to usay bar bar imagine kar k lazzat hasil nai karni chaiye balkay agar khayal aye to ASTAGHFIRULLAH parhna chahiye aur apni galti par sharminda hona chahiye.. ta k Allah raazi ho jaey aur maaf kar day...... achay say achay insan ko Allah say darna chahiye aur ASTAGHFAAR kartay rehna chahiye... aap bi parha karo. |
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 7336 Age:
32
|
Blocked |
Posted on:23rd Mar 2008, 11:53pm |
|
|
very good good reply from josh side.very good . |
whtevr |
Group: Members Joined: 24th Feb, 2008 Topic: 11 Post: 57 Age:
29
|
|
Posted on:24th Mar 2008, 12:30pm |
|
|
easy to say friends well friends
ye sab kehna to bohat asaan hy, jesy aap ny kah diya k ussy bhoolny ki koshish karo etc etc
main bata chuki hon k kuch reasons hyn jinki waja se hum dono shadi nahin kar sakty (kisi sy b), (reason relevent nahin hai), to main aisy myn kia karon
ab tak main ye soch kar satisfied thi k hum ny kabhi physically kuch b ghalat nahyn kiya, but friends (with sorry) i dont think k Islam itna tang nazar relegion hy k kisi insaan ki soch ko qyed kar dy, i may b wrong but tell me solution bcoz main ussy chorna nahyn chahti, hum khud b koi ghalat kadam nahyn uthana chahty, meri samajh myn kuch nahyn aa raha
|
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:24th Mar 2008, 1:18pm |
|
|
love....... islam tang nazar nai hai,, aur yehi waja hai k hamaray religion mai shadi k liye larkay aur larki ki razamandi puchhi jati hai,,, tang nazar hamari society hai,,, Allah nay to hamai pura hak dia hai,, par ye society aur zalim samaaj rastay mai aa jata hai....
kisi k sath shadi karnay ki niyat say usay pasand karna koi galat nai hai....
agar mere zehan mai koi baat aee to zaroor bataonga... filhaal to muje bi kuch samajh nai lag rahi , lekin ap kafi mushkil situation mai ho... take care of yourself..... |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:26th Mar 2008, 3:50am |
|
|
whtevr agreed to josh
but ye to batayen k ap dono ek dusrey se shadi kion nai ker sktey? |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:27th Mar 2008, 3:31am |
|
|
whtevr ????????? |
whtevr |
Group: Members Joined: 24th Feb, 2008 Topic: 11 Post: 57 Age:
29
|
|
Posted on:30th Mar 2008, 9:16am |
|
|
to zeb hello friends
i have been busy with an official work, that was why i could not check my mails from u for many days,
zeb aap ny poocha k hum donon shadi kyon nahyn kar sakty to..... itna zaroor bata sakti hon, in short, k hum dodno ki families mein finencial condition kuch is trah sy hy k hum apni families ko support kar rahy hyn, mery parents nahyn chahty k wo meri shadi kara k mujhy bhyj dyn or..........
ab tak kai baar mujhy ye jitaia ja chuka hy k jitna tumhari studies pe spend kiya hy at least wo to lotao, aagy aap samajhdar hyn
main apny parents k baary myn kuch wrong nahyn kehna chahti is liye.....dont ask anything more
or please....
tell me solution as soon as possible
pleassssse...
|
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 7336 Age:
32
|
Blocked |
Posted on:30th Mar 2008, 9:33am |
|
|
wait ker lay too app assa karay kuch time wait ker lay ap kay parents nay joo capital app per invest kiya ha unhay woo return back day aur pher shadi ker lay.at least app kee shadi too honi hee ha zaid say na hoo too bakar say hoo jain gee. |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:30th Mar 2008, 11:53pm |
|
|
Pyar Aur Paisaa...... mera bi yehi mashwara hai kuch arsa ap dono wait kar lain,, agar ap dono ki mohabbat sachi hai to koi na koi hal nikal ayega...
ap is tara na sochain k ham dono kisi say shadi kar hi nahi saktay,, ye to aap pehlay hi himmat haar baithin hain,, iraday mazbboot rakhain,, ap to namaz parhti hongi, us larkay say bi kahain k wo bi namaz parhay agar nai parta, aur dono dua karain, koi na koi solution khud ba-khud nikal aye ga. dont worry..
shadi k baad bi ap dono mil kar financial problems ka mukabla kar lena... wish u best of luck.
aur ap pareshaan na hon,, ye bohat achi bat hai k itni mohabbat honay k bawajood bi ap dono nay koi galat kaam nai kia aur na hi physically aik dosray ko touch kia,, khayalaat to aa hi jatay hain, ismai ziada pareshani wali bat nai hai.... ap bohat say dosray logo say behtar hain... |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:31st Mar 2008, 2:35am |
|
|
yesssss agreed to goodman and josh |
mohammed asif |
Group: Members Joined: 02nd Apr, 2012 Topic: 1 Post: 2 Age:
35
|
|
Posted on:4th Apr 2012, 3:27am |
|
|
get married... wajhe jo bhi ho...aapko ussse shaadi nahin karpaana ki...aaapto dono kabeerah guah mein munavvas hain. yeh aapki liye bahut hi accha hai ki mohabbat ko anjam dein...nikah karlen...khul ke aap agar kisi na mehram se baat karsakti hain...toh khul ke apne validain se nahin baat karsakti???? u sld challenge even this young man....mardangi phone pe nahin dekhayijaati....himmat karke proposal bhejne boliye....nikah karen...phir dono saare gunah ke liye...Allah se gidgidakarke maafi mange...phir delkhiye khushiyaan hi khushiyaan hogi...Halaal rista ki zeenat, maaza, raahat, khushi, sukoon kuch aur hai....Allah aaasani aur aafiyat ka mamla karen. dua ka taalib...
|
|