Poetry: Meri Maa
Kash K Zindagi main who muqaam aa jaye Mujhe Rab ki Taraf se Yeh pegham aa jaye Bata Bande tujhe kia aisa atta karon main Jis se tere Dard ko Araam aa jaye Main Sochta hoon k kia mangoon ga Khushi or Sukh ka Dariya mangoon ga Who khushi Jis se gher main ujala ho jaye Who khushi jo meri zaat ka hawala ho jaye Who Haath lota de jis main mera bachpan guzra Jis ka pyar main jism main laho ban kar utra Thak kar hamesha jis ki good main soya Haar kar Duniya se jis k aanchal main roya Mumta k us samandar ko Ankheen hai Dhoondti Maqrooz jis k Doodh k her Bond Mere Khoon ki Who Maa hai jis ne her Ranj or Alam se Bachaya Teez Dhoop main jis ka wajood aik naram saya Who jis ne Hanste Hanste her Ghum Uthaya Kitna Mehrban hai Who Rab jis ne Maa ko Banaya Who Maa jis k qadaoom main hai Jannat Her Kammiyabi hai jis ki marhoon e Minat Who Maa hai jis se hai Duniya ka Meela Who Maa Chor Gayi Hum ko Akela Mujh per apni Rehmatoon or Naimatoon ki Hadh na karna A Mere Rab Meri yeh Duaa to Rad na Karna Mujhe Khushiyoon ki who Kehkashaan Lota De A Mere Allah Mujhe Meri Maa Lota De
|